Thursday 10 April 2014

BEECH MEI HUM---[5]


BEECH MEI HUM---[5]
[5]---Neeti kahti hai doosro ko chandan lagaao...tumhaarey hath sawayam mahak uthengey...aur beech mei yaatra karney waaley hum manushya yahi kahtey hain k koi humaarey chandan lagaaye tou uskey hath bhi mahak uthengey...hum kisi doosrey ko chandan nahi lagaayengey kyoki hum ahankaari hain...ye sochtey hain k hum tou chandan k guno se yukt hain...shaayad isiliye pooja archna k samay taazaa chandan ghis kar sri bhagvan ko chandan lagaaney ka niyam hai jabki ye abhinn satya hai k chandan ko rachney wala swayam kitna mahachandan hoga ...fir us rachayita ko hum manushya chandan lagaaein????kyoki jo swayam maha chandan hai aur apney se judey har bhakt ko chandan si sheetalta pradaan kartey hain wo sri bhagvan apney us bhakt k hath aur poojan sthal aur sharer aur sampooran ghar mandir ko chandan se mahka detey hain jo sri bhagvan ko chandan lagata hai...shaayad isiliye apney hi ghar se aur apney hi sharer se chandan doosrey ko ya saamney waaley ko lagaaney ki pratha shuru hui k dharm bheeru maanav yahin se sabko sheetalta deney ki shuruaat karey...chandan ki sheetalta sadaiv sarpo ko apni oar aakrisht karti hai aur unhey aseem sheetalta pradaan bhi karti hai par swayam wahi chandan un sarpo se vishaila nahi hota aur na hi apney gun saundarya ko khota hai....isi prakaar sri bhagvan k sachchey bhakt aur sant jano ki oar sadaiv dusht aur aasuri pravritti k jeev aakrisht hotey hain aur unki bhakti yaatraa mei vyavadhaan daalna unka pramukh dhyeya hota hai...sansaar ki bhautikta aur taamsikta ki oar wo bhakto ko modna bhi chaahtey hain...kabhi kabhi jhoothi bhakti aur shradhdha bhi dikhaatey hain aur bhramit bhi karney ka prayaas kartey hain par sachchey bhakt aur sant jan apney bhakti aur sri bhagvan k prati samarpan se nahi bhataktey aur apni sheetalta sadaa ki tarah bikhertey rrahtey hain...jaisey mahatma budhdh ko maar yaani kaal aur mmaya ney bahot daraya par mahatma budhdh apney kitney bhi tiraskaar se nahi darey aur na hi apney moksh k maarg se hatey...par saadhaaran jeev beech ki yaatra kartey hain..wo chandan tou lagaatey hain par wo kewal prasaadhan maatr hota hai ya kewal bhautik jagat ko unki bhakti dikhata hai...antar ki sheetalta ka koi vistaar nahi hota...jaisey shaitaan sri bhagvan k bhakt ka pahra swayam deta hai is darr se k kahin bhakt sri bhagvan se ekaatm na sthapit kar ley aur is tarah shaitan bhi sri bhagvan se jud jata hai na chaahtey huey bhi....isi prakaar sansaari bhakt bhi beech mei sthit hotey hain aur pahra detey hain bhautik jagat ka ...k kahin chandan feeka na parh jaaye aur sammaan mei kami na ho jaaye...sri bhagvan aur bhakt k Madhya mei hai chandan...aur chandan k samaan sachchi bhakti...par yaatraa kathin hai chandan ki...aur assure pravritti sansaari jeev ko baadhya karti hai k wo chandan k itr se kaam chalaa ley...chandan k vriksh par liptey sarp nahi mahaktey ...mahakta chandan hi hai...na tou chandan sarp ka vish graham karta hai na sarp chandan ki sheetalta graham kar k sheetal pravritti k hotey hain...sarp vish hi ugaltey hain...yaatraa zaroor wo chandan i kartey hain ya yu kahein k chandan tak ki yaatraa kartey hain..chandan jalney par bhi mahak deta hai aur ghisney par bhi mahakta hai aur jahan jiskey maathey par ya shareer par lagey tou mahka bhi deta hai...sarp kewal saanidhya paaney par dansh aur mrityu deta hai...hum beech ki yaatra kartey hain ...chandan sri bhagvan ko lagaatey hain tou kewal ye soch kar k hum shreshth bhakt hain aur sri bhagvan ko hum sundar banaa rahey hain jabki sri bhagvan ki moorti rakh kar unki sewa karna praani jagat ki sewa aur shringaar karney ka prateek hai kyoki jo swayam guno se itna pooran hai k nirgun hai...jo swayam saundarya ki har prakaashtha  se bhi paar aur apaar hai wo sri bhagvan kya humaarey kiye shringaar se susajjit hongey ya mahkengey????wo sri bhagvan kewal sachchey bhakt ki bhakti k adheen hain aur beech mei yaatraa kar rahey jeev tou na sri bhagvan aur na hi sansaar ki oar yaatra kar rahey hain...jaisey swarn kalash mei madira bhar deney se aur ganga jal ko ek maanav khopdi mei bhar deney se wo poojniya ya grahniya nahi ho jata...ye beech ki yaatra hai...jo kabhi poori nahi hoti...kabhi faldaayak nahi hoti...sant jano k prem mei tou swayam sri bhagvan unhey chandan tilak kartey hain aur mahkaatey hain...jaisey sant tulsidas ji ney kaha hai....
chitrkoot k ghaat pe, bhaii santan ki bheer|
tulsidas chandan ghisein,tilak karein raghuveer||
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

No comments:

Post a Comment