Saturday 19 July 2014

PARCHHAAIYO K PAREY UJAALEY KI OAR

PARCHHAAIIYO K PAREY UJAALEY KI OAR
_______________________________________________
ye bahot gahri baat hai k phool ki tarah jiyo chaahey khiltey hi bikhar jaao..ab phool khiltey hi bikhar tou jaayega par jis havaa k kaaran bikhrega wahi havaa us phool ki khushbu apney sath meelo door tak udaa kar le kar jaayegi aur us phool k liye deewaangi barhaayegi...par parvaanaa banney mei koi khushbu door tak nahi jaayegi...shamaa par jal kar marney waley parvaaney ki kisi ko khabar bhi nahi lagegi balki tasalli zaroor hogi k chalo parvana mar gaya...ab sabsey zaroori baat hai ye dhyan deney waali k gyanvaan hokar swayam ko poojit karvaaney waaley vyakti ko jalney ki aadat daalni hogi...jo vyakti gyanvaan hota hai wo apney satguru ki kripa se gyanvaan hota hai aur parchhaaii bhi deewaar par hi badi dikhaaii deti hai...deepak ki tali mei hi parchhaaii rahti hai aur ye parchhaaii ujaaley k sath andhkaar ki upasthiti bataati hai...yaani jo vyakti jitna adhik guru ki kripa se gyanvaan hota hai uskey sath ahankaar ki parchhaaii apratyaksh roop mei rahti hai aur usi vyakti ko grasit bhi kar leti hai bahot jaldi isliye guru k sabsey kareeb aur gyab vaan vyakti ko apni pooja aur satkaar karvaaney k vishay mei sochna bhi nahi chaahiye aur manmukh yaani mann k adheen nahi hona chaahiye balki gurumukh hona chaahiye aur sadaiv isi taraf dhyan dena chaahiye k har kadam har saans guru ki baaton mei shikshaa mei lagey..parvana tou agyaantaa mei jalta hai jaisey ek nanha turant ka janmaa shishu hota hai jisey kisi bhaav ka ahsaas hi nahi hota...wo tabhi rota hai jab usey bhookh lagey ya dard ho aur kon usey doodh pila raha hai issey usko koi lena dena nahi hota...koi vichaar nahi hota aur fir dheerey dheerey jab bhaav ka sankraman hota hai usmey is sansaar se tou dheerey dheerey gyan hota hai k maa kon hai aur wo maa aur anya rishto mei fark karney lagta hai tou isi tarah patanga kewal prakaash k aabhaas mei jal jata hai ye uska prem hi hai kyoki wo anbhigya hai k wo usi prakaash ki jwala mei jal jaayega bass isi tarah jab jeev kewal sansaar ki oar aasakt hota hai tou jal jata hai anbhigyata mei par jab gurumukh hokar gyan hota hai k guru ka prakaash hi anmol hai tou guru ki shiksha k prakaash ki jwala mei khud ko nahi balki khud k mann ko aur ahankaar ko jalaata hai aur swayam ko guru k samkash nahi rakhta na tou guru k jeevit honey par aur na hi guru k antardhyan honey k baad bhi par jo mannmukh jeev hotey hain wo guru k sang honey par bhi guru ki shishaa ko kewal apney maan sammaan ka zariyaa banaatey hain aur isi agyaantaa k chaltey sansaar ki agni mei mann ko nahi jalaatey balki apni aatmik srishti ko hi jalaa daaltey hain...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

RAFTAAR AUR UTSAV

RAFTAAR AUR UTSAV
__________________________
jab dharti ka udbhav hua tab dharti dheemi ghumti thi aur raat aur din bhi kaafi lambey hotey thhey...fir yug k anusaar jeev ki budhdhi .gyaanaarjan aur sanyam ki gati dheemi ho gaii aur mann ki gati teevr se teevratar hoti gaii aur aaj jitni gati se dharti ki dhuri ghoom rahi hai aur usi gati se yug beet rahaa hai...kaalchakr chal raha hai aur jeev bhaag rahaa hai...sab jeev khud apney se bhaag rahey hain..apney se milney se dartey hain sab kyoki sabko maalum hai antar se k wo galat chal rahey hain...khud apney andar baithney se dartey hain jeev...antar mei trishnaao k shor se bhaagney k liye ussey bhi adhik shor mei jaa kar baithtey hain sab aur niteejtan tann mmann praan se thaktey jaatey hain tou utsav manaaeingey kaisey????utsav tou antar k aanand se manta hai...antar mei aanand hai kahan???agar hai tou ek doosrey se aagey aur aagey aue aagey bhautikta mei bhaagney ki spardha...irshya.ahankaar aur bas antar mei athaah halchal hai tou jaisey saagar mei rahney waaley jeev saagar mei andar halchal honey par oopar aa jaatey hain satah par waisey hi jeev k antar ki halchal k kaaran antar ki sushupt trishnaaein...jwaalaa bhadk kar baahar aati hai jo aajkal dikh raha hai...utsav nahi ho sakta aisey vaataavaran mei.....YAHAN SHAREER KA RAAS HOTA HAI SHOR SHARAABEY K SATH...AATMAA SE ANTAR MEI RAAS NAHI HOTA AANAND K SATH...WAHI TOU ASLI UTSAV HAI JO HOTA HI NAHI....
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI..
--- Chhavi Mehrotra

BEECH MEI HUM---7

BEECH MEI HUM---7
__________________________________

hum aksar kisi na kisi se kabhi na kabhi itna naaraaz ho jaatey hain k khud ko behad khoobsoorat palo se lamho se bhi alag kar letey hain yahan tak k us sthan se bhi hat jaatey hain jahan hum apni aatmaa ko bhajan bhakti aur sanyam ki khuraak dey saktey hain aur dheerey dheerey apni hi bhakti k chhotey se kuney k medhak bankar kewal wahin tak seemit rah jaatey hain aur fir apney ahankaar k chaltey apney hi satguru se kab doori kar baithtey hain khud humey hi nahi maalum chalta aur apni bhakti k gumaan mei itney ghaney kohrey mei khud ko ghair letey hain k apney siva kuchh nahi dikhta...ye satsang ka mela hai aur yahan bhajan ka aanand zzaroor lena hai..har lamha keemti hai jeewan ka...
..RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

BEECH MEI HUM---6

BEECH MEI HUM---6
_____________________________________________________

kabhi kabhi ek eent k sarak jaaney bhar se imaarat dhah bhi jaati hai ji...agar zakhm deney wala nahi hoga tou zakhm theek karney waaley ki kya zaroorat rah jaayegi...humaari yahi vyatha hai k hum jaantey hain k raat hogi aur chiraag jalana hoga par hum subah mei subah ki hi baat kartey hain ji...puraaney samay mei jab laaltein jalti thi aur diye jaltey thhey tou sotey wakt unko dheemaa kiya jata tha aur raat bhar jalney k kaaran wo kaaley ho jaatey thhey tou din mei unki safaaii ki jaati thi jissey raat mei fir se jalney k liye wo saaf rahein aur kaalaa dhunaa na dein aur aankho mei jalan na karein apney dhuein se..par aaj teji ka yug hai...batan dabaatey hi ujala ho jaataa hai koi taiyaari raat ki nahi karni hoti tou hum raat ki baat bhi nahi kartey ab din mei...din k ujaaley mei raat k astitva ko bhula detey hain jabki raat kahi gaii hoti hi nahi aur raat mei din kahin gaya hi nahi hota...bass hum jab tak aankh moond saktey hain moond letey hain...na raat mei kisi diye ya laaltein ko dheemaa karney ki chinta hoti hai kyoki bahot kam power ka bulb lagaa kar chhutti paa letey hain...isiliye mai kahti hu k hum apney liye suvidhajanak beech ka maarg chun hi letey hain...ishwar ney humey har wakt har kaam mei 2 maarg uplabdh karaaye hain par chun na humey hi hota hai...ab wo sahi ho ya galat ye wakt par maalum hota hai aur bass hum jugat kartey hain k beech ka koi maarg mil jaaye jo surakshit lagta hai...yahi sthiti tab badi achchhi lagti hai jab sankaraa pahaadi raasta hota hai par us maarg par tou kinaarey par hi chalna hota hai aur doosra koi upaay nahi hota aur tab anubhav...ekaagrtaa aur sanyam k sath hari naam hi kaam aataa hai...aur uskey liye gaadi chaalak ko kitna abhyaas karna parhaa hoga iska anumaan bhi hum nahi lagaa paatey...yahi anubhav,ekaagrtaa,sanyam aur hari naam ka sumiran hi chaahiye raat mei aur din mei apney diye aur laaltein ki taiyaari aur istemaal k liye...
..RADHASWAMIJI..JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

MAARGDARSHAK

MAARGDARSHAK 
_____________________________________
bahot bada satya....ye ek sabsey badi hakeekat hai k koi sabsey bada ya sabsey aagey nahi ho sakta...har kisi k aagey koi na koi zaroor hoga...tou apney se aagey waaley ko ek raastaa dikhaaney waala samjhna chaahiye...jaisey paani se bharey gaddey mei apni gaadi ley jaaney se pahley sankoch hota hai aur bhay bhi lagta hai k maalum nahi is gaddey k paani k andar na jaaney kitna gahra gaddaa hai aur kahin badi durghatna na ho jaaye..par jaisey hi aagey koi gaadi usi gaddey se nikalti hai tou maalum ho jaataa hai k gaddey k kis oar se nikalna surakshit hoga...bass isi tarah jeewan mei bhi apney aagey chalney waalo ko apna sahaayak aur shikshak jaananaa hoga tabhi jeewan kaa aanand bhi aayega aur prem bhi banaa rahega....
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

SAMARPAN

SAMARPAN---
######################
Nadi oopar se neechey ki oar bahti hai aur saagar mei girti hai...meethi se khaari ho jaati hai...par saagar nahi uthtaa oopar...saagar bhi uthtaa hai oopar...sooraj ki tapish zameen se saagar k paani ko bhi oopar uthaa deti hai...chaand bhi kheenchtaa hai saagar ko oopar...par saagar khud nahi mil paataa arsh se...nadi ki mithaas usey saagar mei samarpan karvaa deti hai par saagar kaa khaaraapan usey uchhaal leney se rok deta hai....par wahi saagar apney bheetar itna vishaal sundar sansaar nirmit karta hai aur poshit karta hai...viksit karta hai k us parmaatmaa ki aseemtaa ka bhaan hota hai..brahmaand mei har taraf judaav aur vighatan chal raha hai...srishti ho rahi hai aur nasht bhi ho raha hai aur punah srishti ho rahi hai...aur har shay ek doosrey se jud kar sammaan bhi kar rahi hai kyoki ye sweekaar kiya hai jis shay ney k wo paar brahm ka hi ansh hai aur usi se nikal kar usi mei samaa rahi hai...TUM DEEPAK MAI BHAII HU PATANGA , BHASM KIYA MANN TUMHREY SANGA...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

Thursday 12 June 2014

MITHAAS KA KSHAAR MEI SAMARPAN

MITHAAS KA KSHAAR MEI SAMARPAN---
--------------------------------------------------------------
Nadi oopar se neechey ki oar bahti hai aur saagar mei girti hai...meethi se khaari ho jaati hai...par saagar nahi uthtaa oopar...saagar bhi uthtaa hai oopar...sooraj ki tapish zameen se saagar k paani ko bhi oopar uthaa deti hai...chaand bhi kheenchtaa hai saagar ko oopar...par saagar khud nahi mil paataa arsh se...nadi ki mithaas usey saagar mei samarpan karvaa deti hai par saagar kaa khaaraapan usey uchhaal leney se rok deta hai....par wahi saagar apney bheetar itna vishaal sundar sansaar nirmit karta hai aur poshit karta hai...viksit karta hai k us parmaatmaa ki aseemtaa ka bhaan hota hai...
samarpan meethaas ko hi karna hai kyoki meethaas hi ghulti hai paani kisi mei nahi ghulta...koi bhi rang paani mei ghulega paani nahi ghulega...khaarey paani ka swabhaav hota hai kisi ko bhi apney bheetar doobney nahi deta sab kuchh saamny baahar uchhaal deta hai...jitna adhik khara hoga utna baahaar uchhaal dega...apney bheetar k moti bhi aksar seep k sath baahar uchhaal deta hai par wo seep moti kisi ek virley ko hi milta hai...har ek ko sab kuchh nahi milta us khaarey saagar se...mithaas sadaiv vinamr hoti hai aur samarpit hoti hai agar khaarey ko bhi tou bhi kahin us saagar mei uska srot bhi bahta rahta hai tabhi us athaah saagar li aneko lahrein alag alag kinaaro par garm sheetal aur aneko apney vishesh gun liye huey bahti hain aur usi k anuroop us vishesh sthan par saagar k jal aur saagar ki sampadaa bhi vishesh gun liye huey hoti hai...khaaraa sadaiv bura hi nahi hota..uskey khaarepan se kshaar banta hai aur wo apney kshaar sath hi utni hi dileri se apni saari sampadaa daan karta hai...saagar ek kshaariya gun k kaaran uski apaar adbhut visheshtaao ko vismrit bhi nahi kiya ja sakta....ye sri bhagvan k shabdo ka anumodan hi karna hai k is srishti mei sab sri bhagvan se hi uttpann hai aur unhi mei samaataa bhi hai...kshaariyata jitni adhik hoti hai utna hi apney antar se kewal baahar hi niklega aur kuchh bhi antar mei samaayega nahi...jo bhi baahar se usmey pravisht hoga wo baahar hi vaapas aa jaayega...us kshaariyata ki adhikta apney andar kuchh duboyega hi nahi...isliye jo bhi jeev jitna taamsik hoga wo apney antar se baahar zaroor uglega apnaa kshaar aur apna vaibhav bhi...aur jo usey achchhaa ya bura milega usey bhi turant lauta dega baahar...isilye mukt bhi jaldi hota hai aur usey budhdh bhi miltey hain jaldi...budhdh ki mithaas usmey swatah ghulti hai uskey vaashp banaa kar aakaash tak uthaaney k liye aur fir varsha k roop mei meetha hokar fir se isi dharti par lautney k liye...uska kshaariya tatva samaapt hota hai is prakaar....budhdh ki mithaas jab tak nadi ki tarah gomukh se bahti hai tou samast bhoomandal ko nirmalta...sheetalta aur upjaaooo kshmta deti jaati hai aur kshaar mei hi samarpan hokar angulimaal ko aanand banaa deti hai...vaashp ki tarah sookshm se bhi halka aur paavan aur fir aanand roop mei varsha hoti hai....har tatva ek doosrey ko samarpit hoga tabhi srishti ka santulan bhi hoga...yahi sri bhagvaan ka sundar madhur roop hai...
---RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI....
--- Chhavi Mehrotra

Thursday 10 April 2014

BEECH MEI HUM---[5]


BEECH MEI HUM---[5]
[5]---Neeti kahti hai doosro ko chandan lagaao...tumhaarey hath sawayam mahak uthengey...aur beech mei yaatra karney waaley hum manushya yahi kahtey hain k koi humaarey chandan lagaaye tou uskey hath bhi mahak uthengey...hum kisi doosrey ko chandan nahi lagaayengey kyoki hum ahankaari hain...ye sochtey hain k hum tou chandan k guno se yukt hain...shaayad isiliye pooja archna k samay taazaa chandan ghis kar sri bhagvan ko chandan lagaaney ka niyam hai jabki ye abhinn satya hai k chandan ko rachney wala swayam kitna mahachandan hoga ...fir us rachayita ko hum manushya chandan lagaaein????kyoki jo swayam maha chandan hai aur apney se judey har bhakt ko chandan si sheetalta pradaan kartey hain wo sri bhagvan apney us bhakt k hath aur poojan sthal aur sharer aur sampooran ghar mandir ko chandan se mahka detey hain jo sri bhagvan ko chandan lagata hai...shaayad isiliye apney hi ghar se aur apney hi sharer se chandan doosrey ko ya saamney waaley ko lagaaney ki pratha shuru hui k dharm bheeru maanav yahin se sabko sheetalta deney ki shuruaat karey...chandan ki sheetalta sadaiv sarpo ko apni oar aakrisht karti hai aur unhey aseem sheetalta pradaan bhi karti hai par swayam wahi chandan un sarpo se vishaila nahi hota aur na hi apney gun saundarya ko khota hai....isi prakaar sri bhagvan k sachchey bhakt aur sant jano ki oar sadaiv dusht aur aasuri pravritti k jeev aakrisht hotey hain aur unki bhakti yaatraa mei vyavadhaan daalna unka pramukh dhyeya hota hai...sansaar ki bhautikta aur taamsikta ki oar wo bhakto ko modna bhi chaahtey hain...kabhi kabhi jhoothi bhakti aur shradhdha bhi dikhaatey hain aur bhramit bhi karney ka prayaas kartey hain par sachchey bhakt aur sant jan apney bhakti aur sri bhagvan k prati samarpan se nahi bhataktey aur apni sheetalta sadaa ki tarah bikhertey rrahtey hain...jaisey mahatma budhdh ko maar yaani kaal aur mmaya ney bahot daraya par mahatma budhdh apney kitney bhi tiraskaar se nahi darey aur na hi apney moksh k maarg se hatey...par saadhaaran jeev beech ki yaatra kartey hain..wo chandan tou lagaatey hain par wo kewal prasaadhan maatr hota hai ya kewal bhautik jagat ko unki bhakti dikhata hai...antar ki sheetalta ka koi vistaar nahi hota...jaisey shaitaan sri bhagvan k bhakt ka pahra swayam deta hai is darr se k kahin bhakt sri bhagvan se ekaatm na sthapit kar ley aur is tarah shaitan bhi sri bhagvan se jud jata hai na chaahtey huey bhi....isi prakaar sansaari bhakt bhi beech mei sthit hotey hain aur pahra detey hain bhautik jagat ka ...k kahin chandan feeka na parh jaaye aur sammaan mei kami na ho jaaye...sri bhagvan aur bhakt k Madhya mei hai chandan...aur chandan k samaan sachchi bhakti...par yaatraa kathin hai chandan ki...aur assure pravritti sansaari jeev ko baadhya karti hai k wo chandan k itr se kaam chalaa ley...chandan k vriksh par liptey sarp nahi mahaktey ...mahakta chandan hi hai...na tou chandan sarp ka vish graham karta hai na sarp chandan ki sheetalta graham kar k sheetal pravritti k hotey hain...sarp vish hi ugaltey hain...yaatraa zaroor wo chandan i kartey hain ya yu kahein k chandan tak ki yaatraa kartey hain..chandan jalney par bhi mahak deta hai aur ghisney par bhi mahakta hai aur jahan jiskey maathey par ya shareer par lagey tou mahka bhi deta hai...sarp kewal saanidhya paaney par dansh aur mrityu deta hai...hum beech ki yaatra kartey hain ...chandan sri bhagvan ko lagaatey hain tou kewal ye soch kar k hum shreshth bhakt hain aur sri bhagvan ko hum sundar banaa rahey hain jabki sri bhagvan ki moorti rakh kar unki sewa karna praani jagat ki sewa aur shringaar karney ka prateek hai kyoki jo swayam guno se itna pooran hai k nirgun hai...jo swayam saundarya ki har prakaashtha  se bhi paar aur apaar hai wo sri bhagvan kya humaarey kiye shringaar se susajjit hongey ya mahkengey????wo sri bhagvan kewal sachchey bhakt ki bhakti k adheen hain aur beech mei yaatraa kar rahey jeev tou na sri bhagvan aur na hi sansaar ki oar yaatra kar rahey hain...jaisey swarn kalash mei madira bhar deney se aur ganga jal ko ek maanav khopdi mei bhar deney se wo poojniya ya grahniya nahi ho jata...ye beech ki yaatra hai...jo kabhi poori nahi hoti...kabhi faldaayak nahi hoti...sant jano k prem mei tou swayam sri bhagvan unhey chandan tilak kartey hain aur mahkaatey hain...jaisey sant tulsidas ji ney kaha hai....
chitrkoot k ghaat pe, bhaii santan ki bheer|
tulsidas chandan ghisein,tilak karein raghuveer||
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

Wednesday 9 April 2014

BEECH MEI HUM---[4]

BEECH MEI HUM---[4]
Jahan tak shudhdh honey ki baat aati hai tou uskey liye zaroori hai k ek mei hi simtaav hokar ek mool roop mei ya avastha mei sthit ho...is baat ko is tarah samjha ja sakta hai...k jaisey khaalis lohey ka tava hai jis par roti seki jaati hai aur usko saaf kiya hi na gaya ho aur roti siktey siktey us par motey kaaley kaarbon k patrey jamtey chaley jaaein aur fir aisey hi wo parhaa rahey aur us par junk bhi aa jaaey...ab is tavey ko saralta se saaf karna ho tou usko bahot tej aag ki aanch par garam kiya jaaye aur fir turant sheetal jal mei rakh kar kachchi iint se ya lohey k jhaamey se ragad diya jaaye tou turant sab kaarbon ki parat nikal jaati hai..usi tarah hum bhi hain...apni trishnaao ki roti sektey sektey humara chola bhi na jaaney kitney bhautik varjya bhavo ki parto se sthooltaa ley leta hai aur fir is jeev k sansaar mei rahtey huey tej tapish aur ghisaav ki kaarvaaii shuru hoti hai...aur is prakriya ko sachchey satguru k siva aur koi nahi kar sakta...sri bhagvaan ko poorantaya samarpit hua bhakt hi sachchey satguru ko praapt kar paataa hai aur uskey liye ek baat bahot zaroori hai k bhakt ko khaalis hona hoga waisey hi jaisey lohey k tavey par jami parto ko nikaalney ki prakriya mei shart bhi ek hi hai k khalis loha ho...lohey mei koi milaavat na ho...agar kisi bhi anya dhaatu ki milaavat hogi tou us dhaatu k gun bhi us lohey ko prabhaavit karengey....jo dhaatu mili hongi us dhaatu ka tapish mei garm ya sheetal honey ka apna nishchit wakt hoga jabki lohey ka apna nishchit taapkram jhelney ka gun hoga...kuchh dhaatu jaldi pighal jaati hain taap par jabki loha oonchey taapmaan par jalta hai...khaalis loha hoga tou satguru roopi chumbak ki oar turant khinch jaayega aur fir satguru oonchey taapmaan par us lohey ki ghisaaii karengey...ab ek baat aur dhyan deney ki hai ..wo ye k jab lohey k tavey ko kachchi iint se ragdaa jata hai tou bahot jaldi wo saaf ho jata hai...pakki iint yaani zyada siki hui iint se tava saaf karengey tou wo bilkul saaf nahi hoga aur iint k gahrey nishaan tavey ko kharaab kartey hain aur jagah jagah tej nishaan bhi parh jaatey hain jabki kachchi iint tavey ko ghisti jaati hai aur khud bhi ghis ghis kar paani mei mil jaati hai...ghulti jaati hai...usi prakaar satguru k sakht haatho se bhakti ki kachchi iint se jab tavey ko ragad lagti hai tou bhakti ki vinamrata kachchi iint ki bhaanti ghulti milti jaati hai aur saralta se ragdaaii bhi karti jaati hai jabki satguru ki paini sakht nazar aur sansaar k thapedo kit apish ki aag se tapey huey tavey ko jab gyan roopi sakht jhaamey se ragdaa jaaye wo bhi satguru k majboot haatho se tou is choley roopi tavey ki safaaii tou nishchit hi hoti hai par wahi ek baat hai k jeev ko khaalis hona hoga...humaari aadat hai beech mei rahney ki...tou khaalis loha...khalis chandi...khalis sona...khalis petal...hum khaalis nahi ho paatey...hum mili juli dhaatu ho jaatey hain aur fir satguru ki bhi taik poori nahi letey aur zara si ragdaaii mei humaarey alag alag milaavti gun drishtigat honey lagtey hain aur humaari shudhdhi mei bhi kathinaai hoti hai...par satguru har dhaatu ko tej oonchey taap mei jalaakar alag alag bhi kar detey hain aur fir har dhaatu ko alag tarah se shudhdh bhi kartey hain unhi dhaatuo k guno k aniusaar par satguru ko hum pakadtey hi nahi...baar baar chhorhna humaari aadat hai..kyoki hum beech mei rahna chaahtey hain...khaalis honey mei humey bhay lagta hai aur har jhoothey rishtey naatey...bhautikta ko hum khud k sath lappet tey chaltey hain...par humey is beech ki yaara se nikalna hoga...ek oar hona hoga...khud mei apna simtaav karna hoga aur apney mool astitva mei aanaa hi hoga tabhi mukti ki raah saral hogi aur safal hogi...
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

Saturday 5 April 2014

BEECH MEI HUM---[3]

BEECH MEI HUM---[3]
------------------------------
Hum jo saamney dikhtey hain wo andar se nahi hotey ya hum humesha waisey hi humesha nahi rahtey...aaina bhi saamney rakhtey hain tou bhi wahi dekhtey hain jo hum dekhna chaahtey hain...aisa maanaa gaya hai k jo jeev behad krodhi swabhaav k hotey hain wo andar se kamzor hotey hain..sahi baat hai....ahankaari jeevswayam ko itna shreshth samajhney lagta hai k apni asliyat aur maryada bhi bhool jata hai jaisey kahaavat bhi hai k cheentey k parr nikaltey hain tou marta hai....bass usi tarah billi bhi aainey mei khud ko sher samajh kar dekhegi tou sher tou ho nahi jaayegi..hakeekat mei jeev sadaiv beech mei yaatra karna chaahta hai k bass surakshit samjh kar wo is tarah ki yaatraa karta hai...khud ka chehra ganda hota hai par aainaa saaf karta hai...ab chhotey se abodh shishu ko hi dekhiye...aaainey k saamney jaakar hanstaa hai aur apni hi soorat ko kisi anya shishu ki aakriti jaan kar usey kaka kaka kahta rahta hai aur khailta hai jabki wo tou usi ka aks hai...par jab tak bodh na ho ya is baat ka gyan na ho tab tak ye kshamya hai par jab beech mei ahankaar aa jaaye tou mann trishanku ban kar khada ho jata hai apna alag swarg nirmaan karvaaney k liye aur ahankaar roopi vishvaamitr apni saari vidhya ko ,tapasya ko laga deta hai mann ka swarg banaaney mei aur fir hot wahi hai jo satya hai...beech se ahankaar jab hat jata hai tou mann beech mei uljh hua ulta latka hota hai...na billi ka chola rahta hai na sher ka...ek aahatt jeev hota hai jo na sansaar ka rahta hai na paarbrahm ka...antar se drishti saaf honi hai k beech k pardey giraatey jaaein aur sahi spasht vastu sthiti saamney ho...beech mei jo aaina hai uspar ahankaar ki gard hataakar sahi aakaar dekhna hai...chaahey wo kitna bhi nirbal ho...par ek mool tatva paarbrahm kaa maankar chalna hoga...mushkil hai par sahi hai...
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

BEECH MEI HUM---[2]

BEECH MEI HUM---[2]
----------------------------------
Paarbrahm , vinaasmaan shareer aur avinaashi tatva ye teen mool tatva hain aur avinaashi tatva jo aatma roop hai beech ka tatva hai aur paarbrahm se vilag hokar shareer se judahai aur yahi tatva shareer se juda hokar paarbrahm se milta hai...Jor ka jhtka dheerey se lagey ya chhota sa jhtka jor se lagey...baat jhatka lagney ki hai...kabhi kisi nanhey se bachchey ko dhyan se dekhein jab wo badi tanmayta se apni chhoti si khiloney ki car k chhotey se pahiye ko gahraai se dekh raha hai k wo gol ghoomta kaisey hai???aur aap achaanak usey chaunka dein....bachchaa itni jor se chaunkta hai k uski aankh fat si jaati hain aur khilona hath se chhoot jata hai....bachchey k ek dunia usi wakt khatm ho gaii...aur wo aapki dunia mei aa gaya...isi prakaar jab kisi ki yaaddaasht chali jaaye tou doctors shock treatment detey hain k yaad vaapas aa jaaye...paagalpan ek unmaad hai aur paagal vyakti ko uskey unmaad ki dunia se baahar nikaalney k liye shock treatment diya jata hai..isi prakaar jeev bhi apney maanas aur mann se rachi hui srishti mei itna kho jata hai k apna mool astitva hi vismrit kar deta hai aur ye ek unmaad hi tou hai k isi srishti ko satya maankar usi k khail mei itna kho jata hai k ye bhi bhool jata hai k jo shwaas lagaataar chal rahi hai wo jab tak chal rahi hai tabhi tak ka khail hai aur achaanak ek din swayam ko apney hi shareer k saamney alag khada hua paataa hai aur jhatka lagta hai aur sweekaar karna hi mushkil ho jata hai...jahan tak apno k sath chhorhney ki baat hai tou koi sath hai hi kahan???jab tak aap prem detey rahogey prem chalta rahega warna ya tou samjhauta hoga ya samarpan hoga ya fir algaav hoga...fir wahi jhatka lagega..isi prakaar jab dhyan bhajan sumiran karein tou shant ekaant mei karein kyoki jab surat oopar ko khichti hai aur shareer se oopar antar se uthti hai tou khichaav hota hai aur us samay dheerey dheerey surat shabd kii dhar k sath charhti hai...koi bhi saansaarik jhatka us khichti surat ko ek jhatkey mei neechey laati hai jo k dheerey dheerey jis gati se oopar ko jaaye usi gati se neechey aaye par jab aisa na ho aur koi bhi vyavadhan achaanak jhatka dey tou maansil santulan bhi bigad jata hai isliye jeev ko satguru ki kripa aur nirdesh mei ye karna chaahiye aur dheerey dheerey prayaas karna chaahiye usi prakaar ekdum se sansaar ko anisht,ashudhdh,vikaari ya bura maankar tyaag nahi karna hai apitu apney mann aur budhdhi ko itna soch vichaar mei niyantrit rakhtey jana hai k koi bhi jhtka patka na dey aur sri bhagvan mei anuraag prema bhakti rakhtey huey dheerey dheerey swayam ko sansaar se alag karein...sansaar mei rahtey huey hi alag karein...sabsey prem karein ye jaankar k ye bhi chhotega...jo kal nahi tha merey sath wo kal bhi nahi hoga merey sath....
..KABIR DAS JI NEY KAHA HAI...
SUKHIYA SAB SANSAAR HAI , KHAAVEY AUR SOVEY |
DUKHIYA DAS KABIR HAI , JAAGEY AUR ROVEY ||
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[85]

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[85]
---[85]---Sri bhagvan arjun ko soch,bhaav aur karm k anusaar ishwariya aur aasuri pravrittiyo mei bhaid bataatey hain...jo jeev sri bhagvan ko jaanney ka udhyog kartey hain...shudhdh hriday se mansa vaacha karmana karm kartey hain,vedo ka gyan adhyyan kartey hain,keertan ,bhajan sumiran satyata se se sri bhagvan mei hi chitt rakhtey huey yagya kartey hain aur taamsil bhojan ka tyag kartey huey kewal sharer ko jeevit rakhney k liye hi santulit saatvik bhojan karey aur bina ahankaar mann mei laaye huey sab udhyog karey aur sarv hit mei udhyog karey wo jeev ishwariya hota hai..ab yahan ek baat dhyan deney ki hai k devtaao ney bhi aneko baar chhal kapat ka sahaara liya hai par ye bhi dhyan dena hai k devtaao ney sadaiv sri bhagvan ka aashray lekar udhyog kiya aur karm kiya parantu jab bhi kabhi bhi devtaao ney bhi apni maryada ko bhang kiya tab tab aneko rishi muniyo aur maharshiyo k shraap kaa paatr bhi baney aur uska dand bhi bhoga...yaani ashudhdh bhaav k kaaran dand k sabhi bhaagidaar hotey hain kyoki ahankaar,taamsikta,vaasna,uddandta,ishwar k prati ashradhdha,swayam bhoo honey ka andhvishvaas...ye sab aasuri bhaav hain aur jab jab jahan inka praabalya hota hai wahan wahan vidhwans hoga...sant jano ka sath na rakhna,sant jan ko prataadit aur apmaanit karna,shareer ko pavitr shudhdh jal se saaf na rakhna,sadaa swayam ko Kendra mei rakhkar sochna ,doosro k liye buri yojna banana,burey ahitkaari prayaas karna,sri bhagvan mei vishvaas na rakhna aur swayam ko mahagyani samajhna bhi aasuri bhaav hain...sadaiv krodh aur bal se sabko apney adheen rakhey,kroor vaani dwara sabko aahatt karey,peechhey se aur saamney doosro ka maakhol udaaye,swayam ko guru sidhdh kar k swayam ki pooja karvaaye,sri bhagvan k bhakto ko kasht dey,wo maha aasuri bhaav se grasit hota hai aur tyaajya hai...sri bhagvan k bhakt in sabka gyan honey par ye avashya vichar kartey hain k kahin unmey tou aasuri gun nahi???sri bhagvan k anusar aisey aasuri pravrittiyo se grasit jeev kahin bhi kisi bhi avastha mei na tou sukhi rah saktey hain aur na hi anya kisi ko such dey saktey hain...jo sawayam ko hi swayam se hi uttpann hota hua jaaney,jo pavitrata ka matlab hi na samajhna chaahey ,jo andheri naali aur zameen k bheetar surango se andhkaar mei vinaash k liye nikley taamsik chooho ki tarah andhkaar se ghira ho....gyan ka uday hi jiskey bheetar na hua ho,jo swayam ko ishwar jaaney ,bhog vilaas ko hi param such jaaney...stri ko vaasna ki vastu jaaney aur upbhog mei lipt rahey,swayam k aahaar vihaar k liye kisi ko bhi kasht deney mei na rukey,kaam krodh lobh moh ahankar irshya mei behad jakdey hain,bal k abhimaan mei kuchh bhi dekhney mei asamarth hain,aur sadaiv nimntam karm mei lipt rahtey hain wo nimntam jooniyo mei janam letey jaatey hain...sri bhagvan ney swayam ko hark an kan mei apna prakaash dikhaya hai aur isiliye hiranyaaksh,hiranyakashyapu,haygreev,aur anekaanek raakshaso k vadh k liye swayam kabhi vaaraah,kabhi haay,kabhi narsingh roop mei avatar liya aur apna prabhaav dikhaya...taamsikta ka naash kiya...sri bhagvan ney har yug kaal mei ye sidhdh kiya k adharm k naash k liye sri bhagvan kaal wakt paristhiti k anuroop vesh dhaaran kar avtaarit hotey hain aur in aasuri pravrittiyo mei lipt asuro ko nimn joon mei chola bhi detey hain...isliye kaam krodh madd lobh moh ahankar irshya ko tyaagkar uchit ishwariya karm karta hua sri bhagvan ka bhajan sumiran kartey huey karm yagya karey...
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

Tuesday 1 April 2014

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[84]

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[84]
--84---Sri bhagvan aadi anaadi purush yaani param paar brahm k Vishay mei arjun ko samjhaa rahey hain....anekanek brahmaando...chauraasi laakh joon k bhi parey aur samast rachnaao se bhi parey bina kisi aadhaar k aur bina kisi k nirdesh k ye wo sthan sthit hai jo adhar...agam...anaami dham hai aur swayambhoo paarbrahm ka sthan hai jo samast brahmaando k sath ,jooniyo k sath atal ,achal hai aura lag bhi hai...santo ka jahan sadaiv sammaan hai aur yahi tathya dhaaran kartey huey sri bhagvaan bhi sri maharshi bhrigu k charan chinh apney hriday sthal par dhaaran kartey hain kyoki jab gyan yagya ki uttpatti hui thi tab yagya ka netratva sri bhrigu maharshi ko saunpa gaya aur yagya bhaag kisi dev ko samarpit karney k liye brahma Vishnu Mahesh teeno ki pareeksha kartey huey sri bhagva ki chhaati par apna pair maaraa sri bhrigu maharshi ney aur fir sri bhagvan ko hi yogya dev paatr banaya yagya bhag lene ka aur tabhi sri bhagvan k hriday sthal par sri bhrigu maharshi k charan chinh viraajmaan hai...sri bhagvan kahtey hain k ye alakh agam lok laakho karodo sooraj aur chandr k prakaash se bhi adhik prakaashvaan hai parantu fir bhi wo prakaash sukhkar aur paramaanand se bharpoor hai...anant shaanti aur aanand ka dham hai...jahan se koi janam maran joon k chakkaro se nukt hokar punah koi chola nahi dharan karta...paanch indri aur chhatha mann sabsey mukt hai aur ye bandhan k kaaran se wahan mukti k baad hi pahuchna sambhav hai tou sri bhagvan k us avinashi roop mei jeev apna chitt lagaaye....jeev ki chola dhaaran karney ki yaatraa uski trishnaao se judi hai...jaisey jeev ek paanv aagey peechhey kar k ya zameen par karvat letey huey chalta hai usi prakaar jeevaatma bhi trishnaao se bandhi ek k baad ek chola dhaaran karti hui aagey janam leti jaati hai..aur jeev ki yaatra apni trishnaao aur mann se bandhi aagey chalti jaati hai...jaisey vaayu jahan se guzarti hai wahin ki sugandh ya durgandh apney sath leti chalti hai usi tarah jeevaatma bhi apni trishnaao ko leti chalti hai aur karm kartey huey chola dharti jaati hai...sri bhagvan k avinashi roop ka hi mool tatva dharti ka bal,sooraj ka tej,chandr ka amrit,pushp ka makrand hai aur yahi mool tatva sri bhagvan se sabko jodtey hain bina inkey ye sabhi tatva gunheen hain...isey hi samajh lena gyan hona hai aur iska gyan hotey hi jeev apna mool bhaid jaan leta hai....kisi ko dand dena ho tou jeev k maadhyam se jeev ko jo dand dilvaya jaaye wo bhi iswariya gun hi hai kyoki sab jeev ek doosrey ko hi such aur dukh deney k swayam hi kaaranbhoot hotey hain...ann ki mahattaa bahot hai sumiran mmei...fal saatvik aur bhojya hain jabki bhiksha mei mila kuchh bhi ann jo agni mei pakaakar khaya jaaye wo sthoolta bhi deta hai aur jo taral dravya paani jaisey bhojya hain wo madhyam prakaar k bhojan hain tou bhojan ka bhi dhyan sumiran mei rakhna hai...jeev mei ek avinashi tatva hai jo vinashi tatva k antar mei hai aur vinaashi tatva k naash honey k baad ye avinashi tatva us niranjan agam alakh param paar brahm k tatva mei milti hai...is prakaar jeevaatma Madhya tatva hai...palak jhapkaaney maatr mei kai brahmaand ki parlay ho jaaye aisa us paarbrahm ka swaroop hai...gyan honey k baad jab mann k bandhan khultey hain tabhi avinaashi tatva us paar brahm se milti hai aur janam maran se mukt bhi hoti hai....
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

Friday 28 March 2014

BEECH MEI HUM---[1]


BEECH MEI HUM---[1]
********************
Agar dhyan dein tou ghoda,khachchar aur gadha ek hi parivaar k se lagtey hain...inmey ek aur hota hai tattoo..ab zara se kad kaathi ka fark hai par fir bhi sabmei bahot fark hai...ghoda jab tak tandarust rahta hai baithta nahi hai...ghaas aur chanaa khaataa hai aur behisaab daudta hai par agar zakhmi ho jaaye tou marta bhi jaldi hai...taangey jaisi badi bhaari gaadi kheenchta bhi hai par chaabuk se haankaa jaata hai...khachchar beech ka hai...ghodey gadahey aur tattoo k beech kaa hai...pahaado par saamaan laadney k kaam aataa hai...chaabuk se nahi par chhadi aur lagaam se niyantrit ho jaata hai...tatoo ghodey aur khachchar k beech ka hai....ikkaa gaadi haankta hai aur garv karta hai k ghodey jaisa hai par nahi hai waisa...gadha kisi k beech ka nahi hai aur badaa shaant hota hai...itna sabr wala k kitna bhi bojh laad leta hai aur isiliye moorakh bhi kahlata hai...par in sabhi mei kuchh baatein ek si hain...ye sabhi ghaas khaatey hain...dhool mei lot kar khud ki thakaan utaartey hain aur wakt padney par dulatti bhi maartey hain...ab jo bhi jeev kabhi bhi dulatti maar dey aur apney peechhey khadey honey waaley k liye khatra ho wo ahankaari kaisey nahi hoga????koi bhi usey peechhey se tou dhakkaa dega nahi kyoki lagaam tou aagey hoti hai...bass isi tarah is sansaar mei bhi sabhi jeev alag alag shreniyo k hain par khud ko sarvshreshth maanney k chakkar mei apni dulatti aur dhool mei loney ko hi apna garv maankar karm kiye ja rahey hain....beech waaley tou aur bhi adhik andhkaar mei ji rahey hain...apney darp ka sansaar rach letey hain aur ek seekh tou detey hi hain k unkey peechheyy chalney waalo ko bada soch samajhkar unkey peechhey chalna chaahiye...kabhi gadahey ko kewal gadha samajhkar kriya nahi karni hai kyoki aisa na ho kisi gadahey haankney k chakkar mei chatur insaan hi mitti mei toot foot kar gira ho...inhi chakkaro k chaltey hum sahi baat kahney dartey hain k koi gadaha dulatti na maar dey ya galat baat par koi ghoda itni khilli na udaaye k hum uskey samaksh gadaha nazar aayen..
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI..
--- Chhavi Mehrotra
 —

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[83]

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[83]
---[83]---Is sansaar mei jo bura hai wo bhi kisi achchhey ka paryaay hi hai....keechad hai tou kamal aur singhada bhi astitva mei hai...aankh band ye sochkar nahi karni hai k bura nahi dekhna hai kyoki jab aankh khuli hogi tabhi achchhaa bhi dikhega...aur jab bura dikh hi gaya tou aankh udhar se band nahi karni kyoki aankh band kar k usey khatm nahi kiya ja sakta jab tak wo mann aur dimaag se nahi jaata....isi tarah bura nahi sunna ...balki agar bura sun ney k bhay se agar kaan band kar liya tou achchhaa kaisey suneingey???tou jo bhi suna hai usmey se burey ko bhi achchhaa karna hai....bura nahi bolna tou is bhay se agar munh band kar liya tou achchhaa kab bolengey???tou apney mann aur dimaag par itna niyantran rrakhna hai k indriyo se bhaybheet hokar unhsey achchhaa karney ka bhi raasta na band kar dein...apney bhay par vijay paani hai...ye sansaar jhanjhat nahi hai...ismey rahtey huey apna vikaas karna hai...yahi sri bhagvan ney srimad bhagvat geeta mei samjhaya hai....keechad mei tou hum kamal aur sindhaadey ki kheti hi kar saktey hain ...kamal ko kabhi uskey poorey astitva k sath agar hum dhyan se dekhein tou uskey mool mei jahan uski mool jad hoti hai wo bahot andar uljhi hui kamal jado k beech kahin bahot bheetar andhkaar mei hoti hai aur ussey zyada saralta se kamal jadein uljhi rahti hain aur uskey sath aneko kamal dandiyaan judi rahti hain jo aneko chhidro se bani hoti hai aur paani keechad se bhari rahti hain par fir bhi oonchaaii par laga kamal na keechad aur na jal ,,,kisi se bhi lipt nahi rahta jabki poshan usi keechad se le raha hai aur ussey alag hotey hi murjha jata hai....isi tarah dhyan se garbhodakshaay sri vishnu k swaroop ko dhyan se dekhein tou jeev k astitva ka aabhaas hota hai...paataal ki bhoomi sheshnaag ki tarah ki sanrachna si hai aur aneko valay spring ki tarah bhoomi k antar mei satah par hain jo paataal k swaroop hai aur kshirsaagar yaani humaari bhaavnaao k nirmal ujjwal bhaav naao se nirmit kshirsaagar mei jeev ka avinashi tatva jo aatmik roop hai viraajmaan hai aur apney udar k andhkaar aur gahraaii mei aneko achchhi buri vaasnaao trishnaao ko pachaatey huey isi sansaar k teen taap aur teen guno se kamal jo gyan ka prateek hai usko poshit kartey hain aur usi gyan kamal par jeev apney gyan k aadhaar par apni srishti karta hai jo brahma ka prateek hai..shareer ka nimn bhaag jo taamsikta ka aur gaman ka prateek hai wahan sadaiv laxmi roopa trakki safalta unnatti virajmaan hai jo sadaiv jeev k guno k aadhaar par jeev k adhikar mei hai....isi tarah keechad mei singhaarhey ki kheti bhi hoti hai jo kaanto se bharpoor hotey huey bhi andar se nirmal ujjwal shwet aur meetha hota hai...isi tarah keechad mei raho par oopri aavaran itna kathor aur surakshit ho...chikna ho k us par koi bhi keechad ka ansh na tik sakey aur antar nirmal ho jo aatma ka avinashi tatva hai...hava tou nirantar chalti rahti hai...wahi hava kisi phoolo k gulistaan se aaye tou sugandh laati hai aur kahin mal se aaye tou durgandh laati hai...ab jeev bhi apney vichaar bhaav se waisa hi srishti karta ho jata hai kyoki karmo k dwara mann se soch vichaar k dwara,vachan se vaani aur bolchal k dwara aur kriya se shareer k baahya indriyo dwara nirantar karm ho raha hai aur yahi avinashi jeev k avinashi tatva ka sansaar se aur paarbrahm tak ki yaatraa nirdhaarit karta hai...
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[82]

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[82]
--[82]—Sri bhagvan jeev ki rachna ko samjhaatey hain aur ek ultey vriksh ki tarah bataatey hain...jaisey shishu roop mei jeev maa k udar mei ulta rahta hai usi prakaar jeev ultey virksh ki tarah hai...jaisey vriksh ki jadein jami hoti hain dharti mei usi prakaar jeev roopi ultey vriksh ki jadein sri bhagvan roopi dharti se judi hain aur jis prakaar koi vriksh sookh bhi jaaye par zara si varsha mei uski sabsey gahri jad se komal pattey jeewan k roop mei nikal hi aatey hain usi tarah jeev k agyanta k kaaran samool nasht ho jaaney k baavajood antar se punah jeewan ka ankuran hota hai...isiliye sri bhagvan se judey honey k kaaran ye avinashi hai...jaisey ek mool bargad ki aneko latakti jado se ¬aneko vriksh uttpann hotey rahtey hain aur mool vriksh ki hi tarah viksit bhi hotey jaatey hain aur kuchh samay baad us bargad k vriksho k beech koi nahi jaan paata k mool vriksh kahan hai jabki wo mool vriksh apni jagah waisa hi pallavit khada hota hai..aatmaa ajar aura mar hai...wo aneko roop mei yugo tak prakat hotey huey bhi apney mool roop mei sada rahti hai...yahi wo avinashi tatva hai...ved is ultey vriksh k pattey hain jissey is vriksh k aas paas judey huey sansaari rishtey naatey aur anya jeev apni sharan dekhtey hain ...jaisey gyani jeev apney patto roopi ved gyan se sabhi taap,indriyo k swabhaav aur upyog ko bhali bhaanti jaanta hai aur fir bhi apney duniyaavi sadasyo ko inhi patto mei aashray bhi deta hai aur isi tarah sabhi sadasya vriksh roop jeev se liptey rahtey hain...parantu fir bhi is vriksh ko samajhney ka koi prayaas nahi karta..keval is vriksh ki upyogita ya anupyogita ko jaantey hain aur apney swarth se judey hain...sato gun ,rajo gun,tamo gun aurr daihik daivik bhautik taap se huey karm is jeev ki sookh kar girti hui lakadiyaan hain jinsey uspar aashrit sadasya apna sansaari trishnaao ki poorti bhojan pakaatey hain aur such paatey jo keval bhautik sukh hi hai...jabki ye jeev roopi ulta vriksh sri bhagvan ki ICHCHHA roopi dhoop havaa aur paani se hi poshit hota hai aur avinashi hi kahlata hai jabki jo pattey,lakdiyaan gir rahey hain wo sansaarikta hi hai bass aur keval sadasyo ko aapsi karm karney ka maadhyam hain aur is sansaar ki sthoolta ka yahin khatm hona hai...teen taap aur teen gun is jeev roopi vriksh ki wo daraar ya sarandh hain jinmey keet roopi vaasna,trishna chip kar baith jaati hai aur maya k sharer ko bhramit karti hai...is maya roopi sansaari bhautik tatvo ko aashray deney waaley vriksh roopi jeev ko vairaagya aur sanyaas k antar k bhaav k shastr se kaataa ja sakta hai..jahan jahan teen taap aur teen guno ki daraar hain wahan wahan se isey kaatna hoga aur fir saarey chhipey huey vaasna trishna k keet urh jaaeingey aur fir jaisey jaisey gyan k paato se aashrit bhautik sadasya hatengey is vriksh ka shor bhi shant hota jaayega aur gyan k patto k andar se bhi prakaash aaney lagega...
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

Tuesday 25 March 2014

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[81]

ARJUN AUR DHARMYUDHDH...[CONT]---[81]
---[81]---Sri bhagvan kahtey hain k jo bhakti mei mujhse ekakar sthapit kar letey hain wo bhakt na tou sansaar ki rachna se uttpann hotey hain na martey hain...yahan is baat ko bada gahraaii se samajhna hoga...jab sri bhagvan se hi sampoorn brhmaand uttpann hai tou fir bhakt kaisey sansaar se uttpann nahi hongey???arthaat... jo jeev sansaar k lokik bandhano se bandhey hotey hain unki sabhi trishnaaein sansaar se bandhi rati hain aur unhi trishnaao k mrityu k samay tak poori na honey se ya unmey hi ruche honey se wo jeev utna oopar uthkar sri bhagvan tak jaa hi nahi paatey aur sansaar k inhi bhautik tatvo se wo fir se sharer dhaaran kar letey hain aur baar baar inhi bhaytik kaarno mei ulajh ulajh kar inhi k kaaran inhi se jud kar janam letey rahtey hain aur unhi k bhogo mei martey rahtey hain aur dheerey dheerey manushya joon se nechey utar kar pashu aur fir keet ki joon tak mei jaatey rahtey hain..jabki bhakt sri bhagvan mei chitt rakhtey huey unhi mei ruche honey k kaaran sri bhagvan mei hi mil jaatey hain aur sansaar ki parlay se achhootey rahtey hain...sri bhagvan ka vistaar anant hai aur beej deney waaley bhi sri bhagvan hain tou jo beej sri bhagvan se utpann hai wo bhakti karta hua ek uttam chandan k vriksh ki tarah ho jata hai jo sansaar ki Vishay vaasna k sarpo k lipatney k baavajood apni sheetalta aur uttam gun nahi chhorhta jabki uska aatam swaroop bhi sansaar ki Vishay vaasna,maya,rajo,tamo,sato guno se ,dahik daivik bhautik taap k sarp se bandha hua hai par iskey baavajood bhi wo uttam jeev apni bhakti nahi tyaagta aur in sarpo ko bhi apni sheetaltaa se shaant hi karta jata hai aur fir sri bhagvan ko praapt hota hai...sato gun se sri bhagvan ki bhakti karta hai,rajo gun se saansaarik kaamnaao k badley mei sri bhagvan se milney ki kaamnaa karta hai..aur deh ko sansaar k karm mei lagata bhi hai par aatam tatva se sri bhagvan ko sabhi karm samarpit karta jata hai....tamo gun se andhkar uttpann hota hai jahan jeev ko bhoolney ka gun prabhaavit karta hai tou us taamsik gun k dwara sansaar k bhautik tatvo ko ,Vishay vaasna ko bhoolna hai aur jab bhay uttpann ho tab sri bhagvan ka gahraaii se aur uchch swar mei bhi sumiran karna hai aur jab ye teeno gun,teeno taap milkar bhakti ki dhaar ban jaatey hain tabhi bhakt ek uttam bhakt banta hai aur sri bhagvan ko praapt karta hai...ye vichar rakhna hai k jo kuchh bhi hai isey nakaarna nahi hai aur ismey lipt bhi nahi hona hai aur sansaar ki lipsa se alag hokar inmey sri bhagvan ki praapti k saadhan khoj kar unhi ko sri bhagvan se milney ka prayaas karna hai aur ye samajhna hai k sri bhagvan in sabhi taap aur guno se parey hain tou bhakt bhi dheerey dheerey insey paar ho jaayega aur sri bhagvaan mei mil jaayega...
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[80]


ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[80]
--[80]—SRI BHAGVAN gyan ko grahan kartey hain aur gyan ka ghar hain..unsey bada koi gyan wan ,budhdhiman nahi hai...sri bhagvan wo dhaaran karta hain aur ghar hain jo aadi anaadi anant hain....jis prakar sooraj udit hotey hi sampooran vishva ko prakaash se bhar deta hai aur raatri usi sooraj k kisi aur disha aur sthan ko prakaashit karney ka prateek hai aur raatri k chaand ko bhi apratyaksh roop se sooraj hi prakaash deta hai...usi prakaar sri bhagvan bhi pooran oorja ka srot hain aur kahin pratyaksh aur kahin apratyaksh roop se oorja,gyan,prakaash detey rahtey hain aur is baat ko hum srishti ki chhoti si prakriya se samajh saktey hain...jaisey jeev mata pita k sansarg se uttpann hota hai aur mata k udar mei poshit hota hai aur srishti mei niyat samay par janam leta hai aur fir paalit poshit hota hai aur nirantar viksit hota hua fir samaapt bhi ho jata hai aur fir se wahi chakr shuru hota hai...usi prakaar sri bhagvan hi samst uttpattiyo aur vikaas aur vinaas ko swayam k bheetar se karte jaatey hain...sri bhagvan maya aur jeev k is sansaar k samast sansaar ko dekhtey hain aur fir bhi drishya nahi hain..isliye jeev ko samast srishti k vistaar ko sri bhagvaan k hi vistaar k roop mei dekhna hoga kyoki isi chhotey se vistaar ki prakriya k maadhyam se sri bhagvan k vistrit anant vistaar ko samjha ja sakta hai aur isi prakaar jeev ko sri bhagvan ko samajhney mei saralta bhi hogi...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

Wednesday 12 March 2014

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[79]

ARJUN AUR DHARMYUDHDH—[CONT]—[79]---
79---Sri bhagvan kahtey hain k ye maanav sharer kshetra hai..jab jeev aneko joon mei janamta aur karm karta hua aneko janam bitata hai par fir bhi punya aur paap k bhaid se an bhigya rahta hai kyoki gyan kewal maanav choley mei hi praapt hota hai aur isiliye manav joon paap karm se mukt bhi nahi hai....ye kshetra jo deh hai gyan praapt hotey huey chetan ho jaati hai aur chetan har gyan ko antar mei aatmsaat karta hai...aur jo gahanta se antar mei gyan pragya ko dharan karta huey sab kuchh aatmsaat karta hai wo geh hai aur sri bhagvan swayam ko geh kahtey hain kyoki wo tou sampooran brahmando k parey hokar bhi sab kuchh swayam k bheetar dhaaran kartey hain...is sansaar mei jeev ka sthool sharer gagan,vaayu,jal,prithvi aur agni se nirmit hai jaisey prithvi tatva sharer maanas budhdhi hai...vaayu tatva shwaas hai,bhookh aur oorja agni tatva hai aur rakt jal tatva hai...aakaash tatva wo chhor hai jo sharer ko sthirts deta hai...antar mei mastishk tak soochna aur prasaaran k sath samajhney ki prakriya karney waali indriyaan jo nason k roop mei kaam karti hain gyan indriyan hain aur jin indriiyo k dwara baahar karm hota dikhta hai wok arm indriyan hoti hain aur aachran hota hai jo mann chitt soch ko prabhaavit karta hai jaisey ahankar,irshya,lobh,krodh....aur inkey dwara karm indri aur gyan indri prabhaavit ho jjaati hai...tou inko niyantran mei rakhna hai....inhi k dwara maanav chetan paap aur punya k prabhaav mei aataa hai aur karmo k anusar joon dhaaran karta jata hai...jeev ko ahankaar k vashibhoot hokar swayam ko shreshth hotey huey bhi shreshth nahi maannaa hai aur shaaleen hokar vinamrta se shishya roop mei hi sthit rahna hai swayam ko guru nahi banana hai....antar mei sochtey samay gyan indri aur karm kartey huey baahya indri ko niyantrit rakhna hai jaisey ghodey ya hathi ko chalaatey samay ghudsavaar aur mahaavat lagaam aur ankush ka prayog kartey hain...jab jaisi indri waisi lagaam aur niyantran...har pal badalti hui ichchhaao,aashaa,nirasha,sard,garm,prasanntaa,dukh aadi k bhaav se ubarna hai...ye sab ek prakaar ki bhookh hai jisey niyantrit karna hai kyoki ye sabhi bhookh ek baar shaant hokar fir baar baar uthti rahti hain aur prabalta dikhaati rahti hain....INDRIYO K MAADHYAM SE SRI BHAGVAN KI PRAAPTI KO SUGAM BANAANEY KA PRAYAAS KARNA HAI...BHOJAN KI BHOOKH LAGEY TOU KEWAL UTNA AAHAAR LEY JO JEEWAN K LIYE KAAFI HO...FIR BUDHDHI SE CHINTAN KAREY TOU SRI BHAGVAN KA,JIHVA SE BOLEY TOU SRI BHAGVAN K SAMBANDH MEI BHAJAN BOLEY,TWACHA SE KUCHH MAHSOOS KAREY TOU SRI BHAGVAN KA SPARSH MAHSOOS KAREY AUR IS PRAKAAR DHEEREY DHEEREY STHOOLTA SAMAAPT HOTI JAAYEGI...AUR SRI BHAGVAN SE EKAKAAR HOTA JAAYEGA..
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra
 

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[78]

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]—[78]
[78]---Sri bhagvan ek pooran brahm roop hain parantu jeev apni apni budhdhi k anusar unkey swaroop ko sweekaarta hai aur poojan karta hai..koi sri bhagvan k sagun roop ka poojan karta hai tou koi nirgun roop ka poojan karta hai...jab jahan jaise jis kaal desh paristhiti mei jeevon ney apney kashton se mukti paaii aur sri bhagvan ko jis bhi roop mei jab jab bhi jeev ko kashto se mukt kartey huey dekha usi usi roop ko poojan ki aadhaar shila banaa liya...aur jab jis hakt ney antar mei jaakar sri bhagvan ko dekhney ka prayaas kiya aur usi k anuroop bhakti ki usney nirgun roop apna liya...sri bhagvan k liye tou poorantaya samarpan tann mandhan...sarvasva samarpan kartey huey jo bhakti ki jaaye wahi sarvshreshth hai aur sri bhagvaan dwara sweekaarya hai...jeev apney sharer k anuroop hi sri bhagvan k roop ki kalpana bhi karta hai kyoki jab jitni vistrit budhdhi hoti hai utna hi kalpana ka vistaar bhi hota hai...jab jahan jis raakshas ,daitya ya kashkaari jeevon se sri bhagvan ney raksha ki wahan wahi sharer aur roop sri bhagvan ko de diya....isiliye job hi jeev nirgun bhakti kartey hain unko adhik prayaas karney hotey hain ekaatmakta k liye kyoki sri bhagvan k liye waha sharer k sath sath baahya aur aantarik sabhi indriyo ka simtaav zaroori hai aur usi ka itna abhyaas karna hota hai k sabhi ek sath yog hokar yaani jud kar ek jagah antar mei sthit ho jaaein aur fir ekaagr chitt hokar dhyan karna hoga...par sagun bhakti mei jeev sri bhagvan k vigrah k sath hi jeeta hai,hansta,khelta,bhojan karta hai aur sota bhi hai...jab jeev abhyas k judaav yani yog se poorantaya samarpan antar se nahi kar paataa tou yahi prayaas ho k apney sabhi karm chaahey wo kitney bhi uchch ho,shreshth ho,ya nimn ho...imaandaari se sri bhagvan ko samarpit karta jaaye....ye nahi hona chahiye k jab safalta mili,dhan,nmaan ssammaan mila tou swayam shreya le liya aur jab haani,kasht,apmaan hua tou sri bhagvan ko de diya aur kah diya k sri bhagvan tab zimmedaar nahi they aura b hain...har karm aur har sthiti mei sri bhagvan ka antar se shukriya kahtey chaley aur unki hi kripa drishti maantey huey chaley..is tarah se bhi sri bhagvan kp praapt ho saktey hain...sri bhagvan abhyas k dwara bhhakti ki parakaashtha par pahuchey bhakt ko is sansaar k baar baar janam k chakr se avashya chhurhaatey hain par pooran samarpan wo bhi bina kisi bhi shanka k aavashyak hai...Abhyas k dwara chitt ko niyantran karney k liyegyan aavashyak hai jissey sri bhagvan k mool swaroop ko jaanaa ja sakey aur fir samajh k sath shreshth aachran aur karm ka paalan kiya ja sakey..parantu jab abhyas k dwara bhi chitt sri bhagvan mei na lagey tou gyan honey par chitt ko niyantrit karna hoga aur gyan k dwara bhi chitt niyantri karney k liye apney karmo k ,indriyo k niyantran ka abhyas tou karna hoga aur in sabkey sath jab bina kisi kasht ko mahsoos kiye aanand k sath sri bhagvan ko apney sabhi karm samarpit hotey jaaein antar se tou wo shreshth bhakti hoti hai...kyoki jab jeev apney karmo se mukt hota jaayega tou chitt bhi shant hota jaayega aur antar mei honey waali uttejna bhi samaapt hoti jaayegi aur is prakaar jeev shaant hota jaayega aur shant chitt se jeev adhik ekaagra aur aanand se tyaag aur samapan bhaav rrakh kar bhakti roop mei hi karm karega jo swatah yog saadhna hoti jaayegi...aisa bhakt kisi bhi sankalp,such dukh,irshya,trishna,aasha niraasha,jeewan mrityu,apna praya,aanand dwaish aur anya sabhi bhaavo se mukt hota jata hai aur saral hota jata hai...jis prakaar anvarat bahti hui nadi ki jaldhara sabhi rukaavato k anuroop uthti girti,mudti hui apney nishchit gantavya tak chalti jaati hai aur ant mei nishchit jalsamooh mei milti jaati hai waisey hi aisa saral jeev sri bhagvan tak swatah aataa jaataa hai aur sri bhagvan mei mil jata hai...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra
 

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[77]

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[77]
--[77]---Arjun ki praarthna par sri bhagvan ney apna viraat swaroop arjun ko dikhaya par us virat swaroop ko kewal alokik drishti wala jeev hi dekh sakta tha yaani wo jeev jisey gyan ki praapti ho jaaye aur ishwar aur har jeev mei ekaatmakta drishtigat ho jaaye wahi jeev sri bhagvan k viraat swaroop ko samajh sakta hai isiliye sanjay ko sri bhagvan ney yogya paatr jaankar divya chakshu diye jissey wo dhritraashtr ko hastinapur mei hi mahabharat k dharmyudhdh ka seedha haal bataa sakey aur sri bhagvan k viraat swaroop ko dekhney ka saubhaagya bhi sanjay ko mila aur arjun aur bhishm pitaamah k samkash wo bhi khada hua...jaisey bhishm aur arjun ney bhi sri bhagvan k us virat swaroop ko dekha jo devtaao k liye bhi durlabh hai...sri bhagvan k jutney much jitney devta aur unkey swaroop...saarey ashwani kumar,aneko brahmaan aur brahmaando asankhya jeev jo ek taraf se sri bhagvan k much mei pravesh kar rahey they tou doosri oar se punah janam bhi ley rahey they...sri bhagvan k is anant virat swaroop ka na aadi than a ant...aseem prakaas aur oorja k roop ko aankho mei samaanaa asambhav tha....saari dishaaein sri bhagvan mei lupt ho rahi thi...sri bhagvan k mukh mei poori narayani sena aur samast kuru sena k sath sabhi bandhuo ko jaatey huey arjun ney dekha tou vismit ho gaya...tab sri bhagvan boley k arjun...sabhi jeev ichchhaao mei bandhey hain...yahan tak k kuru vansh k kul guru kripachaarya aur shastr vidhya sikhaaney waaley dronachaarya bhi apni ichchhaao aur trishnaao aur mahatvakaashaao mei bandhey hain aur mujhmey hi samaa rahey hain...dronachaarya apney putr moh mei itney bandhey hain k usi k moh mei bandh kar marengey...raja drupad se itna kshobh unhey mila k badla leney k liye aaj yahan taka a gaye hain aur yahi duryodhan aur dhritraashtr ne kiya hai...yahan sabhi apni apni irshya,trishna aur unki poorti k liye kisi bhi seema tak patit ho rahey hain aur bhishm ko tou ichchhaa mrityu ka vardan hai par hastinapur k sinhaasan se itney jud gaye k mrityu ki aakaansha hi nahi kartey...fir aisey bandhuo ko maarney ka dukh arjun ko kyu ho raha hai???jo apni hi trishnaao mei jaltey huey pahley hi sri bhagvan k haatho maarey ja chukey hain wo ab dobara kya marengey???ye tou kewal sansaar ko dikhaaney ki leela maatr hai....ye viraat swaroop kewal sampooran brahmaand mei faili hui vaasnaao ko apney bheetar sametney k liye hai aur kewal param priya bhakt jo is swaroop ko dekhney ka supaatr hai kewal wahi is swaroop ko dekh sakta hai jismey swayam baikunth ko bhi dhaaran kiya hua hai...sri bhagvan k bheetar se hi kan kan upaj rajha hai aur unhi mei samaa raha hai...sri bhagvan ka mohak kamniya roop jo madhurta ki paraakashtha hai wo bhi sri bhagvan se hi upajta hai aur apney bhakto k bhay ko door karney k liye sri bhagvan apna madhur saundarya dikhaatey hain jo atyant ramniya aur kamniya hai...aur arjun k bhay ko door kartey huey sri bhagvan ney apna wahi madhur sundar roop fir se dhaaran kar liya aur murli manohar mor mukut dhari sri Krishna roop mei arjun k rath ki lagaam apney hath mei le li...aur arjun ko dhairya bandhaya k jo bhakt pooran samarpan bhaav se nihshank hokar jeewan rath ko swayam sri bhagvan ko saunp dey tou uskey jeewan rath ko kabhi bhi sri bhagvan bhatakney ya nasht nahi honey detey....
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra
 

Monday 24 February 2014

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[76]


ARJUN AUR DHARAMYUDHDH---[CONT]---[76]
[76]---Sri bhagvan apna param satya kewal arjun ko sunaatey hain yaani jo unkey param satya ko sun sakey usey sunaatey hain...hakeekat yahi hai k is sansaar mei sabhi jeev mook badhir aur andhey hain...satya dekhney,sunney aur samajhney aur bolney ki kshamta jeev mei nahi hai kyoki jeev tou kewal sansaar ka wo mohmaya se bhara bhautik dhaancha dekhtey hain jo ek din bharbharaa k aisey gir jata hai jaisey deemak ka khayaa hua aur khokhla kiya hua dhancha gir jata hai...badey sidhdh,rishi muni bhi jis param tatva ko nahi jaan paatey kewal mann se sanyaasi yogi hi jaan pata hai aur arjun jaisa samarpit bhakt hi sunn paataa hai sri bhagvaan k swayam sri much se...kyoki is param tatva ko samajhney k liye such dukh,raat din,baahar bheetar aur aisey hi har antardwand ki seemaao se aur bhay se mukt hona hota hai...aneko brahmaando mei se is mrityulok k brahmaand mei bhi is mrityulok yaani bharti par garbh se uttpatti aur srishti aur vinaash ki prakriya ko samjhaatey huey sri bhagvaan kahtey hain k yahan sri garbhodak shaayi Vishnu ki leela hai...garbhodak shayi Vishnu sheshnag ki shaiya par letey hain aur wo bhi sri bhagvan ka hi roop hai..sri bhagvan k naabhi se kamal ki naal nikli hai aur bahot oopar ek kamal khila hai jis par brahma baithey hain aur unhi brhma k maanas se sapt rishi aur 4 muni aur maanas putr uttpann huey hain ...ye rishi bhi trikaal darshi hain...par hakkekat yahi hai k sabhi kuchh mujhsey hi utpann hai...mujhse hi uttpann jeev apney maanas brahm se apni apni srishti kartey rahtey hain jo nasht bhi hoti rahti hai aur in sabhi ka karta mai hi hu...jaisey kumhaar mitti se apni soch k anusar bartan banata hai usi prakaar mai bhi apney hi oorja se jeev ko janamta hu aur apney hi bheetar samaavisht bhi kar leta hu...bass kumhaar ki mitti baahar se laaii hui hoti hai jabki jeev mujhsey hi banta hai par is sansaar ki bhautikta ki sthoolta khud charh leta hai jo yahni rah jaati hai aur jo tatva mujhsey nikla hota hai mujhmei hi milta hai....Jab jeev ki gyan hota hai k uska asli roop kya hai tou wo budhdh hota hai aur har prakaar k antardwand se mukt ho jata hai....parantu har jeev ko ek sa gyan nahi hota aur jab jisko jitna gyan hota hai wo utni hi kshamta se sri bhagvan ki madhura bhakti kar paataa hai...parantu sri bhagvan jo aadi ant se parey anant hain unkey viraat aur sookshm swaroop ko poorantaya dekhney samajhney k liye budhdhi k bhi parey jaanaa hota hai..gyan se ahankaar k upajney se poorav hi uskey aagey ki yaatraa karni hoti hai....kyoki aneko vriksh,phool,paudhey,pashu,pakshi,keedey,makodey,maanav,daanav aur asankhya prabhu k bhak jeev kah sun nahi paatey par prabhu bhakti praapt honey k sath apney hi budhdhi k star se jeewan bhi jeetey hain aur prabhu ki bhakti bhi kartey hain par vaisey stuti nahi kar paatey k udhdhaar ho aur uska udaahran YAMLAARJUN ka judvaa vriksh hain jinka udhdhar sri bhagvan ney apney baalyakaal ki leela mei okhli se swayam maa yashoda dwara bandhvaakar kiya tha...sri bhagvan ney apna swaroop kabhi bhi chhipaya hua nahi hai apitu srishti mei sarvatr unka hi saundarya bikhra hua hai par jis jeev ko brahn drishti praapt hoti hai tabhi wahi jeev is aalokik saundarya k saakshaat darshan kar ekaatm sthaapit kar pata hai...sri bhagvan anant hain aur jeev apni chhoti drishti k kaaran unka vistaar samajhney mei hi asamarth hota hai...par jeev ko unki hi chhoti budhdhi anusaar hi sri bhagvan ney apney pooran roop ko aur shreshthtaa ko bataya hai....sri bhagvan kahtey hain k jaisei apney hi sharer k rom giney nahi ja saktey,aakaash k angina sitaarey nahi giney ja saktey ...usi prakaar  sri bhagvan k antar se upjey angina isi prakaar k roop kaisey giney ja saktey hain???is prakaar sri bhagvan ka vistaar kitna anant hai ye saadhaaran jeev ki soch se bhi parey hain...sri bhagvan kahtey hain k sampooran brahmaan aur aneko brahmaando mei jitni bhi srishti hai un sbhi ki aatmaa mujhi mei vidhyamaan hai...aur un sabhi ki aatmaao mei bhi mai hi vidhyamaan hu...sabhi ki uttpatti aur simtaav mujhse hi hai aur mujh mei hi hai jabki mai swayam kisi bhi aadi aur ant se mukt hu...ajanma hu...sri bhagvaan saadhaaran jeev ki saadhaaran drishti k liye sooraj k samaan tejwaan ,oorjaawaan aur paalak hain..vaayu tatva mei mareech vaaayu hain,nakshatro mei chaand hain,vedo mei samvaad,devtaao mei indr,indriyo mei mann,praan mei chetan,rudr mei shiv,yaksh mei kubair,vasuo mei agni,purohito mei guru vrahaspati,senapatiyo mei kaartikey,sarovar mei saagar,maharshiyo mei bhrigu,shabd mei om,yagya mei japp yagya,sthir padaartho mei yaani jo achal padaarth hain unmei himaalaya,vriksho mei ashwathth yaani peepal,devarshiyo mei naarad,santo mei kapil muni,haathiyo mei airaavat,manushyo mei raja,sarp mei sheshnag,praaniyo mei varn,pitro mei arjmaan,dand deney waalo mei yam,daanavo mei prahlaad,ginti karney waalo mei kaal,pashu mei sinh,pakshiyo mei garud,pavitrta mei paavan,shastr dhaaran karney waalo mei parashuram,jalchar mei ghadiyaal,nadiyo mei ganga,vidhyaa mei aadhyaatmik vidhya,mahakal ,niranjan,stri mei mohini,lajja,sheel,shrinm,gayatri,brahmaani,shiva,budhdhi,swaha,swadha,pushti,tushta,laxmi,dhairya,smriti,nidra,kshudha,jwala,kshama,jaya,vijaya,vaani,vidhya,tituo mei basant,brahmatva hu saamved ka,chhal,ashru,tej,satya,nishchay,vipulta,vaasudev,arjun,vyaas,maun,gyan,beej,pushp,fal,sab sri bhagvan hi hain yaani har joon ka shrshth roop sri bhagvan hain...har joon ka beej sri bhagvan hain...jis prakaar ashvathth yaani peepal sabko jeewan vaayu deta hai usi prakaar sri bhagvan k saanidhya mei praan chetanta milti hai...jis prakaar dev muni sri narayan ka jaap kartey rahtey hain usiprakaar sri bhagvan k antar se hi samast shabd uttpann hain...jis prakaar ek raja apni praja ka paalan karta hai usi prakaar sri bhagvaan samasth brahmaando ka paalan kartey hain...jis prakaar shiv se uttpann rudr samst srishti ka naash kartey hain sri bhagvaan adharmi ka naash kartey hain...asal mei baat yahi hai k ye udaahran kewal sansaari jeevo ko samjhaaney k liye prastut hain kyoki sansaari jeev keval nikat se dikhaaii deney waaley shreshth aur sarshreshth aur sabsey sundar vastu ya jeevo ko hi sarvottam maantey hain tou ye jaannaa hoga k sri bhagvaan se uttpann jab uparyukt vastuein aur jeev sarvshreshth lag rahey hain tou isi prakaar ki anant sarvottam se bhi sarvottam aut uski bhi praakaashtha ko praapt vastuein bhi sri bhagvaan se uttpann hain tou in sabko dhaaran karney waaley sri bhagvaan ka vistaar kitnaa anant aur atulniya hoga?????arthaat sri bhagvaan tou parey se bhi parey hain aur agamya hain...anant hai....
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

Friday 21 February 2014

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[75]

--[75]--ek baar ek totey k andey aandhi mei gir gaye aur unmei se nikley ek totey k bachchey ko chor apney sath ley gaye aur ek totey k bachchey ko sadhu sant mandali apney sath le gaii....wo totey palney barhney lagey par choro wala tota din bhar ud kar jaasoosi karta aur choro ko chori k liye ghar aur suraag deta par sadhuo wala tota hari naam ka jaap karta....baat yahi hai k ek hi udar se utpatti honey k baavajood do jeev apney pichhley kiye gaye karmo ki gati k kaaran janam letey hain aur aagey k jeewan ko karamgati detey hain aur waisey hi anuroop vaataavaran paristhiti ko praapt bhi hotey hain...sri bhagvaan bhi yahi kahtey hain k sri bhagvan tou apney bhakto ko unki kaamnaa k anuroop hi kripa detey hain aur har dosh se swayam mukt rahtey hain...jo jeev kaami hota hai usey kaam detey hain aur kaami jeev apney hi kaami jeewan k narak mei doob kar usika narak bhogta hai...dharm ki kaamnaa karney waaley jeev ko dharm detey hain aur aisa jeev dharmpooran karam karta hai aur usi prakaar hari bhajan sumiran karney ki kaamnaa wala jeev usi k anuroop janam lekar hari bhajan mei chitt rakhtey huey karam karta hai...sri bhagvan kewal swayam mei samast oorjaao ko mila letey hain aur fir bhi har jeev ki apni oorjaa alag hoti hai aur apni sthoolta k kaaran sri bhagvaan mei poorantaya nahi milti aur apni shaish kaamnaao ki poorti k liye janam leti rahti hai aur usi k anuroop karam bhi karti rahti hai....bass yahan is sansaar mei wahi paakhand,aadambar drishtigat hotey hain par jab samooh mei ye sthoolta barhti hai tou samooh mei vinaash bhi drishtigat hota hai...aisey hi totey bhi apni bhingya k chaltey jo gati hoti hai wahi rat tey hain...
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

Thursday 20 February 2014

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[74]

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]—[74]
---[74]---Sri bhagvan kahtey hain k job hi bhakt yog se antar mei baith kar merey mool swaroop ko jaan leta hai aur fir usi k prkaar mujhmey chitt rakhta hai aur yagya yaani karm karta hai wo mukt ho jata hai..devtaao ko bhi devta sri bhagvan ney hi banaya aur mohini roop dhaaran kar amrit devtaao ko pila kar amaratva bhi diya aur gyan roop mei tapasviyo gyaniyo ko bhi soorya ki bhaanti tapaya...vedo mei onmkar swaroop bhi swayam sri bhagvan hain aur sadaiv vidhyamaan hain...budhdhi mei gyan roop mei...ann mei swaha aur swadha roop mei havishya mei bhi sri bhagvan vidhyamaan hain...tabhi tou sampooran tatva unhi mei miltey hain tou yahi vicharkar gyani jan sarvatr sri bhagvan ka swaroop dekhtey hain aur sri bhagvan hi mohit kar k jeev ko uskey karm k liye prerit kartey hain par jo jeev bhramit hain wo is mohaagni mei swayam k gyan ko jalaa detey hain aur sri bhagvan k mool swaroop ko nahi dekh paatey aur apney karmaanusaar aacharan kartey hain...jo jeev sansaari hain aur kewal swarg ki kaamna se apna karm yagya aur hari sumiran kartey hain wo kewal swarg mei hi apni vnishchit samay seemaa tak aanand such bhog kar fir se janam letey hain isi sansaar mei kyoki wo is sansaar se vimukh hotey nahi aur jo asur pravritti k hain yaani jo sur nahi hain yaani jo devtaao ki tarah sri bhagvan mei drirhta nahi rakhtey hain aur sansaari jeevo k prati updrav aur atyaachaar kartey hain wo dand k bhaagi hotey rahtey hain par ye bhi dhyan deney yogya baat hai k sri bhagvan apney kisi bhakt ko chaahey woe k baar hi unka sumiran karey abhisht zaroor detey hain...sri Vishnu sahastr naam mei sri bhagvan ney kaha hai k raja ,praja,dhan ki kaamnaa karney waalo ko ya kaami ko bhi mai uski abhisht deta hu....ab yahi drishtavya hai k sri bhagvaan tou wo sab detey hain jo hum apni pravritti se maangtey hain par humey ye bhi sochna hai k humey aponi hi trishnaao se such aur dukh bhogney hotey hain ku\yoki hum apni ichchit vastu maang kar usi mei lipt hokar karm kartey rahtey hain saur sri bhagvan tou humey dekar mukt hi rahtey hain aur fir hum apney hi such k narak mei parhey rahtey hain aur dosh sri bhagvan ko detey rahtey hain jabki sri bhagvan ney tou humari ichchaa ko hi poora kiya tha aur wo tou is prakaar dosh mukt rahtey hain....stya tou yahi hai k sri bhagvan har disha se aur un sthano se bhi har pal humari raksha kartey rahtey hain aur humey dekhtey rahtey hain jahan se hum soch bhi nahi saktey...sri bhagvan sadaiv apney bhakto k sameep hain jaisey draupadi aur sudama ki paristhiti unhoney pahley hi jaan lit hi aur unki samhaal ki...un paristhitiyo ko sri bhagvan badal saktey they parantu swayam bhakt jab chalney mei,barhney mei hichakta hai ya asaavdhaani rakhta hai ya sri bhagvaan se zara sib hi doori rakhta hai tou sri bhagvan uskey pukaarney bhar ki der kartey hain anyatha sri bhagvan yugo ko bhi sanchaalit kartey rahtey hain par kaal chakr ko apni gati se chalney se nahi roktey anyatha srishti ka santulan bigad jaayega aur atyaachaari ko dand milney mei baadhaa bhi hogi...kisi na kisi bhakt ko tou paatr banna hoga sri bhagvan ki leela k liye....jo jeev jiska sumiran karta hai jeevan mei wo usi ko praapt karta hai kyoki sri bhagvaan tou jal roop hain aur jeevo ko wo sab sulabh kartey hain jo usey chaahiye...jo devtaao ko poojta hai wo unhi devta k dham mei vishram pata hai...jo apney pitaro ko poojta hai wo apney pitaro mei baithta hai aur isi prakaar sab jeev janam maran ki yaatraa is ghat se us ghaat tak kartey rahtey hain parantu job hi bhakt sri bhagvan mei apni shwaas prashwaas se doob jata hai aur unhi mei sthit rahtey huey vicharta hai tou sri bhagvan bhi apney usi bhakt mei viraajtey hain aur mukt kar detey hain aur apney hi mool swaroop mei us jeev ko ekaakaar kar letey hain....
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

Tuesday 18 February 2014

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]--[73]

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]—[73]
---[73]---Sri bhagvan arjun ko apna wo brahm swroop dikha rahey hain jo gyani se bhi param gyani nahi jaan paatey aur jo avyakt aur ati agam hai....sri bhagvan k isi avigat roop se hi sampooran brahmaan janamta hai aur unhi mei vilupt bhi hota hai...sri bhagvan k viraat swaroop mei har srishti k aneko brahma aur paalan karney waaley aneko Vishnu aur aneko shiv sanhaarak roop mei aur sampooran jagat k paancho tatva aur sabhi ras,gun,maadhurya aur sampooran kan kan samaahit hai aur sri bhagvaan kaal akaal aur sadaiv ek sachchidaand roop hain...niranjan aur mahavishnu roop hain...itney guno se pooran hain k nirgun roop hain aur RAM roop bhi wahi hain...paar brahm hain yaani brahm k bhi parey hain...jis prakaar bhoomi k udar mei aneko jeev...beej supt padey rahtey hain aur apna nishchit kaal honey par baahar aatey hain aur jis prakaar ek bargad k antheen vriksh par saikdo jeev baseraa kartey hain aur urh kar chaley jaatey hain aur fir aa jaatey hain aur unki aneko peerhiyaan yahin janamti rahti hain aur marti rahti hain aur jis prakaar ek nalkoop se aneko pipe dwara aur aneko chhidro dwara jal fuhaar k roop mei ek badey bhoo bhaag ko sinchit karta rahta hai usi prakaar paar brahm sri bhagvaan se sab jeev aneko loko mei upajtey rahtey hain aur aneko loko mei deh tyaagney k baad vishram paatey rahtey hain aur punah deh dhaaran kartey rahtey hain parantu job hi jeev pooran yog sanyaas se mann ko maar kar kewal praan vaayu mei sthit hokar sri bhagvaan k prati ekaatm sthaapit karta hua vicharta hai wo baar baar ud kar fir baar baar nahi baithtaa aur wo sri bhagvan mei hi mil jata hai jaisey meera baaii hui...ab vishesh baat ye hain k jab sansaari jeev ki bhautik deh ko jal geela karta hai aur hawa sukha bhi deti hai tou sri bhagvaan kaisey alag hain!!!!!!!!!sri bhagvan kahtey hain k wo kisi bhautikta se nahi bandhey hain aur isiliye jab jis roop mei srishti ki raksha karni hui unhoney waisa hi roop dhaaran kar liya...jaisey aakaash mei..vaayumandal mei hark an kan ko vaayu chhoti hai par fir bhi aakaash us vaayu se mukt hai...jaisey jal ko jis vastu mei daalo wo jal usi aakaar ka ho jata hai aur nirantar bahta bhi rahta hai aur mukt hai har aakaar se parantu jaisey hi jal sheetalta k ek nishchit taapmaan ko paar karta hai tou jam kar barf ho jata hai aur sthool ho jata hai aur girney se choor choor bhi ho jata hai par pighal kar fir jal mei badal jata hai par swaad mei fark ho jata hai bass usi prakaar jeev bhi karm mei bhautikta mei bandhkar sthool ho jata hai aur fir ahankaar mei toot bhi jata hai par fir sri bhagvaan mei milkar pighal bhi jata hai par sri bhagvan ko uskey gun avgun chhoo bhi nahi paatey aur us jeev ka karm gati k anuroop lok aur srishti badal jaati hai par sri bhagvan anant hain aur in sabsey judey honey k baavjood alag hain...nisprih hain.... sri bhagvan ki aneko maya hain jo unmei hi vaas karti hain aur swaha swadha roop mei grahan bhi karti hain jeev ko...aneko jeev ki uttpatti aur nash k baavajood sri bhagvaan har dosh se mukt hain kyoki wo bhautik daihik daivik teeno taap se mukt hain aur sab unhi se uttpann hain...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra..