Saturday 5 April 2014

BEECH MEI HUM---[3]

BEECH MEI HUM---[3]
------------------------------
Hum jo saamney dikhtey hain wo andar se nahi hotey ya hum humesha waisey hi humesha nahi rahtey...aaina bhi saamney rakhtey hain tou bhi wahi dekhtey hain jo hum dekhna chaahtey hain...aisa maanaa gaya hai k jo jeev behad krodhi swabhaav k hotey hain wo andar se kamzor hotey hain..sahi baat hai....ahankaari jeevswayam ko itna shreshth samajhney lagta hai k apni asliyat aur maryada bhi bhool jata hai jaisey kahaavat bhi hai k cheentey k parr nikaltey hain tou marta hai....bass usi tarah billi bhi aainey mei khud ko sher samajh kar dekhegi tou sher tou ho nahi jaayegi..hakeekat mei jeev sadaiv beech mei yaatra karna chaahta hai k bass surakshit samjh kar wo is tarah ki yaatraa karta hai...khud ka chehra ganda hota hai par aainaa saaf karta hai...ab chhotey se abodh shishu ko hi dekhiye...aaainey k saamney jaakar hanstaa hai aur apni hi soorat ko kisi anya shishu ki aakriti jaan kar usey kaka kaka kahta rahta hai aur khailta hai jabki wo tou usi ka aks hai...par jab tak bodh na ho ya is baat ka gyan na ho tab tak ye kshamya hai par jab beech mei ahankaar aa jaaye tou mann trishanku ban kar khada ho jata hai apna alag swarg nirmaan karvaaney k liye aur ahankaar roopi vishvaamitr apni saari vidhya ko ,tapasya ko laga deta hai mann ka swarg banaaney mei aur fir hot wahi hai jo satya hai...beech se ahankaar jab hat jata hai tou mann beech mei uljh hua ulta latka hota hai...na billi ka chola rahta hai na sher ka...ek aahatt jeev hota hai jo na sansaar ka rahta hai na paarbrahm ka...antar se drishti saaf honi hai k beech k pardey giraatey jaaein aur sahi spasht vastu sthiti saamney ho...beech mei jo aaina hai uspar ahankaar ki gard hataakar sahi aakaar dekhna hai...chaahey wo kitna bhi nirbal ho...par ek mool tatva paarbrahm kaa maankar chalna hoga...mushkil hai par sahi hai...
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

2 comments:

  1. Bikul sahi kaha tumne....hume ye grd...jo darp ki hai...wahi to hataani nahi aati...kai baaar mann karta bhi hai..k ise hataa den...par ahankaar aade aa jaata hai....aur jo baat hume rok deti hai...wo hai.."...AGAR MAINA AISA KAHA YA KIYA...TO WO KYA KAHEGA....MERA MAJAAK UDEGA..."....
    kahne ko to logon ne 5000 saal baad....Shri Krishna ko bhi nahi chhoda...aaj bhi wo RANCHHOD kahlaate hain...kai log to aaj bhi bhram me.....unke RASIYA roop ka bahaana le k apne karmo ko sahi saabit karna chahte hain....par kya usse Krishna k astitva..aur bhavyata par asar pada...NAHI....
    Shri Krishna ne wahi kiya...jo nyaysangat tha....
    hum Krishna nahi ban sakte..par koshish to kar sakte hain...

    Jai Shri Krishna...Radhaswami

    ReplyDelete
    Replies
    1. VERY NICE...Manoj Mehrotra ...pranaam ji...GOD BLESS U ALL JI...TC...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI....:)

      Delete