Tuesday 18 February 2014

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[72]

.. ....ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[72]
---[72]-- Sri bhagvan kahtey hain k arjun...!!jo jeev saarey chhal kapat chhorh kar..har bhaav se mukt hokar aur bhakti ki pyaas se bhi tript hokar,yaani bhaavnaa se pooran ye bhaav saagar sansaar k har bhaav ko chitt se vismrit kar dey aur uskey sath hi bhakti ki bhi paraakaashtha ko paar kar jaaye yaani bhakti ki jo pyaas hai usko bhi paar kar jaaye aur shaant ho jaaye...aur is prakaar us agam anaami gyan ko jaan ley aur sooraj ki tarah khud k apney astitva k bhaav ko bhi jala dey..yaani koi bhi anu baraabar bhi alag ka bhaav na bachey aisa pooran hokar sri bhagvaan ka sumiran kartey huey apney sharer k nav dwaar yaani jahan jahan chhidro se oorja ka sanvaahan hota hai un sabhi chakro ko niyantrit kartey huey band kar k fir antar mei shwaas k sath vichaaro se mukt hota hua sri bhagvaan ka sumiran kartey huey praan tyaagtaa hai wo sri bhagvan k param padh ko praapt hota hai...yahi asli brahmcharya hai...jeev ko is sansaar mei rahtey huey bhi mukt rahna hai..jo bhi jeev oopar kahi gai yaatraa karta hai wo sri bhagvaan mei milkar janam maran k chakr se yaani mrityu lok mei janam se yaani garabh joon se mukt ho jaatey hain...
SATJUG ,TRAITA,DWAAPAR BEETA....KAAHU NA JAANI SHABD KI REETA...
KALJUG MEI SWAMI DAYA BICHAARI, PARGHAT KAR K SHABD PUKAARI...!!
har yug kaal k adheen hai aur kaal sthir nahi hai...hazaaro yug beetney k baad brahm ka kewal ek din hota hai aur hazaaro yugo ki raatri beetney k baad brahm ki ek raatri hoti hai...yaani yahan jeev aneko yugo taka lag alag joon mei janam maran ki yaatraa kartey rahtey hain aur ek doosrey k sath lipt hotey hote saikdo jeev aapas mei lipt hotey jaatey hain aur apney karmo ka ek doosrey se lena dena chukaatey huey yahan janamtey rahtey hain...har yug apney nishchit samay par samaapt hota hai aur isi prakaar jeev bhi kaal kavlit hota hai...yahan koi nahi avinaashi hai...jo srishti hogi wo nasht bhi hoga par kewal sri bhagvaan avinashi hain aur sampooran brahmaand aur uskey oopar saikdo brahmaand unhi k chaaro oar ghoom rahey hain...wo agam...anaami..avinaashi hain aur sab kuchh unhi k chaaro oar ghoom raha hai aur unhi mei samaa jata hai aur fir unhi mei se upajtaa rahta hai...sri bhagvan k roop ko koi virla hi samajh sakta hai...ye avigat roop hai...jaisei soordas ji ney kaha hai...’’AVIGAT GATI KACHHU KAHAN NA AAVEY...
JYO GOONGEY MEETHO FAL KO RAS ,ANTARGAT HI BHAAVEY’’
...SRI BHAGVAN k aanand roop ko kewal antar mei samaadhisth jeev hi mahsoos kar sakta hai aur aanadit ho sakta hai..jis prakaar ek mukhya pipe mei fuhara laga deney se kai saari boondein ek sath sarvatr fail kar geela kar deti hain usi prakaar sri bhagvaan se hi aneko kan k roop mei jeev janamtey rahtey hain aur jis prakaar brahma ji ney stuti kartey huey saptshati mei devi ko KAALRAATRI,MAHARAATRI,MOHRAATRI kaha hai usi prakaar sri bhagvaan k netro mei sthit devi mahamaya hi jeev ko mohit karti hain sansaar mei...shareer k har rom koop ki utni hi yog maya hain sri bhagvaan ki jo itney angina brahmaando k aneko bhaavo ko prerit karti hain...sri bhagvan kahtey hain k job hi bhakt yog sanyaasi hokar antar mei samaadhisth hota hai wo akhand hota hai yaani wo pooran hai ,kahin se bhi khandit nahi hai ,koi bhi vikaar ya rukaavat uski dhaar mei nahi hai aur wahi anant bhi hai kyoki mujhmei leen hai...aur aisey bhakt sharer tyaag kar sooraj k uttraayan mei pooranmasi,ekaadashi,dwaadashi ko deh tyaag kar merey tej mei miltey hain aur fir deh nahi dhaaran kartey aur inhi bhakto mei se kuchh jo apney pitro se mukt nahi hotey wo pitrlok jo chandrlok hai...wahan tak jaatey hain aur kuchh kaal baad punah janam tou letey hain par deh mei moh nahi rakhtey aur videh hokar mujhmey hi leen rahtey hain..is prakaar jeev apni yaatraa karta hai...
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra


No comments:

Post a Comment