Saturday 19 July 2014

BEECH MEI HUM---6

BEECH MEI HUM---6
_____________________________________________________

kabhi kabhi ek eent k sarak jaaney bhar se imaarat dhah bhi jaati hai ji...agar zakhm deney wala nahi hoga tou zakhm theek karney waaley ki kya zaroorat rah jaayegi...humaari yahi vyatha hai k hum jaantey hain k raat hogi aur chiraag jalana hoga par hum subah mei subah ki hi baat kartey hain ji...puraaney samay mei jab laaltein jalti thi aur diye jaltey thhey tou sotey wakt unko dheemaa kiya jata tha aur raat bhar jalney k kaaran wo kaaley ho jaatey thhey tou din mei unki safaaii ki jaati thi jissey raat mei fir se jalney k liye wo saaf rahein aur kaalaa dhunaa na dein aur aankho mei jalan na karein apney dhuein se..par aaj teji ka yug hai...batan dabaatey hi ujala ho jaataa hai koi taiyaari raat ki nahi karni hoti tou hum raat ki baat bhi nahi kartey ab din mei...din k ujaaley mei raat k astitva ko bhula detey hain jabki raat kahi gaii hoti hi nahi aur raat mei din kahin gaya hi nahi hota...bass hum jab tak aankh moond saktey hain moond letey hain...na raat mei kisi diye ya laaltein ko dheemaa karney ki chinta hoti hai kyoki bahot kam power ka bulb lagaa kar chhutti paa letey hain...isiliye mai kahti hu k hum apney liye suvidhajanak beech ka maarg chun hi letey hain...ishwar ney humey har wakt har kaam mei 2 maarg uplabdh karaaye hain par chun na humey hi hota hai...ab wo sahi ho ya galat ye wakt par maalum hota hai aur bass hum jugat kartey hain k beech ka koi maarg mil jaaye jo surakshit lagta hai...yahi sthiti tab badi achchhi lagti hai jab sankaraa pahaadi raasta hota hai par us maarg par tou kinaarey par hi chalna hota hai aur doosra koi upaay nahi hota aur tab anubhav...ekaagrtaa aur sanyam k sath hari naam hi kaam aataa hai...aur uskey liye gaadi chaalak ko kitna abhyaas karna parhaa hoga iska anumaan bhi hum nahi lagaa paatey...yahi anubhav,ekaagrtaa,sanyam aur hari naam ka sumiran hi chaahiye raat mei aur din mei apney diye aur laaltein ki taiyaari aur istemaal k liye...
..RADHASWAMIJI..JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

No comments:

Post a Comment