Saturday, 1 December 2012

DHAAR SE RADHAA TAK


DHAARAA YE AGAM KI..SATGURU DAYII LAKHAAY..
TAAHI ULAT SUMIRAN KARO,,,SWAAMI SANG MILAAY...
-----FROM SANT KABIR DAS JI...
..kabir das ji ne ye shabd kahey thhey...dhaaaar agam alakh lok se utri hai...ye aanand ki dhaar hai jo anvarat bah r
ahi hai aur yahi wo aakaash se utri ganga hai jo sri narayan k angoothey se yaani prem se upji aur nikli hai aur brahma k kamandal mei yaani srishti se aur gyan se mili...gai aur wahan se utar kar shiv ki jataao mei samaaii aur fir sirf ek patli dhaar k roop mei dharti par bahi kyuki is abaadh aanand ki dhaaraa ko dharaa j jeev nahi samhaal paatey kyuki is aanand ko aur dhaara ko samhaalney k liye shiv hona hota hai yaani shav yaani mrit se jaagrat aur irhaa yaani pooran hona hai khud mei...aur is aanand ki dhaar ne raja sagar k hzaari shav putro ko shivatva diya aur raja bhagirath iska maadhyam huey...yaani jo bhaagyavaan rathi is dhaaraa k pravaah ko us alakh agam se utaar laaney mei saksham hota hai wahi is dhaar k pravaah se shav se shiv banaa sakta hai aur uskey liye swayam ko shiv banana pahley zarooi hai...shav se shiv tak ki yaatraa sabse pahli seedi hai....is dhaar mei stri purush ka bhaid is sansaar ki seema se hota hai...kabir kahtey hain k ye dhaar alakh agam se aati hai aur isey satguru hi dikhaatey hain aur fir is dhaar ko jaan ney k liye isey ulta kar do aur radha kah lo fir ye swami se milati hai...ab baat wahi hai k ye sansaar seedhey munh ka ghadaa hai aur oopar brahmaand ulta munh humaari oar kiye ghadaa hai aur us alakh agam ki dhaar ko anvarat us ghadey se is ghadey k munh mei bahaa rahaa hai....yahi wo aanand dhaaraa hai jab ye is sansaar se ulat kar vaapas oopar k ghadey mei khinchti hai...jaise humaarey sheesh aur sabhi chhidro se humaarey andar ye dhaar aa rahi hai aur hum oorjaawaan ho rahey hain aur jab bhajan dhyan sumiran se is shareer k chhidro se aur sahastr dal kanwal se ye dhaar waapas oopar apney gomukh tak jaati hai ...GOMUKH...KA SWAROOP BHI YAHI HAI...SAAMNEY SE CHHOTAA AUR ANTAR SE VISHAAL...JAISEY ULTA KUMBH YAANI GHADAA...MUNH SE CHHOTA AUR ANTAR MEI VISHAAL...GAHRAA...YAHIN ANANT MEI YE DHAAR RADHA HOTI HAI...JAB ULAT KAR PUNAH USI DHAAM KO BAHTI HAI JAHAN SE AVTARIT HUII THI...yahi tou radha hoti hai..aur swami yaani krishna swaroop ho jaati hai...sri krishna aur radha ji ko ek roop mei prakat karvaaney k liye sant haridas ji ka yahi matlab tha aur unhoney SRI BAANKEY BIHAARI JI KA PRAAKATYA KARVAAYA ...KOTI KOTI PRANAAM SATGURU K CHARAN KAMLO MEI...SRI NARAYAN K CHARANAARVIND MEI...SRI BAANKEY BIHAARI LAAL JI..SRI RADHA MAHARANI JI K CHARNAARVINDO MEI...SABHI SANTO K CHARNO MEI...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra
 —

MAANAS KI SRISHTI


MAANAS KI SRISHTI...
____________________________
aksar ye prashn jeev k mastishk mei ghoomtey hain k ye srishti kab khatm hogi???kab nasht hoga ye sansaar...???jis bhi vastu jeev ki srishti hogi uska ant bhi hoga ye nishchit hai ye jaantey
huey bhi ye anjaana sa bhay kyu bhatbheet karta hai jeev ko??shaayad hakeekat yahi hai k jeev swayam k hriday maanas aur bhavo mei apni srishti karta rahta hai aur usimei apney dwara rachit sansaar ko swayam jeeta rahta hai aur swayam k sandeh,bhay,atyadhik lipsa se is apney hi sansaar ka vinaash bhi swayam kar deta hai...na jaaney kitni hi srishtiyaan rachi jaati hain is jeevan mei aur paalit ki jaati hain aur sanhaar bhi swayam hi kiya jata hai...ye bandhan tou katney hain kyuki srijit bhi kiye jaatey hain...fir kyu sochna k dunia kab samaapt hogi???jabki jeev apni srishti ko swayam nasht karta chalta hai....na jaaney kitney janmo ki adhoori lipsaaein janmo ki nirantarta ka kaaran banti hain aur behad shradhdhaa se jeev swayam ka hi pichhley janmo ki lipsaao se naataa jodtey huey unhi lipsaao ko shaant karney ki tamannaa mei pitar roop mei apna hi shraadh karta chalta hai...ye dunia kabhi samaapt ho hi nahi sakti...ye dunia yadi is roop mei samaapt bhi ho jaayegi tab bhi is dunia ka astitva ek doosrey roop mei rahega aur jaisey aaj puraano mei na jaaney kitney hi kalpo ki kathaaein hum parhtey suntey hain wo yu hi chalti raheingi...bass paatr judtey rahengey...arjun krishna tou aatey rahey hain aatey rahengey...mahishaasur hotey rahey hain aur devi prakat hoti rahi hain aur mahishasur yu hi martey rahengey...ye tou dunia ka srijan hai aur roop badal badal kar ye srijan paalan aur sanhaar ,...jo sanhaar hai hi nahi...kalyaan hai...hota rahega....BAAT APNEY MAANAS KI MAANAS K DWAARAA MAANAS KI SANTUSHTI K LIYE KI JAANEY SRISHTI KI HAI...JO HOTI RAHTI HAI...POSHIT HOTI RAHTI HAI AUR VILUPT HOTI TOU HAI PAR EK NAI SRISHTI K UTSARJAN AUR POSHAN AUR VISATJAN K LIYE HOTI RAHTI HAI...
.....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA I..
---Chhavi Mehrotra

SOOKSHMTA SE STHOOLTA KI SRISHTI AUR STHOOLTA KA SOOKSHMTA MEI VILAY


SOOKSHMTA SE STHOOLTA KI SRISHTI AUR STHOOLTA KA SOOKSHMTA MEI VILAY
__________________________________________
Brahmaand ki oorjaa onmkaar swaroop hai...fir usmei gyaan ki oorja milti hai jo ainm swar hai...aur yahin se ahankaar ki uttpatt
i hai...aur jo bhi jeev yahan shareer dhaaran kar prakat hua wo sant bhaav se nirmit hi hota hai aur yahi santatva uski chetna hai par jab shareer ki sthoolta prakat hui hai tou ahankaar ka swaroop tou avashya hota hai...jahaan ye ahankaar sant bhaav se paripooran hota hai wahaan wo sant bhaaav se bharaa hua jeev apney shareer tak seemot nahi rah jaata aur wo samaaj ko khul khul kar uski khaamiyaan ginaataa hai aur sant bhaav se ginaataa hai...wo swaarth bhaav se parey ho jaataa hai par sikshaa dena nahi bhoolta aur shikshaa deney mei kahin ye bhaav rahtaa hai k sabkaa kalyaan ho aur jaisey hi ye bhaav aaye k jagat ka kalyaan ho ye nishchit ho jata hai k mujhmey koi gun hai k merey dwaaraa sabka kalyaan ho par wo sant bhaav se bharaa jeev na tou se samajh paataa hai na dikhaataa hai kyuki ye ahankaar bhaav kalyaan kaari aur apratyaksh hota hai aur itna apratyaksh hota hai k sant bhaav vyakti nahi samajhta yahi bhaav shareer ki sthoolta tou deta hai kyuki ye srishti k gun se nirmit hai par chetan itna shudhdh aur halka hota hai k ye sant bhaav jeev apna oksh swayam lekar chaltey hain...par jis jeev mei shareer ki sthooltaa aur chetan ki sthoolta mil jaati hai wo swayam ka poojan karvaa kar hi trpt hotey hain ye ahankaar badaa mukharit hota hai aur kalyaankaari tou hota hai par sant bhaav se jagat k liye kitnaa kalyaan kaari hota hai ye us ahankaari vyakti k abhisht k swaarth par nirbhar karta hai...is ahankaar mei ahankaari na tou apna kalyaan karta hai na jagat ka...is jagat mei bhakto ko chaahiye k ye shareer tou srishti k gyaan tatva k ahankaar se nirmit hokar humey mil hi gaya hai tou hum bhatak na jaayein tou zaroori hai k swayam ki chetna ko sadaiv jaagrit rakhein...apni baat kahein par jagat k liye nahi balki apney swayam k abhyaas k liye kahein aur isliye kahein jissey humey baar baar yaad aati rahey humaarey liye...koi jagat mei prashasaa bhi karey tou isey kewal satguru ki kripa hi maaney...bina satguru ki kripa k ye sthooltaa ahankaar k shareer ki chetna ki sookshmta ko bhi nigal jaayegi aur kewal ahankaar ka saamraajya hi vyaapt hoga...

...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI..
---
Chhavi Mehrotra

SABHI BHAAV APNEY

BRAHMA tatva hain brahmaand...yaani budhdhi ka...yaani sato gun ka...aur NAARAD tatva hain maanas putr brahmaa ka yaani sato vichaar ka yaani budhdhi mei uttpann satva vichaar ka aur VAALMIKI tatva hai saansaariktaa mei lipt ahankaar...vibhats bhaav..agyaan ka...maanas aur sato vichaar kabhi sansaarikta se bhaybheet nahi hotaey aur mann ko apney aatm vishvaas aur saatvikta se sansaar ka asli roop dikhaa hi deta hai k yahan koi kisi k karm ka bhaagidaar nahi hai...sab apney hi dwara nirmit bandhan se bandhey hain aur yahi bhaav vaalmiki roopi mann ko is sansaar roopi rishto se mann k kiye paap mei bhaagidaari nahi milti...budhdhi ka maanas ka satva tatva jitna shudhdh hoga utna adhik prabhaavkaari hoga mann ko baandhney mei ..ektara jo ek aatm ek paar brahm ka prateek hai ang sang hai aur ek omkaar ka sangeet deti hai....aur mann jo paar brahm ki dhaar se juda hai wo seedha ram naam lekar dhaar nahi pakad sakta aur isiliye is sansaar se is dhaar ko radha hokar shabd ko pakadnaa hota hai aur jitna ahankaari hoga utna hi mann ko maarney k liye mara mara kahna hoga aur fir wahi dhaar ulat kar ram hokar bahney lagti hai aur neech kapti lutera mann shudhdh brahmatva ko praapt kar leta hai aur fir prem ka sushupt bhaav ka ankur bhi mann mei foot jata hai aur martey huey kronch pakshi k premi jodey k atulniya aalokik prem ko dekh kar vihval hokar kaavya kah uthtaa hai...usey ye dekh kar aashcharya hota hai k is nirmam swaarthi sansaar mei ye premi pakshi jodey mei se ek pakshi ki mrityu hotey hi doosraa pakshi bhi prem mei viyog se praan de deta hai...aur ek agyaani maan k andar se adbhut kavi bol uthtaa hai..yahi hai MAHARSHI VAALMIKI ki gyaandeyi katha ki praasangiktaa...sab kuchh humaarey andar hai...sab paatr...sab bhaav sab humaarey hi bheetar hain...RADHASWAMIJI..JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

Tuesday, 9 October 2012

KHUDA MANKEY MEI NAHI MANN MEI HAI

uski daya ka hisaab lagaaogey tou behisab paaoogey,
detey hain duhaai uski tou kya sachchaaii ko pa jaaogey...
imaan ki kasam khuda ki duhaaii de de kar khoob becha usko,
zara si thais lagi tou bulbuley sa gaayab paaogey...

kisi k jism mei kisi k dil mei kisi k armaan mei posheeda hai wo,
aashik ki zubaan se suno tou kya usey jhuthlaaogey...
aansuo mei kabhi chhupaya kabhi zubaan se becha usko,
yaar ki yaad aur zindgi milney ki khlish mei usey paaogey...

saaso ki raftar mei hai wo kya usey gin paaogey,
mere har lafz ki hala mei bahta hua usey paaogey...
meri muhabbat mei,merey soaz mei mainey rakha usko,
mujhey bhula dogey...jala dogey...na bachegi khaak...kya fir usey tum paaogey....
-----RADHASWAMIJI…JAI SRI KRISHNA JI…
----Chhavi Mehrotra

Tuesday, 18 September 2012

SUMIRAN AUR OORJA PAR PRABHAAV


.ye mann hi bada ganvaar hai ji...satguru tou shareer ya ashareer sab tarah se humaarey sath hain...par sirf humara shareer se gurudwaarey mei ya guru sthan par jana seva karna fir khel kood karna ye sb tab tak bekaar hai jab tak mann samarpit nahi hua...ye sirf ek outing maatr hai....jab mann se samarpan ho aur tann ka hosh na rahey tab satsang hota hai....tan apney aap hi swatah guru seva karey bina kisi laag lapat k...  khud ko jaannaa sabsey pahlaa kaam hai aur wahin se sumiran shuru hota hai...humney kya kamaaii ki ye sochna hai...apney bheetar jana hai aur khojna hai khud ko....mai ek baat kahti hu ji k GHAR SE BAAHAR MANN LAGAANEY KO WO GHOOMTA HAI JISKA GHAR GHAR NA HO....GHAR K ANDAR AANAND MANANA HI SABSEY PAHLAA KADAM HONA HAI...hum aksar kahtey hain k arey mann nahi lag raha hai tou ye khojna hai k kis liye mann nahi lag rahaa...kon si baat humey kheech rahi hai apni oar...fir usko suljhaa kar baitho shaant chitt se ...sumiran aisa ho k saakshaat satguru samaksh upasthit ho aur aansu bah jaaein ...aur maalom hi na parhey....tan mann pran se sumiran ho....aksar hum kahtey hain k sansaar k dost rishto ko yaad nahi karo vighan aataa hi sumiran mei...arrey nahi aisa nahi hai...hum kaisey prem karna chhorh dein...jinhey prem kiya hai hum unhey yaad karna agar chhorh dengey tou wo jabarjasti mann praan tann aur chetan ko baandhna hai aur wo fir antar mei khalbali paida kartey rahengey kyuki hum tou premi jeev hain aur prem karna humaaraa kudrati niyam hai tou nirantar prem kartey rahna hai sabsey...aur mainey dekha hai k koi fark nahi parhta issey hari sumiran mei balki jab sab premijan hriday mei aanadit hotey nivaas kartey hain humaarey hriday mei tou satguru bhi pragat rahtey hain har samay antar mei aur sab kuchh krishnamay dikhney lagta hai...sakha krishna aur sudama sa miltey hain kabhi soordaas krishna si thitholi hoti hai...ye sab aanand ki anubhooti k tatva hi tou hain...insey chhutkaaraa paaney ki soch hi sabsey badi rukaavat hai sumiran mei...prem kartey kartey sab apney aap dheerey dheerey thaharta jata hai aur dhyan sirf ek aanand ki oar hi ekaagr hota jata hai...kahin koi jabar zor ka kam nahi hota...sab sugamta saralta e banta jata hai...ye sansaar bura nahi hai...isey shareer mei basaa kar sath chalney mei koi buraaii nahi hai...shareer sthool ho jata hai humaarey shaaririk karmo se aur shareer se kam sthool hai aatmaa jo vichaaro se sthoolta leti hai aur vichaaro k halkey aur bhaari honey khud ka halka aur bhaari hona nishchit karti hai aur aatmaa se kam sthool yani halki hoti hai oorjaa..jo har samay banti aur prasfutit hoti rahti hai...jaisey chini k saarey kano ko mila dein tou solid cube hua wo der se paani mei ghulega...fir chini k chhotey kan ussey kam sookshm hain aur zaraa jaldi paani mei ghul jaatey hain aur fir hai pisi huii chini ya chini ka booraa jo turant paani mei ghul gaya...isi tarah humaarey shareer ki sthoolta k kaaran wo toot sakta hai...jal sakta hai...par usmei se kaii shareer nahi ban saktey...shareer ki koshikaao se doosra shareer banta hai maa k andar wo bhi tab jab ek purush tatva judey tab...lekin wahi shareer usi shareer se tod kar nahi bantaa..haan jab shareer k sansaari tatva jo shareer ko sthool banaatey hain itney sookshm ho jaaein k shareer se vilag ho jaaein tou wo shareer guru naanak dev ji...kabir ji aur meera baai ji ki tarah vileen ho jaataa hai apni sookshmta se...aatmaa tatva vichaaro ki paushtikta se sthoolta leti hai..aur usi hisaab se vajan leti hai aur jab shareer se nikalti hai tou apney vajan k anusaar hi oopar ki oar khichti hai...shastro mei varnit bhi hai k jab ashudhdh karm..dukh se bharpoor karm..kashkaari karm..daitya daanvi raakshasi karm ho tou aatmaa shareer tyaagney k baad turant shareer chaahti hai kyuki wo oopar brhmaand paar karney mei asamarth rahti hai aur yahi wo vajan hai jo aatmaa ko bhi mukt nahi honey deta aur aatmaa vighatit nahi ho sakti..ab tatva hai ussey bhi sookshm oorja...ye oorja sabkey shareer ka pramukh tatva hai jo us RAAM yaani paar brahm yaani THE BIG BOOM RADIATION SE NIKLI HAI..yahi tatva hai pooran brahm ka...ek pramukh oorja k vistrit aseemit prakaash se nikalti huii irno se nikla hua tatva....aksar log kahtey hain k humaarey ghar par bhoot hai...ya koi saya hai..ye kuchh nahi oorja hai...aksar humaarey hi shareer se itni negetive oorja nikalney lagti hai k wo ek sthool roop le leti hai aur swayam ka kaarya kshetr tak nirdhaarit swayam hi kar leti hai...aur humey hi prabhaavit karney lgti hai...isiliye humey apni hi soch aur samajh ko vichaaro ko itna open khula rakhna hai k sab oorjaa halki rahey yahi humaarey aura ka khula hona bhi hai...aksar hum kisi bhi sant sadhu ya vyakti k aaney s kah uthtey hain k arrey kitna khushnuma sa ho gaya sab ya kitna shaant sa lagaa mann ko..yahi oorjaa ka baahari kshetr ko prabhaavit karna hai...oorja ka vightan hota hai...isiliye kaha jaata hai k buri oorjaa bhaari hoti hai zyad jabki achchhi oorja halki hoti hai...buri oorjaa zyada asar kar jaati hai kyuki wo sangthit ho kar bahot sthool ho jaati hai par toot bhi jaati hai ...saptshati mei raktbeej naamak daitya ka udaahran hai k uskey rakt ki ek ek boond mei beej thhey aur ek ek boond se hi aneko raakshas paida ho jaatey thhey agar uskey rakt ki bood dharti par girti thi tou...yaani kitni taamsikta rahi hogi us raktbeej daitya mei k uski rakt boond mei beej thhey aur srishti tou hai hi maatr roop...srijan roop..tou sishti k sparsh maatr se un boond se daitya nirmit ho jaatey thhey...ye sthoolta ki praakaashtha hai...yahi sab humaarey sumiran ko baandhtaa hai...tou humey yahi dhyaan rakhna hai k sab kuchh saraltaa sugamta aur aahlaad se aataa rahey aur nikaltaa rahey...kahin kisi ko jabarjasti baahar nahi dhakelna hai aur na hi jabajsti andar daalna hai aur na hi pakadna hai aur na hi chhorhna hai...satguru ki kripa se bass ekaagrchitt prasann mann se halkeypan se aahlaad se bharkar hari chintan karna hai....baaki fir aagey satguru samhaal lengey lekin agar hum baithengey hi nahi aur dhyan nahi rakheingey saralta sugamta prem aahlaad ka tou fir satguru kya kar saktey hin...fir humey dosh nahi dena hai kyuki hum khud ko itna sakhti se baandh rahey hain k gaanth dar gaanth bandhti ja rahi hain tou rukaavat tou aayegi hi...satguru se daya ki bheekh maangney se wo bhi gaanth khulengi par fir wahi niyam hai saralta sugamta prem aahlaad se samarpan ka..bina shikaayat kiye...SAGURU DAYA BHAAG MERA JAGA..NIS DIN CHARAN BARHA ANURAAGAA ....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI….
---Chhavi Mehrotra

Monday, 17 September 2012

GURU TATVA SRISHTI


har tatwa jo srishti se judaa hai wo guru tatwa hai kyoki guru bhi shishy ki srishti karta hai...jaise janam se poorv beeej ko bachchaa maa ne banaya pita ne poshan kiya aur us komal paudhey ko guru ne seenchaa aur ek vriksh banaa aur guru ka guru ko samarpit..yaani srishti ka srishti ko samarpit...ye srishti hi guru roop hai.. .srishti stri roopa hai…stri ki sundartaa mei nahi fasnaa chaahiye waa
li baat zaraa ajeeb lagti hai kyoki stri ki sundartaa tou devi ka vardaan hai aur devi ka roop hai par uski taraf aakrisht honey mei koi buraaii nahi hai par stri ki sundarta mei apni drishti ko taamsik karna stri ki us sundartaa ka apmaan hai aur purush ki raakshsi pravritti ka parichaayak hai kyoki jitney bhi asur devi dwaaraa maarey gaye wo sirf isi avgun k dwaaraa hi maarey gaye...varnit hai k haathi ko jab pakadnaa hota hai tou gaddey k oopar has par hathini ko baandhaa jaataa hai aur hathini ki oar aakrisht haath gaddey mei gir jaataa hai…praacheen kaal mei ye reet apnaaii jaati thi jiska udaahran sanyaasiyo stri se doori rakhney k liye diya jata raha hai….haathi ka hathini k kaaran garhrhey mei girney ka matlab hai apni hi vaasnaao ki taraf itna aakrisht hona aur gart mei gir jaanaa...makdi ka apna jaalaa bun kar usi mei mar jaanaa niyati hai uski usi tarah hum bhi apney hi vishay vaasnaa k jaal khud buntey hain aur khud unmei fans k mar jaatey hain....hiran ki tarah stri ka geet sunkar vinisht hona nahi baliki devi saptshati k anusaar jab paarvti k shareer se sri ambika ji prakat hui devtaao ki praartha k baad tou wo apna mahal rach kar veena ki madhur lahriyaan bajaaney lagi jis sey raakshas chand mund un par mohit ho gaye aur raakshraaj shumbh nishumbh ko us sundri ko paaney k liye kahney lagey kyoko daaityo ne devtaao ki sabhi savshresheth vastu aur samridhdhi haasil kar li thi aur ye devi striyo mei shreshth thi tou har sarvshreshth vastu raakshaso ko milni chaahiye thi aur fir devi ambika k hatho ye sabhi raakshas maarey gaye...tou baat ye hai k jab maanav stri k saundarya ya saneet ya gun mei bhi vyasan dekhta hai aur us devi k roop ko kewal vyasan ki drishti se dekh aasakt hota hai tou fir uska vinaash nishchit hai...mera kahney ka matlab hai k har stri ya srishti ya saundraya na tou bura hai na vinaash ka kaaran hai balki humaari apni raakshasi pravrittiyaan hi humaaarey vinaash ka pramukh kaaran hain.
…RADHASWAMIJI…JAI SRI KRISHNA JI…
---Chhavi Mehrotra