Saturday 1 December 2012

MAANAS KI SRISHTI


MAANAS KI SRISHTI...
____________________________
aksar ye prashn jeev k mastishk mei ghoomtey hain k ye srishti kab khatm hogi???kab nasht hoga ye sansaar...???jis bhi vastu jeev ki srishti hogi uska ant bhi hoga ye nishchit hai ye jaantey
huey bhi ye anjaana sa bhay kyu bhatbheet karta hai jeev ko??shaayad hakeekat yahi hai k jeev swayam k hriday maanas aur bhavo mei apni srishti karta rahta hai aur usimei apney dwara rachit sansaar ko swayam jeeta rahta hai aur swayam k sandeh,bhay,atyadhik lipsa se is apney hi sansaar ka vinaash bhi swayam kar deta hai...na jaaney kitni hi srishtiyaan rachi jaati hain is jeevan mei aur paalit ki jaati hain aur sanhaar bhi swayam hi kiya jata hai...ye bandhan tou katney hain kyuki srijit bhi kiye jaatey hain...fir kyu sochna k dunia kab samaapt hogi???jabki jeev apni srishti ko swayam nasht karta chalta hai....na jaaney kitney janmo ki adhoori lipsaaein janmo ki nirantarta ka kaaran banti hain aur behad shradhdhaa se jeev swayam ka hi pichhley janmo ki lipsaao se naataa jodtey huey unhi lipsaao ko shaant karney ki tamannaa mei pitar roop mei apna hi shraadh karta chalta hai...ye dunia kabhi samaapt ho hi nahi sakti...ye dunia yadi is roop mei samaapt bhi ho jaayegi tab bhi is dunia ka astitva ek doosrey roop mei rahega aur jaisey aaj puraano mei na jaaney kitney hi kalpo ki kathaaein hum parhtey suntey hain wo yu hi chalti raheingi...bass paatr judtey rahengey...arjun krishna tou aatey rahey hain aatey rahengey...mahishaasur hotey rahey hain aur devi prakat hoti rahi hain aur mahishasur yu hi martey rahengey...ye tou dunia ka srijan hai aur roop badal badal kar ye srijan paalan aur sanhaar ,...jo sanhaar hai hi nahi...kalyaan hai...hota rahega....BAAT APNEY MAANAS KI MAANAS K DWAARAA MAANAS KI SANTUSHTI K LIYE KI JAANEY SRISHTI KI HAI...JO HOTI RAHTI HAI...POSHIT HOTI RAHTI HAI AUR VILUPT HOTI TOU HAI PAR EK NAI SRISHTI K UTSARJAN AUR POSHAN AUR VISATJAN K LIYE HOTI RAHTI HAI...
.....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA I..
---Chhavi Mehrotra

No comments:

Post a Comment