Saturday 19 July 2014

PARCHHAAIYO K PAREY UJAALEY KI OAR

PARCHHAAIIYO K PAREY UJAALEY KI OAR
_______________________________________________
ye bahot gahri baat hai k phool ki tarah jiyo chaahey khiltey hi bikhar jaao..ab phool khiltey hi bikhar tou jaayega par jis havaa k kaaran bikhrega wahi havaa us phool ki khushbu apney sath meelo door tak udaa kar le kar jaayegi aur us phool k liye deewaangi barhaayegi...par parvaanaa banney mei koi khushbu door tak nahi jaayegi...shamaa par jal kar marney waley parvaaney ki kisi ko khabar bhi nahi lagegi balki tasalli zaroor hogi k chalo parvana mar gaya...ab sabsey zaroori baat hai ye dhyan deney waali k gyanvaan hokar swayam ko poojit karvaaney waaley vyakti ko jalney ki aadat daalni hogi...jo vyakti gyanvaan hota hai wo apney satguru ki kripa se gyanvaan hota hai aur parchhaaii bhi deewaar par hi badi dikhaaii deti hai...deepak ki tali mei hi parchhaaii rahti hai aur ye parchhaaii ujaaley k sath andhkaar ki upasthiti bataati hai...yaani jo vyakti jitna adhik guru ki kripa se gyanvaan hota hai uskey sath ahankaar ki parchhaaii apratyaksh roop mei rahti hai aur usi vyakti ko grasit bhi kar leti hai bahot jaldi isliye guru k sabsey kareeb aur gyab vaan vyakti ko apni pooja aur satkaar karvaaney k vishay mei sochna bhi nahi chaahiye aur manmukh yaani mann k adheen nahi hona chaahiye balki gurumukh hona chaahiye aur sadaiv isi taraf dhyan dena chaahiye k har kadam har saans guru ki baaton mei shikshaa mei lagey..parvana tou agyaantaa mei jalta hai jaisey ek nanha turant ka janmaa shishu hota hai jisey kisi bhaav ka ahsaas hi nahi hota...wo tabhi rota hai jab usey bhookh lagey ya dard ho aur kon usey doodh pila raha hai issey usko koi lena dena nahi hota...koi vichaar nahi hota aur fir dheerey dheerey jab bhaav ka sankraman hota hai usmey is sansaar se tou dheerey dheerey gyan hota hai k maa kon hai aur wo maa aur anya rishto mei fark karney lagta hai tou isi tarah patanga kewal prakaash k aabhaas mei jal jata hai ye uska prem hi hai kyoki wo anbhigya hai k wo usi prakaash ki jwala mei jal jaayega bass isi tarah jab jeev kewal sansaar ki oar aasakt hota hai tou jal jata hai anbhigyata mei par jab gurumukh hokar gyan hota hai k guru ka prakaash hi anmol hai tou guru ki shiksha k prakaash ki jwala mei khud ko nahi balki khud k mann ko aur ahankaar ko jalaata hai aur swayam ko guru k samkash nahi rakhta na tou guru k jeevit honey par aur na hi guru k antardhyan honey k baad bhi par jo mannmukh jeev hotey hain wo guru k sang honey par bhi guru ki shishaa ko kewal apney maan sammaan ka zariyaa banaatey hain aur isi agyaantaa k chaltey sansaar ki agni mei mann ko nahi jalaatey balki apni aatmik srishti ko hi jalaa daaltey hain...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

RAFTAAR AUR UTSAV

RAFTAAR AUR UTSAV
__________________________
jab dharti ka udbhav hua tab dharti dheemi ghumti thi aur raat aur din bhi kaafi lambey hotey thhey...fir yug k anusaar jeev ki budhdhi .gyaanaarjan aur sanyam ki gati dheemi ho gaii aur mann ki gati teevr se teevratar hoti gaii aur aaj jitni gati se dharti ki dhuri ghoom rahi hai aur usi gati se yug beet rahaa hai...kaalchakr chal raha hai aur jeev bhaag rahaa hai...sab jeev khud apney se bhaag rahey hain..apney se milney se dartey hain sab kyoki sabko maalum hai antar se k wo galat chal rahey hain...khud apney andar baithney se dartey hain jeev...antar mei trishnaao k shor se bhaagney k liye ussey bhi adhik shor mei jaa kar baithtey hain sab aur niteejtan tann mmann praan se thaktey jaatey hain tou utsav manaaeingey kaisey????utsav tou antar k aanand se manta hai...antar mei aanand hai kahan???agar hai tou ek doosrey se aagey aur aagey aue aagey bhautikta mei bhaagney ki spardha...irshya.ahankaar aur bas antar mei athaah halchal hai tou jaisey saagar mei rahney waaley jeev saagar mei andar halchal honey par oopar aa jaatey hain satah par waisey hi jeev k antar ki halchal k kaaran antar ki sushupt trishnaaein...jwaalaa bhadk kar baahar aati hai jo aajkal dikh raha hai...utsav nahi ho sakta aisey vaataavaran mei.....YAHAN SHAREER KA RAAS HOTA HAI SHOR SHARAABEY K SATH...AATMAA SE ANTAR MEI RAAS NAHI HOTA AANAND K SATH...WAHI TOU ASLI UTSAV HAI JO HOTA HI NAHI....
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI..
--- Chhavi Mehrotra

