Tuesday 18 February 2014

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]--[73]

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]—[73]
---[73]---Sri bhagvan arjun ko apna wo brahm swroop dikha rahey hain jo gyani se bhi param gyani nahi jaan paatey aur jo avyakt aur ati agam hai....sri bhagvan k isi avigat roop se hi sampooran brahmaan janamta hai aur unhi mei vilupt bhi hota hai...sri bhagvan k viraat swaroop mei har srishti k aneko brahma aur paalan karney waaley aneko Vishnu aur aneko shiv sanhaarak roop mei aur sampooran jagat k paancho tatva aur sabhi ras,gun,maadhurya aur sampooran kan kan samaahit hai aur sri bhagvaan kaal akaal aur sadaiv ek sachchidaand roop hain...niranjan aur mahavishnu roop hain...itney guno se pooran hain k nirgun roop hain aur RAM roop bhi wahi hain...paar brahm hain yaani brahm k bhi parey hain...jis prakaar bhoomi k udar mei aneko jeev...beej supt padey rahtey hain aur apna nishchit kaal honey par baahar aatey hain aur jis prakaar ek bargad k antheen vriksh par saikdo jeev baseraa kartey hain aur urh kar chaley jaatey hain aur fir aa jaatey hain aur unki aneko peerhiyaan yahin janamti rahti hain aur marti rahti hain aur jis prakaar ek nalkoop se aneko pipe dwara aur aneko chhidro dwara jal fuhaar k roop mei ek badey bhoo bhaag ko sinchit karta rahta hai usi prakaar paar brahm sri bhagvaan se sab jeev aneko loko mei upajtey rahtey hain aur aneko loko mei deh tyaagney k baad vishram paatey rahtey hain aur punah deh dhaaran kartey rahtey hain parantu job hi jeev pooran yog sanyaas se mann ko maar kar kewal praan vaayu mei sthit hokar sri bhagvaan k prati ekaatm sthaapit karta hua vicharta hai wo baar baar ud kar fir baar baar nahi baithtaa aur wo sri bhagvan mei hi mil jata hai jaisey meera baaii hui...ab vishesh baat ye hain k jab sansaari jeev ki bhautik deh ko jal geela karta hai aur hawa sukha bhi deti hai tou sri bhagvaan kaisey alag hain!!!!!!!!!sri bhagvan kahtey hain k wo kisi bhautikta se nahi bandhey hain aur isiliye jab jis roop mei srishti ki raksha karni hui unhoney waisa hi roop dhaaran kar liya...jaisey aakaash mei..vaayumandal mei hark an kan ko vaayu chhoti hai par fir bhi aakaash us vaayu se mukt hai...jaisey jal ko jis vastu mei daalo wo jal usi aakaar ka ho jata hai aur nirantar bahta bhi rahta hai aur mukt hai har aakaar se parantu jaisey hi jal sheetalta k ek nishchit taapmaan ko paar karta hai tou jam kar barf ho jata hai aur sthool ho jata hai aur girney se choor choor bhi ho jata hai par pighal kar fir jal mei badal jata hai par swaad mei fark ho jata hai bass usi prakaar jeev bhi karm mei bhautikta mei bandhkar sthool ho jata hai aur fir ahankaar mei toot bhi jata hai par fir sri bhagvaan mei milkar pighal bhi jata hai par sri bhagvan ko uskey gun avgun chhoo bhi nahi paatey aur us jeev ka karm gati k anuroop lok aur srishti badal jaati hai par sri bhagvan anant hain aur in sabsey judey honey k baavjood alag hain...nisprih hain.... sri bhagvan ki aneko maya hain jo unmei hi vaas karti hain aur swaha swadha roop mei grahan bhi karti hain jeev ko...aneko jeev ki uttpatti aur nash k baavajood sri bhagvaan har dosh se mukt hain kyoki wo bhautik daihik daivik teeno taap se mukt hain aur sab unhi se uttpann hain...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra..

No comments:

Post a Comment