Tuesday 25 March 2014

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[81]

ARJUN AUR DHARMYUDHDH...[CONT]---[81]
---[81]---Sri bhagvan kahtey hain k jo bhakti mei mujhse ekakar sthapit kar letey hain wo bhakt na tou sansaar ki rachna se uttpann hotey hain na martey hain...yahan is baat ko bada gahraaii se samajhna hoga...jab sri bhagvan se hi sampoorn brhmaand uttpann hai tou fir bhakt kaisey sansaar se uttpann nahi hongey???arthaat... jo jeev sansaar k lokik bandhano se bandhey hotey hain unki sabhi trishnaaein sansaar se bandhi rati hain aur unhi trishnaao k mrityu k samay tak poori na honey se ya unmey hi ruche honey se wo jeev utna oopar uthkar sri bhagvan tak jaa hi nahi paatey aur sansaar k inhi bhautik tatvo se wo fir se sharer dhaaran kar letey hain aur baar baar inhi bhaytik kaarno mei ulajh ulajh kar inhi k kaaran inhi se jud kar janam letey rahtey hain aur unhi k bhogo mei martey rahtey hain aur dheerey dheerey manushya joon se nechey utar kar pashu aur fir keet ki joon tak mei jaatey rahtey hain..jabki bhakt sri bhagvan mei chitt rakhtey huey unhi mei ruche honey k kaaran sri bhagvan mei hi mil jaatey hain aur sansaar ki parlay se achhootey rahtey hain...sri bhagvan ka vistaar anant hai aur beej deney waaley bhi sri bhagvan hain tou jo beej sri bhagvan se utpann hai wo bhakti karta hua ek uttam chandan k vriksh ki tarah ho jata hai jo sansaar ki Vishay vaasna k sarpo k lipatney k baavajood apni sheetalta aur uttam gun nahi chhorhta jabki uska aatam swaroop bhi sansaar ki Vishay vaasna,maya,rajo,tamo,sato guno se ,dahik daivik bhautik taap k sarp se bandha hua hai par iskey baavajood bhi wo uttam jeev apni bhakti nahi tyaagta aur in sarpo ko bhi apni sheetaltaa se shaant hi karta jata hai aur fir sri bhagvan ko praapt hota hai...sato gun se sri bhagvan ki bhakti karta hai,rajo gun se saansaarik kaamnaao k badley mei sri bhagvan se milney ki kaamnaa karta hai..aur deh ko sansaar k karm mei lagata bhi hai par aatam tatva se sri bhagvan ko sabhi karm samarpit karta jata hai....tamo gun se andhkar uttpann hota hai jahan jeev ko bhoolney ka gun prabhaavit karta hai tou us taamsik gun k dwara sansaar k bhautik tatvo ko ,Vishay vaasna ko bhoolna hai aur jab bhay uttpann ho tab sri bhagvan ka gahraaii se aur uchch swar mei bhi sumiran karna hai aur jab ye teeno gun,teeno taap milkar bhakti ki dhaar ban jaatey hain tabhi bhakt ek uttam bhakt banta hai aur sri bhagvan ko praapt karta hai...ye vichar rakhna hai k jo kuchh bhi hai isey nakaarna nahi hai aur ismey lipt bhi nahi hona hai aur sansaar ki lipsa se alag hokar inmey sri bhagvan ki praapti k saadhan khoj kar unhi ko sri bhagvan se milney ka prayaas karna hai aur ye samajhna hai k sri bhagvan in sabhi taap aur guno se parey hain tou bhakt bhi dheerey dheerey insey paar ho jaayega aur sri bhagvaan mei mil jaayega...
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

No comments:

Post a Comment