Friday 28 March 2014

BEECH MEI HUM---[1]


BEECH MEI HUM---[1]
********************
Agar dhyan dein tou ghoda,khachchar aur gadha ek hi parivaar k se lagtey hain...inmey ek aur hota hai tattoo..ab zara se kad kaathi ka fark hai par fir bhi sabmei bahot fark hai...ghoda jab tak tandarust rahta hai baithta nahi hai...ghaas aur chanaa khaataa hai aur behisaab daudta hai par agar zakhmi ho jaaye tou marta bhi jaldi hai...taangey jaisi badi bhaari gaadi kheenchta bhi hai par chaabuk se haankaa jaata hai...khachchar beech ka hai...ghodey gadahey aur tattoo k beech kaa hai...pahaado par saamaan laadney k kaam aataa hai...chaabuk se nahi par chhadi aur lagaam se niyantrit ho jaata hai...tatoo ghodey aur khachchar k beech ka hai....ikkaa gaadi haankta hai aur garv karta hai k ghodey jaisa hai par nahi hai waisa...gadha kisi k beech ka nahi hai aur badaa shaant hota hai...itna sabr wala k kitna bhi bojh laad leta hai aur isiliye moorakh bhi kahlata hai...par in sabhi mei kuchh baatein ek si hain...ye sabhi ghaas khaatey hain...dhool mei lot kar khud ki thakaan utaartey hain aur wakt padney par dulatti bhi maartey hain...ab jo bhi jeev kabhi bhi dulatti maar dey aur apney peechhey khadey honey waaley k liye khatra ho wo ahankaari kaisey nahi hoga????koi bhi usey peechhey se tou dhakkaa dega nahi kyoki lagaam tou aagey hoti hai...bass isi tarah is sansaar mei bhi sabhi jeev alag alag shreniyo k hain par khud ko sarvshreshth maanney k chakkar mei apni dulatti aur dhool mei loney ko hi apna garv maankar karm kiye ja rahey hain....beech waaley tou aur bhi adhik andhkaar mei ji rahey hain...apney darp ka sansaar rach letey hain aur ek seekh tou detey hi hain k unkey peechheyy chalney waalo ko bada soch samajhkar unkey peechhey chalna chaahiye...kabhi gadahey ko kewal gadha samajhkar kriya nahi karni hai kyoki aisa na ho kisi gadahey haankney k chakkar mei chatur insaan hi mitti mei toot foot kar gira ho...inhi chakkaro k chaltey hum sahi baat kahney dartey hain k koi gadaha dulatti na maar dey ya galat baat par koi ghoda itni khilli na udaaye k hum uskey samaksh gadaha nazar aayen..
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI..
--- Chhavi Mehrotra
 —

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[83]

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[83]
---[83]---Is sansaar mei jo bura hai wo bhi kisi achchhey ka paryaay hi hai....keechad hai tou kamal aur singhada bhi astitva mei hai...aankh band ye sochkar nahi karni hai k bura nahi dekhna hai kyoki jab aankh khuli hogi tabhi achchhaa bhi dikhega...aur jab bura dikh hi gaya tou aankh udhar se band nahi karni kyoki aankh band kar k usey khatm nahi kiya ja sakta jab tak wo mann aur dimaag se nahi jaata....isi tarah bura nahi sunna ...balki agar bura sun ney k bhay se agar kaan band kar liya tou achchhaa kaisey suneingey???tou jo bhi suna hai usmey se burey ko bhi achchhaa karna hai....bura nahi bolna tou is bhay se agar munh band kar liya tou achchhaa kab bolengey???tou apney mann aur dimaag par itna niyantran rrakhna hai k indriyo se bhaybheet hokar unhsey achchhaa karney ka bhi raasta na band kar dein...apney bhay par vijay paani hai...ye sansaar jhanjhat nahi hai...ismey rahtey huey apna vikaas karna hai...yahi sri bhagvan ney srimad bhagvat geeta mei samjhaya hai....keechad mei tou hum kamal aur sindhaadey ki kheti hi kar saktey hain ...kamal ko kabhi uskey poorey astitva k sath agar hum dhyan se dekhein tou uskey mool mei jahan uski mool jad hoti hai wo bahot andar uljhi hui kamal jado k beech kahin bahot bheetar andhkaar mei hoti hai aur ussey zyada saralta se kamal jadein uljhi rahti hain aur uskey sath aneko kamal dandiyaan judi rahti hain jo aneko chhidro se bani hoti hai aur paani keechad se bhari rahti hain par fir bhi oonchaaii par laga kamal na keechad aur na jal ,,,kisi se bhi lipt nahi rahta jabki poshan usi keechad se le raha hai aur ussey alag hotey hi murjha jata hai....isi tarah dhyan se garbhodakshaay sri vishnu k swaroop ko dhyan se dekhein tou jeev k astitva ka aabhaas hota hai...paataal ki bhoomi sheshnaag ki tarah ki sanrachna si hai aur aneko valay spring ki tarah bhoomi k antar mei satah par hain jo paataal k swaroop hai aur kshirsaagar yaani humaari bhaavnaao k nirmal ujjwal bhaav naao se nirmit kshirsaagar mei jeev ka avinashi tatva jo aatmik roop hai viraajmaan hai aur apney udar k andhkaar aur gahraaii mei aneko achchhi buri vaasnaao trishnaao ko pachaatey huey isi sansaar k teen taap aur teen guno se kamal jo gyan ka prateek hai usko poshit kartey hain aur usi gyan kamal par jeev apney gyan k aadhaar par apni srishti karta hai jo brahma ka prateek hai..shareer ka nimn bhaag jo taamsikta ka aur gaman ka prateek hai wahan sadaiv laxmi roopa trakki safalta unnatti virajmaan hai jo sadaiv jeev k guno k aadhaar par jeev k adhikar mei hai....isi tarah keechad mei singhaarhey ki kheti bhi hoti hai jo kaanto se bharpoor hotey huey bhi andar se nirmal ujjwal shwet aur meetha hota hai...isi tarah keechad mei raho par oopri aavaran itna kathor aur surakshit ho...chikna ho k us par koi bhi keechad ka ansh na tik sakey aur antar nirmal ho jo aatma ka avinashi tatva hai...hava tou nirantar chalti rahti hai...wahi hava kisi phoolo k gulistaan se aaye tou sugandh laati hai aur kahin mal se aaye tou durgandh laati hai...ab jeev bhi apney vichaar bhaav se waisa hi srishti karta ho jata hai kyoki karmo k dwara mann se soch vichaar k dwara,vachan se vaani aur bolchal k dwara aur kriya se shareer k baahya indriyo dwara nirantar karm ho raha hai aur yahi avinashi jeev k avinashi tatva ka sansaar se aur paarbrahm tak ki yaatraa nirdhaarit karta hai...
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[82]

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[82]
--[82]—Sri bhagvan jeev ki rachna ko samjhaatey hain aur ek ultey vriksh ki tarah bataatey hain...jaisey shishu roop mei jeev maa k udar mei ulta rahta hai usi prakaar jeev ultey virksh ki tarah hai...jaisey vriksh ki jadein jami hoti hain dharti mei usi prakaar jeev roopi ultey vriksh ki jadein sri bhagvan roopi dharti se judi hain aur jis prakaar koi vriksh sookh bhi jaaye par zara si varsha mei uski sabsey gahri jad se komal pattey jeewan k roop mei nikal hi aatey hain usi tarah jeev k agyanta k kaaran samool nasht ho jaaney k baavajood antar se punah jeewan ka ankuran hota hai...isiliye sri bhagvan se judey honey k kaaran ye avinashi hai...jaisey ek mool bargad ki aneko latakti jado se ¬aneko vriksh uttpann hotey rahtey hain aur mool vriksh ki hi tarah viksit bhi hotey jaatey hain aur kuchh samay baad us bargad k vriksho k beech koi nahi jaan paata k mool vriksh kahan hai jabki wo mool vriksh apni jagah waisa hi pallavit khada hota hai..aatmaa ajar aura mar hai...wo aneko roop mei yugo tak prakat hotey huey bhi apney mool roop mei sada rahti hai...yahi wo avinashi tatva hai...ved is ultey vriksh k pattey hain jissey is vriksh k aas paas judey huey sansaari rishtey naatey aur anya jeev apni sharan dekhtey hain ...jaisey gyani jeev apney patto roopi ved gyan se sabhi taap,indriyo k swabhaav aur upyog ko bhali bhaanti jaanta hai aur fir bhi apney duniyaavi sadasyo ko inhi patto mei aashray bhi deta hai aur isi tarah sabhi sadasya vriksh roop jeev se liptey rahtey hain...parantu fir bhi is vriksh ko samajhney ka koi prayaas nahi karta..keval is vriksh ki upyogita ya anupyogita ko jaantey hain aur apney swarth se judey hain...sato gun ,rajo gun,tamo gun aurr daihik daivik bhautik taap se huey karm is jeev ki sookh kar girti hui lakadiyaan hain jinsey uspar aashrit sadasya apna sansaari trishnaao ki poorti bhojan pakaatey hain aur such paatey jo keval bhautik sukh hi hai...jabki ye jeev roopi ulta vriksh sri bhagvan ki ICHCHHA roopi dhoop havaa aur paani se hi poshit hota hai aur avinashi hi kahlata hai jabki jo pattey,lakdiyaan gir rahey hain wo sansaarikta hi hai bass aur keval sadasyo ko aapsi karm karney ka maadhyam hain aur is sansaar ki sthoolta ka yahin khatm hona hai...teen taap aur teen gun is jeev roopi vriksh ki wo daraar ya sarandh hain jinmey keet roopi vaasna,trishna chip kar baith jaati hai aur maya k sharer ko bhramit karti hai...is maya roopi sansaari bhautik tatvo ko aashray deney waaley vriksh roopi jeev ko vairaagya aur sanyaas k antar k bhaav k shastr se kaataa ja sakta hai..jahan jahan teen taap aur teen guno ki daraar hain wahan wahan se isey kaatna hoga aur fir saarey chhipey huey vaasna trishna k keet urh jaaeingey aur fir jaisey jaisey gyan k paato se aashrit bhautik sadasya hatengey is vriksh ka shor bhi shant hota jaayega aur gyan k patto k andar se bhi prakaash aaney lagega...
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

Tuesday 25 March 2014

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[81]

ARJUN AUR DHARMYUDHDH...[CONT]---[81]
---[81]---Sri bhagvan kahtey hain k jo bhakti mei mujhse ekakar sthapit kar letey hain wo bhakt na tou sansaar ki rachna se uttpann hotey hain na martey hain...yahan is baat ko bada gahraaii se samajhna hoga...jab sri bhagvan se hi sampoorn brhmaand uttpann hai tou fir bhakt kaisey sansaar se uttpann nahi hongey???arthaat... jo jeev sansaar k lokik bandhano se bandhey hotey hain unki sabhi trishnaaein sansaar se bandhi rati hain aur unhi trishnaao k mrityu k samay tak poori na honey se ya unmey hi ruche honey se wo jeev utna oopar uthkar sri bhagvan tak jaa hi nahi paatey aur sansaar k inhi bhautik tatvo se wo fir se sharer dhaaran kar letey hain aur baar baar inhi bhaytik kaarno mei ulajh ulajh kar inhi k kaaran inhi se jud kar janam letey rahtey hain aur unhi k bhogo mei martey rahtey hain aur dheerey dheerey manushya joon se nechey utar kar pashu aur fir keet ki joon tak mei jaatey rahtey hain..jabki bhakt sri bhagvan mei chitt rakhtey huey unhi mei ruche honey k kaaran sri bhagvan mei hi mil jaatey hain aur sansaar ki parlay se achhootey rahtey hain...sri bhagvan ka vistaar anant hai aur beej deney waaley bhi sri bhagvan hain tou jo beej sri bhagvan se utpann hai wo bhakti karta hua ek uttam chandan k vriksh ki tarah ho jata hai jo sansaar ki Vishay vaasna k sarpo k lipatney k baavajood apni sheetalta aur uttam gun nahi chhorhta jabki uska aatam swaroop bhi sansaar ki Vishay vaasna,maya,rajo,tamo,sato guno se ,dahik daivik bhautik taap k sarp se bandha hua hai par iskey baavajood bhi wo uttam jeev apni bhakti nahi tyaagta aur in sarpo ko bhi apni sheetaltaa se shaant hi karta jata hai aur fir sri bhagvan ko praapt hota hai...sato gun se sri bhagvan ki bhakti karta hai,rajo gun se saansaarik kaamnaao k badley mei sri bhagvan se milney ki kaamnaa karta hai..aur deh ko sansaar k karm mei lagata bhi hai par aatam tatva se sri bhagvan ko sabhi karm samarpit karta jata hai....tamo gun se andhkar uttpann hota hai jahan jeev ko bhoolney ka gun prabhaavit karta hai tou us taamsik gun k dwara sansaar k bhautik tatvo ko ,Vishay vaasna ko bhoolna hai aur jab bhay uttpann ho tab sri bhagvan ka gahraaii se aur uchch swar mei bhi sumiran karna hai aur jab ye teeno gun,teeno taap milkar bhakti ki dhaar ban jaatey hain tabhi bhakt ek uttam bhakt banta hai aur sri bhagvan ko praapt karta hai...ye vichar rakhna hai k jo kuchh bhi hai isey nakaarna nahi hai aur ismey lipt bhi nahi hona hai aur sansaar ki lipsa se alag hokar inmey sri bhagvan ki praapti k saadhan khoj kar unhi ko sri bhagvan se milney ka prayaas karna hai aur ye samajhna hai k sri bhagvan in sabhi taap aur guno se parey hain tou bhakt bhi dheerey dheerey insey paar ho jaayega aur sri bhagvaan mei mil jaayega...
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[80]


ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[80]
--[80]—SRI BHAGVAN gyan ko grahan kartey hain aur gyan ka ghar hain..unsey bada koi gyan wan ,budhdhiman nahi hai...sri bhagvan wo dhaaran karta hain aur ghar hain jo aadi anaadi anant hain....jis prakar sooraj udit hotey hi sampooran vishva ko prakaash se bhar deta hai aur raatri usi sooraj k kisi aur disha aur sthan ko prakaashit karney ka prateek hai aur raatri k chaand ko bhi apratyaksh roop se sooraj hi prakaash deta hai...usi prakaar sri bhagvan bhi pooran oorja ka srot hain aur kahin pratyaksh aur kahin apratyaksh roop se oorja,gyan,prakaash detey rahtey hain aur is baat ko hum srishti ki chhoti si prakriya se samajh saktey hain...jaisey jeev mata pita k sansarg se uttpann hota hai aur mata k udar mei poshit hota hai aur srishti mei niyat samay par janam leta hai aur fir paalit poshit hota hai aur nirantar viksit hota hua fir samaapt bhi ho jata hai aur fir se wahi chakr shuru hota hai...usi prakaar sri bhagvan hi samst uttpattiyo aur vikaas aur vinaas ko swayam k bheetar se karte jaatey hain...sri bhagvan maya aur jeev k is sansaar k samast sansaar ko dekhtey hain aur fir bhi drishya nahi hain..isliye jeev ko samast srishti k vistaar ko sri bhagvaan k hi vistaar k roop mei dekhna hoga kyoki isi chhotey se vistaar ki prakriya k maadhyam se sri bhagvan k vistrit anant vistaar ko samjha ja sakta hai aur isi prakaar jeev ko sri bhagvan ko samajhney mei saralta bhi hogi...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

Wednesday 12 March 2014

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[79]

ARJUN AUR DHARMYUDHDH—[CONT]—[79]---
79---Sri bhagvan kahtey hain k ye maanav sharer kshetra hai..jab jeev aneko joon mei janamta aur karm karta hua aneko janam bitata hai par fir bhi punya aur paap k bhaid se an bhigya rahta hai kyoki gyan kewal maanav choley mei hi praapt hota hai aur isiliye manav joon paap karm se mukt bhi nahi hai....ye kshetra jo deh hai gyan praapt hotey huey chetan ho jaati hai aur chetan har gyan ko antar mei aatmsaat karta hai...aur jo gahanta se antar mei gyan pragya ko dharan karta huey sab kuchh aatmsaat karta hai wo geh hai aur sri bhagvan swayam ko geh kahtey hain kyoki wo tou sampooran brahmando k parey hokar bhi sab kuchh swayam k bheetar dhaaran kartey hain...is sansaar mei jeev ka sthool sharer gagan,vaayu,jal,prithvi aur agni se nirmit hai jaisey prithvi tatva sharer maanas budhdhi hai...vaayu tatva shwaas hai,bhookh aur oorja agni tatva hai aur rakt jal tatva hai...aakaash tatva wo chhor hai jo sharer ko sthirts deta hai...antar mei mastishk tak soochna aur prasaaran k sath samajhney ki prakriya karney waali indriyaan jo nason k roop mei kaam karti hain gyan indriyan hain aur jin indriiyo k dwara baahar karm hota dikhta hai wok arm indriyan hoti hain aur aachran hota hai jo mann chitt soch ko prabhaavit karta hai jaisey ahankar,irshya,lobh,krodh....aur inkey dwara karm indri aur gyan indri prabhaavit ho jjaati hai...tou inko niyantran mei rakhna hai....inhi k dwara maanav chetan paap aur punya k prabhaav mei aataa hai aur karmo k anusar joon dhaaran karta jata hai...jeev ko ahankaar k vashibhoot hokar swayam ko shreshth hotey huey bhi shreshth nahi maannaa hai aur shaaleen hokar vinamrta se shishya roop mei hi sthit rahna hai swayam ko guru nahi banana hai....antar mei sochtey samay gyan indri aur karm kartey huey baahya indri ko niyantrit rakhna hai jaisey ghodey ya hathi ko chalaatey samay ghudsavaar aur mahaavat lagaam aur ankush ka prayog kartey hain...jab jaisi indri waisi lagaam aur niyantran...har pal badalti hui ichchhaao,aashaa,nirasha,sard,garm,prasanntaa,dukh aadi k bhaav se ubarna hai...ye sab ek prakaar ki bhookh hai jisey niyantrit karna hai kyoki ye sabhi bhookh ek baar shaant hokar fir baar baar uthti rahti hain aur prabalta dikhaati rahti hain....INDRIYO K MAADHYAM SE SRI BHAGVAN KI PRAAPTI KO SUGAM BANAANEY KA PRAYAAS KARNA HAI...BHOJAN KI BHOOKH LAGEY TOU KEWAL UTNA AAHAAR LEY JO JEEWAN K LIYE KAAFI HO...FIR BUDHDHI SE CHINTAN KAREY TOU SRI BHAGVAN KA,JIHVA SE BOLEY TOU SRI BHAGVAN K SAMBANDH MEI BHAJAN BOLEY,TWACHA SE KUCHH MAHSOOS KAREY TOU SRI BHAGVAN KA SPARSH MAHSOOS KAREY AUR IS PRAKAAR DHEEREY DHEEREY STHOOLTA SAMAAPT HOTI JAAYEGI...AUR SRI BHAGVAN SE EKAKAAR HOTA JAAYEGA..
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra
 

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[78]

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]—[78]
[78]---Sri bhagvan ek pooran brahm roop hain parantu jeev apni apni budhdhi k anusar unkey swaroop ko sweekaarta hai aur poojan karta hai..koi sri bhagvan k sagun roop ka poojan karta hai tou koi nirgun roop ka poojan karta hai...jab jahan jaise jis kaal desh paristhiti mei jeevon ney apney kashton se mukti paaii aur sri bhagvan ko jis bhi roop mei jab jab bhi jeev ko kashto se mukt kartey huey dekha usi usi roop ko poojan ki aadhaar shila banaa liya...aur jab jis hakt ney antar mei jaakar sri bhagvan ko dekhney ka prayaas kiya aur usi k anuroop bhakti ki usney nirgun roop apna liya...sri bhagvan k liye tou poorantaya samarpan tann mandhan...sarvasva samarpan kartey huey jo bhakti ki jaaye wahi sarvshreshth hai aur sri bhagvaan dwara sweekaarya hai...jeev apney sharer k anuroop hi sri bhagvan k roop ki kalpana bhi karta hai kyoki jab jitni vistrit budhdhi hoti hai utna hi kalpana ka vistaar bhi hota hai...jab jahan jis raakshas ,daitya ya kashkaari jeevon se sri bhagvan ney raksha ki wahan wahi sharer aur roop sri bhagvan ko de diya....isiliye job hi jeev nirgun bhakti kartey hain unko adhik prayaas karney hotey hain ekaatmakta k liye kyoki sri bhagvan k liye waha sharer k sath sath baahya aur aantarik sabhi indriyo ka simtaav zaroori hai aur usi ka itna abhyaas karna hota hai k sabhi ek sath yog hokar yaani jud kar ek jagah antar mei sthit ho jaaein aur fir ekaagr chitt hokar dhyan karna hoga...par sagun bhakti mei jeev sri bhagvan k vigrah k sath hi jeeta hai,hansta,khelta,bhojan karta hai aur sota bhi hai...jab jeev abhyas k judaav yani yog se poorantaya samarpan antar se nahi kar paataa tou yahi prayaas ho k apney sabhi karm chaahey wo kitney bhi uchch ho,shreshth ho,ya nimn ho...imaandaari se sri bhagvan ko samarpit karta jaaye....ye nahi hona chahiye k jab safalta mili,dhan,nmaan ssammaan mila tou swayam shreya le liya aur jab haani,kasht,apmaan hua tou sri bhagvan ko de diya aur kah diya k sri bhagvan tab zimmedaar nahi they aura b hain...har karm aur har sthiti mei sri bhagvan ka antar se shukriya kahtey chaley aur unki hi kripa drishti maantey huey chaley..is tarah se bhi sri bhagvan kp praapt ho saktey hain...sri bhagvan abhyas k dwara bhhakti ki parakaashtha par pahuchey bhakt ko is sansaar k baar baar janam k chakr se avashya chhurhaatey hain par pooran samarpan wo bhi bina kisi bhi shanka k aavashyak hai...Abhyas k dwara chitt ko niyantran karney k liyegyan aavashyak hai jissey sri bhagvan k mool swaroop ko jaanaa ja sakey aur fir samajh k sath shreshth aachran aur karm ka paalan kiya ja sakey..parantu jab abhyas k dwara bhi chitt sri bhagvan mei na lagey tou gyan honey par chitt ko niyantrit karna hoga aur gyan k dwara bhi chitt niyantri karney k liye apney karmo k ,indriyo k niyantran ka abhyas tou karna hoga aur in sabkey sath jab bina kisi kasht ko mahsoos kiye aanand k sath sri bhagvan ko apney sabhi karm samarpit hotey jaaein antar se tou wo shreshth bhakti hoti hai...kyoki jab jeev apney karmo se mukt hota jaayega tou chitt bhi shant hota jaayega aur antar mei honey waali uttejna bhi samaapt hoti jaayegi aur is prakaar jeev shaant hota jaayega aur shant chitt se jeev adhik ekaagra aur aanand se tyaag aur samapan bhaav rrakh kar bhakti roop mei hi karm karega jo swatah yog saadhna hoti jaayegi...aisa bhakt kisi bhi sankalp,such dukh,irshya,trishna,aasha niraasha,jeewan mrityu,apna praya,aanand dwaish aur anya sabhi bhaavo se mukt hota jata hai aur saral hota jata hai...jis prakaar anvarat bahti hui nadi ki jaldhara sabhi rukaavato k anuroop uthti girti,mudti hui apney nishchit gantavya tak chalti jaati hai aur ant mei nishchit jalsamooh mei milti jaati hai waisey hi aisa saral jeev sri bhagvan tak swatah aataa jaataa hai aur sri bhagvan mei mil jata hai...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra
 

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[77]

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[77]
--[77]---Arjun ki praarthna par sri bhagvan ney apna viraat swaroop arjun ko dikhaya par us virat swaroop ko kewal alokik drishti wala jeev hi dekh sakta tha yaani wo jeev jisey gyan ki praapti ho jaaye aur ishwar aur har jeev mei ekaatmakta drishtigat ho jaaye wahi jeev sri bhagvan k viraat swaroop ko samajh sakta hai isiliye sanjay ko sri bhagvan ney yogya paatr jaankar divya chakshu diye jissey wo dhritraashtr ko hastinapur mei hi mahabharat k dharmyudhdh ka seedha haal bataa sakey aur sri bhagvan k viraat swaroop ko dekhney ka saubhaagya bhi sanjay ko mila aur arjun aur bhishm pitaamah k samkash wo bhi khada hua...jaisey bhishm aur arjun ney bhi sri bhagvan k us virat swaroop ko dekha jo devtaao k liye bhi durlabh hai...sri bhagvan k jutney much jitney devta aur unkey swaroop...saarey ashwani kumar,aneko brahmaan aur brahmaando asankhya jeev jo ek taraf se sri bhagvan k much mei pravesh kar rahey they tou doosri oar se punah janam bhi ley rahey they...sri bhagvan k is anant virat swaroop ka na aadi than a ant...aseem prakaas aur oorja k roop ko aankho mei samaanaa asambhav tha....saari dishaaein sri bhagvan mei lupt ho rahi thi...sri bhagvan k mukh mei poori narayani sena aur samast kuru sena k sath sabhi bandhuo ko jaatey huey arjun ney dekha tou vismit ho gaya...tab sri bhagvan boley k arjun...sabhi jeev ichchhaao mei bandhey hain...yahan tak k kuru vansh k kul guru kripachaarya aur shastr vidhya sikhaaney waaley dronachaarya bhi apni ichchhaao aur trishnaao aur mahatvakaashaao mei bandhey hain aur mujhmey hi samaa rahey hain...dronachaarya apney putr moh mei itney bandhey hain k usi k moh mei bandh kar marengey...raja drupad se itna kshobh unhey mila k badla leney k liye aaj yahan taka a gaye hain aur yahi duryodhan aur dhritraashtr ne kiya hai...yahan sabhi apni apni irshya,trishna aur unki poorti k liye kisi bhi seema tak patit ho rahey hain aur bhishm ko tou ichchhaa mrityu ka vardan hai par hastinapur k sinhaasan se itney jud gaye k mrityu ki aakaansha hi nahi kartey...fir aisey bandhuo ko maarney ka dukh arjun ko kyu ho raha hai???jo apni hi trishnaao mei jaltey huey pahley hi sri bhagvan k haatho maarey ja chukey hain wo ab dobara kya marengey???ye tou kewal sansaar ko dikhaaney ki leela maatr hai....ye viraat swaroop kewal sampooran brahmaand mei faili hui vaasnaao ko apney bheetar sametney k liye hai aur kewal param priya bhakt jo is swaroop ko dekhney ka supaatr hai kewal wahi is swaroop ko dekh sakta hai jismey swayam baikunth ko bhi dhaaran kiya hua hai...sri bhagvan k bheetar se hi kan kan upaj rajha hai aur unhi mei samaa raha hai...sri bhagvan ka mohak kamniya roop jo madhurta ki paraakashtha hai wo bhi sri bhagvan se hi upajta hai aur apney bhakto k bhay ko door karney k liye sri bhagvan apna madhur saundarya dikhaatey hain jo atyant ramniya aur kamniya hai...aur arjun k bhay ko door kartey huey sri bhagvan ney apna wahi madhur sundar roop fir se dhaaran kar liya aur murli manohar mor mukut dhari sri Krishna roop mei arjun k rath ki lagaam apney hath mei le li...aur arjun ko dhairya bandhaya k jo bhakt pooran samarpan bhaav se nihshank hokar jeewan rath ko swayam sri bhagvan ko saunp dey tou uskey jeewan rath ko kabhi bhi sri bhagvan bhatakney ya nasht nahi honey detey....
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra