Wednesday 28 August 2013

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[55]

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[55]
[55]...SRI BHAGVAAN kahtey hain k Brahman aur wo bhi achchhey parivaar mei janam leney wal Brahman..ab samajhney waali baat yahi hai k Brahman hi kyo???brahman yaani brahm ka jismey anu ya ansh ho...ab brahm ka ansh tou sabmey hai kyoki aatmaa hi brahm roop hai...parantu yahan yahi samajhna hai...brahm tatva sabmey hai parantu is brahm tatva ka sangyan kewal gyan k uttpann honey k baad hi hota hai...brahm k ansh kaa gyan hona apney bheetar aur us tatva k gyan k baad budhdhi ko usi tatva ki prakaashtha tak le jana hi Brahman hona hai aur wo hi jeev Brahman ya pandit hota hai jo char achar sab praaniyo ko...jeevo ko...sur,asur,daitya,daanav,pashu,pakshi,paravat,nadiyaan aur sampooran brahmaand ko swayam k bheetar ek tatva mei mahsoos karta ho...saman bhaav se har paristhiti ko dekhta ho..na kasht ,haani mei shok karey na laabh aur such k pal mei aanandit ho...yaani har pal paristhiti,parivesh mei samaan bhaav rakhey aur har bhaav se oopar uthkar samaan roop se aanand aur shanty k bhaav mei sthit rahey wahi pooran gyaani..pandit..brahman ya brahm swaroop kahtey hain...
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI..
--- Chhavi Mehrotra

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[54]

..ARJUN AUR DHARM YUDHDH---[CONT]---[54]...sri bhagvaan kahtey hain k jeev ko apni oorja ka aabhaas nahi hota aur sab poorv karm vismrit ho jaatey hain aur ye jeev k apney poorv janam k karm k aadhaar par hi hota hai aur isi k kaaran agyaan uttpann ho jata hai aur agyaantaa k kaaran jeev maya ki oorja k prabhaav se sansaar k jhooth ko bhi satya sa jaankar isi mei lipt hota jata hai...parantu jeev jab mujh mei dhyaan lagaa kar rakhta hai tou usey gyan honey lagta hai aur dheerey dheerey maya ki oorja ka prabhaav kam honey lagta hai aur jeev ko sansaar ki kchhudrtaa ka aabhaas honey lagta hai...jaisey sooraj ko kabhi bhi andhkaar nahi hota kyoki wo swayam mei oorja ka srot hai usi prakaar jab jeev ko sri bhagvaan mei dhyan lagney lagta hai tou uska agyan usi prakaar kaali ghata sa chhantney lagta hai aur sooraj roopi gyan ka prakaash usey sahi maarg dikhaaney lagta hai..fir jaisey jaisey gyan roopi taap barhta hai tou maya k agyan se uttpann lipsa ka geelapan sookhney lagta hai aur fir jab pooran gyan ho jata hai tou poori tarah se lipsa bhi sookh kar samaapt ho jaati hai aur jeev sookshm roop ho kar sri bhagvaan se aikaakaar ho jata hai aur maya ki oorja se mukt ho jata hai aur fir punah janam maran aur garbh k bandhan se mukt hokar param tatva mei aikaakaar ho jata hai...mukt ho jata hai...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[53]

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[53]....sri bhagvaan kahtey hain k jo jeev aatm gyan k dwara indriyo ko niyantrit kar k bhookh ki pardhi ko paar kar jata hai aur kisi bhi prakaar ki bhookh se mukt ho kar tript ho jata hai wo mukt ho jata hai aur sadaiv tript rahney k kaaran shant aur aanand mei rahta hai...sri bhagvaan kahtey hain k srishti ki rachna bhi sri bhagvaan se hui aur paalan bhi sri bhagvaan se hota hai aur sab kuchh sri bhagvaan mei hi vileen hota hai par itna sab honey k baavajood sri bhagvaan kuchh nahi kartey aur hark arm se mukt hain kyoki sab kuchh sri bhagvaan ki oorja se uttpann maya ki oorja se kriyaanvit ho raha hai aur swatah hota jar aha hai...sri bhagvaan kisi bhi jeev k dwara ho rahey karmo se mukt hain aur jeev job hi karm kar raha hai uskey kisi bhi paap ya punya se sri bhagvaan mukt hain...jeev k apney karm apni oorja se ho rahey hain jo jeev k apney arjit gyan ki oorja se hotey jaatey hain aur sri bhagvaan ki maya ki oorja dwara unko sri bhagvaan tak pahuchney se poorv hi jeev tak vaapas usi k karmo k roop mei pratiuttar ki tarah praavartit kar diya jata hai aur jab jeev ant mei sri bhagvaan mei milta hai tou apney karmo ki oorja ko sri bhagvaan ki maya ki oorja mei sokhtey huey keval sri bhagvaan k roop mei hi hokar mil jata hai aur fir karmo k anusaar us jeev ki wahi oorja jo maya ki oorja mei avshoshit hui thi punah sri bhagvaan se uttpann hui oorja se milkar apney poorv karmo ki oorja k anuroop hi prakat hokar punah karm karti hai aur gyan arjit karti hai aur tab tak isi prakaar ye prakriya chalti hai jab tak jeev is bhookh se mukt hokar tript nahi ho jata aur paap aur punya k antardwand se mukt hokar aanand roop nahi ho jata...
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
----- Chhavi Mehrotra

