Thursday 3 October 2013

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[71]

...ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]—[71]
--71---Apney bhakto k Vishay mei SRI BHAGVAN sadaiv prem bhaav rakhtey hain...unkey liye har bhakt apni manokaamnaa k anuroop bhakti karta hai aur sri bhagvaan apney bhakt ko uska manovaanchhit prem bhi detey hain...sri bhagvan k anusar 4 prakaar k bhakt hotey hain...gyan ki praapti k liye jo bhakt sri bhagvan ko samara kartey hain wo gyaani sri bhagvan k brahm roop ko jaan leney k liye sri bhagvan se judtey hain par udhdhav ki bhaanti rookhapan unko gher leta hai aur o brahm roop jaan leney k baad bhi mukt nahi ho paatey kyoki mann se sanyaasi nahi hain...jo bhakt apni aakaanshaao aur ichchhaao ki poorti k liye sri bhagvan ko bhajtey hain k humey vijay miley,yash miley ya putr miley ...aisey bhakt sansaar ka such tou pa letey hain sri bhagvan ki kripa se par sri bhagvan k kewal shareer se judey rahtey hain...sri bhagvan ka moorti poojan,snaan dhyan ,shringaar bhi kewal apni ichchhaao k liye kartey rhtey hain aur ek k baad ek trihna mei ulajhtey jaatey hain aur mukt nahi ho saktey...jo bhakt apney sharirik ,mansik aarthik,samajik aur anya rog ,dukh shok,vyaadhi k naash k liye sri bhagvan ko bhajtey hain wo kubja ki tarah kewal shareer tak seemit rah jaatey hain aur mukt nahi ho paatey jabki wo jaantey hain k unkey paas avinashi tatva swaroop sri bhagvan hain par wo shareer se judey rah jaatey hain aur chauthey prakaar k bhakt wo hotey hain jo sri bhagvan ka bhajan kewal samarpan aur prem k sath hi kartey hain aur unhey koi bhi aakaansha nahi rahti wo hi sri bhagvan k sabsey priya bhakt hotey hain aur aisey gyani bhakt hi mukt hotey hain aur avinashi tatva kop rapt kartey hain....SRI BHAGVAN kahtey hain k job hi bhakt yog sanyaas bhajan bhakti samarpan gyan dwara unhey jaan leta hai us bhakt ki manokaamnaa sri bhagvan usi k anuroop pooran kartey hain jaisey jisey dhan ki aakaansha ho usey dhan roop mei praapt hotey hain...jisey dharm chaahiye usey dharm detey hain aur jo bhi bhakt jo ichchhaa karta hai usey wahi praapti hoti hai aur job hi bhakt jis bhi devta ko apna poojan samarpit kartey hain sri bhagvan usi devta k roop mei us havishya ko graham kartey hain...taatparya ye hai k sri bhagvan bhakt k prem,shradhdha aur bhakti mei virajmaan rahtey hain aurhar roop mei ek avinashi Vishnu,mahavishnu.sri Vishnu roop mei sab graham kartey hain...kyoki sri bhagvan k aisey bhakt itney nirmal ho jaatey hain k unhey har devta aur kan kan mei sri bhagvan hi dikhtey hain aur isliye wo bhakt jis bhi devta,manushya ya pashu roop ko poojtey hain wahan sri bhagvan hi upasthit rahtey hain...aur bhakti bhaav ka prasaad graham kar letey hain...sri bhagvan kahtey hain k karodo devta hain aur jaisey manushya hai waisey devta hain aur devta bhi manushya k kiye yagya k havan se tript hotey hain tou jo manushya kam budhdhi waaley hotey hain wo mere avinashi roop ko nahi jaantey aur kewal devtaao tak seemit rahkar un abhisht devtaao k lok tak hi ja paatey hain aur punah sansaar mei bharmatey hain par jo bhi sri bhagvan k avinashi tatva ko jaantey hain aur sampooran bhakti poojan kisi ko bhi sri bhagvan k roop mei hi arpit kartey hain unhey sri bhagvan ka avinashi lok praapt hota hai...SRI BHAGVAN NEY ANEKO PARITAYAKT STRIYO KO APNI SHARAN DI AUR UNKO SWEEKAAR KAR APNI PATNI KA DARJAA DIYA AUR STRI KO SHRESHTH AUR SAMAANNIYA BATAYA AUR STRIYO K LIYE BHI SRI BHAGVAN NEY KAHA K JO STRIYAN UNHEY BHAJTI HAIN PREMI ROOP MEI YA KISI BHI ROOP MEI WO ASHOBHNIYA NAHI HAI KYOKI SRI BHAGVAN TOU JAL MEI RANG,SUGANDH K SAMAAN HAIN AUR JO BHI US JAL KO GRAHAN KARTA HAI SUGANDHIT AUR SHEETAL HO JATA HAI AUR MEERA BAAII ISKA UDAAHRAN HAIN....sri bhagvan agochar hain...alakh hain...agam hain ..isliye unko koi nahi jaan patapar jo gyani yogi bhakt hain wo hi unko praapt kar paatey hain...jeev k netro par maya ka bhram ka parda honey k kaaran gyan nahi udit hota aur jeev bhramit bahtakta rah jata hai...vedo mei chetan purush roop mei sri bhagvan ka hi ullekh hai k aadhyaa dwara ye sansaar yu hi rachta rahta hai aur job hi leela ho chuki hain wo pahley bhi kaii kalp mei huii hain aur aaney waaley aneko kalpo mei hoti rahengi kyoki ye sansaar yogmaya se bhramit hai aur ye yogmaya sri bhagvan jo sadaiv rahney waaley aanand roop hain aur niranjan hain...unmey hi vaas karti hain..bhram mei parhey jeev nit harsh aur shok mei doobtey aur utartey rahtey hain aur unko gyan ho nahi pata kyoki indriyo ko bhagney ko hi param satya jaankar wo sansaar mei hi lipt rah jaatey hain...wo sri bhagvan ko praapt nahi kar paatey aur sadaiv chalney waali in leelaao ko nahi samajh paatey...aur jo bhakt sri bhagvan k param satya ko jaankar sansaar mei mukt hotey huey rahtey hain wo shareer se nahi judey rahtey aursri bhagvan k avinashi roop ko praapt kartey hain aur sampooran sthholta unki chhoot jaati hai aur wo avinashi roop ho jaatey hain jaisy meera baaii ji mukt ho gaii....
.....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi mehrotra...

Wednesday 2 October 2013

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[70]

 ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[70]
...[70]—SRI BHAGVAN arjun ko ab bata rahey hain k sri bhagvan mei yog kar k gyan dwara mann se sanyaasi hua yogi bhakt har tarah se mukt ho jata hai..koi jigyasa aur trishna unki shaish nahi rah jaati...sampooran tatva gyan unko praapt ho jata hai aur sampooorntaa ko praapt ho jatey hain wo bhakt...wo bhakt sansaar se alag ho jaatey hain par mukt tab bhi sab nahi ho paatey...kyoki bhakti mei doobna aur mann se pooran sanyaasi hona bada dushkar hai aur ek ansh maatr bhi ya laish maatr bhi yadi koi bhaav shaish rah jata hai tou wo yogi mukt nahi hota par sansaar se alag hokar apni aagey ki yaatra karta hai...aur jo mukt bhi ho jaatey hain par un sabhi mukt huey yogi bhakto mei se bhi koi khaas hi yogi bhakt sri bhagvan k agochar agam tatva ko jaan paataa hai....yaani mukt honey k baad bhi yaatraa shaish rahti hai aur us yaatraa ko pooran kar k hi sri bhagvaan ka pooran dhaam milta hai....sri bhagvaan se hi uttpann 8 tatva hain...dharti ka tatva deh ka maans hai,utsarjan aur visarjan hai,jal ka tatva rakt aur shareer mei 90%jal ki upasthiti hai,vaayu tatva shwaas aur rakt ki laalima aur jeewan ka tatva hai,aakaash ka tatva failaav hai...udar mei bhookh ki agni tatva hai aur chinta mei,irshya mei,shatruta mei,krodh mei jo jalan hoti hai wo bhi agni tatva hi hai aur shareer ka tej bhi yahi agni tatva hai....ab in 5 tatvo se tou shareer nirmit ho gaya aur yahan k ye tatva yahin se judey aur yahin baahar dikhney waaley inhi tatvo mei ek din vileen bhi ho jaatey hain par inki sthoolta mei mann ki chanchalta aur mann se uthtey tarah tarah k bhaav,aakarshan,vikarshan,trishna aur unsey prabhaavit hota hua ye sansaar aur swayam ye shareer sthoolta praapt karta jata hai aur budhdhi jo gyan,soch aur vichar ko tark se jodti hai in 5 tatvo k sath mann k bhaav ko jodti hai aur mann k bhaav dwara shareer ki indriyo se karm karvaati hai aur inko aagey barhaata hai ahankaar ka tatv...jo sansaar mei is shareer ko dharan kiye jeev ko ek doosrey mei kisi na kisi tareekey lipt karta chalta hai aur in sabhi 8 tatvo ko sanchaalit karti hai sri bhagvan k netro mei vaas karney waali yogmaya jo jeev ki drishti ko hi bhramit kar deti hai aur jaisi poorv gati hoti hai usi k anuroop jeev ki drishti bhi kar deti hai aur jeev karm karta hai...sri bhagvan k har rom rom ki ek alag maya hain aur is prakaar krodo maya hain aur krodo mann k bhaav...jis prakaar ek pahiya baahar ghoomta dikhta hai par hakeekat mei us pahiye ko ek dhuri ghumaati hai aur us dhuri ko ek lambaa baans ya lauh dand dhaaran karta hai aur us dand ko sabse andar nirmit yantr ghumata hai aur us yantr ko indhan chalata hai usi prakaar maya bhi sri bhagvaan se upji hain aur sahastr brahmaand bhi sri bhagvaan se upjey hain aur swayam sri bhagvaan k sansaari shareer k janam data mata pita bhi sri bhagvan se upjey hain....jaisey asankhya moti ki mala kewal ek painch se judi rahti hai chaahey uski kitni hi ladiyaan ban jaaein..sampooran brahmaan ka ojasva roop sri bhagvan hi hain...sadaa rahney wala ek aisa beej sri bhagvaan hain jinsey sab kan uttpann hotey hain...jaisey ek pramukh bargad ka vriksh hota hai parantu uski apni latakti huii jadein itni failti jaati hain k door door take k hi se swaroop k asankhya bargad k vriksh nazar aatey hain aur mool vriksh itna bheetar kahin chhup jata hai k samajh hi nahi aataa k kon sa mool vriksh hai par wo hota hai aur wahin atal apney sthan par sthit hota hai usi prakaar sri bhagvaan bhi agam,anaami,atal m,avinaashi tatva hain ...mool hain par itney door hain k hum vismrit kar jaatey hain...isi prakaar sri bhagvaan satv,raj,tam in sabhi guno se itney oopar hain k nirgun swaroop hain aur job hi yogi bhakt in tatvo se oopar uth kar sri bhagvaan se judega wahi sri bhagvan k mool swaroop tak pahuchega varna anekanek maya mei bhramit hota hua vismriti mei is bargad roopi van mei bhatakta rah jaayega....
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI....
--- Chhavi Mehrotra