BEECH MEI HUM---7

BEECH MEI HUM---7
__________________________________

hum aksar kisi na kisi se kabhi na kabhi itna naaraaz ho jaatey hain k khud ko behad khoobsoorat palo se lamho se bhi alag kar letey hain yahan tak k us sthan se bhi hat jaatey hain jahan hum apni aatmaa ko bhajan bhakti aur sanyam ki khuraak dey saktey hain aur dheerey dheerey apni hi bhakti k chhotey se kuney k medhak bankar kewal wahin tak seemit rah jaatey hain aur fir apney ahankaar k chaltey apney hi satguru se kab doori kar baithtey hain khud humey hi nahi maalum chalta aur apni bhakti k gumaan mei itney ghaney kohrey mei khud ko ghair letey hain k apney siva kuchh nahi dikhta...ye satsang ka mela hai aur yahan bhajan ka aanand zzaroor lena hai..har lamha keemti hai jeewan ka...
..RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

BEECH MEI HUM---6

BEECH MEI HUM---6
_____________________________________________________

kabhi kabhi ek eent k sarak jaaney bhar se imaarat dhah bhi jaati hai ji...agar zakhm deney wala nahi hoga tou zakhm theek karney waaley ki kya zaroorat rah jaayegi...humaari yahi vyatha hai k hum jaantey hain k raat hogi aur chiraag jalana hoga par hum subah mei subah ki hi baat kartey hain ji...puraaney samay mei jab laaltein jalti thi aur diye jaltey thhey tou sotey wakt unko dheemaa kiya jata tha aur raat bhar jalney k kaaran wo kaaley ho jaatey thhey tou din mei unki safaaii ki jaati thi jissey raat mei fir se jalney k liye wo saaf rahein aur kaalaa dhunaa na dein aur aankho mei jalan na karein apney dhuein se..par aaj teji ka yug hai...batan dabaatey hi ujala ho jaataa hai koi taiyaari raat ki nahi karni hoti tou hum raat ki baat bhi nahi kartey ab din mei...din k ujaaley mei raat k astitva ko bhula detey hain jabki raat kahi gaii hoti hi nahi aur raat mei din kahin gaya hi nahi hota...bass hum jab tak aankh moond saktey hain moond letey hain...na raat mei kisi diye ya laaltein ko dheemaa karney ki chinta hoti hai kyoki bahot kam power ka bulb lagaa kar chhutti paa letey hain...isiliye mai kahti hu k hum apney liye suvidhajanak beech ka maarg chun hi letey hain...ishwar ney humey har wakt har kaam mei 2 maarg uplabdh karaaye hain par chun na humey hi hota hai...ab wo sahi ho ya galat ye wakt par maalum hota hai aur bass hum jugat kartey hain k beech ka koi maarg mil jaaye jo surakshit lagta hai...yahi sthiti tab badi achchhi lagti hai jab sankaraa pahaadi raasta hota hai par us maarg par tou kinaarey par hi chalna hota hai aur doosra koi upaay nahi hota aur tab anubhav...ekaagrtaa aur sanyam k sath hari naam hi kaam aataa hai...aur uskey liye gaadi chaalak ko kitna abhyaas karna parhaa hoga iska anumaan bhi hum nahi lagaa paatey...yahi anubhav,ekaagrtaa,sanyam aur hari naam ka sumiran hi chaahiye raat mei aur din mei apney diye aur laaltein ki taiyaari aur istemaal k liye...
..RADHASWAMIJI..JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

MAARGDARSHAK

MAARGDARSHAK 
_____________________________________
bahot bada satya....ye ek sabsey badi hakeekat hai k koi sabsey bada ya sabsey aagey nahi ho sakta...har kisi k aagey koi na koi zaroor hoga...tou apney se aagey waaley ko ek raastaa dikhaaney waala samjhna chaahiye...jaisey paani se bharey gaddey mei apni gaadi ley jaaney se pahley sankoch hota hai aur bhay bhi lagta hai k maalum nahi is gaddey k paani k andar na jaaney kitna gahra gaddaa hai aur kahin badi durghatna na ho jaaye..par jaisey hi aagey koi gaadi usi gaddey se nikalti hai tou maalum ho jaataa hai k gaddey k kis oar se nikalna surakshit hoga...bass isi tarah jeewan mei bhi apney aagey chalney waalo ko apna sahaayak aur shikshak jaananaa hoga tabhi jeewan kaa aanand bhi aayega aur prem bhi banaa rahega....
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

SAMARPAN

SAMARPAN---
######################
Nadi oopar se neechey ki oar bahti hai aur saagar mei girti hai...meethi se khaari ho jaati hai...par saagar nahi uthtaa oopar...saagar bhi uthtaa hai oopar...sooraj ki tapish zameen se saagar k paani ko bhi oopar uthaa deti hai...chaand bhi kheenchtaa hai saagar ko oopar...par saagar khud nahi mil paataa arsh se...nadi ki mithaas usey saagar mei samarpan karvaa deti hai par saagar kaa khaaraapan usey uchhaal leney se rok deta hai....par wahi saagar apney bheetar itna vishaal sundar sansaar nirmit karta hai aur poshit karta hai...viksit karta hai k us parmaatmaa ki aseemtaa ka bhaan hota hai..brahmaand mei har taraf judaav aur vighatan chal raha hai...srishti ho rahi hai aur nasht bhi ho raha hai aur punah srishti ho rahi hai...aur har shay ek doosrey se jud kar sammaan bhi kar rahi hai kyoki ye sweekaar kiya hai jis shay ney k wo paar brahm ka hi ansh hai aur usi se nikal kar usi mei samaa rahi hai...TUM DEEPAK MAI BHAII HU PATANGA , BHASM KIYA MANN TUMHREY SANGA...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

Thursday 12 June 2014

MITHAAS KA KSHAAR MEI SAMARPAN

MITHAAS KA KSHAAR MEI SAMARPAN---
--------------------------------------------------------------
Nadi oopar se neechey ki oar bahti hai aur saagar mei girti hai...meethi se khaari ho jaati hai...par saagar nahi uthtaa oopar...saagar bhi uthtaa hai oopar...sooraj ki tapish zameen se saagar k paani ko bhi oopar uthaa deti hai...chaand bhi kheenchtaa hai saagar ko oopar...par saagar khud nahi mil paataa arsh se...nadi ki mithaas usey saagar mei samarpan karvaa deti hai par saagar kaa khaaraapan usey uchhaal leney se rok deta hai....par wahi saagar apney bheetar itna vishaal sundar sansaar nirmit karta hai aur poshit karta hai...viksit karta hai k us parmaatmaa ki aseemtaa ka bhaan hota hai...
samarpan meethaas ko hi karna hai kyoki meethaas hi ghulti hai paani kisi mei nahi ghulta...koi bhi rang paani mei ghulega paani nahi ghulega...khaarey paani ka swabhaav hota hai kisi ko bhi apney bheetar doobney nahi deta sab kuchh saamny baahar uchhaal deta hai...jitna adhik khara hoga utna baahaar uchhaal dega...apney bheetar k moti bhi aksar seep k sath baahar uchhaal deta hai par wo seep moti kisi ek virley ko hi milta hai...har ek ko sab kuchh nahi milta us khaarey saagar se...mithaas sadaiv vinamr hoti hai aur samarpit hoti hai agar khaarey ko bhi tou bhi kahin us saagar mei uska srot bhi bahta rahta hai tabhi us athaah saagar li aneko lahrein alag alag kinaaro par garm sheetal aur aneko apney vishesh gun liye huey bahti hain aur usi k anuroop us vishesh sthan par saagar k jal aur saagar ki sampadaa bhi vishesh gun liye huey hoti hai...khaaraa sadaiv bura hi nahi hota..uskey khaarepan se kshaar banta hai aur wo apney kshaar sath hi utni hi dileri se apni saari sampadaa daan karta hai...saagar ek kshaariya gun k kaaran uski apaar adbhut visheshtaao ko vismrit bhi nahi kiya ja sakta....ye sri bhagvan k shabdo ka anumodan hi karna hai k is srishti mei sab sri bhagvan se hi uttpann hai aur unhi mei samaataa bhi hai...kshaariyata jitni adhik hoti hai utna hi apney antar se kewal baahar hi niklega aur kuchh bhi antar mei samaayega nahi...jo bhi baahar se usmey pravisht hoga wo baahar hi vaapas aa jaayega...us kshaariyata ki adhikta apney andar kuchh duboyega hi nahi...isliye jo bhi jeev jitna taamsik hoga wo apney antar se baahar zaroor uglega apnaa kshaar aur apna vaibhav bhi...aur jo usey achchhaa ya bura milega usey bhi turant lauta dega baahar...isilye mukt bhi jaldi hota hai aur usey budhdh bhi miltey hain jaldi...budhdh ki mithaas usmey swatah ghulti hai uskey vaashp banaa kar aakaash tak uthaaney k liye aur fir varsha k roop mei meetha hokar fir se isi dharti par lautney k liye...uska kshaariya tatva samaapt hota hai is prakaar....budhdh ki mithaas jab tak nadi ki tarah gomukh se bahti hai tou samast bhoomandal ko nirmalta...sheetalta aur upjaaooo kshmta deti jaati hai aur kshaar mei hi samarpan hokar angulimaal ko aanand banaa deti hai...vaashp ki tarah sookshm se bhi halka aur paavan aur fir aanand roop mei varsha hoti hai....har tatva ek doosrey ko samarpit hoga tabhi srishti ka santulan bhi hoga...yahi sri bhagvaan ka sundar madhur roop hai...
---RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI....
--- Chhavi Mehrotra