Saturday 19 July 2014

SAMARPAN

SAMARPAN---
######################
Nadi oopar se neechey ki oar bahti hai aur saagar mei girti hai...meethi se khaari ho jaati hai...par saagar nahi uthtaa oopar...saagar bhi uthtaa hai oopar...sooraj ki tapish zameen se saagar k paani ko bhi oopar uthaa deti hai...chaand bhi kheenchtaa hai saagar ko oopar...par saagar khud nahi mil paataa arsh se...nadi ki mithaas usey saagar mei samarpan karvaa deti hai par saagar kaa khaaraapan usey uchhaal leney se rok deta hai....par wahi saagar apney bheetar itna vishaal sundar sansaar nirmit karta hai aur poshit karta hai...viksit karta hai k us parmaatmaa ki aseemtaa ka bhaan hota hai..brahmaand mei har taraf judaav aur vighatan chal raha hai...srishti ho rahi hai aur nasht bhi ho raha hai aur punah srishti ho rahi hai...aur har shay ek doosrey se jud kar sammaan bhi kar rahi hai kyoki ye sweekaar kiya hai jis shay ney k wo paar brahm ka hi ansh hai aur usi se nikal kar usi mei samaa rahi hai...TUM DEEPAK MAI BHAII HU PATANGA , BHASM KIYA MANN TUMHREY SANGA...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

No comments:

Post a Comment