Friday, 5 April 2013

GURU POORNIMA AUR GURU DARSHAN


GURU POORNIMA...EK BAHOT BADA PARV...GURU DARSHAN k liye asankhya bhakt apney apney guru k aashram mei pahuchtey hain...bhajan bhakti bhi hoti hai..par guru poornima ek hi din kyu????guru poornima ashaarh shukl ki poornima hai aur usk agle din se hi saavan klag jata hai aur guru poornima k4 din pahley dev shayni ekaadashi hoti hai...yaani is din se devta so jaatey hain aur koi bhi dev upasthit nahi hongey...bharatvarsh krishi pradhaan...ritu pradhan desh hai aur yahan paramparaaoo ka bada sammaan hota hai...ashaarh maas mei varsha honi shuru ho jaati hai aur ashaarh maas k samaapt hone tak varsha teaj honey lagti hai...dharti rajaswala ho jaati hai...varsha aur jal pravaah k vaig k kaaran aavaagaman avrudhdh ho jata hai..khuley sthan mei jo havan hotey hain wo ho nahi saktey ....tou kewal ek jagah sthit hokar poojan k liye kaha gaya...jab yagya honey shuru huey thhey dharti par tou sabhi sapt maharshiyo ne maharshi bhrigu ko brahma vishnu mahesh in teeno devtaao k paas bheja k ye parikshan karein k yagya kis dev ko samarpit ho...brahma ji ne apni maanas pytri usha ko vilaas drishti se dekha tou unhey alag kar diya gaya...mahesh apni bhaarya paarvati ji k sath bhog mei thhey tou maharshi bhrigu ney unhey ye kahtey huey alag kar diya k tum santo k samaksh bhi bhog mei rat thhey isliye kaliyug mei dharti par tumhaarey jyotirling k jyotirmaii tejomayii roop ko koi nahi samjhega aur kewal ling roop mei poojey jaaogey aur aaj ye drishtigat bhi hai...saavan maas mei vishesh roop se ling abhishek kiya jata hai jab dharti bhi rajaswala hoti hai...aur fir sri vishnu ji ko maharshi bhrigu ne laat maari unki chhaati par ye kahtey huey k merey saamney bhi letey huey ho...tou sri vishnu ney vinamrta se maharshi bhrigu k paanv pakad liye aur kaha prabhu aap tou sant hain..komal swabhaav aur komal charan hain aapkey...meri chhati tou vajr k samaan ho gaii hai srishti ka taap letey huey tou aapko chot tou nahi lagi???maharshi bhrigu ne usi wakt se yagya k bhaag ko sri vishnu ko deney ka nirnay kiya...aaj bhi sabhi yagya bhaag sri vishnu ko samarpit hotey hain...aur jab saavan se pahley guru poornima se 4 din pahley dev shayni ekaadashi par sri vishnu so jaatey hain aisa kaha gaya jissey yagya na ho ab...sri vishnu ko prathan satguru roop mei kaha gaya aur isi roop mei sabhi santo ko viraajit bhi kiya gaya...VANDEY KRISHNAM JAGAT GURU...POORN CHANDR darshan yaani poorn sahastr dal kanwal ko paar kar us poornta k darshan karna jo brahm roop hai...aur humaarey hindu dharm mei chandr ko pitr lok mana gaya hai aur sri vishnu kahtey hai terey sab pitar mujhmey hi hain..sri vishnu kahtey hain jo santo ko aur guru ko sammaan deta hai mujhse bhi pahley wo mujhey praapt kar leta hai kyuki mai santo ki baani nahi taal sakta ...mai santo ka bahot maan karta hu...guru ko tou saakshaat poorn brham maanaa gaya hai aur guru sarpratham poojniy hain...varsha k 4 maheeno mei doodh nishedh hai rogaanuo k kaaran...aur isiliye sri vishnu k poojan mei doodh dahi ka panchaamrit jo banta hai wo shivling par charhta hai...aur inhi chaar varsha k maas mei pitro k tarpan k 15 din bhi aatey hain jo shraadh kahlaatey hain aur yahan bhi tarpan jal dwara hona pramukh hai...isiliye kaha gaya k in 4 maheeno mei guru k samksh baith kar jitna swaadhyaay ho sakey kiya jaaye aur guru poornima par guru k mukh ka darshan kar unkey charno mei baith jana hai aur fir yahin se apni mukti path par aagey barhna hai...maanas pooja karni hai...niyam se rahna hai...aur jainiyo ka chaaturmaas bhi isi ka pratiipaadan karta hai...apney guru maharaj ji k ek shabd ki ek pankti likh rahi hu...'' WAAH WAAH BHAAG JAGEY GURU CHARNAN SURAT MILI...CHANDR MANDAL KO WAHI FOD K GAGNA MEI PILI...''YE PANKTI SAB KUCHH KHUL KAR KAH DETI HAI AUR GURU POORNIMA PAR CHANDR DARSHAN AUR GURU DARSHAN KI MAHIMA BHI SAMAJH MEI AATI HAI PAR SIRF EK DIN NAHI POOREY 4 MAHEENEY GURU POOJAN KARNA HAI...YAANI 4 JANAM...PAHLEY JANAM MEI TOU BEEJA PARHTA HAI K SATSANG KARNA HAI AUR DOOSREY JANAM MEI NAAM MILTA HAI AUR TEESREY JANAM MEI GURU BHAKTI MILTI HAI AUR CHAUTHEY JANAM MEI MUKTI MILTI HAI...YAHI HAI GURU POORNIMA KA ARTH...POOREY 4 MAAH...YAANI 4 JANAM KI MAANAS POOJA HAI..NIYAM SE...ANUSHAASAN SE..YE EK GURU POORNIMA WAALEY DIN SHURU HOTI HAI...YAANI JIS DIN CHANDR MANDAL DIKHA....AUR FIR USKO FOD KAR AAGEY KI YAATRA BHI KARNI HAI....16 kalaao se poorn chandr roopi satguru ko shat shat pranaam hai...satguru k roop mei sab dev viraajmaan hain aur sab dev bhi guru dhaaran kartey hain jab dharti par avtar letey hain...ye satguru ki kripa hi tou hai k manushya choley mei aakar manushya ka bhatkaav samaapt kartey hain par yaatraa tou bhakt ko hi karni hogi apni apni..yahi hai guru poornima....jo poorn se nikla poorntaa se poornta ko milaaney k liye us poorn guru ko koti koti pranaam...
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

