Saturday 1 December 2012

DHAAR SE RADHAA TAK


DHAARAA YE AGAM KI..SATGURU DAYII LAKHAAY..
TAAHI ULAT SUMIRAN KARO,,,SWAAMI SANG MILAAY...
-----FROM SANT KABIR DAS JI...
..kabir das ji ne ye shabd kahey thhey...dhaaaar agam alakh lok se utri hai...ye aanand ki dhaar hai jo anvarat bah r
ahi hai aur yahi wo aakaash se utri ganga hai jo sri narayan k angoothey se yaani prem se upji aur nikli hai aur brahma k kamandal mei yaani srishti se aur gyan se mili...gai aur wahan se utar kar shiv ki jataao mei samaaii aur fir sirf ek patli dhaar k roop mei dharti par bahi kyuki is abaadh aanand ki dhaaraa ko dharaa j jeev nahi samhaal paatey kyuki is aanand ko aur dhaara ko samhaalney k liye shiv hona hota hai yaani shav yaani mrit se jaagrat aur irhaa yaani pooran hona hai khud mei...aur is aanand ki dhaar ne raja sagar k hzaari shav putro ko shivatva diya aur raja bhagirath iska maadhyam huey...yaani jo bhaagyavaan rathi is dhaaraa k pravaah ko us alakh agam se utaar laaney mei saksham hota hai wahi is dhaar k pravaah se shav se shiv banaa sakta hai aur uskey liye swayam ko shiv banana pahley zarooi hai...shav se shiv tak ki yaatraa sabse pahli seedi hai....is dhaar mei stri purush ka bhaid is sansaar ki seema se hota hai...kabir kahtey hain k ye dhaar alakh agam se aati hai aur isey satguru hi dikhaatey hain aur fir is dhaar ko jaan ney k liye isey ulta kar do aur radha kah lo fir ye swami se milati hai...ab baat wahi hai k ye sansaar seedhey munh ka ghadaa hai aur oopar brahmaand ulta munh humaari oar kiye ghadaa hai aur us alakh agam ki dhaar ko anvarat us ghadey se is ghadey k munh mei bahaa rahaa hai....yahi wo aanand dhaaraa hai jab ye is sansaar se ulat kar vaapas oopar k ghadey mei khinchti hai...jaise humaarey sheesh aur sabhi chhidro se humaarey andar ye dhaar aa rahi hai aur hum oorjaawaan ho rahey hain aur jab bhajan dhyan sumiran se is shareer k chhidro se aur sahastr dal kanwal se ye dhaar waapas oopar apney gomukh tak jaati hai ...GOMUKH...KA SWAROOP BHI YAHI HAI...SAAMNEY SE CHHOTAA AUR ANTAR SE VISHAAL...JAISEY ULTA KUMBH YAANI GHADAA...MUNH SE CHHOTA AUR ANTAR MEI VISHAAL...GAHRAA...YAHIN ANANT MEI YE DHAAR RADHA HOTI HAI...JAB ULAT KAR PUNAH USI DHAAM KO BAHTI HAI JAHAN SE AVTARIT HUII THI...yahi tou radha hoti hai..aur swami yaani krishna swaroop ho jaati hai...sri krishna aur radha ji ko ek roop mei prakat karvaaney k liye sant haridas ji ka yahi matlab tha aur unhoney SRI BAANKEY BIHAARI JI KA PRAAKATYA KARVAAYA ...KOTI KOTI PRANAAM SATGURU K CHARAN KAMLO MEI...SRI NARAYAN K CHARANAARVIND MEI...SRI BAANKEY BIHAARI LAAL JI..SRI RADHA MAHARANI JI K CHARNAARVINDO MEI...SABHI SANTO K CHARNO MEI...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra
 —

MAANAS KI SRISHTI


MAANAS KI SRISHTI...
____________________________
aksar ye prashn jeev k mastishk mei ghoomtey hain k ye srishti kab khatm hogi???kab nasht hoga ye sansaar...???jis bhi vastu jeev ki srishti hogi uska ant bhi hoga ye nishchit hai ye jaantey
huey bhi ye anjaana sa bhay kyu bhatbheet karta hai jeev ko??shaayad hakeekat yahi hai k jeev swayam k hriday maanas aur bhavo mei apni srishti karta rahta hai aur usimei apney dwara rachit sansaar ko swayam jeeta rahta hai aur swayam k sandeh,bhay,atyadhik lipsa se is apney hi sansaar ka vinaash bhi swayam kar deta hai...na jaaney kitni hi srishtiyaan rachi jaati hain is jeevan mei aur paalit ki jaati hain aur sanhaar bhi swayam hi kiya jata hai...ye bandhan tou katney hain kyuki srijit bhi kiye jaatey hain...fir kyu sochna k dunia kab samaapt hogi???jabki jeev apni srishti ko swayam nasht karta chalta hai....na jaaney kitney janmo ki adhoori lipsaaein janmo ki nirantarta ka kaaran banti hain aur behad shradhdhaa se jeev swayam ka hi pichhley janmo ki lipsaao se naataa jodtey huey unhi lipsaao ko shaant karney ki tamannaa mei pitar roop mei apna hi shraadh karta chalta hai...ye dunia kabhi samaapt ho hi nahi sakti...ye dunia yadi is roop mei samaapt bhi ho jaayegi tab bhi is dunia ka astitva ek doosrey roop mei rahega aur jaisey aaj puraano mei na jaaney kitney hi kalpo ki kathaaein hum parhtey suntey hain wo yu hi chalti raheingi...bass paatr judtey rahengey...arjun krishna tou aatey rahey hain aatey rahengey...mahishaasur hotey rahey hain aur devi prakat hoti rahi hain aur mahishasur yu hi martey rahengey...ye tou dunia ka srijan hai aur roop badal badal kar ye srijan paalan aur sanhaar ,...jo sanhaar hai hi nahi...kalyaan hai...hota rahega....BAAT APNEY MAANAS KI MAANAS K DWAARAA MAANAS KI SANTUSHTI K LIYE KI JAANEY SRISHTI KI HAI...JO HOTI RAHTI HAI...POSHIT HOTI RAHTI HAI AUR VILUPT HOTI TOU HAI PAR EK NAI SRISHTI K UTSARJAN AUR POSHAN AUR VISATJAN K LIYE HOTI RAHTI HAI...
.....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA I..
---Chhavi Mehrotra

SOOKSHMTA SE STHOOLTA KI SRISHTI AUR STHOOLTA KA SOOKSHMTA MEI VILAY


SOOKSHMTA SE STHOOLTA KI SRISHTI AUR STHOOLTA KA SOOKSHMTA MEI VILAY
__________________________________________
Brahmaand ki oorjaa onmkaar swaroop hai...fir usmei gyaan ki oorja milti hai jo ainm swar hai...aur yahin se ahankaar ki uttpatt
i hai...aur jo bhi jeev yahan shareer dhaaran kar prakat hua wo sant bhaav se nirmit hi hota hai aur yahi santatva uski chetna hai par jab shareer ki sthoolta prakat hui hai tou ahankaar ka swaroop tou avashya hota hai...jahaan ye ahankaar sant bhaav se paripooran hota hai wahaan wo sant bhaaav se bharaa hua jeev apney shareer tak seemot nahi rah jaata aur wo samaaj ko khul khul kar uski khaamiyaan ginaataa hai aur sant bhaav se ginaataa hai...wo swaarth bhaav se parey ho jaataa hai par sikshaa dena nahi bhoolta aur shikshaa deney mei kahin ye bhaav rahtaa hai k sabkaa kalyaan ho aur jaisey hi ye bhaav aaye k jagat ka kalyaan ho ye nishchit ho jata hai k mujhmey koi gun hai k merey dwaaraa sabka kalyaan ho par wo sant bhaav se bharaa jeev na tou se samajh paataa hai na dikhaataa hai kyuki ye ahankaar bhaav kalyaan kaari aur apratyaksh hota hai aur itna apratyaksh hota hai k sant bhaav vyakti nahi samajhta yahi bhaav shareer ki sthoolta tou deta hai kyuki ye srishti k gun se nirmit hai par chetan itna shudhdh aur halka hota hai k ye sant bhaav jeev apna oksh swayam lekar chaltey hain...par jis jeev mei shareer ki sthooltaa aur chetan ki sthoolta mil jaati hai wo swayam ka poojan karvaa kar hi trpt hotey hain ye ahankaar badaa mukharit hota hai aur kalyaankaari tou hota hai par sant bhaav se jagat k liye kitnaa kalyaan kaari hota hai ye us ahankaari vyakti k abhisht k swaarth par nirbhar karta hai...is ahankaar mei ahankaari na tou apna kalyaan karta hai na jagat ka...is jagat mei bhakto ko chaahiye k ye shareer tou srishti k gyaan tatva k ahankaar se nirmit hokar humey mil hi gaya hai tou hum bhatak na jaayein tou zaroori hai k swayam ki chetna ko sadaiv jaagrit rakhein...apni baat kahein par jagat k liye nahi balki apney swayam k abhyaas k liye kahein aur isliye kahein jissey humey baar baar yaad aati rahey humaarey liye...koi jagat mei prashasaa bhi karey tou isey kewal satguru ki kripa hi maaney...bina satguru ki kripa k ye sthooltaa ahankaar k shareer ki chetna ki sookshmta ko bhi nigal jaayegi aur kewal ahankaar ka saamraajya hi vyaapt hoga...

...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI..
---
Chhavi Mehrotra

SABHI BHAAV APNEY

BRAHMA tatva hain brahmaand...yaani budhdhi ka...yaani sato gun ka...aur NAARAD tatva hain maanas putr brahmaa ka yaani sato vichaar ka yaani budhdhi mei uttpann satva vichaar ka aur VAALMIKI tatva hai saansaariktaa mei lipt ahankaar...vibhats bhaav..agyaan ka...maanas aur sato vichaar kabhi sansaarikta se bhaybheet nahi hotaey aur mann ko apney aatm vishvaas aur saatvikta se sansaar ka asli roop dikhaa hi deta hai k yahan koi kisi k karm ka bhaagidaar nahi hai...sab apney hi dwara nirmit bandhan se bandhey hain aur yahi bhaav vaalmiki roopi mann ko is sansaar roopi rishto se mann k kiye paap mei bhaagidaari nahi milti...budhdhi ka maanas ka satva tatva jitna shudhdh hoga utna adhik prabhaavkaari hoga mann ko baandhney mei ..ektara jo ek aatm ek paar brahm ka prateek hai ang sang hai aur ek omkaar ka sangeet deti hai....aur mann jo paar brahm ki dhaar se juda hai wo seedha ram naam lekar dhaar nahi pakad sakta aur isiliye is sansaar se is dhaar ko radha hokar shabd ko pakadnaa hota hai aur jitna ahankaari hoga utna hi mann ko maarney k liye mara mara kahna hoga aur fir wahi dhaar ulat kar ram hokar bahney lagti hai aur neech kapti lutera mann shudhdh brahmatva ko praapt kar leta hai aur fir prem ka sushupt bhaav ka ankur bhi mann mei foot jata hai aur martey huey kronch pakshi k premi jodey k atulniya aalokik prem ko dekh kar vihval hokar kaavya kah uthtaa hai...usey ye dekh kar aashcharya hota hai k is nirmam swaarthi sansaar mei ye premi pakshi jodey mei se ek pakshi ki mrityu hotey hi doosraa pakshi bhi prem mei viyog se praan de deta hai...aur ek agyaani maan k andar se adbhut kavi bol uthtaa hai..yahi hai MAHARSHI VAALMIKI ki gyaandeyi katha ki praasangiktaa...sab kuchh humaarey andar hai...sab paatr...sab bhaav sab humaarey hi bheetar hain...RADHASWAMIJI..JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra