Thursday 3 October 2013

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[71]

...ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]—[71]
--71---Apney bhakto k Vishay mei SRI BHAGVAN sadaiv prem bhaav rakhtey hain...unkey liye har bhakt apni manokaamnaa k anuroop bhakti karta hai aur sri bhagvaan apney bhakt ko uska manovaanchhit prem bhi detey hain...sri bhagvan k anusar 4 prakaar k bhakt hotey hain...gyan ki praapti k liye jo bhakt sri bhagvan ko samara kartey hain wo gyaani sri bhagvan k brahm roop ko jaan leney k liye sri bhagvan se judtey hain par udhdhav ki bhaanti rookhapan unko gher leta hai aur o brahm roop jaan leney k baad bhi mukt nahi ho paatey kyoki mann se sanyaasi nahi hain...jo bhakt apni aakaanshaao aur ichchhaao ki poorti k liye sri bhagvan ko bhajtey hain k humey vijay miley,yash miley ya putr miley ...aisey bhakt sansaar ka such tou pa letey hain sri bhagvan ki kripa se par sri bhagvan k kewal shareer se judey rahtey hain...sri bhagvan ka moorti poojan,snaan dhyan ,shringaar bhi kewal apni ichchhaao k liye kartey rhtey hain aur ek k baad ek trihna mei ulajhtey jaatey hain aur mukt nahi ho saktey...jo bhakt apney sharirik ,mansik aarthik,samajik aur anya rog ,dukh shok,vyaadhi k naash k liye sri bhagvan ko bhajtey hain wo kubja ki tarah kewal shareer tak seemit rah jaatey hain aur mukt nahi ho paatey jabki wo jaantey hain k unkey paas avinashi tatva swaroop sri bhagvan hain par wo shareer se judey rah jaatey hain aur chauthey prakaar k bhakt wo hotey hain jo sri bhagvan ka bhajan kewal samarpan aur prem k sath hi kartey hain aur unhey koi bhi aakaansha nahi rahti wo hi sri bhagvan k sabsey priya bhakt hotey hain aur aisey gyani bhakt hi mukt hotey hain aur avinashi tatva kop rapt kartey hain....SRI BHAGVAN kahtey hain k job hi bhakt yog sanyaas bhajan bhakti samarpan gyan dwara unhey jaan leta hai us bhakt ki manokaamnaa sri bhagvan usi k anuroop pooran kartey hain jaisey jisey dhan ki aakaansha ho usey dhan roop mei praapt hotey hain...jisey dharm chaahiye usey dharm detey hain aur jo bhi bhakt jo ichchhaa karta hai usey wahi praapti hoti hai aur job hi bhakt jis bhi devta ko apna poojan samarpit kartey hain sri bhagvan usi devta k roop mei us havishya ko graham kartey hain...taatparya ye hai k sri bhagvan bhakt k prem,shradhdha aur bhakti mei virajmaan rahtey hain aurhar roop mei ek avinashi Vishnu,mahavishnu.sri Vishnu roop mei sab graham kartey hain...kyoki sri bhagvan k aisey bhakt itney nirmal ho jaatey hain k unhey har devta aur kan kan mei sri bhagvan hi dikhtey hain aur isliye wo bhakt jis bhi devta,manushya ya pashu roop ko poojtey hain wahan sri bhagvan hi upasthit rahtey hain...aur bhakti bhaav ka prasaad graham kar letey hain...sri bhagvan kahtey hain k karodo devta hain aur jaisey manushya hai waisey devta hain aur devta bhi manushya k kiye yagya k havan se tript hotey hain tou jo manushya kam budhdhi waaley hotey hain wo mere avinashi roop ko nahi jaantey aur kewal devtaao tak seemit rahkar un abhisht devtaao k lok tak hi ja paatey hain aur punah sansaar mei bharmatey hain par jo bhi sri bhagvan k avinashi tatva ko jaantey hain aur sampooran bhakti poojan kisi ko bhi sri bhagvan k roop mei hi arpit kartey hain unhey sri bhagvan ka avinashi lok praapt hota hai...SRI BHAGVAN NEY ANEKO PARITAYAKT STRIYO KO APNI SHARAN DI AUR UNKO SWEEKAAR KAR APNI PATNI KA DARJAA DIYA AUR STRI KO SHRESHTH AUR SAMAANNIYA BATAYA AUR STRIYO K LIYE BHI SRI BHAGVAN NEY KAHA K JO STRIYAN UNHEY BHAJTI HAIN PREMI ROOP MEI YA KISI BHI ROOP MEI WO ASHOBHNIYA NAHI HAI KYOKI SRI BHAGVAN TOU JAL MEI RANG,SUGANDH K SAMAAN HAIN AUR JO BHI US JAL KO GRAHAN KARTA HAI SUGANDHIT AUR SHEETAL HO JATA HAI AUR MEERA BAAII ISKA UDAAHRAN HAIN....sri bhagvan agochar hain...alakh hain...agam hain ..isliye unko koi nahi jaan patapar jo gyani yogi bhakt hain wo hi unko praapt kar paatey hain...jeev k netro par maya ka bhram ka parda honey k kaaran gyan nahi udit hota aur jeev bhramit bahtakta rah jata hai...vedo mei chetan purush roop mei sri bhagvan ka hi ullekh hai k aadhyaa dwara ye sansaar yu hi rachta rahta hai aur job hi leela ho chuki hain wo pahley bhi kaii kalp mei huii hain aur aaney waaley aneko kalpo mei hoti rahengi kyoki ye sansaar yogmaya se bhramit hai aur ye yogmaya sri bhagvan jo sadaiv rahney waaley aanand roop hain aur niranjan hain...unmey hi vaas karti hain..bhram mei parhey jeev nit harsh aur shok mei doobtey aur utartey rahtey hain aur unko gyan ho nahi pata kyoki indriyo ko bhagney ko hi param satya jaankar wo sansaar mei hi lipt rah jaatey hain...wo sri bhagvan ko praapt nahi kar paatey aur sadaiv chalney waali in leelaao ko nahi samajh paatey...aur jo bhakt sri bhagvan k param satya ko jaankar sansaar mei mukt hotey huey rahtey hain wo shareer se nahi judey rahtey aursri bhagvan k avinashi roop ko praapt kartey hain aur sampooran sthholta unki chhoot jaati hai aur wo avinashi roop ho jaatey hain jaisy meera baaii ji mukt ho gaii....
.....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi mehrotra...

No comments:

Post a Comment