Friday 28 March 2014

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[82]

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[82]
--[82]—Sri bhagvan jeev ki rachna ko samjhaatey hain aur ek ultey vriksh ki tarah bataatey hain...jaisey shishu roop mei jeev maa k udar mei ulta rahta hai usi prakaar jeev ultey virksh ki tarah hai...jaisey vriksh ki jadein jami hoti hain dharti mei usi prakaar jeev roopi ultey vriksh ki jadein sri bhagvan roopi dharti se judi hain aur jis prakaar koi vriksh sookh bhi jaaye par zara si varsha mei uski sabsey gahri jad se komal pattey jeewan k roop mei nikal hi aatey hain usi tarah jeev k agyanta k kaaran samool nasht ho jaaney k baavajood antar se punah jeewan ka ankuran hota hai...isiliye sri bhagvan se judey honey k kaaran ye avinashi hai...jaisey ek mool bargad ki aneko latakti jado se ¬aneko vriksh uttpann hotey rahtey hain aur mool vriksh ki hi tarah viksit bhi hotey jaatey hain aur kuchh samay baad us bargad k vriksho k beech koi nahi jaan paata k mool vriksh kahan hai jabki wo mool vriksh apni jagah waisa hi pallavit khada hota hai..aatmaa ajar aura mar hai...wo aneko roop mei yugo tak prakat hotey huey bhi apney mool roop mei sada rahti hai...yahi wo avinashi tatva hai...ved is ultey vriksh k pattey hain jissey is vriksh k aas paas judey huey sansaari rishtey naatey aur anya jeev apni sharan dekhtey hain ...jaisey gyani jeev apney patto roopi ved gyan se sabhi taap,indriyo k swabhaav aur upyog ko bhali bhaanti jaanta hai aur fir bhi apney duniyaavi sadasyo ko inhi patto mei aashray bhi deta hai aur isi tarah sabhi sadasya vriksh roop jeev se liptey rahtey hain...parantu fir bhi is vriksh ko samajhney ka koi prayaas nahi karta..keval is vriksh ki upyogita ya anupyogita ko jaantey hain aur apney swarth se judey hain...sato gun ,rajo gun,tamo gun aurr daihik daivik bhautik taap se huey karm is jeev ki sookh kar girti hui lakadiyaan hain jinsey uspar aashrit sadasya apna sansaari trishnaao ki poorti bhojan pakaatey hain aur such paatey jo keval bhautik sukh hi hai...jabki ye jeev roopi ulta vriksh sri bhagvan ki ICHCHHA roopi dhoop havaa aur paani se hi poshit hota hai aur avinashi hi kahlata hai jabki jo pattey,lakdiyaan gir rahey hain wo sansaarikta hi hai bass aur keval sadasyo ko aapsi karm karney ka maadhyam hain aur is sansaar ki sthoolta ka yahin khatm hona hai...teen taap aur teen gun is jeev roopi vriksh ki wo daraar ya sarandh hain jinmey keet roopi vaasna,trishna chip kar baith jaati hai aur maya k sharer ko bhramit karti hai...is maya roopi sansaari bhautik tatvo ko aashray deney waaley vriksh roopi jeev ko vairaagya aur sanyaas k antar k bhaav k shastr se kaataa ja sakta hai..jahan jahan teen taap aur teen guno ki daraar hain wahan wahan se isey kaatna hoga aur fir saarey chhipey huey vaasna trishna k keet urh jaaeingey aur fir jaisey jaisey gyan k paato se aashrit bhautik sadasya hatengey is vriksh ka shor bhi shant hota jaayega aur gyan k patto k andar se bhi prakaash aaney lagega...
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

No comments:

Post a Comment