Wednesday 25 September 2013

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[69]

...ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]—[69]
...69---Arjun ko sanshay hai k yadi jeewan bhar koi bhakt sri bhagvaan ko samarpit hokar yog karta rahey parantu mrityu k samay yadi us yogi ka chitt hari naam se bhatak kar kisi aur disha mei ho jaaye tou usi trishna mei chitt ho jaaney k kaaran us yogi bhakt ko moksh nahi milega apitu wo bhakt apni trishna k anuroop janam lega tou fir jeewan bhar ki yog saadhna ka kya Matlab rahaa???is baat ko hum is tarah samajh saktey hain....ek bahot badey bhagat rishi huey jarh bharat ji...sara jeewan unhoney sri bhagvan ki bhakti yog mei laga diya parantu ek din ek garbhini hirni ko sinh se bachtey huey bhaagtey dekha aur bhaygrast hirni ko prasav wahin ho gaya aur shishu ko janam dekar wo hirni mar gaii....dayaalu bhagat jarh bharat ji us nanhey shishu ko apney sath le aaye aur dheerey dheerey us hiran k bachchey k moh mei fanstey gaye aur ek din mrityu k samay jab nanha hiran ka shishu van se nahi lauta tou uski yaad mei hi praan tyaag diye aur agley janam mei hiran ki joon mei janam le liya...par yog bhakti k kaaran unhey kuchh bhi vismrit nahi huaa tha aur unhoney hiran joon mei bhi apney mann k bhatkaav ki sri bhagvaan se kshama maangi aur punah apney yog k aagey barhaaya aur mukt huey...yahi sri bhagvaan arjun ko samjhaa rahey hain k mera yogi bhakt jab antim samay mei bhatak bhi jaaye tou bhi kewal merey sumiran maatr se us swarg ka such bhogta hai jo devtaao ko sulabh hai aur manushya se devta joon ko praapt hota hai mera bhakt aur apney yog saadhnaa k anuroop wo swarg mei sugandhi,apsraa,vaibhav aanand bhogta hai jo anya kisi ko bhi durlabh hai aur fir swarg k such bhog kar mera wo bhakt punah sansaar mei kisi dhanaadya grih mei janam lekar sansaar k such bhogta hai ya fir braahman ,kshatriya k ghar mei janam lekar uchit such bhogta hai aur jo mera yogi bhagat pooran mann se sanyaas dhaaran kar pooran yog karta huaa meri bhakti karta hai parantu antim samay mei bahtkaav k kaaran joon bigaad leta hai tou bhi mera wo bhakt punah uchch kul mei janam leta hai ...braahman,kshatriya ya ,saahookaar jaisey kul mei janam lekar kul ,samaaj k liye vidhyaa adhyyan aur raksha jaisey uchch karm tou rahega aur sath hi sri bhagvaan k bhajan sumiran yog saadhna ko bhi yaad rakhega jo usney pichhley janam mei kiya tha aur usi k aagey wo punah apni yog yaatraa jaari rakhega aur is prakaar sri bhagvaan mei apney yog ko lagata hua moksh ko praapt kar avinashi padh ko praapt bhi karega....sri bhagvaan k anusaar yogi bhakt ki budhdhi aur smriti kabhi nasht nahi hoti aur uski budhdhi har janam mei waisi hi bani rahti hai aur yogi bhakt ko aneko baar janam letey huey aur pichhley janam se aagey ki yog saadhnaa shuru karta hai kyuki uski pichhli yog saadhna vismrit nahi hoti...sri bhagvaan kahtey hain k mann se sanyaasi bhakt jab yog karta hai tou wo tapasyaa se shreshth hota hai aur gyan se bhi adhik shreshth hota hai kyoki tapasya aur gyan ahankaar aur trishnaao se mukt nahi hotey parantu jo yogi bhakt har trishnaa aur aasakti ya apeksha se mukt ho jata hai wo kahin adhik shreshth hota hai aur mukt rahta hai isliye mukt bhi ho jata hai....yahi yogi sarvottam bhi hai....jo bhi jeev sri bhagvan ko pooran samarpan aur pooran shradhdh se japtey hain....dhaaran kartey hain sri bhagvaan unhey hi sabsey shreshth yogi maantey hain ....aisa sri bhagvan kahtey hain aur yahi tatva yogi bhakt ko dhaaran karna hai tabhi wo sarvottam shreshth yogi hoga aur sri bhagvan k avinashi tatva ko praapt hoga....
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

Saturday 21 September 2013

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[68]

.ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[68]
---68---Arjun ko ab ye maalum hai k sansaar kya hai??jeev kya hai??pooran brahm kya hai???aur yog sanyaas kya hai.....par ab ye bhi samajh mei aa raha hai k yog aur mann ka vash mei larna bada dushkar hai...prantu bhakt vatsal sri bhagvan arjun ko mann ko vash mei karney k niyam bhi bataa rahey hain..sri bhagvan k prati pooran samarpan ,prem preet,rakhtey huey sansaar ki vaasnaao se bahot hi drirhta se swayam ko door rakhna bhi zaroori hai aur fir dheerey dheerey mann niyantrit hoga aur nirantar abhyaas se mann ko aadat ho jaayegi sansaar se vimukh rahney ki aur is aadat k kaaran na tou mann sansaar k Vishay bhogo ki oar bhatkega aur na hi sansaar ki trishnaao se vyathit hoga...mann ko sansaar se alag karney k abhyaas k liye sarvpratham sansaar k raag se viraag hona zaroori hai....jab sansaar k Vishay bhog vaasnaao mei aanand leney ki ichchhaa ka ant hoga aur unkey prati aakarshan samaapt hoga tabhi mann pooran brahm k prati raag ka abhyaas kar sakega...jaisey ek hi myaan mei 2 talwaar nahi rah sakti usi prakaar sansaar k raag ,aanand,abhilashaaein,trishnaaein pooran brahm ki preet aur praapti k maarg mei sath nahi rah sakti...dono ek doosrey se ulat maarg par chalti hain....isliye badi hi sakhti se mann chitt ko sansaar k Vishay bhogo se vimukh kartey huey unmey vairaagya uttpann karna hoga aur fir budhdhi ko santulit rakhtey huey sri bhagvaan k maarg ki oar mann ko unmukh karna hoga aur is abhyaas mei bahot imaandaari aur sakhti ki zaroorat hoti hai k mann jaisey hi chanchalta karey tou usey pakad kar fir abhyaas mei lagaaye aur baar baar har baar ye sakhti se karna hai aur fir nirantar abhyaas se mann niyantrit hoga aur yahi abhyaas hai bhajan sumiran ka....is prakaar jo jeev mann k vairaagya aur nirantar bhajan sumiran k abhyaas k maadhyam se sachchi preet rakhtey huey sri bhagvaan se judtey hain wo hi sri bhagvan ko praapt kartey hain aur wahi bhakt apney mann ko jeet paatey hain aur mann ko swayam chalaatey hain kyoki mann unkey niyantran mei hota hota hai na ki wo mann k niyantran mei rahtey hain....
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI....
--- Chhavi Mehrotra

Friday 20 September 2013

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[67]

...
ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]—[67]
67---SRI BHAGVAN kahtey hain k job hi mann se sanyaasi yogi bhakt is sampooran charaachar jagat mei kewal merey hi avinaashi roop k darshan kartey hain aur usi k anuroop karm kartey hain wo mera sumiran bhi sahastro naam aur gun se kartey hain aur merey itney naam gun ginaatey hain k mai nirgun ho jata hu yaani naam aur guno ki seema paar ho jaati hai aur ek sthan aisa aataa hai k mai sampooran guno se itna yukt ho jata hu k nirgun roop hi ho jata hu...merey mann se sanyaasi yogi bhakt kahtey hain k hey swami yaani mai unka maalik hu aur wo mera swaamitva sweekaar kar vinamrtaa se merey adheen ho kar swayam ko aur vineet kartey hain...bhakt kahtey hain hey nath yaani mai unko anaath honey se bachaa leta hu aur unka naath hu,unko samhaal leta hu aur unko bina kisi sahaarey k chhorh nahi deta...mai unkey liye param aatmaa hu...param ishwar hu....yaani pooran brahm hu....mai unkey liye apney bhakto ko madhu k samaan aanand deney waalaa hu...yaani mai mil jata hu tou mithaas khatm nahi hoti apitu kahin shesh rah jaati hai mithaas merey Milan ki...indriyo ko bhedhney mei saksham,indriyo ka paalan karney waaley aur sadaiv aanand mei rahney waaley sri bhagvan maantey hain merey bhakt...nar ka aainaa hu mai....sabhi kuchh chhurhaa deney mei saksham hari maantey hain bhakt ...sri bhagvan k bhakt unhey achyut,kabhi bhi vinisht na honey wala avinashi tatva maantey hain....antar mei rahney wala ,nivaas karney wala maantey hain bhakt...sarvatr vyaapt hu mai aur aisa hi bhakt apney sri bhagvaan ko sarvatr vyaapt maantey hain...dukh aur kasht door karney wala,anaatho ko sweekaar kar k unka swami ban kar unki samhaal karney wala maantey hain bhakt...sabko apnaa aadhaar deney wala maantey hain bhakt....moksh dila kar sansaar k aavaagaman se chhurhaaney wala udhdhaarak maantey hain bhakt...teeno kaalo ko dekhney waala,teeno loko ko samhaalney wala aur sampooran charachar jagat ka paalan karney wala maantey hain bhakt...apney bhakto se anant sneh prem karney wala maantey hain mujhey bhakt...aur aneko prakaar se bhakt sri bhagvaan k sundar madhur charit ki vyaakhya kartey huey praarthna kartey hain...bahot paap karm kiye huey jeev ko bhi pavitr karney waaley sri bhagvaan bhakto k samast apraadho ko kshama karein...pooran samarpan bhaav se prem kartey huey bhakt sri bhagvan ko mata pita ki tarah apney baalak ko kshma karney wala kahtey hain aur pati patni k samaan pooran seva bhakti prem samarpan ka bhaav bhakt aur sri bhagvaan mei kahtey hain...apney karmo ko pooran nishkaam bhaav se sri bhagvaan ko samarpit kartey huey rahtey hain bhakt aur sri bhagvaan ko hi har kar ka adhishthata maantey hain aur swayam kuchh bhi shrey nahi letey...swayam ko kuchh bhi nahi maantey huey kewal sri bhagvaan ko hi sarvbhooto mei sthit maantey hain....sarv shaktiman sri bhagvan ko hi maantey hain aur sampooran charachar jagat ko sri bhagvan k vash mei hi maantey hain aur sri bhagvan ko hi ek kewal udhdhar karney wala aur is bhaavnaao k anant saagar se paar karney wala jaantey hain...bhakt yahi praarthna kartey hain k sri bhagvan kasht mei dhairya dein jissey budhdhi ko bhramit kiye bina bhakt kasht ko paar kar jaaein....trishnaao se mukti aur maann mei santushti pradaan karein aur mann ki chanchalta ko sthir kar dein...kaamnaao aur vaasnaao se hriday ko mukt karein...jis prakaar kaamnaao k maker se gaj ki raksha sri bhagvaan ney kit hi usi prakaar maya k bhramit karney waaley chakr se bhakto ko bachaaein...gyaan ki upaj ho aur fir sampooran drishti saaf ho jaaye aur sri bhagvaan k shashwat agochar anant roop ki praapti ho...satya aur santo ka sang miley...ye sansaar aur is sansaar se paargaman kar k parlok ka gaman sulabh ho sakey aur har shwaas prchhwaas mei sri bhagvaan ka sumiran hota rahey aur sri bhagvan k sri charno mei sadaiv dhyan bana rahey aisi kripa sri bhagvan karein....SRI BHAGVAN kahtey hain k sri bhagvan k sabhi bhakt isi prakaar sochtey hain aur praarthna kartey hain parantu dhyan ye rakhna hai k jab ye soch rakhtey hain bhakt tou fir sabhi charachar jagat ko merey hi roop mei dekhein aur waisa hi aachran karein ....SRI BHAGVAN kahtey hain k sahastr naam se mera sumiran karney waaley aur merey charit ko sunney sunaaney waaley merey bhakto se kewal ek shlok se hi mai prasann ho jata hu...par arjun sri bhagvan ki stuti kartey huey kahtey hain k....
‘’NAMOASTU ANANTAAY SAHASTR ROOPAAY YE SAHASTR PAADAAKSHIRORUBAAHVEY|
SAHASTRNAAMNEY PURUSHAAY SHAASHVATEY SAHASTR KOTI YUG DHAARINEY NAMAH||
...hey anant vigrah tatha sahastr roop waaley hzaaro charan,netr,shir,baahu bhujaao ko dhaaran karney waaley,viraat roop bhagvaan aap pratyek yugo mei apney bhakto ka kalyaan karney k liye anekaanek roop dhaaran kartey rahtey hain...aapko bahot namaskaar hai....
....
SRI BHAGVAN kahtey hain k kewal arjun hi is shareer aur mann k kashto mei nahi bandha hai apitu sampooran charaachar jagat isi such dukh se bandha hua chal raha hai...arjun kahta hai k jo yog sri bhagvan ney bataya hai wo arjun mei nahi hai....arjun vinay karta hai k mann itna chanchal aur madmast hai jaisey madd k nashey mei mast koi haathi kisi k bhi niyantran mei nahi rahta waisey hi ye mann apni hi gati se aur chaal se chalta jata hai aur vegvaan vaayu k samaan niyantrit karna asambhav sa prateet hota hai...SRI BHAGVAAN kahtey hain k sampooran jagat isi prakaar bhramit aur vichlit hai...kewal gyan k dwara hi mann ko baandhnaa hai...aur pooran samarpan se sri bhagvaan mei hi dhyan lagana hai...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

Saturday 7 September 2013

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[66]

.ARJUN AUR DHARMYUDHDH...[CONT]---[66]
...[66]...SRI BHAGVAN kahtey hain k jab bhi dhyan mei baithna hai tou dhyan unmey hi lagana hai par agar chitt mann aur budhdhi ko sansaar se vilag kar k ishwar mei nahi lagaya tou budhdhi mei sansaar k vichar naganya hongey hi nahi aur budhdhi sansaarikta k vichaaro se vilag hogi hi nahi tou falswaroop jab bhi dhyan mei baithney ki bhi koshish karogey tou bhi dhyan ishwar ki oar unmukh hoga hi nahi aur mann chitt aur budhdhi sansaar ki oar hi mudengey isliye zaroori hai k dheerey dheerey budhdhi ko sri bhagvan ki oar modein aur unhi ka dhyan,manan,chintan karein aur jab budhdhi mei vichar sri bhagvan se jugengey tou tou chetan ki chaitanyata bhi sri bhagvan ki oar unmukh hogi aur aatma sri bhagvan se judegi ...ab jab sri bhagvan se chitt,vichar,budhdhi,aatmaa judney lagengey tou fir prayaas yahi karna hai k sansaar se judey taamsik ya maatsarya k vichar mann mei na uthein jissey budhdhi bhramit na ho....mann ki pravritti chanchal aur chalaaymaan hoti hai isliye is par sakht imaandaar drishti rakhni hai aur drirhta se mann ko sri bhagvaan mei lagana hai aur jab ye swatah hi sri bhagvaan se judney lagega tou antar mei param aanand ki sthiti ko praapt karta hai aur isey kewal wahi antar mei mahsoos ka pata hai aur jab is aanand ka swaad unhey milta hai tou swatah sansaar se jeev vimukh hota jata hai aur sri bhagvaan mei ramney lagtey hain aur isi prakaar k bhakt swayam ko paramtatva k roop mei aur sansaar ko bhi apney hi paramtatva roop mei dekhtey hain aur isi prakaar nirmal,nishchhal,nihswaarth shaashwat,avinashi roop ko sabmey aur apney antar mei samaan roop se dekhney lagtey hain aur yahi nirmal yog ka roop hai...BHAK PRAHLAAD iska bhavuya udaahran hain...jaisey unhey hark an mei wahi avinashi tatva dikhta tha...chaahey agni,chaahey parvat,chaahey saagar aur chaahey khamba...sab jagah wahi sri bhagvan ka ek roop unhey dikhta tha aur tabhi na wo jal sakey,na doob sakey aur na hi talwaar se kat sakey aur khambey mei se avinashi roop sri bhagvan narsinh roop mei prakat bhi huey aur bhakt prahlaad ney swayam ko sri bhagvan k hi avinashi roop mei sidhdh bhi kiya....
RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[65]

..ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[65]
---[65]--Jeev jab bhi apney antar mei jaayega tou khud hi ekaant ki chaah hogi...jab sansaar aur sansaarik bheed, trishnaa,aakarshan,rishtey naate aur unsey judey such dukh harsh vishaad laabh haani se uttpan honey waali uttejnaa jeev ko shant rahney mei aur pratiuttar deney mei baadhak hoti hai aur jeev na chaahtey huey bhi apney lobh moh ahankaar irshya madd kaam krodh par niyantran nahi rakh paataa aur react zaroor karta hai aur kuchh hi der ko sahi par uskey antar mei halchal zaroor hoti hai..tou issey bachney k liye zaroori hai k jeev sarvpratham khud ko mukt karey ...chaahey thodi thodi der k liye hi sahi par aarambh mei ekaant mei dhyan mei avashya baithey aur ye aadat daaley antar mei k koi bhi baat ho ussey jitni jaldi ho antar se oopar tak mukt ho jaaye aur uski kriyaa maanas mei karta na rahey aur antar mei uska vichar na karta rahey aur prayaas ye ho k antar mei vichar bhi karey tou pooran brahm aur apney beech k samvaad ko hi dohraaye yaani bhajan antar mei karta rahey..jo jeev antar se vimukh rahta hai aur swayam ko deh se alag kar k rakhta hai usey koi kasht ,dukh,harsh,vishaad nahi hota...jaisey mrit deh mei koi dard,shok,kasht,haani,laabh,krodh,maatsarya aadi ka bhaav nahi rahta aur na hi mrit deh koi react karti hai kyoki deh se judi baahya indriyaan us kaal mei nirih rahti hain kyoki unko chalaaney waalaa mann chitt mrit hai aur mann ko bal deney waali budhdhi bhi nishkriya hai aur budhdhi ko bal deney waali aatmaa us shareer se alag ho chuki hai tou ab yahi zaroori hota hai k aatmaa ko bhajan sumiran ka bhojan diya jaaye jissey shareer se aatmaa tabhi vilag hokar rahey jab shareer mei chetna hai aur chetna k nikalney se poorv hi apney antar mei jaakar swayam ko jaan ley...aur ye tabhi sambhav hai jab chetna,budhdhi,mann ,aatma k sath milkar niyantrit ho...indriyan swayam kuchh nahi karti..chetna,mann,budhdhi hi indriyo ko nirdeshit kartey hain...dhyan mei baith kar swayam ko jaankar chetna k rahtey huey hi shareer se jo apni aatmaa ko vilag rakh pata hai wahi us sthiti ka aanand jaan paataa hai aur us samay ki apni sthoolta se mukt hokar halkey pan mei vaayu k samaan sansaar mei hotey huey bhi swayam ko adrishya rakh pata hai...is aanand ko sant SOORDAS ji ney kaha hai’’ AVIGAT GATI KACHHU KAHAT NA AAVEY...JYO GOONGEY MEETHEY FAL KO RASS ANTARGAT HI BHAAVEY...’’...yogi is aanand ko antar mei hi itni maganta se mahsoos karta hai k wo iska vishleshan kar nahi paataa aur apney antar mei magan rahta hai aur is tarah se sansaar se mukt bhi ho jata hai...jaisey budhdh huey aur bhakt prahlaad huey k jinhey kisi bhi kasht ka koi aabhaas maatr bhi nahi hota tha bilkul waisey jaisey vaayu ko koi sthool jeev laakh kaatney ka prayaas karey par vaayu mukt apney aanand mei bahti rahti hai..aisey hi yogi bhakt kewal shareer k sath rahtey hain sansaar ko dikhney k liye par antar se wo shareer mei hotey hi nahi hai aur isi k chaltey sant GURU NAANAK DEV JI,KABEER DAS JI,MEERA BAAII JI SHAREER K SATH HI POORAN BRAHM MEI LEEN HO GAYE...UNKI DEH AUR AATMAA EK ROOP HOKAR ITNEY SOOKSHM HO GAYE K VAAYU K SAMAAN POORAN BRAHM SWAROOP AVINAASHI HO GAYE...
...RADHASWAMIJI..JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi mehrotra...

Thursday 5 September 2013

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[64]


...ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[64]
---[64]---SRI BHAGVAN kahtey hain k jab jeev dhyan mai baithtaa hai tou shareer ,mann,indriy ko halka rakhna hai aur sath hi shant rahna hai...ab shant rahney k liye mann ko vaasnaao aur bhaav se aur reaction se alag rakhna hai...turant reaction se door hona hai...ab agar bhaav par niyantran rakhna hai tou trishnaao par,lobh,mahatvaakaansha,ahankaar ,uttejna par niyantran aavashyak hai..praarambh mei itney niyantran mei pareshani hoti hai aur sansaar ki oar khichaav hota hai par nirantar niyantran kartey huey aur saamanjasya baithaatey huey ekaant mei baithkar dhyan karna chaahiye...sansaar mei sansaarik trishnaao aur meley k Madhya shor sharaabey mei rahtey huey dhyan lagaana utna hi dushkar hota hai jitna tej havaa mei Deepak ko apni jalti hui lau ko samhaalna dushkar hota hai...jab tej aandhi toofaan aatey hain ya tej havaa chalti hai tou Deepak ki lau dagmagaati hai aur uskey maadhyam se aas paas ho raha prakaash bhi dagmagaata hai aur andhkaar mei wo lau kuchh bhi maarg prashast karney mei asamarth rahti hai kyoki uska prakaash apna tej kho deta hai aur asthir rahta hai bass usi prakaar jab jeev sansaar ki trishnaao,vaasnaao,lipsa,ahankaar,lobh,moh,irshya k andhkaar mei khada hota hai aur in sabkey sath dhyan lagaaney ka prayaas karta hai tou wo us Deepak ki kamzor lau ki tarah hi kam prakaash ka vistaar kar pata hai aur bahot jaldi nirantar dagmagaatey huey asthir rahta hai aur dhyan lagaaney mei asamarth rahta hai aur baar baar sansaarik shor sharaabey ki tej havaa ekaagrtaa ko digaa deti hai...jaisey kabir das ji ney bhi kaha hai...’’ SOONEY MANDIR DIYA JALAA K...AASAN SE MAT DOL REY...TOHEY PIYA MILENGEY...GHOOGHAT K PAT KHOL REY TOHEY PIYA MILENGEY...’’ekaant mei baith kar pooran ekaagrtaa se dhyan lagaaney se dheerey dheerey antar mei simtaav hota jata hai aur vichaaro,bhaavo ki tarango k aaveg par bhi niyantran hota jata hai...sansaar aur dhyan ek sath nahi chaltey kyoki sansaar k aadambar mann,chitt,budhdhi aur aatma ki sthirta aur ekaagrta mei baadhak hotey hain...aur dhyan sri bhagvaan se ekaatmakta ka maadhyam hai tou shaant vaatavaran mei...shant shudhdh hriday, chitt, man, budhdhi,indriyo,shareer ko samet’tey huey dhyan mei baithna aur shareer se antar se vilag hotey huey sri bhagvan mei ekaakar hona aur aanand lena hi yog sansaar hai...
....RADHASWAMIJI....JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi mehrotra...

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[63]


ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]—[63]
---[63]—4 BAALISHT KI JAGAH RAKH KAR AASAN BANAN CHAAHIYE YOGI KO...RADHASWAMI mat mei satguru ka shabd hai...”TEEN CHHORH CHAUTHA PAD DINHA,SATNAAM SATGURU GAT CHINHA’’ ....triloki k baad yogi ka sansaar k aagey ka yaatraa ka sansaar shuru hota hai...SRI BHAGVAN ney SRI GEETA mei guru roop mei updesh kiya hai aur sri bhagvan k antardhyan honey k baad kewal geeta ji hi nahi balki sampooran SRIMAD BHAAGVAT sri bhagvan k shabd roop mei upasthit hai aur jis prakaar sikh dharm k anuyaayi SRI GURU GRANTH SAHIB JI ko saakshaat guru roop maantey hain usi prakaar SRIMAD BHAAGVAT JI bhi SRI BHAGVAN K ROOP MEI HI UPASTHIT  HAIN...aisa jaannaa chaahiye aur aisa sri bhagvan ney bhi kaha hai...ab shareer aatma ko dhaaran kiye hai aur shreer ki oorja ka pooran prabhaav budhdhi aur soch ki tarango par hota hai aur isiliye shareer ki oorja ka niyantrit hona bahot zaroori hai...jaisi kahavat hai k JAISA KHAAYE ANN WAISA HOYE MANN....JAISA PIYE PAANI WAISI BOLEY BAANI....JAISA KIJEY MAAN WAISA DIJEY DAAN...JAISI KAREY JUKTI WAISI HOYE MUKTI...yahi baat hai k oorja ka srot sahi aur saatvik ho jissey shareer mei oorja bhi saatvik ho...maansahaar,aur bahot tej padaarth ka sewan nahi karna chaahiye...kyoki garm gun wala aur maans ya taamsik ta se bhara hua bhojan shareer k lahoo ko apney hi prakaar ki oorja dega aur dhyan mei baithney k baad waisa hi budhdhi mei bhaav aayega aur indriyo ko waisi hi chaah hogi aur mann chitt chanchal hoga aur shareer ek sthan par nishchal nahi baith sakega..fir doosri baat hai k bhojan zaroorat se kuchh kam maatraa mei kiya jaaye...2 graas ki jagah baaki rahey jo sthan vaayu ko lena hai...2 angul ka faasla tou prabhu aur bhakt k Madhya bhi rah jata hai jahan ye sansaar samaataa hai...jab yashoda ji sri bhagvan ko oakhli se baandhney ka prayaas kar rahi thi tab mata yashoda kitni bhi badi rassi karti jaati thi par sri bhagvan baal kaanha ko baandhney mei har baar 2 angul rassi kam ho jaati thi...aur ye do angul ka faasla hi rah jata hai aur yahi 2 graas ki jagah yog saadhna mei pait mei rakhni hai jissey dhyan aagey barh sakey aur vaayu apna sthan le sakey aur pait na fooley adhik bhojan k kaaran aur sthoolta na ho...sthoolta aalasya aur nidhaalta ko daavat deti hai...dhyan mei baithtey samay shareer budhdhi mann chitt shaant aur halka hona chaahiye...pairo mei har wakt joota nahi pahannaa hai kyoki jab chaltey huey talvey k neechey se samvedan bindu dabtey hain tou wo seedhey shareer k aneko bhaago ko oorjit bhi kartey hain...aur yadi koi jeev pair k neechey aaye tou mahsoos hoga aur sachet kripaalu hriday wahin rokega aur samvedna jaagegi...neechey ki oar drishti rakhtey huey vineet bhaav rakhtey huey chalna hai bhakt ko jissey swayam apney maarg ko nishkantak kar sakey aur vyavasthit dekh sakey jissey uskey peechhey chalney waalo ko bhi waisa hi supath praapt ho sakey...swayam ko ahankaar ki oonchaaii ko dekhney se bachaa sakey aur swayam ko gart mei girney se bhi rok sakey....yogi bhakt ko kewal jaagna hi shreyaskar nahi hai balki prabhaar ka pratham prahar aur raatri ka antim prahar jaagna zaroor chaahiye aur us shant vaataavaran mei...dhyan karna chaahiye....yaani jab jeev ka usha kaal hota hai yaani janam se lekar kishoraavastha tak jab dimaag ka aur shareer ka sabsey teji se vikaas hota hai tab jaagnaa chaahiye aur apney vikaas k samay kaal mei oopar kahi gaii sabhi baato ka nirvaah bhi suchaaroo roop se karna chaahiye aur jab jeev k jeevan ki raatri ka kaal ho yaani mrityu ka kaal ho tab oopar kahi gaii sabhi baato ka nirvaah karna chaahiye ...ab ye baat saamney aati hai k jeev jab janam le chukka tab usi kaal se mrityu ka kaal bhi shuru ho jata hai tou iska matlab hai k poorey jeevan kaal mei oopar kahi gaii baato ka paalan karna chaahiye aur dhyan mei sadaiv rahna chaahiye...issey jeev ka chitt shant rahega aur vichaaro mei sthoolta nahi rahegi aur na hi taamsikta rahegi aur niyantrit budhdh,soch,bhaav,shareer,indriyaan dukho ka kaaran nahi banegi aur yahi dukh ko naash karney wala dukh naashak yog hai...
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi mehrotra...


Tuesday 3 September 2013

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[62]

...ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[62]
---[62]---
SRI BHAGVAN kahtey hain k yogi hi yog dwara antar mei aanand ko praapt kar sakta hai aur mukt ho sakta hai...ab ye jaannaa hai k yogi kon hota hai??sri bhagvaan kahtey hain k bhakt ek gol sthan jo thaali k samaan gol aur itna bada ho k bhakt saralta se baith sakey...wo sthan 4 baalisht ka ho sakta hai...ab ye baat yahi sidhdh karti hai k jeev ko kewal utni bhoomi ka adhigrahan karna chaahiye jitna uskey dhyan aasan par baithney k liye paryaapt ho kyoki ussey adhik bhoomi kewal trishna aur vyasan hi hai...tou jeev ko sabsey pahley apney bhoomi parshareer aur mann k failaav ko sametna hai...is sthan ko gaay k gobar se leeepey...ab ye baat sidhdh hoti hai k gaay jisey go kahtey hain sabhi indriyo ,devtaao aur samridhdhiyo,ridhdhi,sidhdhiyo ko dhaaran karti hai aur gaay k kisi bhi ansh ko nikrisht nahi samajhna hai aur prakriti ko pranaam kartey huey gaay k gobar ko sarvsreshth sankraman rahit tatva jaankar ussey saadhna ki bhoomi ko yaani apney sthan ko shudhdh karna hai....dooba ghaas jo nadi ,sarovar ya paani k kinaarey ugti hai aur sakht tinkey k roop mei lambi ghaas k roop mei ugti hai usi ka aasan banaana hai ...ab yahan bhi prakriti ki shudhdhta aur kripa ko pranaam karna hai...is kusha k aasan par mrigchhaalaa bichhaani hai...ab yahan ek prashna uthta hai k jeev ki khaal hi kyo???mrig ko maarnaa nishedh hai aur mrig sabsey nirih,bhaybheet rahney wala,kamzor jeev hai aur tasya kartey huey tapovan mei rahtey huey mrig ko aashray dena aur uska paalan santaan roop mei karney ka vidhan hai tou jab wo mrityu ko praapt ho tab uski khaal ko prayukt karna hai aur yadi nahi karna ho tou kusha yani dooba ghaas k aasan par shudhdh vastra bichhaa kar dhyan mei baithey...ab aavashyak hai k mann mei sanyaas dhaaran karey...har bhaav ko chhorh kar sthir budhdhi rakhtey huey band netro mei pooran brahm ko dekhney ka nishchit bhaav rakhtey huey...ekaagr hokar samast indriyo ko bheetar samet kar shaant bhaav se har trishna se mukt hokar apney kaano ko sansaar ki har aavaaz se vimukh kar kewal pooran brahm se judtey huey dhyan mei baithey....is prakaar dheerey dheerey sansaar se vimukh hota hua yogi jeev avinashi tatva ko praapt karta hai...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi mehrotra...

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[61]

..ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]—[61]
--[61]--
SRI BHAGVAAN kahtey hain k jab gyan prakat hota hai tou drishti bhi saaf ho jaati hai...kisi bhi tathya se jab bhram ka parda uthta hai tou sab kuchh saaf samajh mei aa jata hai usi prakaar se is sansaar mei jeev ko sadaiv apney janam aur is sansaar se sambandh ko lekar drishtibhram rahta hai aur jab jeev us tathya ko jaan kar khud apney astitv ko jaan leta hai k jeev aatmaa shaashwat hai aur sri bhagvaan ka nij ansh hai aur karm k vaasna aur trishna se prerit honey k kaaran punah punah janam leta hai tou isey gyan kahtey hain aur iskey baad jab pooran brahm k astitva jaan leney ka prayaas karta hai k yadi aatma jo pooran brahm ka ansh hai aur is sansaar mei hai tou pooran brahm kon hai?kya hai?kahan hai?kaisa hai?aur kaisey aatma se juda hai?tou ye vigyan hai...gyan ka vibhaajan kartey is pooran brahm k tatva ko jaanney k liye shareer ,indriya tatva aur mann,budhdhi aur aatmaa k bhi bheetar antar mei jaatey huey ,dhyan mei baithtey huey bheetar antartam tak jana hai aur fir ye vigyan khul jata hai...yogi apney bheetar simtaav kar isi gyan aur vigyan k dwara apey hi bheetar aanandit hota hai kyoki koi bhi prashn,gila,shikva,shikaayat,trishna,kaamna uski shaish nahi rah jaati...wo nav ras mei nahi balki ek hi ras mei aanandit rahta hai...nav ras har prakaar k bhaav se judaa aanand ya bhog ka ras hota hai par jo jeev yog dwara har bhaav se mukt ho jata hai tou har nav ras se aur uskey vibhinn aanand ya vaasna k bhaav se mukt ho jata hai aur sabhi bhaav vilupt ho jaatey hain tab RAAS HOTA HAI ANTAR MEI...INDRIYO KO PEE CHUKI GOPI ROOPI CHETNA AANANDIT HOTI HAI POORAN BRAHM ROOP SRI BHAGVAAN K SWAROOP SE MILKAR AUR AATMAA ROOPI RADHA KENDRA MEI STHIT HOKAR SRI BHAGVAAN KI AVINAASHI TATVA ROOP HOKAR EK ROOP HO JAATI HAI AUR YE RAAS SAMPOORAN HOTA HAI...NA SWARN KA MOOLYA RAH JATA HAI NA MITTI  NIKRISHT RAH JAATI HAI AUR NA UNKI KOI TULNA RAH JAATI HAI...NA PAAP AUR NA HI PUNYA KA KOI BHAAV SHAISH RAH JATA HAI...AATMA BHI MITRATA AUR SHATRUTA SE MUKT HO JAATI HAI...KISI BHI TARAH KA KOI BHAAV SHAISH NAHI BACHTA KEWAL AANAND AUR MUKTI RAHTI HAI AUR USKEY UPRAANT TOU KEWAL AVINAASHI SWROOP HI SHAISH RAHTA HAI JO SADAIV AGOCHAR HOTEY HUEY BHI SHAASHWAT HAI....
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi mehrotra...

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[60]

...ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]—[60]
...[60]
...SRI BHAGVAAN aatmaa ko bahot balshaali bataatey huey kahtey hain k jeev k antar mei uski aatmaa hi sarvey sarva aur sarv pramukh hai..jab jeev sansaar mei apni baahya indriyo ko kewal sharirik sukh k liye prayukt karta hai aur sansaar ki trishnaao se hi lipt rahta hua apni aatmaa ko bhi pusht nahi karta us jeev ki aatmaa mrit praay hoti hai kyoki aatmik bal aisey jeev ka kewal sansaar ki praapti tak hi seemit rah jata hai aur sansaar k sukho se hi dukhi aur fir sukhi aur fir se dukhi rahta hua aisa jeev aasakti mei itna doob jaataa hai k uski aatma hi us jeev ki shatru k samaan ho jaati hai kyoki aisey sansaari jeev ko pooran brahm bhi kewal trishnaao ki poorti ka maadhyam hi dikhta hai aur is niraadhaar sansaar mei aisa jeev kewal bhramit sa bhatakta rahta hai aur uski shatru roop uski aatmaa uska maarg mitr roop mei prashast nahi kar sakti aur iskey doosri oar jab jeev sri bhagvaan ko samarpit hokar nishkaam bhaav mei aatmaa ko kendra mei sthir pragya dwara shaant rakhtey huey tripti se yog ka bhojan deta hai uski aatmaa mitr roop hokar us bhakt ko moksh k maarg par le jaati hai aur mukt ho jaati hai aur aisa jeev niraadhaar sansaar mei kabhi dagmagaataa nahi hai aur asthirta k kaaran kabhi girta ya bhatakta nahi hai aur sri bhagvaan mei chitt lagata hua sukh dukh se parey rahtey huey mukt ho jata hai..
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi mehrotra...

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[59]

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[59]
---[59]
SRI BHAGVAN kahte hain k yog ko pachaanaa hai...yog samast baahya indriyo ko bheetar samet kar shaant chitt se sthir pragya se aatmaa ko kendra mei sthit kartey huey hota hai...shareer...indriyaan...aatmaa..chetna...pragya aur antar mei sanyaas ka bhaav ye milkar yog hota hai aur ye yog bahot shaanti mei hi hota hai..mann ki,chitt ki,asthirta aur chanchalta  aur sansaar ki vaasnaao mei lipt honey se yog ko pachaanaa asambhav hai kyoki chanchal chitt mei sthir drishti ho nahi sakti aur asthir drishti ekaagrtaa se aatma ko kendra mei sthit nahi kar sakti kyoki asthir drishti aur chanchal chitt sansaar ki vaasnaao aur kaamnaao se indriyo ko tripti deta jata hai aur shaanti vaataavaran mei...soch mei...bhaav mei...tripti mei honi hi chaahiye tabhi antar mei simtaav sambhav hai...nishkaami jeev hi itni shaanti praapt kar sakta hai aur indriyo ko bhog vaasna se mukt rakh sakta hai aur is prakaar kashto se mukt ho jata hai aur antar mei shant rahtey huey yog ko antar mei saralta se pachaa leta hai yaani aatmaa yog ki khuraak praapt karti hai aur aadhyaatmik oonchaaii ki pusht'ta bhi praapt karti hai aur is prakaar aatmaa mukt ho jaati hai punah punah shareer dhaaran karney k niyam se aur aatmaa ka yahi udhdhaar hai...ye kewal sthir pragya se shaant chitt se dhyan k dwara hi hota hai...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi mehrotra...

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[58]

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[58]
...[58]--
..SRI BHAGVAAN kahtey hain k baahya indriyo ko kewal sansaar mei maan paaney k liye job hi jeev saadhna karta hua dikhata hai...shareer par shamshaan ki raakh lappet leta hai...tilak ,chandan ,kumkum lagaa leta hai...lambi jataaein rakh kar agni k samaksh ,paani mei ya zmeen mei andar tak baith kar ya anya aneko prakaar se shareer ko baahya aadambaro se sajata hai aur dikhata hai aur apney chaaro oar sansaar ki bheed aikatr kar k swayam ko saadhak sidhdh karta hai aur aadambaro k maadhyam se sansaar ko bahkaataa hai wo mera bhakt ya saadhak nahi hai kyoki wo tou apni baahya indriyo se mukt hua hi nahi aur na hi usey baahya indriyo ko bheetar samet kar sthir hona aayaa hai..wo tou sansaar mei hi lipt hai aur saadhnaa ko kewal yash praapti ka saadhan bana raha hai...SRI BHAGVAAN ney VISHNU SAHASTRNAAM mei kaha hai k job hi bhakt mujhey jis bhi kaamnaa ko dhaaran karta hua dhyaataa hai mai usko wahi de deta hu...dharmi ko dharm,karmi ko karm,arth premi ko arth,kaam premi ko kaam aur dhan premi ko dhan de deta hu aur moksh ki kaamna karney waaley ko moksh de deta hu...yahan saadhna mei baat jeev ki kaamnaa ki hi hai k job hi kaamna jeev karega uski poori Kendra ki oorja usi abhisht ki oar khinch jaati hai aur poori ekaagrta se jeev apni kaamna mei lipt hota jata hai aur usi maansikta se pooran brahm ki saadhnaa karta hai aur usi kaamnaa k roop mei sri bhagvaan usey miltey hain..aur jab jeev ko apni usi kaamna se dukh praapt hota hai tou usey apney karmo ka hi roop nahi samajhta aur dosh sri bhagvaan ko deta hai...sri bhagvaan yahi tathya samjhaa rahey hain k baahya aadambar se jeev mukt nahi ho sakta ...kewal sthir pragya se saadhna karta hua aur pooran roop se nishkaami ho jata hai aur koi bhi kaamna na honey k kaaran wo saadhak jeev kisi bhi prakaar k fal ki kaamna se bhi mukt rahta hua apney sabhi karmo ko sampaadit karta rahta hai aur samaan bhaav se har paristhiti,parivesh,desh,kaal mei rahta hai wahi jeev mukt hota hai aur sri bhagvaan ki oorja mei eksaar ho jata hai aur avinashi hota hai...YAHI DHYAN HAI...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi mehrotra...

Sunday 1 September 2013

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[ 57 ]

ARJUN AUR DHARMYUDHDH...[CONT]---[57]
57... sri bhagvan yahi baat kah rahey hain k hum hi ek din apney ko shraadhdh ka tarpan detey hain..jab hum mrityu ko praapt hotey hain...tou apni adhoori trishnaao aur prem k kaaran punah punah janam letey rahtey hain apney hi priyajano k sameep aur fir dheerey dheerey hum hi humara pautr..dohitr ban jaatey hain baar baar janam leney k kaaran aur hum hi humara shraadh kartey hain aur apney ko hi pichhley huey janmo se aur agley honey waaley janmo se mukt karney ka prayaas kartey hain shraadh kar kar k...chaupaayo mei kuttey ko khila kar jo sabsey nazdiki samaajik aur paarivaarik pashu hai humara aur ye sidhdh bhi ho jata hai k hum kabhi is roop mei rahey hongey ya aagey rahengey tou hum tript rahein...pakshiyo mei kaag bhushundi roop mei kaovey ko bhojan dekar khud ko pakshi joon mei tript kartey hain..chintiyo ko bhojan dekar khud ko keet joon mei bhi tript kartey hain...gaay ko khila kar indriyo ko tript kartey hain aur gaay k gobar k kandey par bhojan ko agni se jala kar dhuney k roop mei swayam ko vaayu roop mei li hui joon se yaani atript aatm roop ko tript kartey hain aur paanch tatvo se baney shareer ko paanch tatvo k bhojan se hi tript karney ka prayaas hai aur shradhdha hai apney hi atript janmo k janam k prati kyoki hum hi khud humaarey poorvaj hotey jaatey hain janam leney ki prakriya mei kyoki atripti aur karmo ki gati spring ki tarah hai aur hum yahin gol gol oopar se neechey aur neechey se oopar ghoomtey rah jaatey hain...sri bhagvaan humey isi spring ko ek tej jhatka dekar uchhaal deney ki baat kah rahey hain jissey hum is spring k oonchey uchhaal se itni oonchaaii tak ja sakein k sri bhagvaan se milkar avinaashi tatva ho jaaein aur janam maran se chhot kar khud ko apney hi pitaro se mukt kar lein aur ye tabhi sambhav hai jab dhyan ki us avastha ko hum pa lein jahan koi bhaav shaish nahi rahta....
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi mehrotra...


ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[ 56 ]

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[ 56 ]
...SRI BHAGVAN kahtey hain k jo vyakti baahri shaaririk indriyo ko vaasna k sukh se MUKT KAR CHUKA HAI AUR SANSAARI VAASNA AUR TRISHNA KI BHOOKH SE MUKT HOKAR AATMA K KENDRA MEI STHIT HAI...aisa jeev sharer ki atript rahney waali aur punah punah uthney waali bhookh aur trishna se mukt ho jjata hai aur ussey uttpann honey waaley kash aur dukh se bhi mukt rahta hai aur param tatva mei ekakar hokar sthir pragya hokar sadaiv samaan roop se aanandit rahta hai aur har prakaar k kasht se bhi mukt rahta hai...aisa jeev poorantaya paripakva ho jata hai aur kaamnaao,vaasnaao aur irshya k sath hi uttpann honey waaley krodh se bhi mukt ho jata hai...jaisey fasal pakney par jau,genhu,dhan ki ek baali ka dana dekhkar hi jana ja sakta hai k fasal wo baali kitni paki hai usi prakaar jeev k baahya indriyo k kriya kalaap se hi jana ja sakta hai k baudhdhik star par jeev kitna sthir pragya hai aur aatam kendrit aur aatam yogi hai aur antar mei kitna yogik star par mukt hai...jo jeev apni kaamnaao ki bhookh par niyantran kar k prakriti mei anya sahcharo k sath koi kaamna,irshya,dwaish,spardha,laabh,haani,aur anya koi bhi aakaanshaaao se mukt hokar antar mei sthit rahkar aanand mei yog karta hai aur apna baahya vistaar samet kar antar mei unka vistaar yog k dwara karta hai aur nirmal hokar bina kisi kasht,dukh k aanandit hota hai wahi jeev vaastav mei mukt hai aur sri bhagvaan ko praapt karta hai....aisa jeev naabhi k Kendra se shwas lekar antar mei hi sthit rakh kar dhyan ka yog karta hai aur usey baahya jagat ka koi aabhaas hi nahi rahta aur is prakaar sharer hotey huey bhi sharer se mukt rahta hai...aur kisi bhi bhaav se mukt ho jaaney k kaaran wo mera param priya bhakt SRI BHAGVAN mei hi milta hai aur janam leney se mukt ho jata hai....aisa jeev kewal mukt honey k liye hi karm yog aur dhyan yog karta hai aur fir kisi bhi bhaav se mukt ho jata hai aur uska dhyey kewal sri bhagvan ko praapt hona hai aur fir iska fal bhi wo jeev swayam hi praapt karta aur bhogta hai aur mukt ho jata hai....aisa jeev sampooran srishti mei...brahmaand mei...charachar jagat mei aur hark an...anu mei kewal SRI BHAGVAN ka swaroop hi dekhta hai aur is prakaar swayam avinaashi roop hokar SRI BHAGVAN mei ekakar ho jata hai....
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi mehrotra...