Friday 22 March 2013

JAAGTEY RAHO


JAAGTEY RAHO...YE KAHTA HAI CHAUKIDAAR JABKI WO JAAG RAHA HAI HUMAAREY LIYE....ek baar sri krishna paandvo k paas van mei milney gaye ..tab pandav vanvaas kaat rahey thhey...draupdi ne sri krishna ko thakaa sa dekha tou boli...sakha ...thodi der so jaao...
sri krishna ne kaha...sakhi...mai so hi tou nahi sakta...merey bharosey ye jag so raha hai...mai kaisey so jaau...
aur krishna ye kahtey huey muskura diye...kyuki wo tou dharm shetr kurushetr mei ...arjun k maadhyam se sampoorn jagat ko jaagtey raho ka sandesh jo deney waaley thhey...
isi tarah hum subah sham mandir mei deepak jalaatey hain aur ghanti bhi bajaatey hain..shankh bhi bajaatey hain...tou kya wo prabhu jo mandir mei moorat roop mei baitha hai usey prakash chahiye ya ghanti ki dhwani chaahiye jaagney k liye????nahi...bilkul nahi...jo swayam laakho karodo soorya k samaan prakaashmaan hai aur samast charaachar jagat ko gyan ka prakash de raha hai usey kisi deepak ki zaroorat nahi hai...hum deepak jalaatey hain swayam ki sharirik aankho k dwara prabhu moorat dekhney k liye...ghanti bajaatey hain swayam ki oorjaa ko swarmay karney k liye...shankh bajaatey hain swayam ki indriyo ko jaagrat karney k liye aur ye sab kaney k liye ishwar ney gyan ka prakash humaarey bheetar jagaya...JAAGTEY RAHO...kah kar...jabki wo aseem anant gun se paripooran prabhu swayam nirgun roop ho gaya aur humey jaagrat karney k liye jaagtey raho kahta rahta hai...satguru roopi chaukidaar k maadhyam se...isiliye shaastro mei bhi yahi kaha gaya hai k bina guru k narayan nahi miltey kyuki satguru k JAAGTEY RAHO kahney se chetan jaagtaa hai aur shareer k soney k baad bhi antar se chetan jaagrat rahta hai...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI....
Chhavi Mehrotra

Wednesday 20 March 2013

RANGO KA SAMAAVESH


Har rang ka jeev k mann aur shareer se bahot gahraa sambandh hota hai...kisi bhi mazhab mei chaahey kisi bhi rang ki pradhaanta rahti ho par har mazhab mei har rang ka pooraa asar dikhaaii bhi deta hai....
...naarangi rang..laal aur peeley jaisey primary colors se milkar prakat hota hai tou is tarah se in dono rango ka asar bhi apney andar samaahit kar k chalta hai...laal rang oorja ka prateek hai aur rakt ka shareer mei upasthit hona jeewan aur jeewan ka hona shakti aur oorjaa ko sidhdh karta hai...shakti poojaa mei laal rang ka hona iskey gun ko sidhdh karta hai...rakt ka laal rang oxygen ki upasthti se hota hai aur oxygen jeewan ko darshaati hai..shakti pooja mei anaar...ka bhog...rakt k lauh tatva ko sidhdh karta hai...laal gudhal k pushp se shakti poojan fir lauh tatva ko pratipaadit karta hai aur ye garmi aur oaj ka prateek sidhdh hai...doosri oar peela rang prem aanand aur gyan ka prateek hai...sri vishnu aur unkey avtaaro ko peetaambar dhaaran karvaaney ka yah pramukh kaaran hai...aur ye sri vishnu k har avtaar mei dikhaaii bhi deta hai...ab laal aur peeley rang k dwara mila orange rang ya kahein bhagvaa rang gyaan oorjaa shakti prem aanand ka prateek hai aur gyaan ka uday bhaaratvarsh se hi mana gaya hai aur usha kaal mei udit hota soorya sadaiv gyan k uday ka prateek maanaa gaya hai jo naveen din k uday ko sath laataa hai aur fir se andhkaar k baad naveen gyan k uday ki sambhaavnaa jagaataa hai...
MAHATMA BUDHDH ne sadaiv ahinsa aur prem par zor diya aur peelaa rang unkey in sandesho ko sampaadit karta hai....
safed ran sab rango ka apney bheetar samaavesh dikhata hai...safed rang kahin hota hi nahi prakriti mei...isiliye safed rang sabhi rango ko khud mei samet kar adwait ka bhaav dikhaata hai jo paavanta...saadgi aur guno ki itni poornta k nirgun ho jaaye is bhaav ka pradarshan karta hai...isiliye kisi bhi mazhab mei jab bhi teerath kiya jata hai tou safed kapda pahna jata hai aur jab gun ko pee kar pachaa kar nirgun ho gaya tou wo shaanti saadgi aur paavanta ki charam sthiti mei hota hai...yahi safed rang yudhdh ki samaapti par...ya shanti karney k liye ya shanti doot k roop mei safed kabootar uda kar ya safed dhwaj lahraa kar ...prayukt kiya jata hai...
neela rang purity ka soochak hai....space se dekhney par dharti neeli dikhti hai...dharti se saaf aakaash neela dikhta hai...saagar ka paani neela dikhta hai...down to earth...puritu..clearity..ka bhaav neela rang dikhata hai aur ash blue colour sri vishnu...sri ram...sri krishna...sri mahadev k shareer ka isi guno ko dikhaatey huey pradarshit hota hai...ishwariya bhaav hai saaf suthra....nishpaapi...deep...paardarshi..daya...karunamay...vish ko pee kar usko shareer aur hriday se dimaag k beech mei galey mei rok leney ki kshamta rakhney waaley shivatva k gun ko ..bhavv ko pradarshit karta hai neela rang...ek baat aur hai...gahra neela rang iraan se bhaarat mei aayaa aur aaryan sanskriti bhi iraan se aaii ...aisa itihaas kahta hai...iraan..istambul aur us taraf k shilp mei...chitrkaari mei gahraa neela rang bahutaayat mei aur pramukhta se dekhney ko milta hai...sikh mat mei is gahrey neeley k sath kesariya rang dekhney ko milta hai jo paavanta..paardarshita...saaf suthra...down to earth...gahraaii..purity of spirit...k bhaav k sath gyan veerta prem oaj ka prateek bhi hai....
hara rang peeley aur neeley ko milaaney se prakat hota hai tou in dono rango k gun ismey rahtey hain...hara rang hriday ki haritima..khush haali..samridhdhi....ukarsh..prem...daya...paavanta...paardarshita ka prateek hai...haritima usi hriday mei ubhregi jis dil mei us khuda k liye prem hoga...paardarshita ka gun hoga...aur jitna paavan...gyani...dhyani...premi..jeev hoga wahi aanand ki samridhdhi hogi aur hara rang progressiveness...movement ko dikhata hai tou jahan ye hoga wahan aanand ki samridhdhi hogi...
...kala rang har rang ko sokh leta hai apney andar...jo apney bheetar har oorja ko sokh ley wo power  aur sophistication ko dikhata hai...ye durbhaagya aur agyaan ko bhi dikhata hai..jahan santo aur mahatmaao ko thukraya gaya ho aur sadiyo tak dilo mei un mahaatmaao k dukh jhelney ka dard samaya ho wahan kala rang un agyaaniyo k agyaan ko hi dikhata hai jin agyaaniyo ney santo mahatmaao ko dukh diya aur unsey dharti ko viheen kar diya...kala rang agyan k andhkaar ko dikhata hai..shok dukh dard ko dikhata hai...choohey ka andheri naali...andherey bilo mei rahney ya ghoomney se us jeev ka agyaan roop mei aur taamsik roop mei hona sidhdh karta hai aur choohaa bahot taamsik jeev hai...asankhya choohey ek choohey se uttpann ho jaatey hain...kheto ko...gharo k aanaj ko nuksaan pahuchaatey hain aur isi baat ko sidhdh karney k liye gyaan budhdhi aur vighna harney waaley vishaal deh waaley bhagvaan ganesh ji ko choohey par savaar ho kar choohey ko niyantrit kartey huey dikhaya gaya hai...jab koi sitara bahot umrdaraaz ho jata hai aur mrity ko praapt hota hai tou wo blackhole ban jata hai aur us black hole ka gurutvaakarshan itna zabarjast hota hai k wo apney se karodo meel door grah ko bhi nigal jata hai...jab soorya ki agni khatm hoti jaati hai tab wo black hole ban jata hai aur andhkaar mei doobaa grah ho jata hai...ek baat aur hai...is black hole mei samaaii hui koi bhi vastu roop badal deti hai...wo apney mool roop mei nahi rahti lekin uskey tatva nahi badaltey...ye sab vigyan kahta hai.....sidhdh hota hai k kaalaa rang sab kuchh sokh leta hai...isikiye garmi mei kala rang pahanney se doctors manaa kartey hain kyuki unkey anusaar kala rang sooraj se garmi sokh leta hai aur shareer k andar bhi usi garmi ko pahuchata hai....kaala apney vishesh guno se bahot ahmiyat rakhta hai...
...har rang jeevan mei....dharmik...saamajik aur vyaktitva mei ahmiyat rakhta hai apni apni jagah...kyuki har rang ka apna ek alag gun aur mahatva hai jo kahin bhi kisi se kam ya zyada nahi hai....
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

Tuesday 19 March 2013

JO MAREGA WO TAIREGA


JEEVIT DEH NADI MEI DOOBTI HAI AUR MRIT DEH NADI MEI TAIRTI HAI...MITTI BINA PAANI K SOOKHI ALAG ALAG RAHTI HAI...PAANI MIL K LUGDI BAN GAI WAHI MITTI AUR SAANCHAA BAN GAYA DEEPAK YA MATKEY KA YA KOI BHI SRISHTI HO GAII AUR PAANI TAAIL YA KOI BHI VASTU RAKHNEY YOGYA BAN GAII PAR JAB TOOTI TOU PAANI MEI HI GHUL GAII...yahi gati hai shareer ki...shareer bana is sansaar k 5 tatvoo se milkar aur 5 tatvo ki oorja se 5 indriyaan sanchaalit karti rahi shareer ko par sthooltaa bhi barhti rahi shareer ki kyuki shishu ki deh tou nahi doobti yaani tab sthoolta nahi hai...sthoolta barhi shareer k bheetar baithey mann maanas ki kriyaao se aur ahamkaar laalsaa lobh kamnaaein krodh maatsarya moh irshya sab bhaav milkar sthooltaa barhaatey rahey shareer ki aur shareer bhaari hota raha maanas se vichaaro se bhaav se kriyaaein kartey kartey....aur fir sidhdh hua ye santo ka kathan...JIN DOOBA TIN PAAIIYAA...GAHIREY PAANI PAAITH...yaani jo jitna adhik doobega wahi ratan ya moti paayega...aur jab doobega tou chetan mukt hoga tou ye nirjeev deh taair jaaeigi kyuki saara karmo ka bojh le kar chetan tou mukt hoga ho hoga...jaisey SANT KABIR DAS JI ne kaha....utha bagula prem ka , tinka urha aakaash|
..........tinka tinkey se mila , tinka tinkey paas||
..yaani jab har bhaav se mukt hokar prem ka panchhi udta hai tou wo tnkey k samaan halka ho jata hai kyuki wo is sansaar k har bhaav se mukt hokar itna sookshm ho jata hai k prem k maheen tinkey mei se guzar jata hai...aur wo tinka apney us tiin ke paas chal deta hai jin se wo juda hai...aur jinka wo ansh hai...jiska wo ansh tha wo usi se mil gaya aur fir jiska wo tha usi k paas pahuch jata hai...
...isi kaaran se ye is sansaar k tatvo se mili deh yahin nadi mei taair jaati hai aur nishpraan rah jaati hai aur asli sookshm halka tatva jo us parmaatmaa ki ansh hai...nij ansh hai wahin urh jaati hai ...sabsey mukt...har bhaav se mukt..
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

Monday 18 March 2013

ISHWAR KI SUGANDH


ISHWAR KO SAAKSHAAT MAANKAR JAANKAR GEETA KI KASAM HI KYU KHAATEY HAIN???KYA ZAROORAT HAI????RAMAAYAN...RAM CHARIT MAANAS...GEETA...SRIMAD BHAAGVAT...ISHWAR SWAROOP HAIN...KYA SACH SAABIT KAR PAATAA HAI INSAAN  ISHWAR KI SAUGANDH KHAA KAR YA LE KAR......Diwali sabsey bada tyohaar hai....tou issey ye kahi sidhdh nahi hota k ramayan ya ram charit maanas humara sabsey bada grantha hai...sab granth apni apni jahah bahot hi mahatwapoorn sthan rakhtey hain...diwali ka ram charit manas ya ramayan se sirf itna sambandh hai k ye granth sri ram chandr ji k jewan par aadhaarit ullekh hai aur diwali par sri ramchandr ji ka raajyabhishek hua tha...bhaarat mei sabhi tyohaar krishi aur fasal k kataaii aur bowaaii par nirdhaarit hain...har ritu mausam k aagaman par us wakt ki fasal ki bovaaii kataaii par harshollaas manaaney k liye ye parv nirdhaarit huey...holi par chana gehu jau ki baaliyan bhooni jaati hai aag mei aur khaaii jaati hain kyuki baisaakh par inki kataaii hoti hai aur holi se poorv inhey harey aur kachchey roop mei ya bhaarh mei bhoon kar khaatey hain aur sardi k baad garmi ka aagman hota hai...aag mei teji ka dhyotak hai ye parv...diwaali parv hai shishir k baad tez thand k aagaman ki soochna deney ka parv...raat chhoti aur adhik andhkaarmay honey ki soochna deta parv hai ye...sarso k taail k deepak jala kar aadhik prakaas aur garmi ki aavashyakta par zor deta hai ye parv ..... holi aur diwali dono par sri vishnu ka poojan hota hai...ye sansaar garbh k niyam par chalta hai...udar ki pramukhta hai...garbhodak shaaii vishnu roop mei shishu naabhi kamal se bhaavnaao se mata k sath judta hai aur bhojan leta hai...mata shishu ki ahaar poorti karti hai..sri vishnu bhi srishti k paalak ka roop hain aur bhartaa hain srishti k...har fasal ki bovaaii aur kataaii udar poorti...sampanntaa k aagman ka dhyotak hai...har sampanntaa harsh ka prateek hai..diwali par sri ram ko rajya laxmi praapt huii aur sri vishnu ki ardhaangini sri laxmi poojya ho gaii is parv ki...ganpati shubhta ka prateek hain tou koi bhi sampoannta shubhta k bina nirjeev hai tou is prakaar ye diwali parv aur ramayan ka sambandh hua...ramayan dev bhasha mei rachit sri vaalmiki ji ka granth hai...wahi vaalmiki ji jo mara mara kah kar fir ram ko paa gaye...marna tou hoga pahley fir ram milengey...mann ko mara aur ram se pahley ram katha likh gaii...geeta jo srimad bhaagvat ka kewal ek ansh hai aur bada pramukh ansh hai...karm gati ko samjhaati hui geeta...ramayan mei sri ram k jeewan ki katha ka ullekh hai jabki geeta mei karm k janam se pporv praarambh honey se lekar aatmaa k roop mei bina shareer k bhi karm gati tak jaaney ka ullekh sri bhagvaan ne swayam apney sri mukh se kiya hai...geeta ki kasam khaaney ki vajah kya hai ye tou kasam khaaney wala hi apney apney tareekey se bata sakta hai...kya geeta ki kasam khaaney se ye sidhdh ho jata hai k vyakti satya hi bolega...geeta swayam sri krishna ki vaani hai..sri vyas roop bhagvaan k vachan hain...geeta vyakti ko mukt karti hai khud se aur sansaar se...kasam khaatey hi vyakti mukt ho jata hai us dor se jissey wo sansaar se juda hota hai...uska jhooth ya sach jo bhi hai wo uskey pichhley karmo ko agley janam se seedha jod deta hai usi pal...aur vyakti is janam se mukt ho jata hai...mukt honey se aisa nahi k uskey gunaah maaf ho jaatey hain..mukt hota hai wo is pal se...geeta ki kasam pratyaksh aur apratyaksh roop se vyakti ko mrityu k baad ki mukti shareer rahtey de deti hai...fir chaahey uska gunaah saabit ho ya na ho...vyakti antar se mar jata hai chaahey wo apney agyan mei isey samjhey ya na samjhey...uski aatmaa shareer mei nahi rahti...geeta sir geeta maatr nahi hai ye mukti khand hai...srimad bhagvat mei anekanek kathaao mei bhi anekaanek kathaaein hain aur un sabhi ka nichod geeta hai...karm k kurushetra k niyam bataati hai geeta...har karm k yagya honey ka saboot deti hai geeta...geeta ki kasam khaaney waaley geeta ko nahi jaantey ye sabsey bada satya hai kyuki jo geeta ko parh kar gun lega usey geeta ki kasam khaaney ki zaroorat hi nahi hogi..yahi sabsey badi baat parilakshit hoti hai k adaalat mei geeta ko saakshi maan kar satya ko saabit kiya jata hai...shaayad geeta ko saabit kiya jata hai k kaliyug mei geeta ka kya sthan rah gaya hai kyuki kya vaastav mei geeta par hath rakh kar kasam khaaney waaley sachchey hotey hain???ya geeta kewal ek pustak maatr hai jo kewal kasam khaaney k liye ek iswariya shakti hai jisey kabhi kisi ne dekha hi nahi hai....GEETA KARM SE BANDHEY JEEV KO SHAREER AUR USKEY ANTAR MEI VIDHYAMAAN CHETAN...AVCHETAN..INDRIYO...MANN....BHAAV...AATMAA AUR PARMAATMAA K EK DOOSREY SE JUDEY HONEY AUR FIR BHI VILAG RAHNEY KI SHIKSHAA DEI HAI...SAB GEETA PAR HATH RAKH KAR KASAM KYU KHAATEY HAIN YE USI WAKT HAR US BANDEY SE ZAROOR POOCHHNAA CHAAHIYE K WO KYA SOCHKAR AUR KYU GEETA PAR HATH RAKHKAR SACH BOLNEY KI KASAM KHA RAHA HAI??????GEETA TOU SWAYAM HAR KASAM SE MUKT KARTI HAI.....geeta karm k fal se mukt karti hai aur iski kasam wahan khaaii jaati hai jahan karm k fal ki mithaas ya kadwaahat ka nateeja aanaa hota hai...aur geeta ki kasam khaaney se kya fal ka swaad gun badal jaatey hain????nahi...swaad gun apney anuroop banaaney k liye geeta ko hath mei lekar shabdo k jaal pirokar fir naveen kar apni suvidhaa k anusaar kiye jaatey hain...ramayan kahti hai swarn mrig mithyaa hai par geeta idhar geeta bhi yahi kahti hai k sab badal jaayega...sab chhoot jaayega...par kurushetr mei duryodhan tou bannaa hota hai tabhi koi bheem banega...koi karn banega tou arjun ko aanaa hoga aur inhi chakkaro mei kisi abhimanyu ko marna hoga...par kasam tou khaatey hain aur yahi log khaatey hain..jinhey maalum hai geeta ko sirf hath mei lena hai karm tou geeta nahi karegi...jabki jo geeta ko sri krishna roop mei dekhtey hain wo kasam nahi khaatey kyuki unhey kisi saboot ko deney ki koi zaroorat hi nahi hoti kyuki jo apney hain unhey kisi saboot ki zaroorat nahi aur jo sajjan hai hi nahi usey kisi saboot ki koi zaroorat hi nahi....jo log agar aaj krishna ki kasam sirf isliye khaatey hain kyuki krishna k karmo mei khud ko jodtey hain tou sach baat tou ye hai k wo log khud hi krishna ki aarh letey hain aur apney  karmo ko krishna ka naam bhi detey hain...jabki hakeekat ye hai k krishna ney aam aadmi ko arjun bataya aur khud apney hi parivaar k sath yudhdh karney k liye karm yog ki shikshaa di aur apney viraat swaroop mei poorn sansaar ko abhivyakt bhi kiya aur jansaadhaaran har viraat se darta hai...ishwariya viraat swaroop dand deta hai duryodhan ko karn ko duhshaasan ko yahan tak k apney priya bhakt bhishm pitaamah ko bhi...ye nishpakshtaa viraat ko aur viraat karti hai..ram ko chhal se baali ko maarna parha tou krishna ney bhi har neeti ka ullanghan karney waaley duryodhan ko bheem se marvaayaa par janghaa par aaghaat karney ka ishaara kiya aur tab gadaa yudhdh mei jangha par vaar karna nishedh tha...krishna ney khul kar nishpakshtaa saamney rakhi...samaaj mei tyaajya striyo ko naam deney k liye hazaaro striyo ko sweekara aur apney oopar laanchhan liya wo bhi sabhya samaaj se nahi liya kyuki jo bhi krishna ko samjhega wo jaanega k prem kya hai...sabhyata kya hai...tyaag kya hai...ek sath raat aur din ko sweekaar karna kya hai...geeta karmshetr ka wo bhaag hai jo doshi ko aur nirdosh ko..dono ko ye saabit kar deti hai k yahan ka yahin samaapt hona hai...ab khud hi dono paksh soch lein k neeti kya hai...karm shetr mei...dharm shetr mei...yudhdh shetr mei...jo aamney saamney khadey hain unki yahi niyati hai aur yahi ant hai...ye sirf geeta hi kahti hai...ramayan nahi...ramayan kahti hai k yadi apney aatm tatva ka haran ho tou us apney ahankaari tatva se larho aur kisi bhi nikrisht jeev ka sahra lo kyuki kuchh bhi samaj mei tyajya nahi hai aur geeta ka bhaav hai k aatm tatva ko bal do aur saamney koi bhi apna paraya khada ho dharm aur sahi satya k liye lado kyuki yadi satya k liye ladtey huey mar gaye tou swarg tumhara hai aur jeevit rahey tou dharti tumhaari hai...yahi yahan ka karmyudhdh hai aur saugandh tou geeta ki hi lekar jeena ya marna hai kyuki marney k baad bhi mukt karney k liye geeta ka hi path hota hai...tou jo doshi hai ya nahi hai usey jeetey ji mukt hona hai aur wo geeta hath mei lekar mukt hota hi hai...dosh se...apney pratidwandi se...apney karm se....wo seedha jud jata hai apney pichhley praaarabdh se sanchit se aur agley janam k praarabdh se....
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI....
....Chhavi Mehrotra

Tuesday 12 March 2013

TRISHNA AUR DHAAIRYA


Ek brahman vaidarbh mantr ka gyata tha..is mantr ka jap karney se ratno ki baarish hoti thi...wo iss gupt vidhya ka upyog sawayam k swaaerh sidhdh k liye nahi karta tha apitu nirdhano ki sahaaytaa k liye karta tha...ek baar ek ladka uskey paas parhney aaya...ladkey k sadgun dekhkar brahman ney usey apney paas rakh liya...jab us ladkey ney brahman ka dil apni sewa aur kushaagr budhdhi se jeet liya tou brahman ney usey vaidarbh mantr sikhaya...kintu ye chetaavni bhi sath mei di k is mantr ka upyog kewal sahi upyukt sthan par hi karey..ek din brahman ko pados k gaanv mei jana tha...usney us shishy ko bhi sath mei liya..maarg mei kuchh daakuo ney dono ko pakad liya aur dhan ki maang ki....brahman k paas dhan tou tha nahi isliye un daakuo ney us ladkey ko apney paas bandhak banaa liya...aur brahman ko dhan le kar aaney k liye ghar bhej diya...sanyog se usi at dhan varsha nakshatr ka yog tha...braahman ney socha k yadi mera shishy aaj dhan deney k liye us mantr ka prayog karega tou dhan varsha hoti dekh daaku aur adhik ratno aur dhan k laalach mei merey us shishy ko aur adhik sataaeingey aur takleef dengey aur un daakuo ka agyaan k kaaran laalach barhtaa jaayega aur wo us shishy ko adhik dhan varsha k liye prataadit kartey rahengey aur wo ye nahi samajh sakengey k ye sirf nakshatr yog se hota hai...atah merey shishy ko ye mantr ka prayug nahi karna chaahiye...aur unhoney apney shishy ko samjhaya k mantr ka prayog kadaapi na karey varna uski musibat barh sakti hai...raat honey tak tou us ladkey ka dhaairya jawaab dey gaya...usney socha k ratno ki varsha se mai daakuo ko maalaamaal kar du tou wo mujhey avashya chhorh dengey aur ye soch kar usney ratniiio ki varsha kar di...daakuo ney laalach mei aur varshaa karney ko kaha par wo asambhav tha tou ladkey ney asamarthataa jataaii...kyuki mantr ka upyog ek hi baar ho sakta tha wo bhi nishchit nakshatr mei...asabhya agyaani ashikshit daakuo ney krodh mei us ladkey ko maar diya...
vastutah dhaairya khoney se aur gyan ka galat sthan par prayog karney se sankat ki sthiti ban jaati hai...isliye vipreet paristhit mei bhi dhaairya ka sath na chhodein...isi prakaar is sansaar mei bhi mann ka aur trishnaao ka daaku adhik se adhik ichchhaao ki poorti chaahta hai aur ek tripti k baad trishna fir jaagti hai aur ye antheen trishna agyaani ashikshit asabhya mann k daaku ko uksaati rahti hai aur adhik ki laasa k liye...aur ye mann ka daaku dhaairya khoney waaley ko...satguru ki aagyaa na samajhney waaley ko uski indriyo samet maar daalta hai aur patan k gart mei gira jeev fir ubar nahi paataa aur nasht ho jata hai....
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI..
---Chhavi Mehrotra

PRATIUPKAAR KA ADHIKAR


Sadiyo pahley magadh raajya ki rajdhani mei bheeshan aandhi toofaan aaya..usi dauraan kahin se ek gidhdh udta hua aayaa aur paani se bachney k liye ek deewaar k paas baney chabootrey par baith gaya...uskey sath uskey 4 saathi bhi wahin aa gaye...gidhdh sardi se kaanp rahey thhey..unki yah dasha dekh nagar seth ney unhey surakshit sthan par pahuchaya..gidhdho ney parvat par laut kar vichar kiya...'' nagar seth ney hum par upkaar kiya hai aur ab humey bhi unkey upkaar ka badla chukana chahiye...''lrkin wo soch mei parh gaye k pratiupkaar kaisey karein...unmey se ek gidhdh ney sujhaav diya..'' ab humey koi bhi keemti vastu miley usey hum utha kar seth ji k aangan mei gira dein..''
...ab gidhdh kahin se sookhey kapdey...aabhooshan aur keemti vastuein utha kar laatey aur seth ji k aangan mei gira detey..nagar seth ko jab is baat ka pataa chala tou wo un sabhi vastuo ko ek alag kamrey mei rakh detey thhey...raja ko jab maalum huaa k gidhdh chori kar rahey hain tou raja ney prayaas kar k sainiko dwara unmey se ek gidhdh ko pakadvaa liya..
raja ne us gidhdh se poochhaa...'' tum logo k vastra aabhooshan chura kar le jaatey ho???''
gidhdh ne uttar diya..'' nagar seth ney humaari praan raksha ki thi aur hum uski k upkaar ka badla chuka rahey hain...''
raja ney is baarey mei nagar seth se poochhtaachh ki..nagar seth ney chori k saamaan ka apney paas hona bataya aur kaha k wo sara saamaan alag kamrey mei rakhaa hai jissey jo jiska hai wo vyakti apna samaan le jaaye...fir nagar set ney kaha...k upkaar chukana tou achchhaa hai par upkaar chukaaney ka tareeka bhi sahi hona chaahiye..upkaar k badley mei pratiupkaar ki bhaavnaa prashansniya tou hai par ismey bhi janhit ka vichar karna zaroori hai,..isi prakaar jab koi bhi vyakti humey prashansa dey tou uspar apnaa adhikaar jaankar ahankaar mei nahi aanaa chaahiye kyuki ye prashansaa bhi kshan maatr ki ho sakti hai ..prashansaa aaj jis vyakti se mil rahi hai yadi uskaa swabhaav komal daya poorn nahi hai tou wo prashansaa kisi bhi din kisi aur k paksh ki ho sakti hai aur jis vyakti ney prashansaa aaj prasann hokar di hai kal wahi vyakti apney ahankaar k pusht na honey par apni prashansaa k shabd vaapas maang sakta hai...isliye kisi ka bhi diya huaa anudaan ek alag kaksh mei samhaaltey jaaein ye jaankar ya maankar k aapkaa adhikaar kewal satkarm tak hi seemit tha uskey aagey k uphaar aapkey nahi janhit k liye honey chaahiye...aur satkarm kabhi uchit ya anuchit paatr dekhkar nahi kiya jaaye balki jab prashansaa milye ya pratiupkaar miley tou paatr avashya parakh lein kyuki pratiupkaar bhi jeev ki sahaj swabhaav k anuroop hi visheshta rakhney wala hota hai...bichchu dank maarega hi maarega...satkarm hisprah bhaav se ho par pratiupkaar leney ki chaah kabhi na ho...wo tou janhit ka vishay hai...
.....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

Friday 8 March 2013

DRISHYA AUR DRISHTA

ISS sansaar mei jo dikhaaii deta hai wo hkeekat mei waisa nahi hota aur wo kisi aur roop ka bhi nahi hota kyuki wo mool roop mei kewal aanand roop hai...ye drishtigat roop maya ki sthooltaa hai aur jab ye sthoolta vileen ho jaati hai tou sirf wo nirmal mool sookshm aanand swaroop hi rahtaa hai aur kewal wahi satya hai...laxman rekha humari aatmaa ki seeta k liye nahi hai jo maryada laangh jaayegi balki baahar se burey vichaar aur laxan wala koi raavan mann mei na pravesh kar jaaye aur uski rukaavat k liye aatmik bal ki laxman rekha khichni hoti hai...
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

AASHNAAII


na miley chand tou sitaro ki oonchaaii rakhna
na miley jahan tou sooraj ki tamannaa rakhna
gulaab mei kaantey todney waaley k liye hotey hain
khuda hai nigehbaan...har raat k baad subah ki tamannaa rakhna...
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

SAJDA DIL SE


mohabbat karna sajde se kam nahi hota,
pyar khud kisi khuda se kam nahi hota,
mangte hai duayen kubool ho ye khuda per chhorh dete hai,
wafa karna ibaadat hai... varna is zamane mein naseeb kya nahi hota...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

SAMARPAN



Ek seth ji thhey..badey daani..bhakt saadhu...thhey...unki mrityu hui aur unki yaatraa baikunth ki oar shuru hui...baikunth k dwaar se pahley dwaarpaalo ney unhey rok diya aur kaha k aap baikunth nahi jaa saktey...seth ji hairaan rah gaye aur boley k mainey tou pooraa jeewan SRI HARI k charno mei samarpit rakhaa tou mujhey baikunth tou milna hi chaahiye...dwaarpaal boley k achchhaa chalo apney kiye huey sabhi achchhey satkarmo mei se sirf ek hazaar satkarm gina do aur baikunth mei aa jaao...seth ji boley arrey lo abhi ginaataa hu..seth ji apney kiye huey daan punya...hari bhajan sumiran bhaagwat charchaa aur satsang sab ginaaney lagey...badi mushkil se nihswaarth bhaav se kiye huey dus karam hi ginwaa paaye aur atak gaye k ab kya ginaau...dwaarpaal boley k chalo ab narak mei...seth ji wahin hataash hokar SRI HARI SUMIRAN KAR LAIT GAYE AUR HATH JOD KAR BOLEY....HEY PRABHU...MAI TOU KUCHH NAHI HU,,...SAB TUM HI HO...MAI TOU VYARTH MAAN ABHIMAAN GYAAN MEI LIPT THA..MAI TOU NIRBAL HI HU...MAI TOU BASS TUJHEY HI SAMARPIT HU...MUJHEY SAMHAAL LO PRABHU....
...AUR BAIKUNTH K DWAAR KHUL GAYE...SWAYAM SRI NARAYAN US SETH KO LENEY AA GAYE AUR BOLEY...SAB KARMO K SATH POORI IMAANNDAARI SE MUJHEY TUM AAJ SAMARPIT HUEY HO...ISLIYE AAO TUM MEREY HI PAAS AAO...
...mann ki shudhdhtaa tou ho hi nahi sakti...isiliye kaliyug mei har pal naam dhyaan sumiran aur samarpan ko mahatwaa diya hai...hum sab SRIMAD BHAAGVAT parhtey suntey samajhtey hain par apply nahi kar paatey...koshish kartey hain par poorn roop se nahi kar saktey tou VISHNU SAHASTRA NAAM MEI AUR SRI VISHNU KAVACH MEI AUR MAHAATMYA mei bhi SRI BHAGVAAN ne har bhaav har karm dharm ko tann mann praan se UNHEY samarpit kar deney ko kahaa hai...humaari haar ho ya jeet...sukh ho ya dukh...mamta ho ya prem ka koi bhi roop..koi bhi bhaav...krodh lobh moh ahankaar irshyaa ya koi bhi achchhaa bura sab samarpit karna hai...IMAANDAARI KA MATLAB HAI K YADI HAAR DUKH AANSU KASHT GUNAAH SAMARPIT KAREIN TOU AANAND SUKH PREM UNNATTI TARKKI SAFALTA KHUSHI PREM BHI USI TATPARTA SE SAMARPIT KARNA HAI...WAHAAN PRABHU KO DOSH DENEY KA KOI BHAAV NA HO....
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

DILO KI KITAAB


likhi jo khuda ne muhabbat ki wo kitaab mainey bhi parhi..
poochhaa kisi ney...paltaa kisi ney..parhi sabney par ek baat na parhi..
na tu tha na mai tha tou fir tujhmey mujhmey kya fark...
na lafzon se na haraf se...parhi muhabbat tou dil se aur aankhon se parhi...
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

DILO KI BASTIYAN


UJDI BASTIYAAN TOU FIR BAS JAAEINGI...
UJDEY HUEY CHAMAN FIR MAHAK UTHENGEY..
NA MILENGEY TOOTEY DIL AUR BIKHRI AAS...
SAHMEY HUEY MUKHDEY FIR NA KHILENGEY...
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

KARM AUR KURUSHETRA

SANT RAVIDAS JI ne sidhdh kiya k ...mann changaa tou kathoti mei ganga...ganga mei nahaaney se shareer k rog mit jaatey hain na ki mann k...aakaash gangaa k snaan se mastishk k rog mit jaatey hain aur dhyaan sumiran kartey huey paarbrahm aanand ki dhaar ganga mei jab ulat drishti kar dhyan oopar ko paar brahm sachchkhand mei kendrit kar radha roop mei gangaa yaatraa hoti hai us gangaa snaan se mann k rog mit jaatey hain...yahi fark hai mann se karm shudh hona aur ya kewal shareer se malinta chhootna...malinta har prakaar se chhootni hai...har gangaa ka snaan karnaa hai..paataal gangaa ka snaan bhi asuro k liye bada zaroori hai maanav banney k liye...JEEWAN K KURUSHETRA MEI JAB AAKAR KHADEY HUEY HAIN TOU KARM YUDHDH TOU KARNA HOGA AUR YADI NAHI KIYA TOU SAAMNEY KHADEY HUMAAREY APNEY HI HUMEY MAARENGEY AUR INDRIYO DWARA ISHWARIYA TATWA KO PRAAPT KARNEY KI CHESHTA BHI NAHI KARNA GART MEI HI GIRATA HAI AUR JIS TARAH KENCHUAA MITTI MEI HI MARTA HAI AUR USI MITTI MEI PANAP JATA HAI HUM BHI SIRF YAHI PRAKRIYA KARTEY RAH JAAEINGEY AUR KABHI SWAYAM KO NAHI PRAAPT KAR SAKENGEY..KARM TOU HOGA..SWATAH HOGA TOU YE BHI ZAROORI HAI K KARM HONA HI HAI TOU FIR KYU NA ISHWARIYA TATWA K SATH KIYA JAAYE..AANAND K SATH IS LEELAA MEI HONEY KA AANAND LIYA JAAYE...
...
 KAHO ...KISMAT KAHO...CHAAHEY KAHO TAKDEER...
PAHLEY BANAA PRAABADH AUR...PAACHHEY BANAA SHAREER..
...KARM 3 tarah se hotey hain...man se ...vachan se...shareer se...mann ka karm har pal har lamhaa trangon k aur vaayu k vaig se bhi zyaadaa gati se nirantar hota rahta hai...agar hum ye sochein k koi vichaar na aaye aur vichaar rok kar shoonya hona hai aur kewal isi vichaar se asankhya trangon k roop mei behad gatisheel karm ho jaatey hain...jab hum boltey hain tou har shabd mei judey aneko swar vyanjano k sath milkar itni tarangein uttpann kartey hain k humaarey shabdo se hi anginat achchhey burey karm hotey rahtey hain aur shareer tou hai hi karmo ki sthooltaa ka pratyaksh pramaan...karam ki gati se mukti mushkil hai...saral nahi hai...isliye kewal prabhu ko hi samarpit hotey rahna hai har pal har lamhaa....
.
...ichchhaaein...laalsa...aanand...sab aanand se juda hai...kahin sansaar ka aanand hai jo shareer se hokar nikal jata hai kahin aatmik hai jo hriday k antar se hota hua kendr tak jata hai aur wahi avasthit rahta hai....khatm nahi hota...sab indriyo se juda hai...indriyo ka daman nahi karna chaahiye kyuki indriyaan kabhi nahi marti wo fir doguney vaig se jwala samaan dahakti hain..indriyaan gopi swaroop honi chaahiye ...go+pi...yaani jo indriyo ko pi leti hain yaani aanand hi lena chaahti hain aur gopiyo ko apney aanand moh mei niyantrit kartey hain SRI KRISHNA....yaani pooran brahm aur wo swayam PARAM AANANDROOP HAIN...ITNEY GUNO SE POOORAN K NIRGUN HAIN...AUR GOPIYO KO RAAH KRISHNA KI DIKHAANEY WAALI HAIN RADHA YAANI SHABD KI WO AMRIT DHAAR JISEY PAKAD KAR AATMAA NEECHEY UTRI AUR USI KO ULTA DHAARAN KAR YAANI RADHA KO DHAARAA AUR DHARA KO RADHA KAR PUNAH OOPAR KHICHNA HAI...INDRIYO KO PEENAA HAI...AANAND TOU AATMAA KA EKMAATR PARAM TATWA HAI AUR USSEY TOU ALAG HONA HI NAHI HAI TOU POORAN AANAND LENA HAI IN INDRIYO K MAADHYAM SE AUR INDRIYO KO POORAN BRAHM K CHAARO OAR NACHANA HAI NA KI IN INDRIYO KO ITNA ANIYANTRIT NA KAR DEIN K AATM TATWA INDRIYO K ADHEEN HOKAR INDRIYO K ISHAAREY PAR NAACHEY AUR AGAR INDRIYO NE AATAM TATWA KO NACHAYA TOU AANAND HOGA HI NAHI....KEWAL THAKAAN AUR NIRASHAA...GART HI MILEGA AUR AANAND TATWA KHOTA JAAYEGA...YAHI HAI INDRIYA NIGRAH...INDRIYO KO VASH MEI KARNEY KA YAHI TAATPARYA HOTA HAI...KAHIN KUCHH BURA NAHI DIYA HAI SANSAAR MEI PARMESHWAR NEY...HUMNEY JO BHI INDRIYO KO KHUD SRAJIT KARNEY KI CHHOOT DI WAHI ASANTULIT AUR RANGHEEN AANAND SE RAHIT HAI AUR DUKH KA KAARAN HAI...ICHCHHAA KARNA KOI GALAT BAAT NAHI HAI...ISHWAR DARSHAN...DHYAAN MEI BAITHNEY KI KAAMNAA KARNA BHI SAB KAAMNAAEIN HI HAIN...YAHAN INDRIYO KO AATMA NIRDESH DETI HAI TOU SAB SANTULIT RAHTA HAI...JAB INDRI NIRDESH DENEY LAGEY TOU WAHAN GADBAD HO JAATI HAI...
..RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI..
---Chhavi Mehrotra

KARM YAGYA DWARA AATMIK VRIDHDHI


VARDHMAAN hona hi vridhdhi ko praapt hona hai...aatmik vridhdhi....sansaar mei vridhdhi nirantar hoti rahti hai..baalyakaal mei vridhdhi bahot teevra hoti hai isiliye bachpan se shishu ko sahi uchit gyaan sanskaar vaani shabd ka prayog kaarmik gyaan ki shikshaa uchit roop mei deni hoti hai...yahi gyaan sarvpratham mata pita detey hain baalak ko tabhi wo pratham guru hotey hain...yahi yagya hai...karm yagya...shabdo se kiya jaaney wala yagya...vichaaro se kiya jaaney wala yagya...bhaav se honey wala yagya...shareer ki kriyaao dwara honey wala yagya...indriyo k yog se honey wala yagya..in sabhi saadhno k yog se honey wala yagya...inhi yagyo dwara honey waali aahuti dwara tript hotey dev...devta wo jo manushyata se shreshth ho aur manushya dwara kiye huey yagya ki aahuti se tript ho aur usi havishya par nirbhar ho...jaisa havishya manushya dega waisi taakat dev manushya k raksha k liye pradaan kar sakeingey...raakshas aur dev k beech ki mahatvapooran kadi hai manushya aur uska yagya....
yeshaam na vidhya, na tapo na daanam..
gyaanam na sheelam na guno na dharmah...

tey martyulokey bhuvih bhaarbhootaah..
manushya roopen mrigaashcharanti..
...yagya dwaara vridhdhi ko praapt ho,,..vridhdhi tabhi hogi jab karm hoga aur karm ichchhaa ya anichchhaa se jab bhi hoga usi bhaav k anuroop vridhdhi ...sookshmta ya sthoolta dega...aur usi k anuroop ichchhaaein bhi poori hongi...manushya ya raakshas ya asur sabhi yagya kartey rahey aur apney swabhaav k anuroop hi apney kshetro mei vridhdhi bhi kartey rahey...brahma ne ye kaha k yagya dwara vridhdhi karo aur ichchhaa poori karo...ab yahin oorja k shetr ka vistaar ...soch aur bhaav k anuroop karm ka vibhaajan swatah ho jata hai...kahin koi ishwar koi vibhaajan nahi kartey aur manushya asur dev daanav apney bhaav vichaar aur maanas k vikaas k hisaab se karm kartey hain aur apni sthoolta aur sookshmta ko vistaar detey jaatey hain...sant sabka ek samaan drishti se bhalaa aur uththaan sochtey aur kartey hain tou yahi unka yagya hota hai aur uska vistaar bhi saadhu bhaav mei hota jata hai...kahin koi vibhaajan ishwar ne nahi kiya..manushya se dev aur dev se sant ban jaana hai yagya kartey huey ya fir manushya se asur daanav hotey jana hai...jab srishti ki rachna hui tou manushya ko stuti praarthna karm din raat kisi ka bhi koi gyan nahi tha....fir gyan ki utpatti hui...yagya dev prakat huey aur ye sab vishnu roop se prakat huey aur manushya jo sansaar mei ghat roop mei poojan karta tha aur ghat ko sthaapit kar dev poojan karta tha usey yagya ka gyan huaa aur fir gyan hua k ye sansaar..ye shareer aur in sabsey judi har kriya bhaav aur gatividhiyaan ek yagya hi hai...kyuki praatah jab sooraj ki pahli kiran udit ho aur pakshiyo ka kalrav shuru ho aur manushya netra kholey aur usey aabhaas ho k fir naya ujala uskey jeewan mei oorja bhar raha hai aur ye jeewan ki ek naii subah hai aur ishwar ko is uphaar ko deney k liye pratham shwaas k sath kiya hua pratham namaskaar yagya ki pahli aahuti hoti hai...har shwaas aur prashwaas aur unsey judaa jeewan aur har vichaar aur vichaar se juda har kaarya soch gati vidhi ishwar ko samarpit aahuti roop hi hona chaahiye tabhi har shwaas prashwaas se mukti hoti jaati hai aur yahi yagya ka bhaav hai...jo ishwar ko aahuti de di wo punah waapas kaisey liya ja sakta hai...sirf ishwar kripa k roop mei wo waapas aataa hai manushya tak...yahi yagya hai..
YAGYA DWARA UPAARJIT ANN KO PAKANA HAI AUR FIR KHANA HAI AUR FIR PACHANA HAI...is sansaar ka ye niyam hai k karm karna hi hai...aur karm chaahey wo man vachan ya shareer kisi bhi tarah se ho hona tou hai hi aur wo hoga hi..bina vichar k man rahega hi nahi..tou yadi vichar se bhi jo upaarjan kiya wo bhi mann ko waisa hi poshan dega jaisa ya jis tarah se wo upaarjit hoga aur agar upaarjan kiye bina vichaar pakaa liya aur khaa liya aur fir pachaa liya tou wahaan paap yaani asuri daanvi raakshsi vichaaro ki srishti shuru ho jaaeigi aur mann mei apach hoga hi hoga...fir vachan dwara jo yagya hoga usmey bhi yahi niyam laagoo hai...yaani shabdo ko pahley upaarjit karna hai yagya se...shram se...aur ye shram vichaaro k shram k baad hi unkey anuroop hi hoga...aur swar k utaar charhaav vyanjano se milkar shabd k utaar charhaav ka srijan karengey aur wahi shabd srajit hongey aur wahi pakaana hai fir khana hai aur sabsey badi baad un shabdo ko humey hi pachana bhi hai..apach hoga tou wo bhi humaarey mann mastishk budhdhi soch shareer avastha paristhiti samaaj sabko sath hoga...yahi niyam fir shareer dwara kiye huey yagya liye hain...aur shareer ki kriyaaein poorey shareer ko paapi banaa dengi agar bina upaarjit kiye pakaaye bina khaaii jaaeingi...ye sab milkar aatmaa ko jo shareer mann mastishk se alag kewal bhajan sumiran mei baithi hai...us aatma ko bhi nimnta tak pahucha dengey aur aatm tatwa jo shudhdh paar brahm tatwa hai wo sookshmta se sthoolta ko praapt hota jaaeyga aur fir is sansaar ki aasuri sthoolta se mukt hona asambhav hai...isiliy prabhu samjhaatey hain k aasuri yagya nahi...brahm yagya dwara hi humey bhojan upaarjit bhi karna hai aur pakana bhi hai aur wahi dev ko samarpit kar k bhog swaroop swayam grahan karna hai...JAISA KHAAYE ANN...WAISA HOVEY MANN...JAISA PEEVEY PAANI..WAISEY BOLEY VAANI......manushya apney karm yagya dwaara jo bhi devo ko samarpit karega ussey dev santusht hongey aur vridhdhi ko praapt hongey...jaisey baalak ko ya baalika ko jo nirmal hain...prem swaroop hain ..unko hum maanav poshan dekar pusht kartey hain aur unkey prasanntaa aur santushti k bhaav se hum manushya prasanntaa aur aanand praapt kartey hain aur jab manushya un baalak baalikaa ko milney waaley poshan ka adhikaar chheen kar swaarth vash kewal apney vyasan..vaasnaa...laasaa aur aham bhaav ka poshan karta hai tou wo chori jaisey adham paap ka bhaagi hota hai...SRI VISHNU SAHASTRNAAM mei SRI BHAGWAAN kahtey hain k rey maanav tere saarey pitar mujhmey hi samaaatey hain aur mujhsey hi upajtey hain isliye tu sab kuchh jo bhi pitaro ko samarpit karta hai sab mujh tak hi aataa hai aur isiliye pitaro k rin se tu mukt hona chaahtaa hai par merey rin se kab aur kaisey mukt hoga???baat wahi hai k jo bhi baalak baalika sansaar mei janamtey hain sab humaarey apney hi pitar janamtey hain aur hum hi kahin humaarey poorvaj bhi ho jaatey hain kuchh janmo k baad...isi liye ek doosrey ko imaandaari se unkey adhikaaro ka poshan humey dena hai aur isi prakaar manushytaa se devatwa ki vridhdhi hoti hai aur jab dewatva ki vridhdhi hogi tou asur aur daanav tatva humaarey antar se samaapt hotey jaaeingey aur sant bhaav utpann honey lagega aur iskey liye sanvaatan zaroori hai shudhdhtaa ka..
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

BHAAV KA CHOLA


Asur...daitya..danuj...raakshas..yaksh...manushya..devta....sab maanas k bhaav aur vichaaro aur unsey huey karmo k dwaaraa praapt honey waali gati aur chola hai...aur har bhaav vichar karm yagya hai tou jab bhi ye yagya jis bhi roop mei hoga aas paas un sabhi logo ko prabhaavit karta hai jo bhi iskey daayrey mei aatey hain chaahey wo yagya mann k bhaav vachan ya karm kisi bhi roop mei ho aur usi k aadhaar par uska havishya hota hai aur wahi prasaad roop mei praapt bhi hota hai aur unnatti aur avnati sab usi k anuroop hota jata hai...yadi yagya mei naariyal ka havishya hoga tou naariyal hi aas paas bantega aur yadi maans ka havishya hoga tou aas paas maans bantega aur yadi vaasnaa..prataadnaa khoon kharaabaa vyasan ka havishya samaaj mei hoga tou wahi bantega aur barhega...SRI KRISHNA ney manushya ko devo ki unatti karney k liye sahyogoi maanaa hai kyuki devo ko bhi sansaar ka udhdhaar karney k liye manushya k karam havishya se shakti milti hai...saamarthya milta hai aur devo ko bhi udhdhaar samaaj ka karney k liye maanav joon mei aanaa parhta hai...manushya hona badi saubhaagya ki ghadi hoti hai aur devatva se bhi oopar manushya uth sakta hai..sant bhaav k dwaaraa moksh ka maarg khol sakta hai...yahin prabhu sidhdh kartey hain k manushya hokar is sansaar aur devlok ka...sabhi ka mukti dwaar manushya khol sakta hai....
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

SRISHTI AUR SRIJANKARTA


WO KARTA HAI SRISHTI KA PAR AKARTA ROOP HAI..KYUKI WO SWAYAM SRISHTI AUR SRIJAN VISARJAN SE MUKT HAI...jaisey mai painting banaati hu par khud k bhaav paint karti hu...srishti karti hu par khud painting banaakar mukt rahti hu...mai us painting mei khud ki chhayaa dikhaati hu par khud nahi ho jaati..usmey rahkar bhi alag hu...apni srishti par mugdh bhi huey par us aanand se samast dekhney waaley jeevo ko bhi aanand diya aur jo nahi dekh sakey wo ussey alag bhi rahey..jisney painting dekhi pratikriyaaein di aur karm karney laga...jisney painting khareedi wo khud ki pasand aur khareedaari par baatey kar k karm karney laga...mai srishti kar k mukt rahi....isi tarah WO PAAR BRAHM SWAROOP MUKT HAI PAR JUDA NAHI HAI...KARM KARTA HAI PAR KARM SE BANDHAA NAHI HAI..HUM USKO PUNAH PUNAH NAKAL KAR KARM MEI BANDHTEY RAHTEY HAIN ...WO NIRVIKAAR BHAAV SE RAMTAA HAI HUM DOOBTEY JAATEY HAIN...SRI KRISHNAM SHARNAM MAMAH..
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

SANT MUKT RAHTEY HAIN



SANT AATMAA MEI HI STHIT RAHTEY HAIN ISLIYE KARM MEI BANDHTEY NAHI AUR APNA MOKSH SATH LE KAR CHALTEY HAIN...karm tou hona hai aur hota rahta hai...par koi bhi karm shareer se hokar andar hota hua vichaaron se andar jaakar dimaag mei baith kar avchetan mei sthit rah jaaye aur khud karm karney waaley ko ye gyaat hi na rahey k wo kya chhupaa baitha hai aur swapn chintan aur kabhi bhi munh uthaaye wo karm aeko roopo mei prakat hota rahey jaisey kabhi krodh..chidchidaahat..laalach..irshyaa...kaam bhaav..ya aur bhi aneko roopo mei swatah prakat hota rahey aur usmeu nishchhal nirmal bhaav ka ya aanand ka zaraa sa bhi ansh na ho tou ye karm ki sthoolta aur saansaariktaa aur aatmaa k lupt honey ka badaa pramaan hai...sant apney avchetan mei paarbrahm swaroop mei sthit rahtey hain...aur in lipsaao se vilag rahtey hain usi tarah aatmaa tak karm ka sthool bhaav nahi pahuchna hai aur jaisey sookhey pattey paani ki satah par tair jaatey hain aur jaali ki sahaaytaa se unhey nikaal dena hota hai usi prakaar kram hokar alag hona chaahiye aur nirmal aatm tatwa dikhna chaaiye...tabhi shudhdh jal se pyaas bujhegi anyatha aneko rog gherney lagengey mann chitt ko aur aatmaa kahin vilupt ho jaaeygi gahraaii mei...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra


MUHABBAT


mohabbat karna sajde se kam nahi hota,
pyar khud kisi khuda se kam nahi hota,
mangte hai duayen kubool ho ye khuda per chhorh dete hai,
wafa karna ibaadat hai... varna is zamane mein naseeb kya nahi hota...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

KARMA YUKTI SE MUKTI


PAAR BRAHM SWAROOP parmaatman tatwa srijan karta hai aur na jaaney kitney brahmaand ka wo rachayitaa hai...koti koti soorya..chandr...vaayu mandal...aakaash ganga...na jaaney kitni srishtiyaan rachit hain aur chal rahi hain apni apni gati se aur apni dhuri par..sabka rachayita wo paar brahm parmaatman tata karta hotey huey bhi sabsey mukt hai aur kisi se nahi bandha parantu apni srajit srishti k kalyaan aur santulan k liye aneko roop dhar dhar k prakat hota hai aur apna nirdhaarit karm yaani santulan kar antardhyaan ho jata hai aur fir prakat hota hai...jaisey RAM ney maanav shareer dhara aur uskey peechhey kewal raavan nahi tha..SRI NAARAD ji ka SRI VISHNU ji ko diya hua shraap bhi tha aur sri naarad brahmaa k maanas putr huey aur mahaan sant bhi huey aur santo k vachan ka aashray lekar paarbrahm sri ran roop mei prakat huey kewal karm k liye aur vaanar ...reechh..aur anya us wakt k samaaj se tyakt jeevo ko apni sahaaytaa k liye itna balshaali dikhaya k jis samaaj ney unhey nikrasht maanaa usi samaaj ney unko poojna shuru kar doya aur dev swaroop banaa diya...sri ram ney apni hi patni seeta ka haran karwaa kar stri rakshaa k niymo ko samjhaa diya aur stri k steetwa ka mahatwa bhi sri seeta ji ney dikha diya..raavan jaisey maha vidwaani balwaan ko itnaa nimn star par gira kar dikha diya k budhdhi bhrasht kisi ki bhi ho sakti hai maha bhakt ki bhi aur maha vidwaan ki bhi...baali ko vriksho ki aarh se maar kar uska rini bhi khud ko banaa liya aur swayam SRI KRISHNA avtaar lekar baheliye k roop mei baali ko apni mrityu ka kaaran banaa kar us karm ko mukt bhi kiya...kyuki paarbrahm karm mei hai par karm se mukt hai aur unhey kisi ki na lipsa hai na moh...na kuchh bhi apraapya hai aur fir bhi kuchh nahi lena hai..ishwar yahi sidhhdh kartey hain k humey bhi shareer indriyo se karm karna hai par isi oopri tah k bheetar basi aatman tatwa ko is karm se mukt rakhna hai kyuki aatman tatwa kewal shabd sumiran dhun par chalta hai wo iswariya tatwa hai aur karm mei hotey huey bhi mukt hai...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

PREM KA NATA


prem ka nata rooh ka rooh se hota hai
prem jeevan ka armaan hota hai
prem aankhon ka ashko se hota hai
prem sahlaatey samhaaltey haatho se hota hai
prem ka nata khaamosh zubaan ka dil se hota hai
prem khuda se bhakt ka nata hota hai....

prem radha ka krishna ki bansi ka nata hai
prem sudama k thakey kadmo se krishna k ashko ka nata hai
prem shabri k jhoothey bair ka ram se nata hota hai
prem meera ki deewangi ka krishna se nata hota hai
prem na kisi vaadey ka na kisi shart se nata hota hai
prem kisi bandhan ka nahi sirf dil ka nata hota hai
prem tou prem se prem ka nata hota hai
prem tou anuraagi dil ka viraagi dhan ka nata hota hai
ek din pal mei jo na ho khatm prem wo sadaa rahney wala nata hota hai....
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

ISHWAR KA AAGAMAN


kisi bhi yug mei ya wakt mei jab bhi parm brahm ney avtaar liya tou usi roop mei liya jiski wahaan adhiktaa thi ya kami thi aur ya fir usi durgun k bheetar pravesh karney k liye usi durgun se jurhaa huaa roop gun dhaaran kiya...tretaa yug mei jo bhi kaam kiye aur kaaran dikhaaye wo aaney waaley yug ki jhalak dikhaatey they...tretaa yug mei sri ram maryada purushottam baney aur kaikayi dwara van bheye gaye..dhobi dwara sidhdh karwaya k seets ko tyaag dein kyuki raavan haran k baad wo tyaajya hai...yahi karm dwaapar yug mei barh kar huey...kunti ney mantra shakti ko jaanney k liye karn ko avaidjh roop se janm diya aur tyaaag diya...apni hi sagi bahan ko kans ney kash diya..sri krishna ka yashoda k ghar paaalan hua...draupadi ka apney hi parivaarijano dwara vastr haran...apney hi pati dwara jua khel k patni ko daanv par lagan aur haarnaa...Ek baar sri krishna paandavo k vanvaas k wakt unse milney gaye aur baith gaye ...draupadi ney kaha k sakha aap zara si der so lijiye...sri krishna ji ney kaha...sakhi ...mai so hi tou nahi sakta...mujh par vishwaas kar k sab so rahey hain...tou mai kaisey so sakta hu???
...ek baar mahabhaarat k yudhdh mei paandavo k baar baar pratigyaa leney par sri krishna ne kaha...mai aap logo ki pratigyaa leney ki aadat se bahot pareshan hu,...aap pratigyaa tou ley letey hain par mujhey bahot kuchh badalna parhtaa hai...
...ye baatein bahot gahri hain..aksar sri krishna ka naam lekar bahot kuchh sansaar mei jeev apni ichchhaanusaar karm kartey hain par sri krishna ka karm karney ka arth koi samajhna hi nahi chaahta aur usey bhi apney anuroop apni suvidha k anuroop mod letey hain aur kah detey hain k krishna ney bhi tou kiya tha....apno ko maarnaa hai tou iska matlab hai k apney hi bheetar basney waaley sabsey priya buri yojna banaaney waaley mann k duryodhan ko maarkar suyodhan banana hai aur apney bheetar chhupey bura kapti shaasan karney waaley vichaaro k duhshaasan ko maarka sushaasan banana hai...har wakt gambheer pratigyaa kar k apney hi aatmaa k aur shareer k hastinaapur ko kamzor maan k satyavati jaisi maataa k hath saunp deney se achchhaa hai k aisi koi pratgyaa na ki jaaye jismey apna aatm chetna bal nasht ho jaaye....
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI..
---Chhavi Mehrotra

VYAVAHAAR MEI MADHURTA


Jeewan mei oonchaaii par charhtey samay apney sath chalney waalo k sath madhur vyavahaar karein...kyuki ek nishchit oonchaaii par pahuch kar aur adhik oopar jaaney ka maarg band ho jata hai aur fir neechey ki oar hi aanaa hota hai...AKSAR NEECHEY AATEY WAKT WAHI LOG DOBARA MILTEY HAIN JO LOG OOPAR JAATEY WAKT MILEY THHEY..AGAR MUSKURAA KAR CHALEY THHEY TOU WO PAHCHAAN KAR HATH THAAM LENGEY AUR ZYAADAA NEECHEY NAHI JAANEY DENGEY PAR AGAR NAZAR FER KAR OOPAR CHARH GAYE THHEY TOU WO YE SOCH KAR HATH NAHI THAAM SAKENGEY K KAHIN UNHEY HI THOKAR NA LAG JAAYE...BAAT VISHVAAS AUR PREM JEETNEY KI HAI.......
..RADHASWAMIJI...JAI SR KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

PRAARTHNA MEI PREM


Praarthna prem hai..ek atoot vishvaas hai...us andekhey paar brahm k prati jo aparoksh roop se sidhdh karta hai k hum usi ki nij ansh hain aur wo param sttaa humsey juda nahi hai...sadaa humaarey sath wo anant vidhyamaaan hai...khud par shradhdhaa barhaaney ki prerna deta hai khuda aur praarthna mei hath jud jatey hain...hath bandh jaatey hain ya hath uth jaatey hain...
ek baar ek sadhu ko sri bhagvaan ney darshan dekar baikunth bulaya...wo sadhu bada magan huaa aur aanand mei baikunth ko cahal diya...raastey mei ek boorhaa sadhu bhagat mila aur wo bola k mahaatma ji aap baikunth ko jaatey hoo tou sri bhagvaan se poochh lena k mera number kab aayega aur mujhey sri bhagwaan k darshan kab hongey??sadhu mahatma ji boley k theek hai ...mai prabhu se poochh lunga...wo sadhu mahatma ji aur aagey gaye tou fir ek aur jawaan bhagat mila aur us jawaan bhagat ney bhi kaha k mahatma ji kripaya aap prabhu se merey liye bhi poochh lena k mujhey prabhu kab milengey???sadhu mahatma ji ney kaha k theek hai...prabhu se aapkey liye bhi poochh loonga...
...kuchh wakt guzar gaya aur wahi sadhu mahatma ji waapas lautey...
tou wo jawaan sadhu mila aur usney poochha k mahatma ji aapney prabhu se merey liye poochha hoga k mujhey prabhu kab milengey???sadhu mahatma ney kaha k jis vriksh k neechey tum bhajan sumiran prabhu ka kar rahey ho us vriksh par jitney pattey hain utney janam leney k baad tumhey prabhu milengey ...'' aur ye suntey hi wo jawaan bhagat khushi k maarey naachney laga k usey prabhu milengey aur agar prabhu ney nishchit karkey rakha hai k prabhu mujhey milengey tou zaroor milengey aur mai us janam ka aur din ka intezaar karunga...aur wo fir aanand se bhar kar bhakti mei leen ho gaya...thorhi door jaaney par boorhaa sadhu un sadhu mahatma ji ko mila...boorhey sadhu ney poochha k maharaj aapney prabhu se poochha hoga aur bataaiiye wo mujhey kab milengey???sadhu mahatma ji ney kaha k tumhey prabhi 7 janam k baad milengey..." aur ye suntey hi boorhey sadhu k hath se mala gir gaii aur wo foot foot k roney laga k hey prabhu...pooraa janam teri bhakti mei laga diya aur abhi 7 janam aur leney hongey aur kahin kisi janam mei naam tera chhoot gaya tou.....????'' uss sadhu ki shradhdh achaanak toot gaii...
sadhu mahatma ko wahi sri bhagwaan ney darsghan dekar kaha k kisi se bhi koi bhi baat is tarah nahi kaho k uski apney isht se shradhdha toot jaaye..aur kisi bhi bhakt ko apni shradhdha itni saralta se apni shradhdha bhi nahi todni chaahiye aur ye hriday mei atoot vishvaas rakhna chaahiye k bhakti prem se bharpoor honi chaahiye aur prem apney premi aur isht k mil jaaney se ya mil jaaney se kabhi samaapt nahi hota...prem aur bhakti dono ek hi doosrey k poorak hain..
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
----Chhavi Mehrotra
 

PREM AUR DHYAN


,,,,prem aur dhyaan...ek hi sath chaltey haininkey sath yog hota hai......yog tou har wakt hota hai...jab tan man praan se koi gobar se aangan leepta hai ...bhojan bantaa hai..khilaataa hai ya khaataa hai...aankh band kar kisi k prem mei doobtaa hai...wahin us dhyaan mei aur uski ekaagrataa mei wo ishwar roop upasthit ho jata hai aur wahin samarpan bhaav ho jata hai...ishwar ka roop matsya...varaah...ashwa...vaaman ..narsinh ya ram...krishna...seeta...radha...ya anya kisi bhi premi roop mei ho sakta hai...jiskey prati bhi prem se praan chitt tanmayta se dhyaan ekaagr ho jaaye wahi ishwar hai us wakt aur wahi prem hai...wahan bhi tanmaytaa mei prem hai aur mukt honey ka ahsaas hai aur wahin sanyaas ho jata hai aur bina prem k dhyaan hoga hi nahi...kyuki dhyaan wahi jaayega jahan aanand hoga aur agar angulimaal ka aanand kisi ko maarney mei hai tou uska sanyaas bhi wahin hai kyuki wo wahin par mukt ho raha hai aur uski isi ekaagrtaa k kaaran usey hi budhdh bhi miltey hain...iska ye matlab nahi hai k katl khoon karna dhyan hai....baat hai k jahan anand hai wahi dhyan hai kyuki wahin prem upaj raha hai aur fir wahin yog hoga aur wahin samarpan hoga aur wahin mukti ka bhaav hokar wahin sanyaas hoga...prem jahan bhi hoga wahan srishti zaroor hogi..hriday mei prem ka prasfutan hotey hi usi taraf dhyaan jaayega aue srishti ho jaaeygi swatah...chaahey ishwar ki nooraani oorja se oorjaa nikley aur ram seeta ban jaaein...satguru prakat ho jaaein...bhakti aanand ki srishti ho jaaye..aur shareer ki srishti ho gaii...premi shareer k sath prem mei dhyaan karein tou beej ki srishti ho gaii aur prakriti mei phool khil gaye...ya kisi bhi jeev ki srishti ho gaii...prem dhyaan sab ek sath chalta hai aur aanand uskaa vaahan hai...hum bhi chal rahey hain aur in shabdo ki srishti ho jaati hai...
....RADHASWAMIJI....JAI SRI KRISHNA JI........
.....Chhavi Mehrotra

ISHWAR PE SHRADHDHA

Ek baar ek seth ji thhey...badey bhagat thhey..roz praarthna kartey thhey aur hath jod kar kahtey...hey prabhu...aapko jo dena hai jitna dena hai aap apney aap dijiye..."..ek din ishwar prakat ho gaye aur poochha...''arrey...tum kaisey bhagat ho...apney hisaab se kuchh bhi maang saktey ho..apni zindgi ko saral banaaney k liye.."..seth ji boley...bhagvan....mai tou hu chhoti budhdhi ka aadmi..aapsey chhoti cheez hi maaangugaa jabki aap tou mera poora bhavishya dekhtey jaantey samajhtey hain aur aapka vistaar bhi aseemit hai tou aap mujhey bahot dengey jab bhi dengey...jaisey merey betey ko dukaandaar ne kaha k beta sweet le lo..par merey betey ney apney aap dibbey mei se nahi li tou dukaandaar ney khud dibbey mei se muththi bhar kar sweets usko de diye aur wo itney zyada thhey k merey betey ki saari pockets bhar gaii..mainey apney betey se poochha k beta tumney apney aap sweets kyu nahi liye???tou merey betey ne kaha k merey hath chhotey hain aur agar mai khud leta tou thodi si sweets aati hath mei aur jab dukaandaar ne di tou uska hath bada honey k kaaran bahot saari sweets mili aur meri saari pockets bhar gaii...tou bhagvan..mai bhi chhota baalak hu aapka..aap dengey tou zyada milega aur meri soch chhoti hai tou mai chhota hi maanguna...''
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI....
--Chhavi Mehrotra