Thursday 22 August 2013

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[ 52 ]

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[52 ]
---------------------------------------------------------
[ 52 ]---Kamal ka pushp budhdhi aur gyan ka prateek hai..jitna vishal kamal aur jitney dal ka kamal utna gyan ka vistaar…gyan prakat honey par jo apney hi sansaar yaani shareer aur indriyo ki vaasna se mukt ho kar sanyaas le ley wo hi yogi hota hai…jis prakaar kamal apni lambi..patli parantu nalika k samaan naal se paani aur keechad ka poshan letey huey bhi virakt bhaav se saundarya ki poornta rakhta hai usi prakaar jeev ko bhi apni budhdhi se paar brahm tak ki nalika ko khokhla yaani rikt rakhna hai jissey sansaar k keechad mei ramey huey ishwariya prakriti k tatva jo bhakti ras se bharey ho aur gyan ka jal se pooran ho….jeev roopi kamal ko vishaalta, aadhyaatm , sanyaas aur yog tak pahucha sakein aur sanyaas usi prakaar saakaar hoga jaisey kamal ko wahi jal aur keechad dooshit hi nahi kar paataa jismey wo poshit ho raha hai aur poshan bhi usi se le raha hai…jaisey ..JAL MEI KUMBH AUR KUMBH MEI JAL HAI…BAAHAR BHEETAR PAANI…kamal ki keechad us vyakti ko zaroor ganda kar deti hai jo kamal ko todney jata hai aur wahi kamal us paani aur keechad se alag hotey hi kumhala jata hai aur jeevit nahi rah pata…usi prakaar yogi bhakt ko jo bhi uskey mool se alag karney ka prayaas karta hai ya sanyaas aur yog se  todney ka prayaas karta hai wo avashya us keechad mei rangega aura lag se ganda bhi dikhega lekin us kamal k poshak tatvo se kuchh samay k liye sushobhit bhi hoga…jeev ko bhi kamal k samaan karm karna chaahiye aur virakt ,sanyaas bhaav mei pallavit hona chaahiye..tabhi gyan saakaar hoga aur brahm aur jeev ka adwait hoga aur har karm k kisi bhi prakaar k bhaav se mukt hona hi yog dwara paar brahm se jodega…
...RADHASWAMIJI..JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

Wednesday 21 August 2013

ARJUN AUR DHARMYUDHDH...[CONT]---[ 51 ]

…..ARJUN AUR DHARMYUDHDH…[CONT]—[ 51]
 ..Arjun sri bhagvaan k dwara samjhaaye karm ki vivechna k baad bhi shankit hai…k sanyaas aur yog karm kya hai???hum bhi isi shreni k jeev hain…shaastro ka gyan leney k baad budhdhi ko kendrit karna hota hai karm ki oar aur yahi karm hotey hain jo jaan boojh kar sahi kiye jaatey hain par jab jaantey huey bhi jo karm ashudhdh kar diye jaatey hain wo vikarm hi hongey aur jaan boojh kar aalasya k kaaran jo karm kiye hi na jaaein wo akarm hi ho jaatey hain…par sanyaas karm hain k jo sansaar mei rahtey huey bhi virakti se kiye jaaein wok arm…par sansaar mei rahtey huey virakti hoti nahi jeev ki…is baat ko hum is tarah samajh saktey hain…k jaisey grihni subah saverey se bina kisi laabh haani swaarth k ek nirvikaar bhaav se grih shudhdh karti hai…bhojan banaati hai aur sabhi parivaarik sadasyo ki zaroorato ka dhyan rakh kar suchaaru roop se uchit karm karti jaati hai woe k sanyaas hai…aur jab isi sanyaas mei bhakti prem ka samanvay hota jata hai aur poorantaya sabhi karm apratyaksh roop se ishwar ko samarpit hotey jaatey hain aur sharer …mann…vaani…indriyo aur aatmaa k sath yukt hokar aur jod kar sabhi karm aur parivaar k sadasya ishwar roop mei drishtigat honey lagtey hain tou wahi karm ka yog roop ho jata hai…isiliye sri bhagvaan kahtey hain k sanyaas karm yog k bina sambhav nahi hai…iska matlab yahi hai k pahley sharer ,budhdhi,mann,indriyo aur aatma k sath chetan ,avchetan k sath sri bhagvaan se judna hai aur wahi bhakti prem ki dhaar sampooran brahmaand k jeevo k prati apney bhaav aur karm mei bahaani hai aur fir ussey jo nirvikaar bhaav uttpann hoga wo sanyaas bhaav hoga aur fir yahi karm yog roop ho jayega…is prakaar k bhaav se karm karney waaley jeev ko koi dosh nahi hota…jaisey gautam budhdh ney angulimaar ko apni sharan mei liya aur ek kaatil se aanand bana diya usey sanyaas aur yog karm ki shiksha dekar…isi prakaar jo kasaaii hai aur bakra,murga ya anya pashuo ki bali dekar unka maans khaatey aur khilaatey hain unse zidd karkey yadi pashu chhudaa bhi liye jaaeyngey tou bhi wo kasaaii hi rahengey aur jeev hatyaa nahi chhorhengey tou jeev hatya rokney k liye kasaaii ko hi daya,karuna,sahridayta aur prem se sanyaas aur yog karm sikhana hoga aur uskey liye pahley swayam ko  sooraj k samaan gyaanvaan aur shradhdha ka paatr banana hoga k koi bhi jeev sharan mei aakar prakaasmaan ho sakey aur hinsak samrat ashok se ahinsa ka pujaari  mahan ashok ban sakey…..
….RADHASWAMIJI…JAI SHRI KRISHNA JI..
---Chhavi mehrotra

Friday 16 August 2013

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT...]---[48,49,50]

ARJUN AUR DHARMYUDHDH....[CONT..].[48,49,50]...
.....48,49,50---SRI BHAGVAN arjun ko karm ka gyan de rahey hain...aur ye karm wo hain jo har pal lamha har saans k sath kisi na kisi roop mei lagaataar ho rahey hain..karm aur karm ki gati ko jaan lena har jeev k vash mei nahi hota hai aur jo is bhaid ko jaan ko leta hai wo mukt ho jata hai...shastro mei jo brahm gyan se varnit karmo k anusar karm karta hai wo jeev sahi maayney mei sharer aur aatma se karm karta hai...jeev janam se hi jo karm kar raha hai sharer aur indriyo k dwara wok arm hi hain aur yahi sanvchit karm hotey jaatey hain jo is vartmaan janam mei judtey huey karm hotey jaatey hain...jo mann aur vicharo dwara ya prakriti dwara swayam hi sampaadit hotey rahtey hain unhey vikarm kahtey hain kyoki in karmo ko jeev apney bhaav dwara shudhdh karney ki cheshta bhi karta hai par sansaar se nahi chhoot pata..aur jo karm jeev apney aalasya k kaaran nahi karta ya zaroori aur naitik honey k baavjood nahi karta wo akarm ho jaatey hain...in sabhi karmo ko jo jeev tol mol kar naitikta aur dharm k sath shaastro k anusaar sampaadit karta hai wo jeev budhdhimaan...sanyami aur satyakarmi kahlaataa hai.. SRI BHAGVAAN kahtey hain k sabhi karm hotey jaatey hain aur pravrittiyo k anusaar honey hi hain par jo jeev poorantayaa sri bhagvaan ko samarpit ho jata hai aur kisey brahm ka gyan ho jata hai aur jo jeev pooran brahm ki pooran gati ko samajh leta hai wo karm se virakt hota jata hai aur usey karm se koi bhi trishna ki poorti nahi karni hoti aur uskey sabhi karm swatah shwaas k dwara hari sumiran ka sath sammilit hotey jatey hain..us jeev ko vaasna ichchhaao aur krodh aadi se swatah mukti hoti jaati hai kyoki usey kisi se koi spardha hoti nahi hai..wo pooran gyani aur tyaagi ho jata hai...aisa gyani tyagi jeev brahm ki ichchhaa jaankar har vastusthiti mei prasann rahta hai aur har paristhiti ko brahm ka prasaad maankar sheet,taap,harsh ,shok,nafaa ,nuksaan sab aanand roop mei graham karta jata hai aur santusht rahta hai..wo jeev mukt rahta hai...nirvikaar rahta hai...nirbandhan rahta hai.... ..karm yagya roop hai aur aur jab ye samast sansaar brahm roop hai tou hark arm yagya brahm roop hai…yagya karta…yagya ka bhaag leney wala…yagya ko praapt karney wala,arpan karney wala,leney wala,sab brahm roop hi hai..budhdhi k brahm roop se karm hota hai…apna abhisht praapt karney k liye devtaao k liye kiya jaaney wala yagya,brahmaagni se brahm vritti aur brahm agni se prajwalit indriyo mei shabd,,..bhaav ..trishnaa aur bhookh ki aahuti bhi brahm roop hai…is sansaar mei sharer..mann aatmaa aur chetan ki kshudhaa poorti k liye job hi karmo ka hom ho raha hai sab brahm roop hai bass itna fark hai k kab kahan kis jeev ney kis tarah se brahm k swaroop ko sweekaaraa hai aur cheshta ki hai…dhan…sharer…trishna…bhojan..priyajan aadi aneko prakaar ki aahutiyaan deta hai jeev…sharer ko kasht dekar yagya karta hai jeev…mann ko baandhney ki cheshta karta hai jeev par mukt hona itna saral nahi hai…jeev kahin na kahin apney hi vishayo mei ulajhta jata hai…pran,apaan,vyan,udaan k dwara karm yagya mei aahuti apney hi karmo kid eta hai jeev..pranayaam se swayam ko niyantrit rakhtey hain jeev…jeev asankhya prakaar se shareer,mann,indriyo aur aatma ko niyantrit kartey huey aatam bal ko barhaatey huey karm karta jata hai parantu jo jeev niyamaanusaar karm kartey hain aur jaisa karm yagya kartey hain aur usi k anuroop prasaad yaani aanand praapt kartey huey santusht rahtey hain wo dheerey dheerey sanaatam brahm ko praapt hotey hain..is ko jaantey huey apney karmo ko shreshth se adhik shreshth kartey jana chaahiye aur brahm ko jaantey huey shreshth karm karney chahiye…sri bhagvaan kahtey hain k koi bhi daan kitna bhi bahumoolya kyo na ho par yadi wo daan pooran brahm gyan se prerit hokar nahi kiya gaya hai…yaani us daan zara sa bhi aasakti ka bhaav hai ya swaarth ka ya anya koi bhi nimn bhaav nihit hai tou wo daan bhi kabhi bhi dharmpooran parinaam nahi dega…wo daan deney waaley ko aur leney waaley ko dono ko hi uchit parinaam ya fal nahi dega…jaisey kisi bhi ashudhdh ya adharmi ya nimn aacharan karney waaley se liya gaya ann ya dhan kabhi bhi dhyan .bhajan,sumiran mei sahayak nahi hoga… sri bhagvan kahtey hain k jo jeev ashradhdha,agyan aur shankit drishti k kaaran pooran samarpan nahi karta aur sahi karm nahi karta hai wo na tou is sansaar ka such ley pata hai aur na hi parlok mei aanand le pata hai…jis prakaar dahleez par khada vyakti aagey nahi barhta bhay aur shankit drishti k kaaran aur wo vyakti na tou agley darvaajey k baahar ka naya ujala dekh pata hai aur na hi peechhey laut pata hai peechhey k andhkaar k kaaran…usi prakaar jo jeev pooran gyan praapt nahi karta aur pooran samarpan ishwar k prati nahi karta wo kahin ka nahi rahta aur beech mei trishanku ki bhaanti latka rah jata hai…gyan ki agni mei sabhi bhram,trishna,kshudha,shankaaein,jal jaati hain aur jeev indriyo ko niyantrit kar antar mei aanand mei rahta hai….aisa jeev karm ko bhi brahm roop jaanta hai aur sampooran sansaar ko apney aur brahm k ek hi swaroop mei jaanta hai uski sabhi shankaaein mit jaati hain aur wok arm yog mei brahm ko brahm se hi jodta hai aur is sansaar k kurushetra mei yudhdh karta hai aur dharm ka sath deta hai…
----RADHASWAMIJI…JAI SRI KRISHNA JI…
---Chhavi mehrotra

Monday 12 August 2013

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[45,46,47]

 
ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---45,46,47
---45,46,47—SRI BHAGVAAN kahtey hain k sri charno mei prema bhakti bhi jeev ko uskey karmaanusaar hi milti hai...jaisa tulsidas ji ney RAMCHARIT MAANAS mei kaha hai k ...’
’JAAKI RAHI BHAAVNA JAISI...PRABHU MOORAT DEKHI TIN TAISI...’’
..matlab yahi k jiska jaisa hriday ka ...vichaar bhaav rahta hai wo jeev prabhu k charitro mei bhi waisa hi roop dekhta hai aur sochta hai aur varnit karta hai...bass waisey hi sri bhagvaan bhi swayam ko jeev ka aaiina kahtey hain aur kahtey hain k mai bhi jeev ki bhakti k anusaar hi ho jata hu aur us jeev ko uskey bhaav k anuroop hi praapt bhi ho jata hu...sri bhagvaan kahtey hain k merey bhakto ney na jaaney kitney janam jamaantar mei meri bhakti ki hai aur mera sumiran kartey huey aanand letey rahey hain aur unhi bhakto ney meri bhakti aur prema bhakti bhi praapt kiya hai..unka chitt shudhdh hai aur antahkaran bhi shudhdh hai par pratyek jeev ko meri prema bhakti nahi milti kyoki jis jeev ney mujhmey chitt lagaya hi nahi usey mera pratibimb bhi kaisey dikhega???sri bhagvaan har trishna...vaasna se parey hain isliye wo atal hain...achintya aur shaashwat hain par jeev unhi ki ansh hai aur unhi mei samataa hai...is baat ko hum is tarah se samajh saktey hain k jaisey ganga aviral bah rahi hai aur bangaal ki khaadi k saagar mei nishchit milti ja rahi hi par jab jeev nishchit mrityu k vichaar se bhara hua apni mrityu k baad usi ganga mei mil kar us saagar tak ja milta hai wo bhakti ka parinaam hai par jo jeev ganga k kinaarey apna ghar banaa kar rahtey hain aur kabhi bhi ganga k vaig mei achaanak bah jaaney ki bhi chinta nahi kartey aur apni trishnaao ki neend mei bass jeevit rahtey huey chaltey jaatey hain aur ek din achaanak ganga ki baarh mei bah jaatey hain wo prema bhakti mei sri bhagvaan ko shukriya nahi kah paatey balki iskey ulat rotey hain aur sri bhagvaan ko apney dukho ka kaaran jaantey hain aur dosh detey hain...sri bhagvaan jeev mei uski soch...bhaav k anuroop hi hain aur usi roop mei praapya hain...devtaao ki aaraadhna jeev trishnaao ki poorti k liye kartey hain aur devtaao dwara ichchhaa poorti bhi hoti hai par ye bhi nishchit hai k sri bhagvaan ki ansh unhi mei milegi isliye devtaa bhi vidhi ka vidhan nahi badal saktey aur isiliye apney apney karmo ka bhog apni soch aur vichaar bhaav k anusaar bhogtey huey jeev atript hi rahtey huey mar jaatey hain aur sri bhagvaan ki prema bhakti se bhi alag ho jaatey hain..inhi vichaar bhaav k anuroop hi sri bhagvaan se braahman , kshatriya , vaishya , aur shoodr uttpann huey aur ye dhyan deney waali baat hai k ye sab jaatiyaan bhaav se hain kyoki jiska jaisa bhaav aur soch hogi jeev waisa hi karm bhi karta hai tou fir waisa hi roop apney bheetar sri bhagvaan ka bhi praapt karega aur usi k anuroop prema bhakti ya sansaar ko praapt karega...
---RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...

---Chhavi Mehrotra

Wednesday 7 August 2013

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---41,42,43,44

....ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---41,42,43,44

..41,42,43,44---SRI BHAGVAN arjun ko samjhaatey hain k jo gyan arjun ko sri bhagvaan de rahey hain wo swayam pooran brahm roop sri bhagvaan ney sooraj ko diya aur sooraj ney wahi gyan apney putr manu ko diya aur manu kalpaant mei srishti k samaapt honey k baad srishti mei maanav ka punarjanam chalaatey hain aur gyan bhi wahi detey hain tou manu ney wahi gyan ashtavakr ko diya aur is gyan ko raja janak ney graham kiya aur aatmsaat kiya aur ashtaavakr jaisey mahaan kaaljay baal vidwaan maharshi ko sammaan diya aur us brahm gyan k sath rajya kiya aur deh k sath videh hokar indriyo ko vash mei kar k param pad ko praapt bhi kiya aur raajarshi huey...kahney ka matlab yahi hai k indriyo aur mann par itna niyantran ho k na tou kuchh bhi aisi abhilasha ho k us abhilasha k liye trishna k bhanvar mei fans jaaye aur jab tak wo abhilasha poori na ho baichaain rahey aur kuchh bhi praapt karney k baad khushi mei sab bhool jaaye ya kuchh bhi khoney k baad itna dukhi ho jaaye j vikshipt ki bhaanti ho jaaye...sri bhagvaan se arjun ney itna prem kiya j sri bhagvaan uskey prem k vashibhoot hokar usey ye param brahm ka gyan de rahey hain..ye gyan srishti k nirmaan se bhi bahot pahley se hai aur nitya hai sri bhagvaan k sath ...sri bhagvaan kahtey hain k wo nitya hain par arjun k sath aneko baar sharer dhaaran kar chukey hain aur yah bhi sahi hai k sri bhagvaan deh k dharm se alag hain aur pooran brahm honey k kaaran trikaal darshi hain aur aneko baar srishti ka srijan kar chukey hain aur uskey sath hi dharm ki sthaapna k liye sharer bhi dhaaran kartey rahey hain par deh k niyamo mei nahi bandhey honey k baavajood bhi prabhu deh k dharm ka paalan bhi kartey hain aur sabsey mukt hotey huey bhi prem k maadhyam se har jeev se bandhey bhi hain....prabhu janam mrityu k niyam se parey hain par srishti k niyam ka paalan bhi kartey huey dikhtey hain jaisey sooraj rojana uday hota aur ast hota huaa dikhta tou hai par hakeekat mei wahin vidhyamaan rahta hai kewal sansaari jeevo ki drishti se ojhal ho jata hai aur punah dikh jata hai par koi anya us sooraj ka sthan nahi le pata...sooraj tou sooraj hi rahta hai....jaisey sooraj apni rashmiyo ko apney antar mei hi samet k rakhta hai aur unhi ko baahar faaila kar sansaar ko prakaashit karta hai waisey hi sri bhagvaan apney hi antar mei apni maya ko samet kar rakhtey hain aur apni maya se sab sansaar ki rachna kartey hain ...jeev nirmit kartey hain aur sab apney hi antar mei samet letey hain.....sri bhagvaan sansaar mei adharm ka naash kar k dharm ki sthaapna k liye janam letey hain...sri bhagvaan k nishchit kar aur dharm k liye hi prakat hotey hain aur nishchit kaal mei dharm ki sthaapna kar sab leela apney bheetar samet letey hain..sansaari jeev apney karm k anusaar aur moh k anusar trishnaao k adheen hokar janam letey hain aur dukhi sukhi hotey hain par prabhu issey mukt hain...sri prabhu swayam anant aseemit jyoti swaroop hain aur jis prakaar har lok ka apna sooraj hai jo wahan jeewan ka parichaayak hai usi prakaar sabhi loko k anant sooraj mila kar sahastra sooraj k samaan ek anant aalokik prakaash aur oorja ka dadipymaan mandal sri prabhu hain jo asankhya loko aur srishtiyo k srishti karta aur paalankarta aur sanhaar karta hain aur apney hi prakaash punj se inhi aneko loko ko prakat bhi kartey hain aur apney antar mei hi vileen kar letey hain...aneko kaal mei aneko roop mei prakat hokar sri bhagvaan ney raakshaso ka vadh kiya aur apney bhakto ki raksha kar k dharm ki sthapna ki...kabhi matsya avatar lekar sansaar ki punar rachna mei saparshiyo ki sahaayta ki...koormaavtaar lekar saagar manthan karvaayaa...varaah avatar lekar hiranyaaksh se dharti ko chhudaya aur dharti k maan ki raksha ki...narsingh avatar lekar hiranyakashyap ka vadh kar prahlaad ki raksha ki...dhruv ko alag lok pradaan kiya aur har avatar mei sansaar mei dharm ki sthaapna ki...asambhav ko sambhav kiya....sri prabhu k prati pooran shradhdha aur vishvaas rakh kar jo dharm k maarg par chalta hai aur such dukh trishna aur lobh laalach ahankaar k bhaav se door rahta hai wo sri bhagvaan ka bhakt aur avinaashi pad ko praapt hota hai....
---RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra