Tuesday 25 March 2014

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[80]


ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[80]
--[80]—SRI BHAGVAN gyan ko grahan kartey hain aur gyan ka ghar hain..unsey bada koi gyan wan ,budhdhiman nahi hai...sri bhagvan wo dhaaran karta hain aur ghar hain jo aadi anaadi anant hain....jis prakar sooraj udit hotey hi sampooran vishva ko prakaash se bhar deta hai aur raatri usi sooraj k kisi aur disha aur sthan ko prakaashit karney ka prateek hai aur raatri k chaand ko bhi apratyaksh roop se sooraj hi prakaash deta hai...usi prakaar sri bhagvan bhi pooran oorja ka srot hain aur kahin pratyaksh aur kahin apratyaksh roop se oorja,gyan,prakaash detey rahtey hain aur is baat ko hum srishti ki chhoti si prakriya se samajh saktey hain...jaisey jeev mata pita k sansarg se uttpann hota hai aur mata k udar mei poshit hota hai aur srishti mei niyat samay par janam leta hai aur fir paalit poshit hota hai aur nirantar viksit hota hua fir samaapt bhi ho jata hai aur fir se wahi chakr shuru hota hai...usi prakaar sri bhagvan hi samst uttpattiyo aur vikaas aur vinaas ko swayam k bheetar se karte jaatey hain...sri bhagvan maya aur jeev k is sansaar k samast sansaar ko dekhtey hain aur fir bhi drishya nahi hain..isliye jeev ko samast srishti k vistaar ko sri bhagvaan k hi vistaar k roop mei dekhna hoga kyoki isi chhotey se vistaar ki prakriya k maadhyam se sri bhagvan k vistrit anant vistaar ko samjha ja sakta hai aur isi prakaar jeev ko sri bhagvan ko samajhney mei saralta bhi hogi...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

No comments:

Post a Comment