Monday 29 July 2013

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[37,38,39,40]

Friday 26 July 2013

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---35 , 36

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---33 , 34

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---31 , 32

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---30

Wednesday 17 July 2013

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---29

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[28]

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]--27

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---26

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]...25

Wednesday 10 July 2013

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---24

ARJUN KA DHARMYUDHDH---[CONT]---24
...SRI BHAGVAAN kahtey hain k sansaari jeev raatri ko andhkaar jaan kar so jaatey hain aur bhagat...yogi gyaani is raatri mei jag kar chetan ko sthir kartey hain aur agyan k andhkar mei so rahey jeevo k bilkul vipreet gyan ko jaagrit kartey hain aur is tam yaani taamsikta mei bhi apni chetan ko jaagrit avastha mei hi rakhtey hain...hum is baat ko santo k udaahran se samajh saktey hain jo raatri mei aur taamsikta k chaaro oar hotey huey bhi apney Kendra mei sthit rahtey hain...wo samaan roop se jaagrit rahtey hain aur vivek ka sath nahi tyaagtey..jaisey saagar aneko nadiyo k jal se bharpoor hota rahta hai aur nadiyo ka pravaah saagar mei anvarat hota rahta hai par tab bhi saagar anvarat nirantar aatey huey jal ko apney bheetar samet ta rahta hai aur fir bhi apney kinaaro mei rahta hai aur apaar jalraashi aur jeevo k hotey huey bhi apney gaambheerya ko nahi tyaagta usi prakaar aneko satva...rajva...tamas k miltey huey bhi viveki santjan apney gaambheerya ko nahi tyaagtey aur har pravaah mei bhi samaan saral gyaani chetan ka bhaav rakhtey huey gahir gambheer rahtey hain...usi prakaar sansaar mei rahtey huey bhi jeev ko unsey aisey hi mukt rahna chaahiye aur apni maryada aur gaambheerya nahi chhorhna hota hai...jaisey kamal keechad mei hi khilta hai aur pusht hota hai par apney oopar keechad ya paani ko tikney hi nahi deta aur wo apna saudarya saatvikta aalokikta banaaye rakhta hai...aisey hi jeev ko shaanti aur aantarik aanand milta hai aur wo bhatkaav se mukt rahta hai...aisa jeev khilta hai sansaar k liye aur swaarth se door rahtey huey ahankaar lobh kaamnaao se mukt rahta hai...wo sabhi trishnaao se mukt hota hai aur apni antar ki samaadhi mei leen aanadit rahta hai aur vrakt hokar sabhi sansaari karm kartey huey bhi sansaar k karmo k fal ki trishna se mukt rahta hai aur isiliye vilaas aur abhilasha mahatvaakaansha k dukho se parey shaanti mei rahta hai....
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...

---Chhavi mehrotra

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---23

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---23
.. ..SRI BHAGVAAN kahtey hain k jis prakaar wo jeev jo janam lekar kewal saagar k madhyamei rahtey hain aur unhey ye aabhaas hi nahi hota hai k kinara bhi kahin hai tou wo wahin saagar mei dishaheen se bhatak jaatey hain aur bikhar bikhar kar wahi khatam ho jaatey hain usi prakaar jo jeev jaante aur maanntey hi nahi k ishwar ka astitva bhi hai aur wi ishwar jeev ko apney bhakto ko sadaiv dekhta prem karta hai aur samhaalta hai un jeev ko naastik kahtey hain ...unki shradhdha sri bhagwan mei nahi hoti aur wo indriyo ko mann k vashibhoot kar k sansaar k bhog rog mei lipt rahtey hain kewal isey hi satya jaankar aur wo yahin samaapt ho jaatey hain aur baar baar inhi dukho bhay aur trishnaa k saagar mei janamtey martey rahtey hain aur unmey aur pashuo mei koi antar nahi rahta kyoki pashu bhi budhdhi gyaan heen hokar yu hi uddeshyaheen sansaar mei vichartey rahtey hain aur ishwar mei bhakti chetna ko nahi lagaatey...isliye pahley apni soch aur indriyo ko apney drirh anushaasan mei kar k niyantrit karna hai aur wahi jeev nishchit sthir budhdhi wala hai....
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---21 TO 22

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---21
.. SRI BHAGVAN kahtey hain k jo sansaar k bhogo se vimukh ho jata hai aur kewal pooran brahm ki trishna mei sthir rahta hai wo sthir budhdhi hai kyoki sharer ko vaasna ki poorti ka such deney waali indriyaan hi maadhyam hain aur wo indriyaan mann k vash se nikal kar jeev ki budhdhi aur aatma k vash mei ho jaati hain tou wo jeev sansaar k bhogo se vimukh ho jata hai...jaisey humey koi bhi vastu itni bahutaayat mei rojana bhog mei miley k us vastu se mann bhar jaaye aur humey fir us vastu ki chaah hi na uthey usi prakaar jab jeev ki aatma is sharer k bhogo ki chaah se vimukh ho jaaye aur mann ko bhog vaasna ki chaah hi na rahey aur indriyo ko sharer k bhog ki bhookh hi na rahey aisey is mann aur indriyo ko vash mei karna hai apni budhdhi aur aatmaa k...ye mann hi bahot chanchal hai jo bhaanti bhaanti k raav rang aanand bhog rog mei baar baar bhatakta hai aur is sharer ko chalaaney waali indriyo ko apni trishna ki poorti mei sahaayak banata hai aur fir pooran brahm se door hokar ye indriyan yahin rog bhog dukh mei mann k sath bhatakti rah jaati hain isliye is mann ko niyam anushaasan aur sthirta ki aadat daalni hai aur pooran brahm mei is mann ko ekaagra karna hai fir dheerey dheerey ye mann ishwar mei bandhney lagega aur Vishay bhog vaasna se vimukhta hoti jaayegi...jab mann niyantrit ho jaayega tou mann se srajit honey waali indriyaan bhi niyantrit ho jaayengi aur jinka mann indriyaan vash mei hokar sthir nishchit hotey hain wo jeev sthir nishchit pragya waaleyy hotey hain...jaisey gopi yaani go ka matlab indriyan aur pi ka matlab peena...yaani jihoney apni indriyo ki pi kar aatmsaat kar liya hai un gopiyo ka chitt kewal sri bhagvaan mei leen rahta hai aur sthir pragya waali gopiyan sri Krishna k adheen ho jaati hain.... is sansaar k Vishay vaasna se vimukh hokar sri Krishna ki hi ichchha karti hain aur unhi k prem k aanand ka raas unki aatmaa karti hai....
...ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]...[22]
.. ..SRI BHAGVAAN sansaar se judey jeev ko badi tathya ki baat bataatey hain k jeev sansaar mei jo dekhta suntan hai usi k sambandh mei sochta bhi hai aur fir sansaar mei uska mann lipt hota jata hai...jab jeev janamta hai usey kewal apney pait ko bharney ki bhookh rahti hai usey kisi aur vastu se koi lena dena nahi rahta aur wo kisi bhi such dukh se parey rahkar aaraam se sota rahta hai aur hum sab kahtey rahtey hain k ye sabsey zyada sukhi hai jab ki humey bhi such apney hi bheetar se lena hai....jab hum sansaar mei apney sagey sambandhi dost aur un jeevo se judtey jaatey hain jinsey hum prem kartey hain tou sath mei kaamnaaein utpann honey lagti hain k unsey bhi humey prem sang sath aanand miley aur jab kahin koi kaamna pooran nahi hoti tou krodh utpann ho jata hai aur jab krodh k sath bhi lipsa shant nahi hoti aur kaamnaa k sath lobh bhi utpann hota jata hai tou fir dwaish aur irshya ka bhaav utpann hota jata hai aur kab isi tarah chetan malinta ko praapt hota jata hai jeev ko maalum hi nahi hota aur aatmik patan ho jata hai ...budhdhi heen ho jaati hai aur mann Vishay bhog rog vaasna mei lipt rahta huaa indriyo ko bhi apney adheen kar leta hai aur jeev sansaari hokar apna naash kar leta hai..isiliye ye zaroori hai k jeev sri bhagvaan mei drirhtaa se chitt lagaaye aur bhajan sumiran mei anushaasan aur niyam se rahey aur mann ko niyantrit karey ...jeev jab drirhta se sri bhagvaan mei chitt lagata hai tou sri bhagvaan bhi us bhakt jeev ko bhatakney nahi detey...ye baat is tarah samjhi ja sakti hai k jaise kumbh k meley mei mata pita apney bachchey ka hath kass k pakdey rahtey hain k bachchaa kahin is dunia ki bheerh mei kho na jaaye kyoki bachchey ki bhi utni hi bhakti prem mata pita mei hai aur wo bachchaa zara sa hath chhootney par behad rota hai aur bilakhta hai par jo bachchaa galat soch aur budhdhi k kaaran swayam ghar se mata pita k prem ko na samajh kar bhaag jata hai dunia ki bheed mei galat sang sath mei uska kalyaan mata pita chaah kar bhi nahi kar paatey usi prakaar jab jeev ishwar se vimukh hokar swayam rog bhog dukh sansaar mei lipt ho jata hai ishwar uska chaah kar bhi bhala nahi kar saktey parantu jo jeev sansaar ko bhi dekhta jata hai aur uska aanand letey huey ishwar ka hath kass k pakad k rakhta hai aur apni ishwar bhakti prem mei koi kami nahi aaney deta uska hath ishwar se kabhi nahi chhot pata aur yadi chhootney bhi lagey tou ishwar swayam usko pakad letey hain aur samhaal letey hain...
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---20

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---20
[20]----- SRI BHAGVAAN kahtey hain k sthirta usi jeev mei hoti hai jisko kahin bhi kaisa bhi vyaktigat lagaav na ho aur kewal sri bhagvaan mei jiski budhdhi sthir ho...jiski soch sthir ho...aisey jeev shareer ko kasht ...dukh...sukh honey se vyathit nahi hotey hain aur na hi kisi doosrey k prati dwaish rakhtey hain apney kasht k liye jaisey sant hotey hain jo apney sath mukti aur mukt bhaav kashma k bhaav k sath rakh k chaltey hain...unhey kisi se bhi vishesh prem ...lagaaav ya dwaish nahi hota aur nirvikaar bhaav se saans k sath bhajan mei rahtey hain...unhey kisi k paaney ya kho deney ka koi harsh..dukh..khaid...shok nahi hota...machhli aur saagar mei rahney waaley kachchap apni budhdhi mei sthir rahkar dheerey dheerey apney ek samay mei ek karm mei sthir rahtey hain bass usi prakaar jab jeev sansaar k bhog rog se mukt ho jata hai usko sansaar k bhog ki tou trishna nahi rahti par wo ek sri bhagvaan k prem aur darshan aur unsey milney ki trishna se mukt nahi ho pata ...par dono mei bahot fark hai sansaari jeev bhog ki trishna mei bhookha rahta hai aur raag dwaish k kaaran sthir nahi rahta par doosri oar sansaar se mukt jeev sthir aur nishchit budhdhi k sath sab raag dwaish se mukt hokar hari milan ki nishchit budhdhi aur sthir pragya se trashit rahta hai...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---19

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---19
...19…GYAN kathor hai aur bhakti saral...gyan kuchh praapt honey ka ahankaar barhaata hai aur bhakti sab kuchh luta deney waaley prem se bhari hoti hai...isi gyan ki baat sri bhagvaan arjun ko bataa rahey hain k jab jeev kisi bhi ichchha ya trishna k chaltey koi bhi karm karta hai tou wo gyan tou rakhta hai par moh bhi rakhta hai us ichchhaa k liye aur fir isi k kaaran usey mera dhyaan nahi aataa us wakt kewal wo ichchhaa ki kshudha rahti hai...aur jeev mujhse door ho jata hai aur jab atmaa k swaroop mei jaagrit hota hai tou ichchha ka tyaag ho jata hai aur fir jaisey hi gyan se upja tark vitark aur kutark chhotengey moh se upja swaarth bhi chhotega...gyaan har achchey burey ko tark mei chalata rahta hai aur moh us tark mei swaarth ki misri gholti chalti hai aur moh k swaarth k kaaran gyaan kab tark se kutark par aa jaataa hai jeev ko maalum hi nahi hota aur jab in moh aur gyan se budhdhi hat jaati hai tou sabhi swaarth k bandhan khul jaatey hain aur aatmaa mei sthit jeev pooran brahm k kareeb ho jata hai aur avinaashi ho jjata hai kyuki wo vinaashi shareer se alag hokar avinaashi tatva se jud kar chalta hai,..wo mukt ho jata hai trishnaao se aur swarg se oopar uth jata hai...itna suuney k baad bhi arjun abhi bhi chinta mei hai k aisi smaadhi mei kon se jeev sthit hotey hain???kon se jeev sthir budhdhi waaley hotey hain???apni budhdhi mei gyan rakhkar us gyan k sath hokar bhi kon sthir rah sakta hai????aisey vyakti ya jeev k lakshan kya hain???kyuki arjun tou aisey jeev ki kalpana hi nahi kar pa raha hai jo sab kuchh praapt kar k bhi mukt ho....vaido ka gyan ho...samast guno mei rahtey huey bhi guno se mukt ho....gyan ho par gyan mei sthirta ho aur moh se mukt ho....aisa kon jeev hoga???sri bhagvaan kahtey hain k wo jeev aatmaa mei sthit rahta hai...sab kuchh karm karta hua bhi samarpit karta chalta hai pooran brahm ko...apney karm k pashchaat parinaam k liye dukhi ya sukhi nahi hota apitu mukt hota jata hai...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---17 TO 18

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---17 TO 18
17]…SRI KRISHNA ki ye baat sabsey badi hai jo wo arjun ko kah rahey hain k sansaar mei mann lagaaney wala jeev andhey k samaan hai jo kewal apni badaaii...maan sammaan mei aur trishnaao ki poorti mei laga rahta hai aur bass usi maarg par chala jata hai aur sri hari ki oar uska chitt lagtaa hi nahi aur wo sansaar k bhog k andhkaar mei dooba rahta hai...jaisey dhritraashtr hai..sri hari ka virat swaroop samaksh hai par kewal duryodhan ki hi vilaasita mei andha huaa baitha hai aur na galat dikhta hai na sahi dikhta hai...sri bhagvaan 3 taap dahik daivik bhautik aur 3 gun sato gun ..rajo gun...tamo gun se yukt har bhaav ko bataa rahey hain..shareer ki sthoolta inhi se judi hai aur indriyo ka sukhi hona aur dukhi hona sab inhi se juda hai...aur sansaari jeev inhi mei lipt rah jata hai aur oopar se hi sukhi dukhi hota rahta hai jabki jeev ko aatma k antar se judna hai kyuki aatma shudhdh paar brahm ka mool ansh hai aur har rog dukh sukh se sarvatha mukt hai...sthool shareer k sthool bhaavo se nahi judna hai jabki sookshm tatva aatma jo pramukh tatva hai aur shareer k baahar nikal kar mool brahm swaroop mei mil jaayegi usi se judna hai....aatma se judtey hi sab bhram door ho jaaeingey aur shareer apni sthoolta se alag nazar aayega...
[18]…SRI BHAGVAAN kahtey hain k aatmaa pooran brahm ka mool ansh hai aur jaisey nadi k khuley bahtey huey swachch jal mei bahot se kaam ek sath kiye ja saktey hain aur poorantayaa santusht raha ja sakta hai par ek kuney ya baavdi se kewal paani baahar kheencha ja sakta hai aur baaki kaam baahar kahin alag karney ka intejaam karna hota hai aur poorantaya santushti nahi ho sakti ek sath usi prakaar pooran brahm jo vaido ka bhi mool  srot hain unki nij ansh aatmaa bhi unhi sabhi guno se pooran hai aur swatah apney mei sanusht hai...tou usi aatmaa mei avasthit hona hai...shareer se alag hokar aatma se judna hai jo jay praajay...mera tera..anya sabhi duvidhaao se mukt hai...aatmaa sarvatha aanand swaroop hai aur uska koi dharm adharm nahi hai tou tum bhi haar praajay k shok se oopar uth kar apna kshatriya dharm poora karo kyuki kshtriya ka dharm hai yudhdh kar k smaaj desh raashtr ki naitik saanskritik saamaajik paaramparik sabhi prakaar ki sthitiyo ko santulit rakhney k liye yudhdh karna aur jab is yudhdh mei tum ppakshpaat karogey tou ye aatmaa se door shreer ki sthoolta se tumhey jodega...yadi tum kisi bhi ichchhaa k bhaav se judogey tou fir trishnaao se judogey tou ye adharm hai aur aatmik tatva ki tarah shok dukh sukh har avastha mei samaan bhaav se sthit raho jaisey sant yogi rahtey hain jo aatmaa ka gun hai aur isiliye isey san sit yog kaha hai...jo kisi bhi ichchha trishna se parey hai wo ek samaan bhaav se aatmaa mei sthit rahta hai aur wo hi mujhsey juda rahta hai...isliye vyaktigat kalyaan se oopar uthna hai aur nishpaksh nihsprah hokar apna dharm karna hai...
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---15 TO 16