Wednesday, 3 April 2013

PUSHP KA BHAAV


PUSHP...jeewan mei phoolo ka adbhut samaavesh hai...mrityu tak aur mrityu k baad bhi iska mahatva samaapt nahi hota... vaani phool k samaan sugandhit aur komal honi chaahiye...bhaav phoolo k samaan pavitra aur sugandhit hona chaahiye...bhaav mei phoolo k samaan mook samarpan hona chaahiye...phool shudhdh hai jabki unka bhi prajnan hota hai...pushp mei bhaav mei koi banaavtipan...milaavat nahi hoti...beej se kali ban jaaney tak aur kali se khila hua phool ban jaaney tak...phool k mahakney se lekar saij se lekar devta k charno tak...vivaah bandhan se stri k sringaar tak...dargaah par...kisi bhi paavan poojan sthal par...mrityu tak....phoolo ki yaatraa ek hi samarpan sugandhit bhaav se chalti rahti hai...phoolo ka bhaav nahi badalta...manushya k maanas ka bhaav sthiti sthal vyakti vastu wakt k anuroop badalta rahta hai aur pushp ki sthiti bhi wahi apney anusaar badal deta hai...pushp ki yaatraa aanand se shuru hoti hai aur aanand k liye hi chalti rahti hai...aur pushp ki antim yaatraa bhi aanand detey huey hi samaapt ho jaati hai...phoolo ki vivechna saundarya sugandh aanand prem tyaag bhaav k spandan k liye sadaiv huii hai...DURGA SAPTSHATI mei jab devi ka praadurbhaav hua hai aur sab devtaao ney unhey apni shaktiyo se astr shastr aur uphaar diye hain ......waha devta varun ney unhey kabhi na murjhaaney waai kinjalkini pushpo ki mala samarpit ki hai....aaj bhi stri ka sringaar pushp hi hain aur murjhaaney se pahley pooja sthal k pushp badalney ka niyam bhi hai...pooja mei sansaari pushp ki alag vyaakhya hai aur sri ram nei jab lanka yudhdh se poorv shakti poojan kiya vijay k liye tab 1000 kamal charaaye aur wo khaas kamal sri hanumaan ji laaye...par ek kamal kam parh gaya tou sri ram ney apni aankh ko charhaaney ki pahal ki aur devi ney wahin prakat ho unhey vardaan diya...kamal roopi netro ki vyaakhyaa hai tantr shaastr aur saahitya aur kaavya jagat mei....budhdh ka padmpaani roop jagat prasidhdh hai...gyaan ko chatushdal kamal...ashtdal kamal..sahastradal kamal se vyakhya di gaii hai...aur jab surat abhyaas mei brahmaan k paar surat charhti hai tou sar k sabsey oopri kendra ko sahastra dal kamal kah k hi vyakhyaa ki gaii hai...kamal saundraya...gyaan...aur prem ko paribhaashit karta hai isi liye sri vishnu sri mahlaxmi budhdha k sath dikhaya gaya hai...laal gulaab laal kaner gudhal anaar ka pushp oorjaa ...rakt..shakti k liye paribhaashit hota hai tou ganpati poojan...devi poojan tantra mei prayukt hota hai...jab kundalini yog hota hai tou guda chakra mei sushupt naadi ko jaagrit kiya jata hai aur shareer ka neechey ka 3 chatr ka bhaag rakt ...oorjaa...aur laal rang se poorn hota hai aur kundalini yog ka praarambh bhi yahin se hota hai aur pratham gajaanana ka poojan sri ganesh karna sab isi ko soochit karta hai....praarambh shubh ho...yahi drishya hai yahan...hathi oorja...madd ka parichaayak hai...devtaao ya manushya ya shubhta mei ya antim yaatraa mei ya pavitr dargaahi mei...kahin bhi pushp ka charhaanaa...dena ...lenaa ek jeewan...aanand...prem...khushbu aur komlta k bhaav ka parichaayak hai...samarpan pushp k maadhyam se bina bhasha k dikhta hai....
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI....
---Chhavi Mehrotra

Friday, 22 March 2013

JAAGTEY RAHO


JAAGTEY RAHO...YE KAHTA HAI CHAUKIDAAR JABKI WO JAAG RAHA HAI HUMAAREY LIYE....ek baar sri krishna paandvo k paas van mei milney gaye ..tab pandav vanvaas kaat rahey thhey...draupdi ne sri krishna ko thakaa sa dekha tou boli...sakha ...thodi der so jaao...
sri krishna ne kaha...sakhi...mai so hi tou nahi sakta...merey bharosey ye jag so raha hai...mai kaisey so jaau...
aur krishna ye kahtey huey muskura diye...kyuki wo tou dharm shetr kurushetr mei ...arjun k maadhyam se sampoorn jagat ko jaagtey raho ka sandesh jo deney waaley thhey...
isi tarah hum subah sham mandir mei deepak jalaatey hain aur ghanti bhi bajaatey hain..shankh bhi bajaatey hain...tou kya wo prabhu jo mandir mei moorat roop mei baitha hai usey prakash chahiye ya ghanti ki dhwani chaahiye jaagney k liye????nahi...bilkul nahi...jo swayam laakho karodo soorya k samaan prakaashmaan hai aur samast charaachar jagat ko gyan ka prakash de raha hai usey kisi deepak ki zaroorat nahi hai...hum deepak jalaatey hain swayam ki sharirik aankho k dwara prabhu moorat dekhney k liye...ghanti bajaatey hain swayam ki oorjaa ko swarmay karney k liye...shankh bajaatey hain swayam ki indriyo ko jaagrat karney k liye aur ye sab kaney k liye ishwar ney gyan ka prakash humaarey bheetar jagaya...JAAGTEY RAHO...kah kar...jabki wo aseem anant gun se paripooran prabhu swayam nirgun roop ho gaya aur humey jaagrat karney k liye jaagtey raho kahta rahta hai...satguru roopi chaukidaar k maadhyam se...isiliye shaastro mei bhi yahi kaha gaya hai k bina guru k narayan nahi miltey kyuki satguru k JAAGTEY RAHO kahney se chetan jaagtaa hai aur shareer k soney k baad bhi antar se chetan jaagrat rahta hai...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI....
Chhavi Mehrotra

Wednesday, 20 March 2013

RANGO KA SAMAAVESH


Har rang ka jeev k mann aur shareer se bahot gahraa sambandh hota hai...kisi bhi mazhab mei chaahey kisi bhi rang ki pradhaanta rahti ho par har mazhab mei har rang ka pooraa asar dikhaaii bhi deta hai....
...naarangi rang..laal aur peeley jaisey primary colors se milkar prakat hota hai tou is tarah se in dono rango ka asar bhi apney andar samaahit kar k chalta hai...laal rang oorja ka prateek hai aur rakt ka shareer mei upasthit hona jeewan aur jeewan ka hona shakti aur oorjaa ko sidhdh karta hai...shakti poojaa mei laal rang ka hona iskey gun ko sidhdh karta hai...rakt ka laal rang oxygen ki upasthti se hota hai aur oxygen jeewan ko darshaati hai..shakti pooja mei anaar...ka bhog...rakt k lauh tatva ko sidhdh karta hai...laal gudhal k pushp se shakti poojan fir lauh tatva ko pratipaadit karta hai aur ye garmi aur oaj ka prateek sidhdh hai...doosri oar peela rang prem aanand aur gyan ka prateek hai...sri vishnu aur unkey avtaaro ko peetaambar dhaaran karvaaney ka yah pramukh kaaran hai...aur ye sri vishnu k har avtaar mei dikhaaii bhi deta hai...ab laal aur peeley rang k dwara mila orange rang ya kahein bhagvaa rang gyaan oorjaa shakti prem aanand ka prateek hai aur gyaan ka uday bhaaratvarsh se hi mana gaya hai aur usha kaal mei udit hota soorya sadaiv gyan k uday ka prateek maanaa gaya hai jo naveen din k uday ko sath laataa hai aur fir se andhkaar k baad naveen gyan k uday ki sambhaavnaa jagaataa hai...
MAHATMA BUDHDH ne sadaiv ahinsa aur prem par zor diya aur peelaa rang unkey in sandesho ko sampaadit karta hai....
safed ran sab rango ka apney bheetar samaavesh dikhata hai...safed rang kahin hota hi nahi prakriti mei...isiliye safed rang sabhi rango ko khud mei samet kar adwait ka bhaav dikhaata hai jo paavanta...saadgi aur guno ki itni poornta k nirgun ho jaaye is bhaav ka pradarshan karta hai...isiliye kisi bhi mazhab mei jab bhi teerath kiya jata hai tou safed kapda pahna jata hai aur jab gun ko pee kar pachaa kar nirgun ho gaya tou wo shaanti saadgi aur paavanta ki charam sthiti mei hota hai...yahi safed rang yudhdh ki samaapti par...ya shanti karney k liye ya shanti doot k roop mei safed kabootar uda kar ya safed dhwaj lahraa kar ...prayukt kiya jata hai...
neela rang purity ka soochak hai....space se dekhney par dharti neeli dikhti hai...dharti se saaf aakaash neela dikhta hai...saagar ka paani neela dikhta hai...down to earth...puritu..clearity..ka bhaav neela rang dikhata hai aur ash blue colour sri vishnu...sri ram...sri krishna...sri mahadev k shareer ka isi guno ko dikhaatey huey pradarshit hota hai...ishwariya bhaav hai saaf suthra....nishpaapi...deep...paardarshi..daya...karunamay...vish ko pee kar usko shareer aur hriday se dimaag k beech mei galey mei rok leney ki kshamta rakhney waaley shivatva k gun ko ..bhavv ko pradarshit karta hai neela rang...ek baat aur hai...gahra neela rang iraan se bhaarat mei aayaa aur aaryan sanskriti bhi iraan se aaii ...aisa itihaas kahta hai...iraan..istambul aur us taraf k shilp mei...chitrkaari mei gahraa neela rang bahutaayat mei aur pramukhta se dekhney ko milta hai...sikh mat mei is gahrey neeley k sath kesariya rang dekhney ko milta hai jo paavanta..paardarshita...saaf suthra...down to earth...gahraaii..purity of spirit...k bhaav k sath gyan veerta prem oaj ka prateek bhi hai....
hara rang peeley aur neeley ko milaaney se prakat hota hai tou in dono rango k gun ismey rahtey hain...hara rang hriday ki haritima..khush haali..samridhdhi....ukarsh..prem...daya...paavanta...paardarshita ka prateek hai...haritima usi hriday mei ubhregi jis dil mei us khuda k liye prem hoga...paardarshita ka gun hoga...aur jitna paavan...gyani...dhyani...premi..jeev hoga wahi aanand ki samridhdhi hogi aur hara rang progressiveness...movement ko dikhata hai tou jahan ye hoga wahan aanand ki samridhdhi hogi...
...kala rang har rang ko sokh leta hai apney andar...jo apney bheetar har oorja ko sokh ley wo power  aur sophistication ko dikhata hai...ye durbhaagya aur agyaan ko bhi dikhata hai..jahan santo aur mahatmaao ko thukraya gaya ho aur sadiyo tak dilo mei un mahaatmaao k dukh jhelney ka dard samaya ho wahan kala rang un agyaaniyo k agyaan ko hi dikhata hai jin agyaaniyo ney santo mahatmaao ko dukh diya aur unsey dharti ko viheen kar diya...kala rang agyan k andhkaar ko dikhata hai..shok dukh dard ko dikhata hai...choohey ka andheri naali...andherey bilo mei rahney ya ghoomney se us jeev ka agyaan roop mei aur taamsik roop mei hona sidhdh karta hai aur choohaa bahot taamsik jeev hai...asankhya choohey ek choohey se uttpann ho jaatey hain...kheto ko...gharo k aanaj ko nuksaan pahuchaatey hain aur isi baat ko sidhdh karney k liye gyaan budhdhi aur vighna harney waaley vishaal deh waaley bhagvaan ganesh ji ko choohey par savaar ho kar choohey ko niyantrit kartey huey dikhaya gaya hai...jab koi sitara bahot umrdaraaz ho jata hai aur mrity ko praapt hota hai tou wo blackhole ban jata hai aur us black hole ka gurutvaakarshan itna zabarjast hota hai k wo apney se karodo meel door grah ko bhi nigal jata hai...jab soorya ki agni khatm hoti jaati hai tab wo black hole ban jata hai aur andhkaar mei doobaa grah ho jata hai...ek baat aur hai...is black hole mei samaaii hui koi bhi vastu roop badal deti hai...wo apney mool roop mei nahi rahti lekin uskey tatva nahi badaltey...ye sab vigyan kahta hai.....sidhdh hota hai k kaalaa rang sab kuchh sokh leta hai...isikiye garmi mei kala rang pahanney se doctors manaa kartey hain kyuki unkey anusaar kala rang sooraj se garmi sokh leta hai aur shareer k andar bhi usi garmi ko pahuchata hai....kaala apney vishesh guno se bahot ahmiyat rakhta hai...
...har rang jeevan mei....dharmik...saamajik aur vyaktitva mei ahmiyat rakhta hai apni apni jagah...kyuki har rang ka apna ek alag gun aur mahatva hai jo kahin bhi kisi se kam ya zyada nahi hai....
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

Tuesday, 19 March 2013

JO MAREGA WO TAIREGA


JEEVIT DEH NADI MEI DOOBTI HAI AUR MRIT DEH NADI MEI TAIRTI HAI...MITTI BINA PAANI K SOOKHI ALAG ALAG RAHTI HAI...PAANI MIL K LUGDI BAN GAI WAHI MITTI AUR SAANCHAA BAN GAYA DEEPAK YA MATKEY KA YA KOI BHI SRISHTI HO GAII AUR PAANI TAAIL YA KOI BHI VASTU RAKHNEY YOGYA BAN GAII PAR JAB TOOTI TOU PAANI MEI HI GHUL GAII...yahi gati hai shareer ki...shareer bana is sansaar k 5 tatvoo se milkar aur 5 tatvo ki oorja se 5 indriyaan sanchaalit karti rahi shareer ko par sthooltaa bhi barhti rahi shareer ki kyuki shishu ki deh tou nahi doobti yaani tab sthoolta nahi hai...sthoolta barhi shareer k bheetar baithey mann maanas ki kriyaao se aur ahamkaar laalsaa lobh kamnaaein krodh maatsarya moh irshya sab bhaav milkar sthooltaa barhaatey rahey shareer ki aur shareer bhaari hota raha maanas se vichaaro se bhaav se kriyaaein kartey kartey....aur fir sidhdh hua ye santo ka kathan...JIN DOOBA TIN PAAIIYAA...GAHIREY PAANI PAAITH...yaani jo jitna adhik doobega wahi ratan ya moti paayega...aur jab doobega tou chetan mukt hoga tou ye nirjeev deh taair jaaeigi kyuki saara karmo ka bojh le kar chetan tou mukt hoga ho hoga...jaisey SANT KABIR DAS JI ne kaha....utha bagula prem ka , tinka urha aakaash|
..........tinka tinkey se mila , tinka tinkey paas||
..yaani jab har bhaav se mukt hokar prem ka panchhi udta hai tou wo tnkey k samaan halka ho jata hai kyuki wo is sansaar k har bhaav se mukt hokar itna sookshm ho jata hai k prem k maheen tinkey mei se guzar jata hai...aur wo tinka apney us tiin ke paas chal deta hai jin se wo juda hai...aur jinka wo ansh hai...jiska wo ansh tha wo usi se mil gaya aur fir jiska wo tha usi k paas pahuch jata hai...
...isi kaaran se ye is sansaar k tatvo se mili deh yahin nadi mei taair jaati hai aur nishpraan rah jaati hai aur asli sookshm halka tatva jo us parmaatmaa ki ansh hai...nij ansh hai wahin urh jaati hai ...sabsey mukt...har bhaav se mukt..
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

Monday, 18 March 2013

ISHWAR KI SUGANDH


ISHWAR KO SAAKSHAAT MAANKAR JAANKAR GEETA KI KASAM HI KYU KHAATEY HAIN???KYA ZAROORAT HAI????RAMAAYAN...RAM CHARIT MAANAS...GEETA...SRIMAD BHAAGVAT...ISHWAR SWAROOP HAIN...KYA SACH SAABIT KAR PAATAA HAI INSAAN  ISHWAR KI SAUGANDH KHAA KAR YA LE KAR......Diwali sabsey bada tyohaar hai....tou issey ye kahi sidhdh nahi hota k ramayan ya ram charit maanas humara sabsey bada grantha hai...sab granth apni apni jahah bahot hi mahatwapoorn sthan rakhtey hain...diwali ka ram charit manas ya ramayan se sirf itna sambandh hai k ye granth sri ram chandr ji k jewan par aadhaarit ullekh hai aur diwali par sri ramchandr ji ka raajyabhishek hua tha...bhaarat mei sabhi tyohaar krishi aur fasal k kataaii aur bowaaii par nirdhaarit hain...har ritu mausam k aagaman par us wakt ki fasal ki bovaaii kataaii par harshollaas manaaney k liye ye parv nirdhaarit huey...holi par chana gehu jau ki baaliyan bhooni jaati hai aag mei aur khaaii jaati hain kyuki baisaakh par inki kataaii hoti hai aur holi se poorv inhey harey aur kachchey roop mei ya bhaarh mei bhoon kar khaatey hain aur sardi k baad garmi ka aagman hota hai...aag mei teji ka dhyotak hai ye parv...diwaali parv hai shishir k baad tez thand k aagaman ki soochna deney ka parv...raat chhoti aur adhik andhkaarmay honey ki soochna deta parv hai ye...sarso k taail k deepak jala kar aadhik prakaas aur garmi ki aavashyakta par zor deta hai ye parv ..... holi aur diwali dono par sri vishnu ka poojan hota hai...ye sansaar garbh k niyam par chalta hai...udar ki pramukhta hai...garbhodak shaaii vishnu roop mei shishu naabhi kamal se bhaavnaao se mata k sath judta hai aur bhojan leta hai...mata shishu ki ahaar poorti karti hai..sri vishnu bhi srishti k paalak ka roop hain aur bhartaa hain srishti k...har fasal ki bovaaii aur kataaii udar poorti...sampanntaa k aagman ka dhyotak hai...har sampanntaa harsh ka prateek hai..diwali par sri ram ko rajya laxmi praapt huii aur sri vishnu ki ardhaangini sri laxmi poojya ho gaii is parv ki...ganpati shubhta ka prateek hain tou koi bhi sampoannta shubhta k bina nirjeev hai tou is prakaar ye diwali parv aur ramayan ka sambandh hua...ramayan dev bhasha mei rachit sri vaalmiki ji ka granth hai...wahi vaalmiki ji jo mara mara kah kar fir ram ko paa gaye...marna tou hoga pahley fir ram milengey...mann ko mara aur ram se pahley ram katha likh gaii...geeta jo srimad bhaagvat ka kewal ek ansh hai aur bada pramukh ansh hai...karm gati ko samjhaati hui geeta...ramayan mei sri ram k jeewan ki katha ka ullekh hai jabki geeta mei karm k janam se pporv praarambh honey se lekar aatmaa k roop mei bina shareer k bhi karm gati tak jaaney ka ullekh sri bhagvaan ne swayam apney sri mukh se kiya hai...geeta ki kasam khaaney ki vajah kya hai ye tou kasam khaaney wala hi apney apney tareekey se bata sakta hai...kya geeta ki kasam khaaney se ye sidhdh ho jata hai k vyakti satya hi bolega...geeta swayam sri krishna ki vaani hai..sri vyas roop bhagvaan k vachan hain...geeta vyakti ko mukt karti hai khud se aur sansaar se...kasam khaatey hi vyakti mukt ho jata hai us dor se jissey wo sansaar se juda hota hai...uska jhooth ya sach jo bhi hai wo uskey pichhley karmo ko agley janam se seedha jod deta hai usi pal...aur vyakti is janam se mukt ho jata hai...mukt honey se aisa nahi k uskey gunaah maaf ho jaatey hain..mukt hota hai wo is pal se...geeta ki kasam pratyaksh aur apratyaksh roop se vyakti ko mrityu k baad ki mukti shareer rahtey de deti hai...fir chaahey uska gunaah saabit ho ya na ho...vyakti antar se mar jata hai chaahey wo apney agyan mei isey samjhey ya na samjhey...uski aatmaa shareer mei nahi rahti...geeta sir geeta maatr nahi hai ye mukti khand hai...srimad bhagvat mei anekanek kathaao mei bhi anekaanek kathaaein hain aur un sabhi ka nichod geeta hai...karm k kurushetra k niyam bataati hai geeta...har karm k yagya honey ka saboot deti hai geeta...geeta ki kasam khaaney waaley geeta ko nahi jaantey ye sabsey bada satya hai kyuki jo geeta ko parh kar gun lega usey geeta ki kasam khaaney ki zaroorat hi nahi hogi..yahi sabsey badi baat parilakshit hoti hai k adaalat mei geeta ko saakshi maan kar satya ko saabit kiya jata hai...shaayad geeta ko saabit kiya jata hai k kaliyug mei geeta ka kya sthan rah gaya hai kyuki kya vaastav mei geeta par hath rakh kar kasam khaaney waaley sachchey hotey hain???ya geeta kewal ek pustak maatr hai jo kewal kasam khaaney k liye ek iswariya shakti hai jisey kabhi kisi ne dekha hi nahi hai....GEETA KARM SE BANDHEY JEEV KO SHAREER AUR USKEY ANTAR MEI VIDHYAMAAN CHETAN...AVCHETAN..INDRIYO...MANN....BHAAV...AATMAA AUR PARMAATMAA K EK DOOSREY SE JUDEY HONEY AUR FIR BHI VILAG RAHNEY KI SHIKSHAA DEI HAI...SAB GEETA PAR HATH RAKH KAR KASAM KYU KHAATEY HAIN YE USI WAKT HAR US BANDEY SE ZAROOR POOCHHNAA CHAAHIYE K WO KYA SOCHKAR AUR KYU GEETA PAR HATH RAKHKAR SACH BOLNEY KI KASAM KHA RAHA HAI??????GEETA TOU SWAYAM HAR KASAM SE MUKT KARTI HAI.....geeta karm k fal se mukt karti hai aur iski kasam wahan khaaii jaati hai jahan karm k fal ki mithaas ya kadwaahat ka nateeja aanaa hota hai...aur geeta ki kasam khaaney se kya fal ka swaad gun badal jaatey hain????nahi...swaad gun apney anuroop banaaney k liye geeta ko hath mei lekar shabdo k jaal pirokar fir naveen kar apni suvidhaa k anusaar kiye jaatey hain...ramayan kahti hai swarn mrig mithyaa hai par geeta idhar geeta bhi yahi kahti hai k sab badal jaayega...sab chhoot jaayega...par kurushetr mei duryodhan tou bannaa hota hai tabhi koi bheem banega...koi karn banega tou arjun ko aanaa hoga aur inhi chakkaro mei kisi abhimanyu ko marna hoga...par kasam tou khaatey hain aur yahi log khaatey hain..jinhey maalum hai geeta ko sirf hath mei lena hai karm tou geeta nahi karegi...jabki jo geeta ko sri krishna roop mei dekhtey hain wo kasam nahi khaatey kyuki unhey kisi saboot ko deney ki koi zaroorat hi nahi hoti kyuki jo apney hain unhey kisi saboot ki zaroorat nahi aur jo sajjan hai hi nahi usey kisi saboot ki koi zaroorat hi nahi....jo log agar aaj krishna ki kasam sirf isliye khaatey hain kyuki krishna k karmo mei khud ko jodtey hain tou sach baat tou ye hai k wo log khud hi krishna ki aarh letey hain aur apney  karmo ko krishna ka naam bhi detey hain...jabki hakeekat ye hai k krishna ney aam aadmi ko arjun bataya aur khud apney hi parivaar k sath yudhdh karney k liye karm yog ki shikshaa di aur apney viraat swaroop mei poorn sansaar ko abhivyakt bhi kiya aur jansaadhaaran har viraat se darta hai...ishwariya viraat swaroop dand deta hai duryodhan ko karn ko duhshaasan ko yahan tak k apney priya bhakt bhishm pitaamah ko bhi...ye nishpakshtaa viraat ko aur viraat karti hai..ram ko chhal se baali ko maarna parha tou krishna ney bhi har neeti ka ullanghan karney waaley duryodhan ko bheem se marvaayaa par janghaa par aaghaat karney ka ishaara kiya aur tab gadaa yudhdh mei jangha par vaar karna nishedh tha...krishna ney khul kar nishpakshtaa saamney rakhi...samaaj mei tyaajya striyo ko naam deney k liye hazaaro striyo ko sweekara aur apney oopar laanchhan liya wo bhi sabhya samaaj se nahi liya kyuki jo bhi krishna ko samjhega wo jaanega k prem kya hai...sabhyata kya hai...tyaag kya hai...ek sath raat aur din ko sweekaar karna kya hai...geeta karmshetr ka wo bhaag hai jo doshi ko aur nirdosh ko..dono ko ye saabit kar deti hai k yahan ka yahin samaapt hona hai...ab khud hi dono paksh soch lein k neeti kya hai...karm shetr mei...dharm shetr mei...yudhdh shetr mei...jo aamney saamney khadey hain unki yahi niyati hai aur yahi ant hai...ye sirf geeta hi kahti hai...ramayan nahi...ramayan kahti hai k yadi apney aatm tatva ka haran ho tou us apney ahankaari tatva se larho aur kisi bhi nikrisht jeev ka sahra lo kyuki kuchh bhi samaj mei tyajya nahi hai aur geeta ka bhaav hai k aatm tatva ko bal do aur saamney koi bhi apna paraya khada ho dharm aur sahi satya k liye lado kyuki yadi satya k liye ladtey huey mar gaye tou swarg tumhara hai aur jeevit rahey tou dharti tumhaari hai...yahi yahan ka karmyudhdh hai aur saugandh tou geeta ki hi lekar jeena ya marna hai kyuki marney k baad bhi mukt karney k liye geeta ka hi path hota hai...tou jo doshi hai ya nahi hai usey jeetey ji mukt hona hai aur wo geeta hath mei lekar mukt hota hi hai...dosh se...apney pratidwandi se...apney karm se....wo seedha jud jata hai apney pichhley praaarabdh se sanchit se aur agley janam k praarabdh se....
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI....
....Chhavi Mehrotra

Tuesday, 12 March 2013

TRISHNA AUR DHAAIRYA


Ek brahman vaidarbh mantr ka gyata tha..is mantr ka jap karney se ratno ki baarish hoti thi...wo iss gupt vidhya ka upyog sawayam k swaaerh sidhdh k liye nahi karta tha apitu nirdhano ki sahaaytaa k liye karta tha...ek baar ek ladka uskey paas parhney aaya...ladkey k sadgun dekhkar brahman ney usey apney paas rakh liya...jab us ladkey ney brahman ka dil apni sewa aur kushaagr budhdhi se jeet liya tou brahman ney usey vaidarbh mantr sikhaya...kintu ye chetaavni bhi sath mei di k is mantr ka upyog kewal sahi upyukt sthan par hi karey..ek din brahman ko pados k gaanv mei jana tha...usney us shishy ko bhi sath mei liya..maarg mei kuchh daakuo ney dono ko pakad liya aur dhan ki maang ki....brahman k paas dhan tou tha nahi isliye un daakuo ney us ladkey ko apney paas bandhak banaa liya...aur brahman ko dhan le kar aaney k liye ghar bhej diya...sanyog se usi at dhan varsha nakshatr ka yog tha...braahman ney socha k yadi mera shishy aaj dhan deney k liye us mantr ka prayog karega tou dhan varsha hoti dekh daaku aur adhik ratno aur dhan k laalach mei merey us shishy ko aur adhik sataaeingey aur takleef dengey aur un daakuo ka agyaan k kaaran laalach barhtaa jaayega aur wo us shishy ko adhik dhan varsha k liye prataadit kartey rahengey aur wo ye nahi samajh sakengey k ye sirf nakshatr yog se hota hai...atah merey shishy ko ye mantr ka prayug nahi karna chaahiye...aur unhoney apney shishy ko samjhaya k mantr ka prayog kadaapi na karey varna uski musibat barh sakti hai...raat honey tak tou us ladkey ka dhaairya jawaab dey gaya...usney socha k ratno ki varsha se mai daakuo ko maalaamaal kar du tou wo mujhey avashya chhorh dengey aur ye soch kar usney ratniiio ki varsha kar di...daakuo ney laalach mei aur varshaa karney ko kaha par wo asambhav tha tou ladkey ney asamarthataa jataaii...kyuki mantr ka upyog ek hi baar ho sakta tha wo bhi nishchit nakshatr mei...asabhya agyaani ashikshit daakuo ney krodh mei us ladkey ko maar diya...
vastutah dhaairya khoney se aur gyan ka galat sthan par prayog karney se sankat ki sthiti ban jaati hai...isliye vipreet paristhit mei bhi dhaairya ka sath na chhodein...isi prakaar is sansaar mei bhi mann ka aur trishnaao ka daaku adhik se adhik ichchhaao ki poorti chaahta hai aur ek tripti k baad trishna fir jaagti hai aur ye antheen trishna agyaani ashikshit asabhya mann k daaku ko uksaati rahti hai aur adhik ki laasa k liye...aur ye mann ka daaku dhaairya khoney waaley ko...satguru ki aagyaa na samajhney waaley ko uski indriyo samet maar daalta hai aur patan k gart mei gira jeev fir ubar nahi paataa aur nasht ho jata hai....
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI..
---Chhavi Mehrotra