Wednesday 29 May 2013

MILAN

 log duaao se miltey hai
ibaadat se rishtey khiltey hai
thaam lena rishto ko dil se jod kar
yaado mei hi sahi...bichhadney waaley bhi yahin miltey hai..
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

Wednesday 22 May 2013

NAZAR KA BHAID


ye yathaarth mei hi dikhta hai k hum cinema k pardey par dikhney waali kahaani ko khud ki kahaani samajh usmey itna doob jaatey hain k uskey anroop hi sochney samajhney lagtey hain aur rotey hain ...dukhi hotey hain...hanstey hain...aanandit hotey hain aur apney mool astitva ko kuchh pal ko bhool hi jaatey hain...ye bhool jaatey hain k ye kahaani kisi aur ki likhi hui hai aur yahan koi aur us kahani ko humey dikha raha hai...hum madhya mei sthit hain...ye madhya hi triloki ka wo sthan hain jahan is sansaar aur dayal desh k madhya ki dahleez hai..triloki par sthit jeev sidhdhiyaan praapt kar leta hai aur sansaar k aanand...maan sammaan aur wo sab kuchh praapt karney yogya hota hai jiskey liye wo abhilaashit tha aur yahin par yadi wo trashit rah kar ruk jataa hai aur aanand mei fans kar apney aanand mei choor ho jata hai tou yahi trishanku ki sthiti hoti hai aur jeev yaani hum madhya mei ultey latkey rah jaatey hain aur shivatva ko praapt nahi kar paatey aur fir isi abhinay k darshak aur kathputli se hanstey rotey chaltey rahtey hain...jab hum janam letey hain tou garbh mei hi maa se jud jaatey hain aur fir janam k baad bhi wahi dehtey suntey samajhtey hain jo mata pita aur aas paas k log dikhaatey samjhaatey aur anubhav karvaatey hain...humaarey mann par doosrey wo sabhi log raajya kartey hain jo humaarey aas paas hotey hain aur hum unhi k anuroop hanstey boltey aur kaary kartey hain...humaarey mann par humara koi niyantran rahtaa hi nahi aur hum us param brahm se bahot door rahtey hain jo hakeekat mei humara pramukh srot hai...hum apney mool se door hokar doosro k dwara nirdeshit hokar kisi ko prem aur kisi se nafrat karney lagtey hain...jabki satya yahi hai k hum beech mei hain aur humey usi MAAR se bachna hai jisko mahatma budhdh ney haraakar budhdhtva ko praapt kiya...pooran brahm dwara rachit srishti mei maya dwara dikhaaii jaaney waali leelaa ko humey maya k roop ko samajhtey huey aur pooran brahm ko jaantey huey dekhni hai tabhi ye madhya se sahi roop mei ubar sakengey...humey us sab kathaanak ko satya nahi samajhna hai aur agar satya samajhna hai tou apna mool roop aur uddeshya nahi bhoolna hai...yahan prem bhi karna hai...sath bhi chalna hai par ye jaankar k mai kamal roop mei khila hu tou neechey keechad mei meri jadein hain aur oopar aakaash mei chamakta sooraj aur vaayu meri praan oorjaa hain....
.....RADHASWAMIJI....JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

MAUSAM KA BHAID


koi bhi sookha huaa vriksh ye nahi bataa saktaa k uskaa ateet kaisa tha...uska ateet ek beej se hi shuru hua tha aur fir wo bhi paudha bana aur nanhi konpalo se lahraya aur fir aneko shaakhaao se apni jawaani ko lahkata raha aur fir phoolo se mahka aur fir fal se ladaa aur fir usi k falo k beejo se uskey aneko roop sansaar mei yahan wahan sab jagah khil gaye...aur jab wo sookh gaya tou kahi kisi ki sardi se bachney k liye...kisi k ghar banaaney k liye...kisi ki chita k liye wo bant gaya aur jahan kabhi pakshiyo ka basera hota tha aaj wo sirf ek ateet bankar rah gaya aur vismrit ho gaya...isi tarah hum sab bhi jeewan vyateet kartey hain aur ek hi tarah se ek hi naav mei safar kar rahey hain...humey kisi ko bhi kisi ek paristhiti mei usey dekhkar ye nishchit nahi kar lena chaahiye k wo vyakti ya jeev kewal bemaani hai...kuroop hai...arth heen hai...sabka hriday mei swaagat kartey jana hai aur nikaltey jana hai kyuki humey bhi kisi ki sewa mei balidaan dena hai aur apni jagah apney beejo ko deni hai jahan wo bhi pallavit ho sakein...mausam badaltey rahtey hain...wakt aur paristhitiyaan bhi badalti rahti hain...par humaari sahridayta nahi badalni chaahiye aur jeevant ho kar humey har mausam aur mausami fal ka swaagat karna hai...kyuki yahi ishwar ka sandesh hai...parivartan...aur aaj jo prafullit nahi hai tou ho sakta hai kisi maansik kasht ya udwaig se wo jeev prafullit na ho aur humara dhyeyyahi hona chaahiye k sabko itni jagah dein k sab saralta se guzar sakein humaarey paas se aur kisi ko bhi koi chubhan ka ahsaas na ho....
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

ASHRU


jis pal rab ne ishk banaya hoga..zara pyar usey bhi aayaa tou hoga...
socha hoga rakh lu isey seeney se lagaakar par fir aashiko ka khayaal aayaa tou hoga...
dekha hoga dil ki soorat mei mahboob ko tab saanso ka taar sajaayaa tou hoga..
apney hi noor mei rang diya aashiko ka butt aur fir khud hi pe zara larjaayaa tou hoga...
apni hi gali se jab utaraa tha mujhko aansu ko palko mei chhipaya tou hoga...
mai tanha na rahu muhabbat k bina fir usney khud ko bhi sajaayaa tou hoga...
utartaa hai aaj bhi meri neendo mei wo...mujhsey milney ko wo bhi tarasta tou hoga....
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI..
... Chhavi Mehrotra

PREM ISHWARIYA TATVA


God is love. He didn’t need us. But he wanted us. And that is the most amazing thing."
Rick Warren
PREM K LIYE ISHWAR KO JAAN LENA AUR USI K ANUROOP SOCH KAR KRIYA KARNEY KI KOI ZAROORAT HI NAHI HOTI JI...PREM TOU SWATAH EK ESA BHAAV HAI JO SWAYAM MEIN ISHWAR SWAROOP HAI JI....prem dil ki gahraaii aur aatmaa se jab baahar aataa hai tou wo ek anant prasanntaa aur shaanti ka aahlaad ka bhaav liye hota hai k usmey taareef...aashcharya ka ya anya koi bhaav prakat karney ki jagah hi nahi rahti....premmay astitwa ko koi shabd kahney nahi hotey uski pahli visheshta hoti hai sunnaa aur aanand lena...prem k aanand mei doob kar hum ishwar ko prasanntaa hi de saktey hain aur ye prasanntaa aseem aanand hai jo swatah upajta rahta hai aur yahi wo saadhna ki charam sthiti hai k jahaan koi vyaakhyaa ya koi shabd bhi nahi rah jata....prem anant kshmaa ka bhaav hai....prem tou sarvatra premay hi hai....prem ki apni oorjaa hai aur prem ki oorjaa mein anant pravaah hota hai vidhut ka jo aas paas mahsoos kiya ja sakta hai...yahi prem may saadhak ka jo saadhnaamay hai uska aura ban jata hai aur yahi prem oorjaa pravaahit hoti hai jo samaksh khadey har achchhey burey kaise bhi jad chetan ko apney andar samaahit kar leney ki shamta rakhta hai jaisey mahatma budhdh angulimaal ko angad banaa saktey hain...nagarvadhu aamrpaali...vasantsena bhikshuni ho sakti hain....prem shareer ki nahi aatmaa ki bhaavpoorn saadhnaa hai...vaasna se isey jod kar nahi dekha ja sakta aur is prem saadhnaa ko shareer k sambandhon se jodaa hi nahi ja sakta....bina kisi ganit k ya calculation k ya bina kisi maanviyakaran k prem sirf anant ka bhaav hai....saadhna hai aur isey meditation kah saktey hain....
prem mein jab bhi saadhak leen hota hai ya prem may do jeev jab prem ki anant yatra mein leen ho tou swarg se farishtey bhi utar aatey hain unko pranaam karney aisa brahm vaakya bhi hai...prem se kabhi alag honey ka prayaas nahi karna chaahiye...prem swayam mein aham brahmaasmi ka bhaav hai...aur usi bhaav k darshan karaataa hai...humaarey aas paas k jeev prakriti kisi se bhi prem ka bhaav juda nahi karna hai...ye prem ki saadhna tabhi ananrtt hai jab ye sabsey jud kar anant aanand ka bhaav liye aviral abaadh bahti hai...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
... Chhavi Mehrotra

Friday 17 May 2013

HUM AUR HUMAARI TRISHNA AUR KARMGATI



Jo kuchh bhi is sansaar mei ghat raha hai...sab hum khud ghatwaa rahey hain...aur jab hum ghatwaatey hain tou kahin apratyaksh roop mei karmo ka lekha jokha bhi jud raha hai ya yu kahein k hum hi judwaa bhi rahey hain...baat ye hai samajhney ki k ishwar yahaan kisi bhi tarah se jimmedaar nahi hai k humey ye sunwaa diya ya wo sunwaa diya...hum taali bajaaeingey tou aawaaz bhi suneingey aur agar hawaa mei sirf hath hilaaeingey aur sirf dekheingey tou shaayad koi keet udaa rahey hongey...awaaz nahi hui par apratyaksh roop mei keet ya tou doosri disha mei humaarey dwara udaya gayaa ya maaraa gaya....duryodhan bachpan se dwaish rakhta tha kyuki uskey dwaish ki neenv bahot pahley uski daadi satyavati aur uskey dada maharaja shantanu ne rakh di thi...shantanu ki patni ganga ne VADA liya tha k mai jo karungi shantanu mujhey nahi rokengey aur ganga ney apney 6 putr ganga mei dubo diye par 7th putr k samay shantanu chup na rah sakey aur ganga ko rok diya k ye kya atyaachaar ho raha hai???ganga shaantanu ko chhor k chali gaii...wo saatvey putr BHISHM PITAAMAH HUEY...shantanu ko prem hua satyavati se jo maharshi parashar ki patni aur maharshi ved vyas ki mata ji thi aur naav chalaaney waaley ki beti thi aur ved vyas k janam k baad pati maharshi parashar ko chhorh k aa gaii thi aur naav se yaatriyo ko nadi paar karaati thi...shantanu se unhoney VADA liya k bhishm pitamah ka putr hastinapur ki gaddi par nahi baithega aur satyavati k putr raja baneingey...bhishm pitamah ney VADA LIYA K WO AAJEEWAN VIVAAH NAHI KARENGEY..satyavati k putr kam umr mei hi behad vilaasi honey k kaaran santaan nahi janam saktey thhey aur ved vyas satyavati k putr thhey tou putrvadhuo ne ved vyas se andhey dhritraashtr aur paandu rog se grasit kamzor paandu ko janam diya aur fir daasi se gyaani tejwaan mahatma vidur janmey....kyuki jis maa ki oorja jaisi thi waisey baalak janmey...andhey dhritraashtr aur gaandhaari ki mahatwakaanshaao k roop mei duryodhan dwaish se bharta gaya...aur arjun dwara vijit draupdi ko bhaaiiyo dwara bhiksha kahney par kunti nei jab paancho bhaaiiyo mei usey baant diya...aur draupdi ka duryodhan k oopar hansna k andhey ka putr andha...bass ek k oopar ek kaaran bantey gaye mahabharat k aur paandvo ka apni patni ko vastu samajhna aur jua khel kar patni ko daanv par lagana...ye sab kya maalum nahi tha unhey k wo kya kar rahey thhey...ye sahi baat hai k hum wahi suntey hain jo hum  sunna chaahtey hain ....GEETA SIRF EK ADHYAAY HAI SRIMAD BHAAGVAT KA...MERA NIVEDAN HAI K POORI SRIMAD BHAAGVAT SRI KRISHNA KA SHABD SWAROOP HAI AUR POORI SRIMAD BHAAGVAT KO SUNEY SAMJHEY BINA KEVAL GEETA KO SAMAJHNA NAAMUMKIN HAI...hum satsang tou kartey hain par wahan par chitt nahi rakhtey...chitt 2 minute baad hi kahin aur bhatakney lagtaa hai aur hum samaapan k baad fir wahi tuchchh baato mei lag jaatey hain...bass VAADEY AUR KASAM AUR PRATIGYAA KARTEY CHALTEY HAIN K HUM SAABIT KAR DEIN K HUM SARSHRESHT PREMI JAN HAIN...BHAKT JAN HAIN AUR YAHI PRATIGYAA...KASAM...VACHAN...VAADAA EK ANEK MAHABHAARAT KARVAATEY CHALTEY HAIN AUR HUM APNI SUVIDHA K ANUSAAR TARK DETEY CHALTEY HAIN..ye sahi bhi hai k SRI KRISHNA ko sab pahley se gyaat tha kyuki wo pooran brahm thhey par fir bhi unhoney apney oopar gaandhaari ka shraap liya aur yadu vansh ka naash huaa jaisey kauravo ka huaa...SRI KRISHNA ne samaaj dwara prityakt hazaaro striyo ko apna naam diya aur kalank bhi liya...unhoney hanstey muskuraatey saarey karmo ko chukaya...SRI RAM janam mei jab bali ko chhup kar maarna parhaa tha tou SRI KRISHNA k janam mei usi baheliya roopi bali k baan se praan tyaag diye...unhoney yahi sikhya k hum sab apney kathan ...apney shabd...apney vachan...apni soch...apni trishna...apni ichchhaa...apni aasakti...apney dwaish...apney bhaav...apney karmo se hi judtey chaltey hain aur humaarey kiye huey praarabdh ki neev ki iint par hi humara vartmaan ka karmo ka mahal ya jhopda khada hota hai aur sanchit karmo se fir agley janam ka praarabdh banega...hum kisi k bhi prem mei kasam khaakar khud ko itna baandh detey hain k ye bhi nahi sochtey k kahin is vachan se kuchh anyaay ya ahitkar tou nahi ho jaayega aur hum badey aaraam se jhooth ki dunia sajaatey chaltey hain...yahi hai humarey hastinapur k naash ka kaaran...humaari apni swechchhaa trishna aur aanand jab ye dekh nahi paatey k aagey andheri gufa mei kahi koi sinh tou nahi jo humey nigal jaaeiga...ishwar ne humey poori aazaadi di hai k hum kaisa jeewan chunein...bhakti bhajan sumiran walamaarg jo stya pooran satya par aadhaarit ho aur chaahey kitna bhi dukhdaaii kashtdaaii ho...ya fir duryodhan paandvo wala....ishwar sadaiv do maarg detey hain aur unmey se ek chunnaa humaarey apney oopar hota hai aur us wakt guru ki sahi seekh kaan mei aawaaz bankar goonj uthey tou sahi disha mil jaati hai chaahey kitni bhi kashkaari ho aur yadi trishna ki jhoothi raah chuni jo sundar aur apney priyajano se bharpoor ho par vinaashkaari ho tou vinaash nishchit hai...baat yahi hai k hum suntey wahi hain jo hum sunnaa chaahtey hain...hum kartey wahi hain jo hum karna chaahtey hain...dosh ishwar ko detey hai aur fir bhi sachet nahi hotey...par ishwar bahot budhdhimaan hain aur hum swayam ki budhdhi par abhimaan kartey huey khud ka hastinapur vinasht kar detey hain...apni aatmaa ki draupadi ko swayam paanch dosho mei kaam krodh lobh moh ahankaar mei baant detey hain aur vastu maatr maankar aatmaa ko sansaar ki trishnaao k beech daanv par bhi laga detey hain aur cheer haran bhi karvaa detey hain..aatmaa jo pooran brahm ki nij ansh hai uska mool tatva tou brahm roop hi hai aur wahi praarthna karti apney udhdhaar k liye aur pooran brahm hi uskey param satv cheer ko barhaatey hain...satv gun hi mool gun hai aatmaa ka...humey aatmn roop mei hi sunnaa kahnaa aur karna chaahiye...yahi param tatva ka mool tatva hai...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

GURU AUR ISHWAR DWARA SANTULAN RAKHNA


Teacher class mei parhaatey hain tou peechhey baithney waaley bachcho par vishesh dhyaan detey hain aur kyuki jo peechhey baithey hain wo zara kamzor hain aur teacher ki aawaaz aur shikshaa itni tez ho k peechhey tak saralta se jaaye aur is prakriya mei aagey baithey bachcho k liye kya wahi teacher vyarth hai...????nahi ji...bilkul nahi....aagey jo shishy baitha hai wo bahot budhdhimaan...aur aagey chalney wala hai aur ek pusht beej hai aur yahi soch jab us shishy k dimaag mei baith jaayegi k mai tou shreshth hu hi tou wo apney beej ko uchit khaad paani dhoop havaa nahi dega aur sambhavtah wo thoda sa nishkriya ho jaaye tou guru k liye zaroori hai k aagey aur peechhey baraabar aur zaroorat k anusaar santulan banaaye...jaisey ek taraazu mei agar ek taraf aam rakhey hain aur doosri oar mirch rakhi hai tou ginti mei aam aur mirch ek se nahi rakhey jaaeingey aur santulan baraabar ka rakhney k liye mirch zyada rakhi jaaeigi usi tarah jo peechhey k shishy hain unpar nazar sakht tez aur aawaaz oonchi rakhi jaaeigi aur aagey ka shishy so na jaaye tou usey baraabar aisa kaarya diya jaayega k wo so na sakey aur jaagrit oorjaawaan aur sachet banaa rahey...aksar dekha bhi gayaa hai k peechhey baithney waaley kaii shishy barhey maidhaavi aur safal vyaktitva k swaami nikley hain....sab guru ki seekh...nazar...anushaasan tou hai saath hi shishy ki oorja shakti..aatmbal aur seekhney aagey barney ki kshamta par bhi nirbhar karta hai k shishy kitna safal hoga aagey...jaisey kachhuaa dheerey chalta raha par jeet gaya aur khargosh apni yogyta par itna over cofident ho gaya k so gaya....panchtantra ki kathaao ka srijan bhi moorkh shishyo ko yogya banaaney k uddeshya se huaa aur guru ko usmey pooran safalta bhi mili...jaatak kathaaein bhi moorkh aur naadaan vyaktiyo ko sahi uttam shikshaa deney k uddeshya se rachi gaii aur bahot sundar udaahran upasthit huey uskey maadhyam se shikshit huey shishyo k baudhdh kaal mei...sanskrit mei aneko shlok...suktiyaan..aur kathaaein bhari parhi hain jo maardarshan karti hai humara aur humey unhey parhna chaahiye aur unka laabh uthana chaahiye kyoki ye sab humaarey guru se kam poojniya nahi hain...ye vidhya jitni arjit ki jaayey utni kam hai aur humaarey jeewan mei mahatvapoorn uplabdhi ka srijan ho sakta hai...humara vyaktiva nikhaarney k liye humey swayam prayaas karna hai bass guru ka maargdarshan miley aur chalna humey hai....SRI KRISHNA ne ek udaahran prastut kiya RANCHHORH ka...aksar hum ye dekhtey hain k hum badey logo ko chhotey bachcho k gyaan se chot pahuchti hai kyuki ahankaar chot khata hai aur asal baat ye hai k apna oonchaa pad koi chhorhna nahi chaahtaa..jabki ye bhi drishya hai k girega wahi jo oonchaa baitha hoga...jitna oonchaaii se girega utni zyada chot lagegi....isiliye SRI KRISHNA ne bataya k jab samaaj ki bhalaaii dekho tou saamney khadey balshaali jaraasandh k saamney se ran chhorh do aur ye sirf isliye k jaraasandh samjhega k SRI KRISHNA bhaybheet ho gaye...jabki SRI KRISHNA us wakt jaraasandh ko chhorh kar syamantak mani jaamvant se leney gaye thhey aur unki yojna thi k abhimaani ko zaraa aur over confident honey diya jaaye aur isi jaraasandh ko SRI KRISHNA ne bheem k haatho marvaayaa..yahan sansaar mei param poojya mahatmaao ko jaldi sammaan nahi mila kyuki santo ney mahaatmaao ney sidhdh kiya k jab andhkaar k baad sooraj nikalta hai tou ekdam se nahi chamakta...wo dheerey dheerey uday hota hai aur sheetaltaa deta huaa fir bhari dopahri mei tez chamkta hai aur fir wahi tej suraj kisi jeev se bardaasht nahi hota aur uski oar dekhna naamumkin ho jata hai...nazar jhuk jaati hai...aur santo mahaatmaao ney apni jagah kabhi zid se nahi banaaii...wo saralta se apney maarg sirf chaltey rahey...jisney unhey apnaya uskey ho gay aur jisney unhey nahi apnaya usko kabhi abhishaap bhi nahi diya aur yahan tak k bura bhi nahi maanaa aur yahin unki vinamrtaa aur saadhtvaa drishtigat hota hai...shishyo ko bura lagta hai k merey guru ko pranaam nahi kiya jabki guru ko koi fark hi nahi parhtaa kyuki santo k liye sab sant samaan hain aur wo yahi maantey hain k sab sant ek hi dhaar se aaye hain...yahi jeev k ahankaari bhaav ka praakatya ho jata hai...SRI KRISHNA NEY KABHI KAHI APNEY KO RAJA BANAAKAR RAAJYA NAHI KIYA...APNEY PITA UGRASEN KO AUR BALRAM JI KO HI AAGEY RAKHA AUR SWAYAM SAMAAJ K HIT MEI LAGEY RAHEY...SRI BHAGVAAN NEY PRAKRITI BANAAI AUR BADI SARALTA SE SABKO EK DOOSREY K OOPAR NIRVAAH KARNEY K LIYE JEEVAN DIYA JABKI SWAYAM ISHWAR UNKA PAALAN KAR SAKTEY THHEY PAR YE BHAAV PRAKRITI MEI RAKHA K SAB EK DOOSREY SE JEEVIT HAIN ISHWAR NE SWAYAM KO ALAG RAKHA....VRIKSH HUMAARI CARBON DI OXIDE LETEY HAIN AUR HUM UNSEY OXYGEN LETEY HAIN...YAHI BHAAV VINAMRTAA KA BHAAV APNEY ANTAR MEI SAMETEY HUEY HAI...sant mahatma chaahein tou kabhi bhi kisi ko bhi dand de dein par nahi sant mahama kahtey hain k jahan gulaab hai wahan kaantaa zaroor hona hai aur jahan kamal hai wahan keechad honi hai...viamrtaa ahankaari k paas le kar jaaeigi aur raavan k paas ram aaye...kans k paas sri krishna ko aanaa hai...angulimaal ko budhdh k paas aanaa hai....ye srishti isi prakaar rachit hai aur ishwar ne badi kripa hum jeevo par ki hai is prakaar ki srishti rach kar....humey yahi samaan bhaav se rahna hai aur prem kartey rahna hai...yaatraa karni hai..bhajan sumiran abhyaas karna hai....
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI,...
---Chhavi Mehrotra

Thursday 16 May 2013

AHANKAAR KA KEEDA AUR JEEV


aaj k yug mei bhautikta aur apney khud k oopar us khuda se zyada dhyaan rahta hai...hum beej tou uttam beej se panpey vriksh k uttam fal k hain par jaisey angad ney raavan se kaha tha jab angad ramchandra ji k doot bankar lanka jaatey hain k kuchh fal andar se keedey bharey huey hotey hain aur jaisey raavan itney mahaan rishi ka putr tha aur aseemit gyaani tha par antar se usmey bhi ahankaar ka keedaa tha bass usi prakaar aaj ka jeev hai...bhajan satsang gyaan sab rakhtey hain par ahankaar ka keedaa itna khaa chuka hai andar mei k santo ki baatein bhi parhtey hain..aur charchaa bhi kartey hain aur khoob barh charh kar santo k naam par jalsa bhi kartey hain par bass naach ga kar ...khail kood kar aanand manaa letey hain par antar mei kabhi nahi baithtey shaant chitt hokar...SWAMIJI MAHARAJ ney kaha tha k TERA BHAJAN AISA HAI JAISEY KOLHU KA BAAIL...SAAREY DIN CHALA PAR CHALA SIRF DHAAII KOS AUR WO BHI BASS EK HI JAGAH GHOOMTA RRAHA...bass isi tarah hum jeev bhi hari sumiran kartey hain dikhaavey ka aur ye sochtey hain k jab aankh kholengey tou dekhein kitney log humaari taareef kartey hain aur kitney log humaari waah waahi kartey hain...khud k bhaley ki koi kamaaii huii hi nahi..wahi daihik daivik bhautik taap mei ghuley miley rahey aur oopar uthey hi nahi...jab raavan ka ahankaar angad ney dikhaya tou raavan k raaj mahal mei ek oonchi kood maarkar paair jamaakar khadey ho gaye aur lalkaar kar kaha k jo mera paair utha dega mai haar maan lunga aur apney prabhu sri ramchandr ji ki oar se vachan deta hu k hum chupchaap chaley jaaeingey..raavan aur uskey sabhaasad abhimaan se bharey huey thhey aur isi abhimaan k chaltey sabhi ney angad k paair pakdey par koi hila na saka aur fir jaisey hi raavan ney angad k paair pakdey ...angad ek jor ka attaahas kar k boley ...arrey raavan aaj tu yahan merey paairo me parhaa hai aur dekh kya hai tera mol...aur raavan sharminda hokar apni bhool par pachhtaatey huey gardan jhuka kar sinhaasan par baith gaya...angad sa vishvaas apney prabhu aur satguru par hona chaahiye aur usi ka bal apney bheetar samajhnaa chaahiye na ki raavan ki tarah abhimaani ho jaaein...hari charchaa....bhajan satsang keval apney abhyaas karney ki chaahat lekar karni chaahiye aur ye soch kar karni chaahiye k humaari antar ki safaaii isi se hogi aur honi hai....satguru ki kripa se hi satsang milta hai aur satsang ka beeja parhtaa hai..apney beej par abhimaan nahi karna hai kyuki beej mei bhi keedaa ho jata hai jo beej ko nasht kar deta hai aur beej se honey waaley vriksh ko bhi keedaa lag sakta hai aur fal ko bhi keedaa lag sakta hai...tou abhimaan nai kewal prem karna hai aur satguru ki baani satguru ki kripa maankar hi kahni aur sunani hai...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

Monday 6 May 2013

PAR BRAHM PARMESHWAR KO PRANAAM



WO POORAN BRAHM SRISHTI KI RACHNA KARTA HAI FIR BHI WO SABSEY ALAG HAI...WO GUNO KI KHAAN HAI AUR ITNA GUNI HAI K NIRGUN HAI...USKA ITNA VISTAAR HAI K WO SOOKSHM SE BHI SOOKSHM HAI...EK BAAL K 1000 BHAAG K BHI ANEKO BHAAG KAR LEIN USSEY BHI MAHEEN USKI GALI HAI...FIR BHI WO AAKAASH MANDAL SE PAREY TAK HAI AUR 7 LOK DHARTI SE OOPAR AUR 7 PAATAAL DHARTI K NEECHEY TAK VIDHYAMAAN HAI...JO SWAYAM VIDHI HAI AUR VIDHAAN HAI AUR FIR BHI LEELA RACHTA HAI...JANAM MRITYU SE PAREY HAI PAR AVTAAR LETA HAI ANEKA ANEK ROOPO MEI...KARM SE PAREY HAI PAR FIR BHI KARMYOG KI VYAKHYA BATAA KAR JEEV KO MUKT RAHNEY K BHAID BATATA HAI...JO POORAN SE BHI POORAN HAI ..AJANMA HAI PAR APNEY BHAKTO K PREM MEI BANDHAA JANAMTA HAI...ANTARDHYAAN BHI HOTA HAI...SHAASHWAT HAI...NIRMAL HAI FIR BHI PREM K VASHIBHOOT BHAKT K PREM BHAAV SE SHRAAP BHI APNEY OOPAR CHARITAARTH DIKHAATAA HAI...WO SATYA..NITYA...AANAND SWAROOP POORAN BRAHM KEVAL PREM KABHOG CHAKHNEY K LIYE ASHRU BHI BAHATA HAI...NIRLIPT HOTA HUAA BHI BHAKT SE LIPT HAI...DHARM SWAROOP HAI AUR DHARM KI STHAAPNA K LIYE SWAYAM PARIBHASHAAO KO  STHAAPIT KARTA HAI...HARI HO KAR HARAN KAR LETA HAI...AGYAAN KI STHOOLTA KO...DUKH DARD KASHT BANDHANO KO HARNEY WALA HARI...SARVSHAKTIMAAN KSHEER SAAGAR MEI VISHRAAM KARNEY WALA POORAN BRAHM KABHI VANVAASI HOKAR KAND MOOL FAL GRAHAN KARTA HAI...KABHI MAAKHAN CHORI KI LEELA RACHTA HAI...KEWAL APNEY BHAKTO KO DHARM SIKHAANEY K LIYE KI JO MAAKHAN JAISEY NIRMAL CHIKNEY KISI BHI MAL KA PRABHAAV APNEY OOPAR NA LENEY WAALEY MAAKHAN SE SWABHAAV KA NA HO USEY MAAKHAN SE DOOR KARO YAANI KANS KO ZABARJASTI MAAKHAN DOODH NA LENEY DO...VAIDO K DARSHAN MAATR SE VAIDO KA SAMPOORAN GYAAN LENEY WAALEY JAY VIJAY DONO DWAARPAALO MEI AHANKAAR UTTPANN KAR VAIDO KA APMAAN KAR RAAKSHAS JOON MEI JANAM  LENEY KO PRERIT KAR SWAYAM AVTAAR LENA AUR KASHT UTHANA...BHAKT NAARAD K CHAAHNEY PAR UNHEY HARI MUKH DENA AUR UNKA MOHBHANG KARNA...FIR BHAKT SE SWAYAM SHRAAP LENA AUR VAANAR JAATI KO SAMMAAN DIWANA YAANI YE SIDHDH KARNA K KOI BHI NIKRISHT AUR TYAAJYA NAHI HAI AUR SAB SAMMAANIT HONEY CHAAHIY....SANTO KA SAMMAAN KARNEY WAALEY...HAR CHAR ACHAR MEI APNA NOOR...APNI OORJA KA ASTITVA DIKHAANEY WAALEY PARAMAATMAA KA VANDAN HAI...IS SARV SHAKTIMAAN AUR VYAAKHYAA SE BHI PAREY POORAN BRAHM KO BAARAMBAAR SHAT SHAT PRANAAM...
....RADHASWAMIJI..JAI SRI KRISHNA JI...
----Chhavi Mehrotra

DIL K RISHTEY

dil se na miley dil tou hath bhi miltey nahi
hava chaley na chaley
sookhey pattey shaakh par tiktey nahi
dartey hain koi bura na maan jaaye
khuda jo roothey tou mana bhi lein
tootey dil tou fir judtey nahi..
aaj fir rootha sa ek shakhs yaad aaey
pukaaru usey kaisey jo sun sakey nahi...
tang hain aaj muhabbat ki galiyaan
guzar tou jaaein par kaatil se bach saktey nahi...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI
---Chhavi Mehrotra

PUSHP KA ASTITVA

Aksar log keval aushadhiya vriksh ya paudho ko barhaavaa detey hain par pushp k bina unka bhi vikaas sambhav nahi...PUSHP khilega tou poorey vaataavaran ko uski sugandh mahka deti hai aur samoochey astitva ko ek viksit astitva ka aabhaas hota hai...isi prakaar bhakt ki oorjaa failti hai...uskey bahot aagey tak aur uskey chaaro oar ...kisi bhi ek pusht beej se ek naveen pusht vriksh pallavit hota hai,..aur us par khiltey pushp us ek beej se na jaaney kitney asankhya pushp pallavit kartey hain aur yahi ek bhakt apni oorja se anek bhakt oorjaa prakat karta hai aur anek pushp jab sugandh makrand lutaa detey hain tou unmey se hi naveen fal prakat hota hai aur isi prakaar gurmukh bhakt janamta hai...aur ek beej se bana anek phoolo se mahakta vriksh anek falo se bhar jata hai aur unhi aneko falo mei aneko beej hotey hain jo usi pratham pusht beej se pusht ta rakhtey hain aur fir ye prakriti ki sattaa mahak uthti hai...pallavit hoti hai aur fir aneko bhakto se susajjit hoti hai...isi liye SANKARSHAN HOTA HAI..AUR FIR APNI OAR AAKRISHT KARNEY WALA KRISHN PRAKAT HOTA HAI...KRISHNA WO JO APNI OAR KHEENCH LEY...FIR KHOD KHOD KAR OORJAAWAAN BANAA DEY...pushp apni oar aakrasht kartey hain apni sugandh se aur fir paas aaney par apni sundarta se aur apney makrand se fir apni sugandhit oorja ko failaa detey hain is prakriti mei...ye bhi sahi hai k pushp ka fir astitva nahi rahta par wahi pushp roop badal kar wahin astitva mei banaa bhi rahta hai...bhakt bhi jab pallavit hota hai fir us noor mei mil kar apna astitva alag nahi rakhta par fir bhi uski oorja is brahmaand mei usi vaig se oorjaawaan rahti hai aur usey mahsoos bhi kiya ja sakta hai...ye oorja hi bhakt ka prem hai aur uska vaastavik swaroop hai...sthoolta ka yaha astitva nahi rahta....ye sookshmta aur adwait ka ek bhavya roop hota hai...ye pushp ka samarpan hi poojniya hai...pranaam hai us param satta ko jinkey noor se sab jagah noor vyaapt hai...us param paavan tejomayi noor ko pranaam hai..
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra