Monday 24 February 2014

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[76]


ARJUN AUR DHARAMYUDHDH---[CONT]---[76]
[76]---Sri bhagvan apna param satya kewal arjun ko sunaatey hain yaani jo unkey param satya ko sun sakey usey sunaatey hain...hakeekat yahi hai k is sansaar mei sabhi jeev mook badhir aur andhey hain...satya dekhney,sunney aur samajhney aur bolney ki kshamta jeev mei nahi hai kyoki jeev tou kewal sansaar ka wo mohmaya se bhara bhautik dhaancha dekhtey hain jo ek din bharbharaa k aisey gir jata hai jaisey deemak ka khayaa hua aur khokhla kiya hua dhancha gir jata hai...badey sidhdh,rishi muni bhi jis param tatva ko nahi jaan paatey kewal mann se sanyaasi yogi hi jaan pata hai aur arjun jaisa samarpit bhakt hi sunn paataa hai sri bhagvaan k swayam sri much se...kyoki is param tatva ko samajhney k liye such dukh,raat din,baahar bheetar aur aisey hi har antardwand ki seemaao se aur bhay se mukt hona hota hai...aneko brahmaando mei se is mrityulok k brahmaand mei bhi is mrityulok yaani bharti par garbh se uttpatti aur srishti aur vinaash ki prakriya ko samjhaatey huey sri bhagvaan kahtey hain k yahan sri garbhodak shaayi Vishnu ki leela hai...garbhodak shayi Vishnu sheshnag ki shaiya par letey hain aur wo bhi sri bhagvan ka hi roop hai..sri bhagvan k naabhi se kamal ki naal nikli hai aur bahot oopar ek kamal khila hai jis par brahma baithey hain aur unhi brhma k maanas se sapt rishi aur 4 muni aur maanas putr uttpann huey hain ...ye rishi bhi trikaal darshi hain...par hakkekat yahi hai k sabhi kuchh mujhsey hi utpann hai...mujhse hi uttpann jeev apney maanas brahm se apni apni srishti kartey rahtey hain jo nasht bhi hoti rahti hai aur in sabhi ka karta mai hi hu...jaisey kumhaar mitti se apni soch k anusar bartan banata hai usi prakaar mai bhi apney hi oorja se jeev ko janamta hu aur apney hi bheetar samaavisht bhi kar leta hu...bass kumhaar ki mitti baahar se laaii hui hoti hai jabki jeev mujhsey hi banta hai par is sansaar ki bhautikta ki sthoolta khud charh leta hai jo yahni rah jaati hai aur jo tatva mujhsey nikla hota hai mujhmei hi milta hai....Jab jeev ki gyan hota hai k uska asli roop kya hai tou wo budhdh hota hai aur har prakaar k antardwand se mukt ho jata hai....parantu har jeev ko ek sa gyan nahi hota aur jab jisko jitna gyan hota hai wo utni hi kshamta se sri bhagvan ki madhura bhakti kar paataa hai...parantu sri bhagvan jo aadi ant se parey anant hain unkey viraat aur sookshm swaroop ko poorantaya dekhney samajhney k liye budhdhi k bhi parey jaanaa hota hai..gyan se ahankaar k upajney se poorav hi uskey aagey ki yaatraa karni hoti hai....kyoki aneko vriksh,phool,paudhey,pashu,pakshi,keedey,makodey,maanav,daanav aur asankhya prabhu k bhak jeev kah sun nahi paatey par prabhu bhakti praapt honey k sath apney hi budhdhi k star se jeewan bhi jeetey hain aur prabhu ki bhakti bhi kartey hain par vaisey stuti nahi kar paatey k udhdhaar ho aur uska udaahran YAMLAARJUN ka judvaa vriksh hain jinka udhdhar sri bhagvan ney apney baalyakaal ki leela mei okhli se swayam maa yashoda dwara bandhvaakar kiya tha...sri bhagvan ney apna swaroop kabhi bhi chhipaya hua nahi hai apitu srishti mei sarvatr unka hi saundarya bikhra hua hai par jis jeev ko brahn drishti praapt hoti hai tabhi wahi jeev is aalokik saundarya k saakshaat darshan kar ekaatm sthaapit kar pata hai...sri bhagvan anant hain aur jeev apni chhoti drishti k kaaran unka vistaar samajhney mei hi asamarth hota hai...par jeev ko unki hi chhoti budhdhi anusaar hi sri bhagvan ney apney pooran roop ko aur shreshthtaa ko bataya hai....sri bhagvan kahtey hain k jaisei apney hi sharer k rom giney nahi ja saktey,aakaash k angina sitaarey nahi giney ja saktey ...usi prakaar  sri bhagvan k antar se upjey angina isi prakaar k roop kaisey giney ja saktey hain???is prakaar sri bhagvan ka vistaar kitna anant hai ye saadhaaran jeev ki soch se bhi parey hain...sri bhagvan kahtey hain k sampooran brahmaan aur aneko brahmaando mei jitni bhi srishti hai un sbhi ki aatmaa mujhi mei vidhyamaan hai...aur un sabhi ki aatmaao mei bhi mai hi vidhyamaan hu...sabhi ki uttpatti aur simtaav mujhse hi hai aur mujh mei hi hai jabki mai swayam kisi bhi aadi aur ant se mukt hu...ajanma hu...sri bhagvaan saadhaaran jeev ki saadhaaran drishti k liye sooraj k samaan tejwaan ,oorjaawaan aur paalak hain..vaayu tatva mei mareech vaaayu hain,nakshatro mei chaand hain,vedo mei samvaad,devtaao mei indr,indriyo mei mann,praan mei chetan,rudr mei shiv,yaksh mei kubair,vasuo mei agni,purohito mei guru vrahaspati,senapatiyo mei kaartikey,sarovar mei saagar,maharshiyo mei bhrigu,shabd mei om,yagya mei japp yagya,sthir padaartho mei yaani jo achal padaarth hain unmei himaalaya,vriksho mei ashwathth yaani peepal,devarshiyo mei naarad,santo mei kapil muni,haathiyo mei airaavat,manushyo mei raja,sarp mei sheshnag,praaniyo mei varn,pitro mei arjmaan,dand deney waalo mei yam,daanavo mei prahlaad,ginti karney waalo mei kaal,pashu mei sinh,pakshiyo mei garud,pavitrta mei paavan,shastr dhaaran karney waalo mei parashuram,jalchar mei ghadiyaal,nadiyo mei ganga,vidhyaa mei aadhyaatmik vidhya,mahakal ,niranjan,stri mei mohini,lajja,sheel,shrinm,gayatri,brahmaani,shiva,budhdhi,swaha,swadha,pushti,tushta,laxmi,dhairya,smriti,nidra,kshudha,jwala,kshama,jaya,vijaya,vaani,vidhya,tituo mei basant,brahmatva hu saamved ka,chhal,ashru,tej,satya,nishchay,vipulta,vaasudev,arjun,vyaas,maun,gyan,beej,pushp,fal,sab sri bhagvan hi hain yaani har joon ka shrshth roop sri bhagvan hain...har joon ka beej sri bhagvan hain...jis prakaar ashvathth yaani peepal sabko jeewan vaayu deta hai usi prakaar sri bhagvan k saanidhya mei praan chetanta milti hai...jis prakaar dev muni sri narayan ka jaap kartey rahtey hain usiprakaar sri bhagvan k antar se hi samast shabd uttpann hain...jis prakaar ek raja apni praja ka paalan karta hai usi prakaar sri bhagvaan samasth brahmaando ka paalan kartey hain...jis prakaar shiv se uttpann rudr samst srishti ka naash kartey hain sri bhagvaan adharmi ka naash kartey hain...asal mei baat yahi hai k ye udaahran kewal sansaari jeevo ko samjhaaney k liye prastut hain kyoki sansaari jeev keval nikat se dikhaaii deney waaley shreshth aur sarshreshth aur sabsey sundar vastu ya jeevo ko hi sarvottam maantey hain tou ye jaannaa hoga k sri bhagvaan se uttpann jab uparyukt vastuein aur jeev sarvshreshth lag rahey hain tou isi prakaar ki anant sarvottam se bhi sarvottam aut uski bhi praakaashtha ko praapt vastuein bhi sri bhagvaan se uttpann hain tou in sabko dhaaran karney waaley sri bhagvaan ka vistaar kitnaa anant aur atulniya hoga?????arthaat sri bhagvaan tou parey se bhi parey hain aur agamya hain...anant hai....
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

Friday 21 February 2014

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[75]

--[75]--ek baar ek totey k andey aandhi mei gir gaye aur unmei se nikley ek totey k bachchey ko chor apney sath ley gaye aur ek totey k bachchey ko sadhu sant mandali apney sath le gaii....wo totey palney barhney lagey par choro wala tota din bhar ud kar jaasoosi karta aur choro ko chori k liye ghar aur suraag deta par sadhuo wala tota hari naam ka jaap karta....baat yahi hai k ek hi udar se utpatti honey k baavajood do jeev apney pichhley kiye gaye karmo ki gati k kaaran janam letey hain aur aagey k jeewan ko karamgati detey hain aur waisey hi anuroop vaataavaran paristhiti ko praapt bhi hotey hain...sri bhagvaan bhi yahi kahtey hain k sri bhagvan tou apney bhakto ko unki kaamnaa k anuroop hi kripa detey hain aur har dosh se swayam mukt rahtey hain...jo jeev kaami hota hai usey kaam detey hain aur kaami jeev apney hi kaami jeewan k narak mei doob kar usika narak bhogta hai...dharm ki kaamnaa karney waaley jeev ko dharm detey hain aur aisa jeev dharmpooran karam karta hai aur usi prakaar hari bhajan sumiran karney ki kaamnaa wala jeev usi k anuroop janam lekar hari bhajan mei chitt rakhtey huey karam karta hai...sri bhagvan kewal swayam mei samast oorjaao ko mila letey hain aur fir bhi har jeev ki apni oorjaa alag hoti hai aur apni sthoolta k kaaran sri bhagvaan mei poorantaya nahi milti aur apni shaish kaamnaao ki poorti k liye janam leti rahti hai aur usi k anuroop karam bhi karti rahti hai....bass yahan is sansaar mei wahi paakhand,aadambar drishtigat hotey hain par jab samooh mei ye sthoolta barhti hai tou samooh mei vinaash bhi drishtigat hota hai...aisey hi totey bhi apni bhingya k chaltey jo gati hoti hai wahi rat tey hain...
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

Thursday 20 February 2014

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[74]

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]—[74]
---[74]---Sri bhagvan kahtey hain k job hi bhakt yog se antar mei baith kar merey mool swaroop ko jaan leta hai aur fir usi k prkaar mujhmey chitt rakhta hai aur yagya yaani karm karta hai wo mukt ho jata hai..devtaao ko bhi devta sri bhagvan ney hi banaya aur mohini roop dhaaran kar amrit devtaao ko pila kar amaratva bhi diya aur gyan roop mei tapasviyo gyaniyo ko bhi soorya ki bhaanti tapaya...vedo mei onmkar swaroop bhi swayam sri bhagvan hain aur sadaiv vidhyamaan hain...budhdhi mei gyan roop mei...ann mei swaha aur swadha roop mei havishya mei bhi sri bhagvan vidhyamaan hain...tabhi tou sampooran tatva unhi mei miltey hain tou yahi vicharkar gyani jan sarvatr sri bhagvan ka swaroop dekhtey hain aur sri bhagvan hi mohit kar k jeev ko uskey karm k liye prerit kartey hain par jo jeev bhramit hain wo is mohaagni mei swayam k gyan ko jalaa detey hain aur sri bhagvan k mool swaroop ko nahi dekh paatey aur apney karmaanusaar aacharan kartey hain...jo jeev sansaari hain aur kewal swarg ki kaamna se apna karm yagya aur hari sumiran kartey hain wo kewal swarg mei hi apni vnishchit samay seemaa tak aanand such bhog kar fir se janam letey hain isi sansaar mei kyoki wo is sansaar se vimukh hotey nahi aur jo asur pravritti k hain yaani jo sur nahi hain yaani jo devtaao ki tarah sri bhagvan mei drirhta nahi rakhtey hain aur sansaari jeevo k prati updrav aur atyaachaar kartey hain wo dand k bhaagi hotey rahtey hain par ye bhi dhyan deney yogya baat hai k sri bhagvan apney kisi bhakt ko chaahey woe k baar hi unka sumiran karey abhisht zaroor detey hain...sri Vishnu sahastr naam mei sri bhagvan ney kaha hai k raja ,praja,dhan ki kaamnaa karney waalo ko ya kaami ko bhi mai uski abhisht deta hu....ab yahi drishtavya hai k sri bhagvaan tou wo sab detey hain jo hum apni pravritti se maangtey hain par humey ye bhi sochna hai k humey aponi hi trishnaao se such aur dukh bhogney hotey hain ku\yoki hum apni ichchit vastu maang kar usi mei lipt hokar karm kartey rahtey hain saur sri bhagvan tou humey dekar mukt hi rahtey hain aur fir hum apney hi such k narak mei parhey rahtey hain aur dosh sri bhagvan ko detey rahtey hain jabki sri bhagvan ney tou humari ichchaa ko hi poora kiya tha aur wo tou is prakaar dosh mukt rahtey hain....stya tou yahi hai k sri bhagvan har disha se aur un sthano se bhi har pal humari raksha kartey rahtey hain aur humey dekhtey rahtey hain jahan se hum soch bhi nahi saktey...sri bhagvan sadaiv apney bhakto k sameep hain jaisey draupadi aur sudama ki paristhiti unhoney pahley hi jaan lit hi aur unki samhaal ki...un paristhitiyo ko sri bhagvan badal saktey they parantu swayam bhakt jab chalney mei,barhney mei hichakta hai ya asaavdhaani rakhta hai ya sri bhagvaan se zara sib hi doori rakhta hai tou sri bhagvan uskey pukaarney bhar ki der kartey hain anyatha sri bhagvan yugo ko bhi sanchaalit kartey rahtey hain par kaal chakr ko apni gati se chalney se nahi roktey anyatha srishti ka santulan bigad jaayega aur atyaachaari ko dand milney mei baadhaa bhi hogi...kisi na kisi bhakt ko tou paatr banna hoga sri bhagvan ki leela k liye....jo jeev jiska sumiran karta hai jeevan mei wo usi ko praapt karta hai kyoki sri bhagvaan tou jal roop hain aur jeevo ko wo sab sulabh kartey hain jo usey chaahiye...jo devtaao ko poojta hai wo unhi devta k dham mei vishram pata hai...jo apney pitaro ko poojta hai wo apney pitaro mei baithta hai aur isi prakaar sab jeev janam maran ki yaatraa is ghat se us ghaat tak kartey rahtey hain parantu job hi bhakt sri bhagvan mei apni shwaas prashwaas se doob jata hai aur unhi mei sthit rahtey huey vicharta hai tou sri bhagvan bhi apney usi bhakt mei viraajtey hain aur mukt kar detey hain aur apney hi mool swaroop mei us jeev ko ekaakaar kar letey hain....
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

Tuesday 18 February 2014

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]--[73]

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]—[73]
---[73]---Sri bhagvan arjun ko apna wo brahm swroop dikha rahey hain jo gyani se bhi param gyani nahi jaan paatey aur jo avyakt aur ati agam hai....sri bhagvan k isi avigat roop se hi sampooran brahmaan janamta hai aur unhi mei vilupt bhi hota hai...sri bhagvan k viraat swaroop mei har srishti k aneko brahma aur paalan karney waaley aneko Vishnu aur aneko shiv sanhaarak roop mei aur sampooran jagat k paancho tatva aur sabhi ras,gun,maadhurya aur sampooran kan kan samaahit hai aur sri bhagvaan kaal akaal aur sadaiv ek sachchidaand roop hain...niranjan aur mahavishnu roop hain...itney guno se pooran hain k nirgun roop hain aur RAM roop bhi wahi hain...paar brahm hain yaani brahm k bhi parey hain...jis prakaar bhoomi k udar mei aneko jeev...beej supt padey rahtey hain aur apna nishchit kaal honey par baahar aatey hain aur jis prakaar ek bargad k antheen vriksh par saikdo jeev baseraa kartey hain aur urh kar chaley jaatey hain aur fir aa jaatey hain aur unki aneko peerhiyaan yahin janamti rahti hain aur marti rahti hain aur jis prakaar ek nalkoop se aneko pipe dwara aur aneko chhidro dwara jal fuhaar k roop mei ek badey bhoo bhaag ko sinchit karta rahta hai usi prakaar paar brahm sri bhagvaan se sab jeev aneko loko mei upajtey rahtey hain aur aneko loko mei deh tyaagney k baad vishram paatey rahtey hain aur punah deh dhaaran kartey rahtey hain parantu job hi jeev pooran yog sanyaas se mann ko maar kar kewal praan vaayu mei sthit hokar sri bhagvaan k prati ekaatm sthaapit karta hua vicharta hai wo baar baar ud kar fir baar baar nahi baithtaa aur wo sri bhagvan mei hi mil jata hai jaisey meera baaii hui...ab vishesh baat ye hain k jab sansaari jeev ki bhautik deh ko jal geela karta hai aur hawa sukha bhi deti hai tou sri bhagvaan kaisey alag hain!!!!!!!!!sri bhagvan kahtey hain k wo kisi bhautikta se nahi bandhey hain aur isiliye jab jis roop mei srishti ki raksha karni hui unhoney waisa hi roop dhaaran kar liya...jaisey aakaash mei..vaayumandal mei hark an kan ko vaayu chhoti hai par fir bhi aakaash us vaayu se mukt hai...jaisey jal ko jis vastu mei daalo wo jal usi aakaar ka ho jata hai aur nirantar bahta bhi rahta hai aur mukt hai har aakaar se parantu jaisey hi jal sheetalta k ek nishchit taapmaan ko paar karta hai tou jam kar barf ho jata hai aur sthool ho jata hai aur girney se choor choor bhi ho jata hai par pighal kar fir jal mei badal jata hai par swaad mei fark ho jata hai bass usi prakaar jeev bhi karm mei bhautikta mei bandhkar sthool ho jata hai aur fir ahankaar mei toot bhi jata hai par fir sri bhagvaan mei milkar pighal bhi jata hai par sri bhagvan ko uskey gun avgun chhoo bhi nahi paatey aur us jeev ka karm gati k anuroop lok aur srishti badal jaati hai par sri bhagvan anant hain aur in sabsey judey honey k baavjood alag hain...nisprih hain.... sri bhagvan ki aneko maya hain jo unmei hi vaas karti hain aur swaha swadha roop mei grahan bhi karti hain jeev ko...aneko jeev ki uttpatti aur nash k baavajood sri bhagvaan har dosh se mukt hain kyoki wo bhautik daihik daivik teeno taap se mukt hain aur sab unhi se uttpann hain...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra..

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[72]

.. ....ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[72]
---[72]-- Sri bhagvan kahtey hain k arjun...!!jo jeev saarey chhal kapat chhorh kar..har bhaav se mukt hokar aur bhakti ki pyaas se bhi tript hokar,yaani bhaavnaa se pooran ye bhaav saagar sansaar k har bhaav ko chitt se vismrit kar dey aur uskey sath hi bhakti ki bhi paraakaashtha ko paar kar jaaye yaani bhakti ki jo pyaas hai usko bhi paar kar jaaye aur shaant ho jaaye...aur is prakaar us agam anaami gyan ko jaan ley aur sooraj ki tarah khud k apney astitva k bhaav ko bhi jala dey..yaani koi bhi anu baraabar bhi alag ka bhaav na bachey aisa pooran hokar sri bhagvaan ka sumiran kartey huey apney sharer k nav dwaar yaani jahan jahan chhidro se oorja ka sanvaahan hota hai un sabhi chakro ko niyantrit kartey huey band kar k fir antar mei shwaas k sath vichaaro se mukt hota hua sri bhagvaan ka sumiran kartey huey praan tyaagtaa hai wo sri bhagvan k param padh ko praapt hota hai...yahi asli brahmcharya hai...jeev ko is sansaar mei rahtey huey bhi mukt rahna hai..jo bhi jeev oopar kahi gai yaatraa karta hai wo sri bhagvaan mei milkar janam maran k chakr se yaani mrityu lok mei janam se yaani garabh joon se mukt ho jaatey hain...
SATJUG ,TRAITA,DWAAPAR BEETA....KAAHU NA JAANI SHABD KI REETA...
KALJUG MEI SWAMI DAYA BICHAARI, PARGHAT KAR K SHABD PUKAARI...!!
har yug kaal k adheen hai aur kaal sthir nahi hai...hazaaro yug beetney k baad brahm ka kewal ek din hota hai aur hazaaro yugo ki raatri beetney k baad brahm ki ek raatri hoti hai...yaani yahan jeev aneko yugo taka lag alag joon mei janam maran ki yaatraa kartey rahtey hain aur ek doosrey k sath lipt hotey hote saikdo jeev aapas mei lipt hotey jaatey hain aur apney karmo ka ek doosrey se lena dena chukaatey huey yahan janamtey rahtey hain...har yug apney nishchit samay par samaapt hota hai aur isi prakaar jeev bhi kaal kavlit hota hai...yahan koi nahi avinaashi hai...jo srishti hogi wo nasht bhi hoga par kewal sri bhagvaan avinashi hain aur sampooran brahmaand aur uskey oopar saikdo brahmaand unhi k chaaro oar ghoom rahey hain...wo agam...anaami..avinaashi hain aur sab kuchh unhi k chaaro oar ghoom raha hai aur unhi mei samaa jata hai aur fir unhi mei se upajtaa rahta hai...sri bhagvan k roop ko koi virla hi samajh sakta hai...ye avigat roop hai...jaisei soordas ji ney kaha hai...’’AVIGAT GATI KACHHU KAHAN NA AAVEY...
JYO GOONGEY MEETHO FAL KO RAS ,ANTARGAT HI BHAAVEY’’
...SRI BHAGVAN k aanand roop ko kewal antar mei samaadhisth jeev hi mahsoos kar sakta hai aur aanadit ho sakta hai..jis prakaar ek mukhya pipe mei fuhara laga deney se kai saari boondein ek sath sarvatr fail kar geela kar deti hain usi prakaar sri bhagvaan se hi aneko kan k roop mei jeev janamtey rahtey hain aur jis prakaar brahma ji ney stuti kartey huey saptshati mei devi ko KAALRAATRI,MAHARAATRI,MOHRAATRI kaha hai usi prakaar sri bhagvaan k netro mei sthit devi mahamaya hi jeev ko mohit karti hain sansaar mei...shareer k har rom koop ki utni hi yog maya hain sri bhagvaan ki jo itney angina brahmaando k aneko bhaavo ko prerit karti hain...sri bhagvan kahtey hain k job hi bhakt yog sanyaasi hokar antar mei samaadhisth hota hai wo akhand hota hai yaani wo pooran hai ,kahin se bhi khandit nahi hai ,koi bhi vikaar ya rukaavat uski dhaar mei nahi hai aur wahi anant bhi hai kyoki mujhmei leen hai...aur aisey bhakt sharer tyaag kar sooraj k uttraayan mei pooranmasi,ekaadashi,dwaadashi ko deh tyaag kar merey tej mei miltey hain aur fir deh nahi dhaaran kartey aur inhi bhakto mei se kuchh jo apney pitro se mukt nahi hotey wo pitrlok jo chandrlok hai...wahan tak jaatey hain aur kuchh kaal baad punah janam tou letey hain par deh mei moh nahi rakhtey aur videh hokar mujhmey hi leen rahtey hain..is prakaar jeev apni yaatraa karta hai...
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra