Friday, 8 March 2013

KARMA YUKTI SE MUKTI


PAAR BRAHM SWAROOP parmaatman tatwa srijan karta hai aur na jaaney kitney brahmaand ka wo rachayitaa hai...koti koti soorya..chandr...vaayu mandal...aakaash ganga...na jaaney kitni srishtiyaan rachit hain aur chal rahi hain apni apni gati se aur apni dhuri par..sabka rachayita wo paar brahm parmaatman tata karta hotey huey bhi sabsey mukt hai aur kisi se nahi bandha parantu apni srajit srishti k kalyaan aur santulan k liye aneko roop dhar dhar k prakat hota hai aur apna nirdhaarit karm yaani santulan kar antardhyaan ho jata hai aur fir prakat hota hai...jaisey RAM ney maanav shareer dhara aur uskey peechhey kewal raavan nahi tha..SRI NAARAD ji ka SRI VISHNU ji ko diya hua shraap bhi tha aur sri naarad brahmaa k maanas putr huey aur mahaan sant bhi huey aur santo k vachan ka aashray lekar paarbrahm sri ran roop mei prakat huey kewal karm k liye aur vaanar ...reechh..aur anya us wakt k samaaj se tyakt jeevo ko apni sahaaytaa k liye itna balshaali dikhaya k jis samaaj ney unhey nikrasht maanaa usi samaaj ney unko poojna shuru kar doya aur dev swaroop banaa diya...sri ram ney apni hi patni seeta ka haran karwaa kar stri rakshaa k niymo ko samjhaa diya aur stri k steetwa ka mahatwa bhi sri seeta ji ney dikha diya..raavan jaisey maha vidwaani balwaan ko itnaa nimn star par gira kar dikha diya k budhdhi bhrasht kisi ki bhi ho sakti hai maha bhakt ki bhi aur maha vidwaan ki bhi...baali ko vriksho ki aarh se maar kar uska rini bhi khud ko banaa liya aur swayam SRI KRISHNA avtaar lekar baheliye k roop mei baali ko apni mrityu ka kaaran banaa kar us karm ko mukt bhi kiya...kyuki paarbrahm karm mei hai par karm se mukt hai aur unhey kisi ki na lipsa hai na moh...na kuchh bhi apraapya hai aur fir bhi kuchh nahi lena hai..ishwar yahi sidhhdh kartey hain k humey bhi shareer indriyo se karm karna hai par isi oopri tah k bheetar basi aatman tatwa ko is karm se mukt rakhna hai kyuki aatman tatwa kewal shabd sumiran dhun par chalta hai wo iswariya tatwa hai aur karm mei hotey huey bhi mukt hai...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

PREM KA NATA


prem ka nata rooh ka rooh se hota hai
prem jeevan ka armaan hota hai
prem aankhon ka ashko se hota hai
prem sahlaatey samhaaltey haatho se hota hai
prem ka nata khaamosh zubaan ka dil se hota hai
prem khuda se bhakt ka nata hota hai....

prem radha ka krishna ki bansi ka nata hai
prem sudama k thakey kadmo se krishna k ashko ka nata hai
prem shabri k jhoothey bair ka ram se nata hota hai
prem meera ki deewangi ka krishna se nata hota hai
prem na kisi vaadey ka na kisi shart se nata hota hai
prem kisi bandhan ka nahi sirf dil ka nata hota hai
prem tou prem se prem ka nata hota hai
prem tou anuraagi dil ka viraagi dhan ka nata hota hai
ek din pal mei jo na ho khatm prem wo sadaa rahney wala nata hota hai....
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

ISHWAR KA AAGAMAN


kisi bhi yug mei ya wakt mei jab bhi parm brahm ney avtaar liya tou usi roop mei liya jiski wahaan adhiktaa thi ya kami thi aur ya fir usi durgun k bheetar pravesh karney k liye usi durgun se jurhaa huaa roop gun dhaaran kiya...tretaa yug mei jo bhi kaam kiye aur kaaran dikhaaye wo aaney waaley yug ki jhalak dikhaatey they...tretaa yug mei sri ram maryada purushottam baney aur kaikayi dwara van bheye gaye..dhobi dwara sidhdh karwaya k seets ko tyaag dein kyuki raavan haran k baad wo tyaajya hai...yahi karm dwaapar yug mei barh kar huey...kunti ney mantra shakti ko jaanney k liye karn ko avaidjh roop se janm diya aur tyaaag diya...apni hi sagi bahan ko kans ney kash diya..sri krishna ka yashoda k ghar paaalan hua...draupadi ka apney hi parivaarijano dwara vastr haran...apney hi pati dwara jua khel k patni ko daanv par lagan aur haarnaa...Ek baar sri krishna paandavo k vanvaas k wakt unse milney gaye aur baith gaye ...draupadi ney kaha k sakha aap zara si der so lijiye...sri krishna ji ney kaha...sakhi ...mai so hi tou nahi sakta...mujh par vishwaas kar k sab so rahey hain...tou mai kaisey so sakta hu???
...ek baar mahabhaarat k yudhdh mei paandavo k baar baar pratigyaa leney par sri krishna ne kaha...mai aap logo ki pratigyaa leney ki aadat se bahot pareshan hu,...aap pratigyaa tou ley letey hain par mujhey bahot kuchh badalna parhtaa hai...
...ye baatein bahot gahri hain..aksar sri krishna ka naam lekar bahot kuchh sansaar mei jeev apni ichchhaanusaar karm kartey hain par sri krishna ka karm karney ka arth koi samajhna hi nahi chaahta aur usey bhi apney anuroop apni suvidha k anuroop mod letey hain aur kah detey hain k krishna ney bhi tou kiya tha....apno ko maarnaa hai tou iska matlab hai k apney hi bheetar basney waaley sabsey priya buri yojna banaaney waaley mann k duryodhan ko maarkar suyodhan banana hai aur apney bheetar chhupey bura kapti shaasan karney waaley vichaaro k duhshaasan ko maarka sushaasan banana hai...har wakt gambheer pratigyaa kar k apney hi aatmaa k aur shareer k hastinaapur ko kamzor maan k satyavati jaisi maataa k hath saunp deney se achchhaa hai k aisi koi pratgyaa na ki jaaye jismey apna aatm chetna bal nasht ho jaaye....
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI..
---Chhavi Mehrotra

VYAVAHAAR MEI MADHURTA


Jeewan mei oonchaaii par charhtey samay apney sath chalney waalo k sath madhur vyavahaar karein...kyuki ek nishchit oonchaaii par pahuch kar aur adhik oopar jaaney ka maarg band ho jata hai aur fir neechey ki oar hi aanaa hota hai...AKSAR NEECHEY AATEY WAKT WAHI LOG DOBARA MILTEY HAIN JO LOG OOPAR JAATEY WAKT MILEY THHEY..AGAR MUSKURAA KAR CHALEY THHEY TOU WO PAHCHAAN KAR HATH THAAM LENGEY AUR ZYAADAA NEECHEY NAHI JAANEY DENGEY PAR AGAR NAZAR FER KAR OOPAR CHARH GAYE THHEY TOU WO YE SOCH KAR HATH NAHI THAAM SAKENGEY K KAHIN UNHEY HI THOKAR NA LAG JAAYE...BAAT VISHVAAS AUR PREM JEETNEY KI HAI.......
..RADHASWAMIJI...JAI SR KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

PRAARTHNA MEI PREM


Praarthna prem hai..ek atoot vishvaas hai...us andekhey paar brahm k prati jo aparoksh roop se sidhdh karta hai k hum usi ki nij ansh hain aur wo param sttaa humsey juda nahi hai...sadaa humaarey sath wo anant vidhyamaaan hai...khud par shradhdhaa barhaaney ki prerna deta hai khuda aur praarthna mei hath jud jatey hain...hath bandh jaatey hain ya hath uth jaatey hain...
ek baar ek sadhu ko sri bhagvaan ney darshan dekar baikunth bulaya...wo sadhu bada magan huaa aur aanand mei baikunth ko cahal diya...raastey mei ek boorhaa sadhu bhagat mila aur wo bola k mahaatma ji aap baikunth ko jaatey hoo tou sri bhagvaan se poochh lena k mera number kab aayega aur mujhey sri bhagwaan k darshan kab hongey??sadhu mahatma ji boley k theek hai ...mai prabhu se poochh lunga...wo sadhu mahatma ji aur aagey gaye tou fir ek aur jawaan bhagat mila aur us jawaan bhagat ney bhi kaha k mahatma ji kripaya aap prabhu se merey liye bhi poochh lena k mujhey prabhu kab milengey???sadhu mahatma ji ney kaha k theek hai...prabhu se aapkey liye bhi poochh loonga...
...kuchh wakt guzar gaya aur wahi sadhu mahatma ji waapas lautey...
tou wo jawaan sadhu mila aur usney poochha k mahatma ji aapney prabhu se merey liye poochha hoga k mujhey prabhu kab milengey???sadhu mahatma ney kaha k jis vriksh k neechey tum bhajan sumiran prabhu ka kar rahey ho us vriksh par jitney pattey hain utney janam leney k baad tumhey prabhu milengey ...'' aur ye suntey hi wo jawaan bhagat khushi k maarey naachney laga k usey prabhu milengey aur agar prabhu ney nishchit karkey rakha hai k prabhu mujhey milengey tou zaroor milengey aur mai us janam ka aur din ka intezaar karunga...aur wo fir aanand se bhar kar bhakti mei leen ho gaya...thorhi door jaaney par boorhaa sadhu un sadhu mahatma ji ko mila...boorhey sadhu ney poochha k maharaj aapney prabhu se poochha hoga aur bataaiiye wo mujhey kab milengey???sadhu mahatma ji ney kaha k tumhey prabhi 7 janam k baad milengey..." aur ye suntey hi boorhey sadhu k hath se mala gir gaii aur wo foot foot k roney laga k hey prabhu...pooraa janam teri bhakti mei laga diya aur abhi 7 janam aur leney hongey aur kahin kisi janam mei naam tera chhoot gaya tou.....????'' uss sadhu ki shradhdh achaanak toot gaii...
sadhu mahatma ko wahi sri bhagwaan ney darsghan dekar kaha k kisi se bhi koi bhi baat is tarah nahi kaho k uski apney isht se shradhdha toot jaaye..aur kisi bhi bhakt ko apni shradhdha itni saralta se apni shradhdha bhi nahi todni chaahiye aur ye hriday mei atoot vishvaas rakhna chaahiye k bhakti prem se bharpoor honi chaahiye aur prem apney premi aur isht k mil jaaney se ya mil jaaney se kabhi samaapt nahi hota...prem aur bhakti dono ek hi doosrey k poorak hain..
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
----Chhavi Mehrotra
 

PREM AUR DHYAN


,,,,prem aur dhyaan...ek hi sath chaltey haininkey sath yog hota hai......yog tou har wakt hota hai...jab tan man praan se koi gobar se aangan leepta hai ...bhojan bantaa hai..khilaataa hai ya khaataa hai...aankh band kar kisi k prem mei doobtaa hai...wahin us dhyaan mei aur uski ekaagrataa mei wo ishwar roop upasthit ho jata hai aur wahin samarpan bhaav ho jata hai...ishwar ka roop matsya...varaah...ashwa...vaaman ..narsinh ya ram...krishna...seeta...radha...ya anya kisi bhi premi roop mei ho sakta hai...jiskey prati bhi prem se praan chitt tanmayta se dhyaan ekaagr ho jaaye wahi ishwar hai us wakt aur wahi prem hai...wahan bhi tanmaytaa mei prem hai aur mukt honey ka ahsaas hai aur wahin sanyaas ho jata hai aur bina prem k dhyaan hoga hi nahi...kyuki dhyaan wahi jaayega jahan aanand hoga aur agar angulimaal ka aanand kisi ko maarney mei hai tou uska sanyaas bhi wahin hai kyuki wo wahin par mukt ho raha hai aur uski isi ekaagrtaa k kaaran usey hi budhdh bhi miltey hain...iska ye matlab nahi hai k katl khoon karna dhyan hai....baat hai k jahan anand hai wahi dhyan hai kyuki wahin prem upaj raha hai aur fir wahin yog hoga aur wahin samarpan hoga aur wahin mukti ka bhaav hokar wahin sanyaas hoga...prem jahan bhi hoga wahan srishti zaroor hogi..hriday mei prem ka prasfutan hotey hi usi taraf dhyaan jaayega aue srishti ho jaaeygi swatah...chaahey ishwar ki nooraani oorja se oorjaa nikley aur ram seeta ban jaaein...satguru prakat ho jaaein...bhakti aanand ki srishti ho jaaye..aur shareer ki srishti ho gaii...premi shareer k sath prem mei dhyaan karein tou beej ki srishti ho gaii aur prakriti mei phool khil gaye...ya kisi bhi jeev ki srishti ho gaii...prem dhyaan sab ek sath chalta hai aur aanand uskaa vaahan hai...hum bhi chal rahey hain aur in shabdo ki srishti ho jaati hai...
....RADHASWAMIJI....JAI SRI KRISHNA JI........
.....Chhavi Mehrotra

ISHWAR PE SHRADHDHA

Ek baar ek seth ji thhey...badey bhagat thhey..roz praarthna kartey thhey aur hath jod kar kahtey...hey prabhu...aapko jo dena hai jitna dena hai aap apney aap dijiye..."..ek din ishwar prakat ho gaye aur poochha...''arrey...tum kaisey bhagat ho...apney hisaab se kuchh bhi maang saktey ho..apni zindgi ko saral banaaney k liye.."..seth ji boley...bhagvan....mai tou hu chhoti budhdhi ka aadmi..aapsey chhoti cheez hi maaangugaa jabki aap tou mera poora bhavishya dekhtey jaantey samajhtey hain aur aapka vistaar bhi aseemit hai tou aap mujhey bahot dengey jab bhi dengey...jaisey merey betey ko dukaandaar ne kaha k beta sweet le lo..par merey betey ney apney aap dibbey mei se nahi li tou dukaandaar ney khud dibbey mei se muththi bhar kar sweets usko de diye aur wo itney zyada thhey k merey betey ki saari pockets bhar gaii..mainey apney betey se poochha k beta tumney apney aap sweets kyu nahi liye???tou merey betey ne kaha k merey hath chhotey hain aur agar mai khud leta tou thodi si sweets aati hath mei aur jab dukaandaar ne di tou uska hath bada honey k kaaran bahot saari sweets mili aur meri saari pockets bhar gaii...tou bhagvan..mai bhi chhota baalak hu aapka..aap dengey tou zyada milega aur meri soch chhoti hai tou mai chhota hi maanguna...''
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI....
--Chhavi Mehrotra