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---15 TO 16
15]...SRI KRISHNA ab swarg se aagey ki baat kartey huey arjun ko samjhaatey hain aur ye dekhtey huey k arjun moh k dukh de nahi chhot raha hai tou bhakti aur sri bhagvaan mei vishvaas k baat kartey hain...sri bhagvaan kahtey hain k bhakti bahot chhoti lagti hai dekhney mei par bhakti aur bhakti mei uthey prem ka prabhaav ki jwaar ki tarah hota hai..bhakt ka sri bhagvaan k charno mei itna drirh prem aur vishvaas hota hai k sampooran brahmaan chhota ho jata hai uskey aagey...bhakt ki bhakti aur vishvaas itna badaa hota hai k sri bhagvaan k aagey samast vishay vaasnaa trishna brahmaand sansaar naganya hota hai...arjun itna prem vishvaas bhakti apney priyajano mei rakhta hai aur sri bhagvaan k vishvaas par apney rath ka saarathi sri bhagvaan ko banaa deney k baavajood apney priyajano se moh kam nahi kar paa raha hai...sri bhagvaan kmei prem bhakti vishvaas rakhney waaley jeev bhagat ho jaatey hain aur sansaar ki vishay vaasna bhautikta se mukt ho jaatey hain aur saralta se sri bhagvaan unhey sansaar se vimukh kartey chaltey hain jab ki sri bhagvaan se door rahney waaley jeev sansaar k jhootey moh mei lipt hokar bhog rog raag dwaish mei bandey adharm pooran karm kartey huey sansaar ki bhautikta mei lipt rahtey hain aur yahin bhatkaav mei fansey chaltey rahtey hain...aur sadaiv sukh se dukhi hotey rahtey hain aur dukh se hataash hotey rahtey hain aur janam janmaantar moh mei fansey inhi priyajano k prem mei unhi k sath bandhey huey anek jooniyo mei janam letey rahtey hain aur dukhi hotey rahtey hain...jabki sri bhagvaan k bhakt uchh koti ki bhakti ko praapt kartey huey sri bhagvaan mei leen rahtey huey bhakti ki prakaashtha ko praapt hotey hain..
...[16]...SRI BHAGVAAN arjun ko samjhaa rahey hain k...jaisey manushya ki joon hai waisey hi yaksh , gandharv , raakshas , daitya , devta hain aur jaisey jaisey manushya apney karm yagya ko karta hai waisey waisey uski kaamnaao ki sthiti nishchit karti hai k kitni bhautikta...kitni daiviyata aut aur kitni taamsikta uski trishnaaio mei hai aur unhi dev , danuj , daanav ,dwara wo abhisipt ichchhaa poori hogi aur jaisey indr pooja k virodh mei sri bhagvaan ney govardhab parvat utha kar brijbhoomi ki aur brijvaasiyo ki raksha indr dev k kop se ki thi usi prakaar yahan bhi arjun ko in kaamnaao se door hokar devtaao ko santusht kartey kartey bhog sansaar mei baar baar bhatakney se bachney ki baat kah rahey hain...yahan sri bhagvaan shuru se swarg ki hi baat kar rahey hain kyuki yahan arjun bhi apney priyajano ki tarah trishnaa mei bandhaa hai aur jo log vaid pothi puraan parh parh kar khud ko behad gyaani dhyani bataatey hain aur trishnaao ki tripti k liye devtaao ko sidhdh karney ki bbaat sikhaatey hain wo kewal sansaar ko bhatka rahey hain aur khud bhi bhatkaav mei fansey hain...wo na tou khud sansaarikta se mukt hain na sansaar ko mukt kar saktey hain balki aur bhatka detey hain tou zaroori hai k kisi bhi bhatkaav se door rah kar kewal sri bhagvaan ki bhakti karey...swarg kewal trishna karney waalo ko abhisht hota hai aur kewal trashtit vyakti indr k sihaasan k liye..apsaraao k liye...sukho k liye aur vilaas k liye swarg ki kaamna kartey hain kyoki wo sansaar se mukt hona chaahtey hi nahi hain aur wo isi bhog rog mei apna sukh talaashtey huey janamtey rahtey hain aur baar baar moh k kaaran apney priyajano k peechhey nimn koti ki joon mei bhi janamtey rahtey hain...wo swarg ko kewal abhisht ka paryaay maantey hain..aur anek joon mei sukho ki trishna mei aneko dukho se peedit rahtey hain..
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---13 TO 14

ARJUN AUR DHARMYUDHDH--[CONT---13 TO 14
13]...SRI KRISHNA kahtey hain k jis jeev ka jo dharm hai usi k anuroop karm karna hai aur jo ye karm ka dharm nahi pooran karta wo paap ka bhaagi hota hai...yaani jo brahman hain aur shiksha dena jinka karm hai yadi wo poori nishtha se shiksha deney ka karm nahi kartey wo apney aur samaaj k prati imaandaar nahi hain aur wo paap k bhaagi hotey hain usi prakaar arjun kshatriya hai aur kshatriya ka dharm hai samaaj aur parivaar aur jeevo ki raksha k liye shastr uthana aur poori nishtha se yudhdh karna aur aaj jab samaaj ko sabse adhik naitikt aacharan ki zaroorat hai aur hastinapur raashtr ko ek sundar naitik vaataavaran ki zaroorat hai tou arjun ko yudhdh karna hoga aur shastr uthaney hi hongey aur is dharm pooran karm mei chaahey kitney hi apney sagey sambandhi khadey ho arjun ko apni imaandaari nahi chhorhni hai kyuki fir wo pakshpaat hoga aur samaaj ka hit ek oar chhoot jaaeyga aur fir arjun paap ka bhaagi hoga aur aisey adharmi ko samaaj kabhi kshama nahi karta...aur jis prakaar khail mei jo har baar apni toli ko jitaata hai us par uska samaaj itna vishvaas karta hai k ishwar k samaan poojya hota hai wo jeev par yadi ek baar bhi wo apni toli ko pakshpaat kar k haraa deta hai tou uskey mukh par vishvaasghaat ki kaalikh lag jaati hai aur itihaas mei wo jeev kshamya nahi hota bass usi prakaar arjun tum bhi kshama k paatr nahi rahogey aur apney priyajano k mrityu k bhay aur jeewan k moh k kaaran yudhdh chhorhney k kaaran tum adharmi kahlaaogey isliye yudhdh karna tou naitik niyam hai tumhara...sri krishna jaantey aur samajhtey hain arjun ko ...wo jaantey hain k arjun apni trishnaao se aur moh se abhi bbandha huaa hai aur wo mukt nahi hona chaah raha hai isiliye kahtey hain k yudhdh mei yadi arjun k priyajan mar gaye tou unhey swarg milega aur yadi arjun mara tou usey swarg milega...swarg yaani trishnaao ka sabhi abhichhit fal milega...sukh milega...aur yadi arjun yudhdh jeet gaya tou sapoorn dharti par wo naitiktaa ka dharampooran samaaj sthaapit karega...aur arjun isi dharam pooran karm k liye hi yudhdhshetr mei aaya tha aur usey bhi hastinapur chaahiye tha...yadi arjun dharm ki sthaapna nahi karega tou ninda ka paatr hoga aur itihaas mei ye sidhdh ho jaayega...isliye arjun ko apney dharm ka paalan karna hi hoga...

....[14] ...Arjun k ka yudhdh mei apney priyajano ko apney saamney vipaksh mei khdey dekhkar dukhi aur pashchaataap se bhara hona ye sidhdh kar raha tha k arjun moh mei apney dharam ko vismrit kar k akinchan sa heen bhaav se grast hokar baith gaya hai aur kisi bhi prakaar se moh se oopar nahi uthna chaah raha hai aur swarg ka moh aur dharti k samraajya ka moh usey vichlit nahi kar pa raha hai...abhi tak sri krishna arjun ko haani laabh ka gyan de rahey thhey k itihaas mei ninda hogi dharm ka sath na deney se , par ab sri krishna arjun ko haani laabh se mukt honey ki baat kah rahey hain...sri bhagvaan k anusaar jab bhakti itni oopar tak pahuch jaaye k hari k siva kuchh nazar na aaye tou chaahey pahley hari ko tilak karein ya pahley bhog laga dein kuchh bbhi bhaav mei dhyan nahi rahta...bhaav mei prem aur tanmayta hi pramukh ho jaati hai aur bhakt ko maalum hi nahi hota...jaisey traita yug mei sri ram roop mei bhaav se bhari bhakt shabri k jhootey bair khaaye sri bhagvaan ney aur us wakt samaaj se prityakt ek bhakt mahila ko bahot oonchey sthaan par aaroorh kar k samaaj ka udhdhaar kiya aur sidhdh kiya k jaant paant se oonchaa prem bhaav hota hai... usi prakaar sri krishna jab shanti ka prastaav paandavo ki taraf se lekar aaye thhey tou paandavo k doot k roop mei kauravo k paas hastinapur aaye thhey...tab unhone vidur k ghar prem mei saag kha liya aur duryodhan ka athitya asweekar kar diya kyuki sri bhagvaan bhaav k bhookhey hain bhautikta k nahi....sri bhagvaan kahtey hain k main usi roop mei hota hu jis roop mei mera bhakt hota hai...ye is baat ko sidhdh karta hai k sri bhagvaan bhakto ki raksha k liye anek yugo mei kabhi matsya kabhi varah kabhi kachchhap kabhi narsinh kabhi vaaman kabhi parashuram kabhi ram kabhi sri krishna roop mei dharti par aaye aur sidhdh kiya k...
JAB JAB HOYE DHARAM KI HAANI
BAARHAHI ASUR MAHA ABHIMAANI
TAV TAV PRABHU DHARI MANUJ SAREERA
HARAHI SAKAL SAJAN DUKH PEERA||
.... sri bhagvaan guru roop mei updesh de rahey hain aur arjun k samaksh pratham yog guru roop mei khdey hain...pranaam hai sri bhagvaan k sri charno mei...
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI....
--- Chhavi Mehrotra

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---11 TO 12

11]...SRI KRISHNA kahtey hain k arjun roopi jeev apney mool aanand shashwat swaroop ko vismrit kar deta hai aur fir shareer mei rahtey huey usi ko sach maan leta hai...is baat ko hum is tarah se samajh saktey hain k jab hum koi cinema dekhtey hain aur kisi anya ki banaaii hui film ko kisi aur k dwara dikhaaye jaaney par bhi usi ko satya maankar hanstey hain aur dukhi bhi hotey hain aur prem bhi kar letey hain...aur jab film khatam hoti hai tou uth kar apney ghar mei vaapas aa jaatey hain...theek waisey hi hum yahan shareer ki har avastha mei leen hokar yahin ki paristhiti parivesh vichar gyan budhdhi se prerit hokar usi k anusaar prem ladaaii jhgdaa krodh maatsarya lobh ahankaar sabhi kuchh bhaav kriya kartey rahtey hain aur ye bhool jaatey hain k rogi aur vridhdh kaya chhotegi aur hum fir apney mool swaroop mei aa jaaeingey aur ye naatak khatam ho jaayega...aur jo bhoot hai yaani beetey huey kal k jeev hain unka humsey koi sambandh na tou pichhley wakt mei tha aur na agley aaney waaley janmo mei hoga...kisi bhi beetey huey ka koi astitva wahi nahi hai jo aaj hai...beetey huey kal mei ya janam mei jeev kisi aur naam se kisi aur jooni mei karm rat tha aur aaj yadi humaarey sath hai bhi tou aaney waaley kal mei ya janam mei kisi aur naam se kisi aur jooni mei karm rat rahega...shareer ka koi ek sa hi astitva nahi rahta jabki kewal aatmaa ka mool swaroop hai..aur wo oorja roop hai...koi sthoolta nahi uski...ab jab ye maalum hai k kisi k aaney jaaney ka koi nishchit wakt kaal desh dharm kaaran paristhiti kuchh nahi hota tou fir unkey liye kaisa shok karna ya chinta karni....sab aaye hain is shareer ki sthoolta mei tou ye sthoolta yahin tyaag kar jana bhi nishchit hai...aur jab jana nishchit hai tou shok karney ka koi paryaay nahi hona chaahiye..  

...[12]...SRI KRISHNA kahtey hain k jo yahan yudhdh mei jeev aaye hain ye sab khud apni ichchha se aaye hain...yaani varsho se karm kartey huey ye is yudhdh ki pristh bhoomi banaatey rahey aur jab unhoney aisey karm kiye hain k aaj sthiti yudhdh ki aa gaii hai tou arjun iska kewal ek kaaran nahi hai apitu apney apney ydhdh k liye ye sab swayam zimmedaar hain aur apney hi karmo se prerit hokar ye sab yudhdh mei aaye hain...yaani jeevaatma yadi sochey k mai kaal k chakr mei fans gaya tou ye nishchit jaan lena hai k apney khud k karm se kaal chakr mei padey hain aur ye shareer khatm honey k baad avinashi aatma ka tatva tou waisa hi mool swaroop mei rahega...koi humaarey patan ka kaaran nahi hoga ...hum khud humaarey yudhdh ka kaaran hain aur apney dharm yudhdh mei khud apni ladaaii ladni hai...kshatriya dharm hai yudhdh karna aur yudhdh dwara anya samaaj ki raksha karna...par is dharm yudhdh mei tou dronachaarya aur kripachaarya aur ashvaththama jaisey braahman bhi shastr utha kar khadey hain apni atript trishnaao ko sath mei lekar...brahman ka dharm hai brahm gyan dena aur aaj kshatriya ban kar samaaj ko badalney k liye ye vishal dharm yudhdh ho raha hai...sabkey liye swarg k dwaar khuley hain..yaani wo swarg jahan indr ka raajya hai aur jahan apsraaein hain...gandharv hain...bhog raag  hain....yahan bhi mukti nahi hai aur baikunth inko yahan bhi sri bhagvan nahi de rahey hain kyuki yahan k sabhi yodhdha apni apni trishnaao ichchhaao aur dwaish irshya ahankaar se mukt nahi hain aur inhi bhaavo se jud kar yudhdh kar rahey hain aur fir mrityu k baad apney apney bhaav k anusaar karm kar k swarg ko jaayengey...abhi sri krishna arjun ko ek baalak k samaan bahla rahey hain k mai terey priyajano ko swarg goonga tu chinta na kar...unko maarney mei bilkul bhi hichkichaahat na laaye mann mei...sri bhagvaan arjun ka sansaar prem bhi dekh rahey hain aur sri bhagvaan par vishvaas bhi dekh rahey hain k kaisey arjun nishchint hokar apni vyatha sri bhagvaan ko kah raha hai kyuki wo jaantaa hai k sri krishna usey is sankat se ubaar lengey...
---RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

ARJUN AUR DHARMYUDHDH--[CONT]--10

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[cont]---10
...10]...SRI KRISHNA arjun ko har prakaar se samjha rahey hain k ye shareer 3 taap se tapt hai...daihik daivik aur bhautik...deh k taap hain jinse deh ko deh se hi dukh miltey hain..daviya aapdaa se dukh milta hai aur bhautik sansaar mei rahtey huey jis bhautikta ki oar jeev bhaag raha hai unhi bhautik sukho se dukhi hota hai...aur jeev k shareer dhaaran karney k baad shishu kaal se baalya kaal aur fir yuva kaal aur fir grahasth aur fir vaanprasth honey k baad bhi jeev kisi bhi tarah se khud ko aasakti se mukt kar hi nahi pata aur sadaiv leen rahta hai inhi sukho se dukhi rahta hai...na tou poorantaya sukho se tript hota hai aur na dukhi honey k baad ye samajh pata hai k inhi sukho mei uska dukh nihit hai...jeev is shareer aur indriyo ko hi kewal pooran satya maankar inhi mei uljh rah jata hai aur is shareer mei antar mei oorja ka pramukh srot us aatmaa ko vismrit kar deta hai jo pramukh avinashi tatva hai aur ek maatr satya hai...ye shareer kewal aatma ko kendra mei sthapit karney k liye hi mila hai aur indriyaan antar mei dhyan aur satkarm k liye hi mili hain jo aatma aur shareer k madhya kaam karti hain parantu jeev ye sab vismrit kar deta hai aur kewal inriyo ki bhookh ko tript karta rah jata hai aur man k oopar sansaar ka ekaadhikaar sthapit karva deta hai....jabki satya tou ye hai k aatmaa na tou bheegti hai na galti hai...jabki shareer paani se bheegta bhi hai aur sankraman se galta bhi hai...aatmaa sadaiv usi mool swaroop mei rahti hai aur shareer alag alag janmo mei alag alag joni k hisaab se dhaaran karti hai...aatmaa ko na tou agni jala sakti hai aur na hi kisi bhi prakaar ki aag mei wo jal sakti hai...chaahey daavaanal ho...shareer jal jaayega par aatmaa mukt rahegi wo jalney k kasht se mukt hai...na jatharaanal yaani pait ki bhookh ki aag aatmaa ko trast kar sakti hai...shareer ko bhookh ki aag jalaati hai aur baichain karti hai par aatma ko bhookh pyaas kuchh nahi tadpaati..aatma tou kewal hari sumiran mei rahti hai...shareer paani mei apni sthoolta se doob jata hai par aatma mukt hai aur mrit deh paani par tair  jaati hai ...wo nahi doobti...aatmaa itna sookshm tatva hai k na tou wo jalti hai na udti hai na doobti hai na bheegti hai...wo mukt hai...jis tarah se gandey kapdo ko saabun se dhokar saaf kartey hain usi tarah se man ko bhi bhajan sumiran se saaf karna hai aur jaisey puraaney gandey fatey vastro ko badalna hota hai usi tarah se ye aatmaa bhi is shareer se mukt hoti hai jab ye shareer purana aur patit ho jata hai...shareer kat jata hai...purana ho jata hai...par aatmaa kisi bhi prakaar se puraani nahi hoti...wo nitya hai...naveen shaashwat hai....ye oorja hai jo apney mool roop mei sadaiv rahti hai...isey koi nahi dekh sakta...iska na koi roop hai na gun...ye brahm swaroop hai...ye kewal shareer mei vaas karti hai aur jo jeev isko shareer mei vaas kartey huey shreer ki vaasna se jodtey hain wo jeev sansaari hotey hain yaani wo is aatma k mool tatva ko nahi pahchaantey aur isko shareer se alag kar k nahi dekhtey samajhtey aur nitya dukhit rahtey hain...aatmik tatva ko shareer se alag kar k dekhna hi abhyas hai aur jaagran hai...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI..
--- Chhavi Mehrotra

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]--8 TO 9

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]--8 TO 9
8]....SRI KRISHNA arjun ko samjha rahey hain usi k star par aakar...k  aatma sadaiv rahti hai...aur indriyo ko jaan chuka hai tu...ab baat ye hai k arjun yadi indriyo ko jaan chuka hai tou fir kyu dukhi hai?????isiliye sri krishna usey indriyo ko samajhney k liye kah rahey hain k jo indriyo se sukh milta hai wo ek bhookh ki tarah hai...jaisey humey bhojan ki bhookh lagi aur jab khana kha liya tou bhookh mit gaii par ye bhi nishchit hai k ye bhookh dobara lagegi aur fir bhojan ki zaroorat hogi..usi tarah se har indri ki apni bhookh hai aur wo tripti k liye usi se juda hua padaarth maangti hai aur bhookh mitney k baad shaant tou ho jaati hai par fir jaisey hi bhookh jaagrit hoti hai fir machalney lagi hai shudha tripti k liye aur ye trishna ka avsaad poorey janam chalta rahta hai aur tripti kabhi nahi hoti aur jo bhi jeev is kriya mei sanlagn rahkar bhookh aur tripti k daanvaadol chakr mei vyast ya lipt rahey hain wo sadaiv dukhi aur sukhi hotey rahtey hain aur wo kabhi bhi tript nahi hotey ...isiliye arjun roopi jeev ko is indri ki bhookh se nibatna hoga aur aatmaa k andar tak jaakar khud ko jagana hoga aur indriyo par vash karna hoga ...indriyo ki bhookh ko vash mei karna hoga...
...[9]...SRI KRISHNA arjun ko baar baar yahi samjha rahey hain k aatma ko koi nahi maar sakta..aatma tou avinaashi hai..aatma na janam leti hai na marti hai...tou yahi satya hai k koi kisi ko nahi maarta..ab yahan prash fir se yahi uthta hai k jab kisi ko koi nahi maar raha tou fir kisi ko maarna apraadh kyu kaha gaya???kisi ko kasht dena galat kyu kaha gaya???jab ganesh ji ka janam hua tou shani ki vakr drishti se ganesh ji ka sar kat gaya aur parvati maa jo ganesh ji ki mata hain vilaap karney lagi tabhi sri vishnu ji ney ek hathi k bachchey ka sar kaat kar ganesh ji ko laga diya aur ye wo hathi ka bachcha tha jiski mata uski taraf peeth kar k baithi thi..ye drishtaat is baat ko samjhata hai k jahan mata hi apney baalak k prati zimmedaari..vaatsalya prem..na rakhtey huey itni befikr hokar munh fer ley k koi bhi kabhi bhi uskey bachchey ka ahit kar dey iska bhi us mata ko sangyan na ho tou kaisey apney bachchey jka hitt kar sakti hai????tou aisey hi is sansaar mei jab badey bujurg aur pitar apney aagey ki aaney waali peerhi ko sahi uchit anuchit na sikha sakein us peerhi ka kya marna aur kya jeena????wo peerhi aur wo bujurg kya samaaj desh raashtr ka hitt karengey?????tou us wakt unko maarney k liye uchit budhdhi k sath nisprah hokar uko maarney k liye yudhdh mei khadey ho jana hai...aur yahi samajhna hai k unki mrityu ki yahi niyati hai aur unhey isi prakaar marna hai kyuki aatma tou nahi mar rahi kewal dosh se bhara hua shareer hi mar raha hai aur aatma jis pooran brahm ki nij ansh hai wahi sab kriyaao k peechhey hai....shareer ki sthoolta barhti ghat ti janmati aur marti hai...sookshm tatva aatma tou har bandhan se mukt hai...dosh barhtey paltey hain aur saza paatey hain...aatma mukt hai....
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

ARJUN AUR DHARMYUDHDH [cont]--6 to 7

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---6-7
[6]...Yudhdh mei apney samaksh sabhi gurujan ko dekhkar arjun yudhdh karney k liye manaa tou kar raha hai...arjun abhi bhi usi dahleez par khada hai jahan ek oar sansaar hai aur doosri oar pakshpaat se rahit nirnay...arjun se sri krishna kahtey hain k moh aur dukh mei tu fansaa hai aur ye baat ye sidhdh karti hai k moh kewal dukh ka srot hai aur moh ka bandhan katna bada mushkil hai aur usi moh k bandhan se arjun mukt nahi ho pa raha hai..wo kahta hai k bheeshm pitamah aur guru dronachaarya tou fal phool se ppojney yogya hain...ab arjun ko yaad hai k guru dronachaarya ney arjun se moh kar k aur arjun ko sarvshreshth sidhdh karney k liye kaise eklavya se chhal kiya tha aur bheeshm pitamah ka tou vish priya tha hi arjun...par sri krishna jo guru roop hain aatmaa ko in bandhano se kaatney ka poora yatn kar rahey hain....
..[7]... jab sri krishna ney arjun ko moh aur dukh k madhya mei parhney waaley ko neech kaha tou arjun ko yahi bataya k mohvash jeev baar baar apney priyajan ki aasakti mei parhkar sab dharam bhool jata hai aur sabhi naitik moolyo ko vismrit kar nimn koti ka jeev ho jata hai aur jab unhi priyajano se dukhi hota hai tou itna hataash ho jata hai k fir sabhi naitik moolyo ko vismrit kar yudhdh k liye taiyaar ho jata hai tou ye dwividha waali sthiti sada naash karney vaali hoti hai...aisey jeev ko na tou sansaar mei aanand milta hai na wo mrityu k baad tript rahta hai...sadaa idhar udhar daanvaadol rahta hai tou na maya milti hai na ram aur wo trishanku sa madhya mei atript latka rahta hai...aisey jeev kab raakshasi pravritti ko praapt ho jaatey hain ye unhey hi samajh mei nahi aataa isiliy sri bhagvaan ney aisey sthiti ko tyaagney k liye kaha hai...arjun roopi jeevaatma is sansaar ki oorja mei pravisht hotey hi apna mool roop bhool jaati hai aur maya k pardey k bheetar dharm adharm mei bhaid nahi kar paati...aur jab guru swaroop sri bhagvaan dharm dhaaran karney ki baat kartey hain tou ajeeb lagta hai k sab jeevo par daya karo...kshama karo par apney hi priyajano ko maar bhi do...kyo????kya dharm hai aur kya adharm???ramcharitmaanas mei jab sri ram laxman ji ko moorchhit dekhtey hain aur bhraata viyog mei vilaap kartey hain tou us sthiti ko shamshan viyog kaha gaya hai...isi viyog ko sri bhagvaan arjun ko bataa rahey hain k sab shareer k vartmaan k rishtey hain aur in rishto ko poorvjanm se aur agley janm se nahi bandhna hai..sab janam letey rahey hain poorv kaal mei aur agley aaney waaley wakt mei bhi sabhi janam letey rahengey fir arjun kyu soch raha hai k wo inko maar raha hai kyuki sabhi ko kisi na kisi k zariye se marna hi hai...fir kyu kshama nahi karna hai abhi???abhi isiliye kshama nahi karna hai kyuki jo bhi rishtey samaksh khadey hain sabhi ney pratyaksh apratyaksh roop se adharm kiya hai samaaj mei aur parivaar mei aur sambandhon mei aur vishvaas mei aur raashtr k sath...ab yahan kewal dukh shok karney se kaam nahi chalega kyuki yadi inhey abhi kshama kar diya tou fir ab draupadi ki laaj ko vaapas nahi laya ja sakega...jaydrath chhal karney se nahi rukega aur na hi ab dhritraashtr bheem ko maaf kar sakengey...arjun aagey aaney waaley adharm ko nahi dekh sak raha hai aur sri bhagvaan ka viraat swaroop tou sadaiv vidhyamaan hai bass arjun aur bhishm pitamah k sath is wakt kewal sanjay ko hi ye drishti mili hai jo is swaroop ko dekh sakengey jissey unhey tatva gyan ho aur vishvaas ho k sab kuchh hona hi hai aur hoga kyuki ye hota aayaa hai aur hota hi rahega.. Guru ko sikhaatey samay us bachchey ki satah tak aanaa parhta hai jis bachchey ko unhey sikhana hai...sri krishna aatmik tatva ki baat kar rahey hain aur arjun sahareer mei atka hai...yahi kaal ka vishay hai k jeevaatma ka shareer se moh tootna bada mushkil hota hai aur shareer mei atkaav usey mukt honey hi nahi deta...
 ....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra