Saturday 19 July 2014

PARCHHAAIYO K PAREY UJAALEY KI OAR

PARCHHAAIIYO K PAREY UJAALEY KI OAR
_______________________________________________
ye bahot gahri baat hai k phool ki tarah jiyo chaahey khiltey hi bikhar jaao..ab phool khiltey hi bikhar tou jaayega par jis havaa k kaaran bikhrega wahi havaa us phool ki khushbu apney sath meelo door tak udaa kar le kar jaayegi aur us phool k liye deewaangi barhaayegi...par parvaanaa banney mei koi khushbu door tak nahi jaayegi...shamaa par jal kar marney waley parvaaney ki kisi ko khabar bhi nahi lagegi balki tasalli zaroor hogi k chalo parvana mar gaya...ab sabsey zaroori baat hai ye dhyan deney waali k gyanvaan hokar swayam ko poojit karvaaney waaley vyakti ko jalney ki aadat daalni hogi...jo vyakti gyanvaan hota hai wo apney satguru ki kripa se gyanvaan hota hai aur parchhaaii bhi deewaar par hi badi dikhaaii deti hai...deepak ki tali mei hi parchhaaii rahti hai aur ye parchhaaii ujaaley k sath andhkaar ki upasthiti bataati hai...yaani jo vyakti jitna adhik guru ki kripa se gyanvaan hota hai uskey sath ahankaar ki parchhaaii apratyaksh roop mei rahti hai aur usi vyakti ko grasit bhi kar leti hai bahot jaldi isliye guru k sabsey kareeb aur gyab vaan vyakti ko apni pooja aur satkaar karvaaney k vishay mei sochna bhi nahi chaahiye aur manmukh yaani mann k adheen nahi hona chaahiye balki gurumukh hona chaahiye aur sadaiv isi taraf dhyan dena chaahiye k har kadam har saans guru ki baaton mei shikshaa mei lagey..parvana tou agyaantaa mei jalta hai jaisey ek nanha turant ka janmaa shishu hota hai jisey kisi bhaav ka ahsaas hi nahi hota...wo tabhi rota hai jab usey bhookh lagey ya dard ho aur kon usey doodh pila raha hai issey usko koi lena dena nahi hota...koi vichaar nahi hota aur fir dheerey dheerey jab bhaav ka sankraman hota hai usmey is sansaar se tou dheerey dheerey gyan hota hai k maa kon hai aur wo maa aur anya rishto mei fark karney lagta hai tou isi tarah patanga kewal prakaash k aabhaas mei jal jata hai ye uska prem hi hai kyoki wo anbhigya hai k wo usi prakaash ki jwala mei jal jaayega bass isi tarah jab jeev kewal sansaar ki oar aasakt hota hai tou jal jata hai anbhigyata mei par jab gurumukh hokar gyan hota hai k guru ka prakaash hi anmol hai tou guru ki shiksha k prakaash ki jwala mei khud ko nahi balki khud k mann ko aur ahankaar ko jalaata hai aur swayam ko guru k samkash nahi rakhta na tou guru k jeevit honey par aur na hi guru k antardhyan honey k baad bhi par jo mannmukh jeev hotey hain wo guru k sang honey par bhi guru ki shishaa ko kewal apney maan sammaan ka zariyaa banaatey hain aur isi agyaantaa k chaltey sansaar ki agni mei mann ko nahi jalaatey balki apni aatmik srishti ko hi jalaa daaltey hain...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

No comments:

Post a Comment