Saturday 5 April 2014

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[85]

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[85]
---[85]---Sri bhagvan arjun ko soch,bhaav aur karm k anusaar ishwariya aur aasuri pravrittiyo mei bhaid bataatey hain...jo jeev sri bhagvan ko jaanney ka udhyog kartey hain...shudhdh hriday se mansa vaacha karmana karm kartey hain,vedo ka gyan adhyyan kartey hain,keertan ,bhajan sumiran satyata se se sri bhagvan mei hi chitt rakhtey huey yagya kartey hain aur taamsil bhojan ka tyag kartey huey kewal sharer ko jeevit rakhney k liye hi santulit saatvik bhojan karey aur bina ahankaar mann mei laaye huey sab udhyog karey aur sarv hit mei udhyog karey wo jeev ishwariya hota hai..ab yahan ek baat dhyan deney ki hai k devtaao ney bhi aneko baar chhal kapat ka sahaara liya hai par ye bhi dhyan dena hai k devtaao ney sadaiv sri bhagvan ka aashray lekar udhyog kiya aur karm kiya parantu jab bhi kabhi bhi devtaao ney bhi apni maryada ko bhang kiya tab tab aneko rishi muniyo aur maharshiyo k shraap kaa paatr bhi baney aur uska dand bhi bhoga...yaani ashudhdh bhaav k kaaran dand k sabhi bhaagidaar hotey hain kyoki ahankaar,taamsikta,vaasna,uddandta,ishwar k prati ashradhdha,swayam bhoo honey ka andhvishvaas...ye sab aasuri bhaav hain aur jab jab jahan inka praabalya hota hai wahan wahan vidhwans hoga...sant jano ka sath na rakhna,sant jan ko prataadit aur apmaanit karna,shareer ko pavitr shudhdh jal se saaf na rakhna,sadaa swayam ko Kendra mei rakhkar sochna ,doosro k liye buri yojna banana,burey ahitkaari prayaas karna,sri bhagvan mei vishvaas na rakhna aur swayam ko mahagyani samajhna bhi aasuri bhaav hain...sadaiv krodh aur bal se sabko apney adheen rakhey,kroor vaani dwara sabko aahatt karey,peechhey se aur saamney doosro ka maakhol udaaye,swayam ko guru sidhdh kar k swayam ki pooja karvaaye,sri bhagvan k bhakto ko kasht dey,wo maha aasuri bhaav se grasit hota hai aur tyaajya hai...sri bhagvan k bhakt in sabka gyan honey par ye avashya vichar kartey hain k kahin unmey tou aasuri gun nahi???sri bhagvan k anusar aisey aasuri pravrittiyo se grasit jeev kahin bhi kisi bhi avastha mei na tou sukhi rah saktey hain aur na hi anya kisi ko such dey saktey hain...jo sawayam ko hi swayam se hi uttpann hota hua jaaney,jo pavitrata ka matlab hi na samajhna chaahey ,jo andheri naali aur zameen k bheetar surango se andhkaar mei vinaash k liye nikley taamsik chooho ki tarah andhkaar se ghira ho....gyan ka uday hi jiskey bheetar na hua ho,jo swayam ko ishwar jaaney ,bhog vilaas ko hi param such jaaney...stri ko vaasna ki vastu jaaney aur upbhog mei lipt rahey,swayam k aahaar vihaar k liye kisi ko bhi kasht deney mei na rukey,kaam krodh lobh moh ahankar irshya mei behad jakdey hain,bal k abhimaan mei kuchh bhi dekhney mei asamarth hain,aur sadaiv nimntam karm mei lipt rahtey hain wo nimntam jooniyo mei janam letey jaatey hain...sri bhagvan ney swayam ko hark an kan mei apna prakaash dikhaya hai aur isiliye hiranyaaksh,hiranyakashyapu,haygreev,aur anekaanek raakshaso k vadh k liye swayam kabhi vaaraah,kabhi haay,kabhi narsingh roop mei avatar liya aur apna prabhaav dikhaya...taamsikta ka naash kiya...sri bhagvan ney har yug kaal mei ye sidhdh kiya k adharm k naash k liye sri bhagvan kaal wakt paristhiti k anuroop vesh dhaaran kar avtaarit hotey hain aur in aasuri pravrittiyo mei lipt asuro ko nimn joon mei chola bhi detey hain...isliye kaam krodh madd lobh moh ahankar irshya ko tyaagkar uchit ishwariya karm karta hua sri bhagvan ka bhajan sumiran kartey huey karm yagya karey...
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

No comments:

Post a Comment