Saturday 5 April 2014

BEECH MEI HUM---[2]

BEECH MEI HUM---[2]
----------------------------------
Paarbrahm , vinaasmaan shareer aur avinaashi tatva ye teen mool tatva hain aur avinaashi tatva jo aatma roop hai beech ka tatva hai aur paarbrahm se vilag hokar shareer se judahai aur yahi tatva shareer se juda hokar paarbrahm se milta hai...Jor ka jhtka dheerey se lagey ya chhota sa jhtka jor se lagey...baat jhatka lagney ki hai...kabhi kisi nanhey se bachchey ko dhyan se dekhein jab wo badi tanmayta se apni chhoti si khiloney ki car k chhotey se pahiye ko gahraai se dekh raha hai k wo gol ghoomta kaisey hai???aur aap achaanak usey chaunka dein....bachchaa itni jor se chaunkta hai k uski aankh fat si jaati hain aur khilona hath se chhoot jata hai....bachchey k ek dunia usi wakt khatm ho gaii...aur wo aapki dunia mei aa gaya...isi prakaar jab kisi ki yaaddaasht chali jaaye tou doctors shock treatment detey hain k yaad vaapas aa jaaye...paagalpan ek unmaad hai aur paagal vyakti ko uskey unmaad ki dunia se baahar nikaalney k liye shock treatment diya jata hai..isi prakaar jeev bhi apney maanas aur mann se rachi hui srishti mei itna kho jata hai k apna mool astitva hi vismrit kar deta hai aur ye ek unmaad hi tou hai k isi srishti ko satya maankar usi k khail mei itna kho jata hai k ye bhi bhool jata hai k jo shwaas lagaataar chal rahi hai wo jab tak chal rahi hai tabhi tak ka khail hai aur achaanak ek din swayam ko apney hi shareer k saamney alag khada hua paataa hai aur jhatka lagta hai aur sweekaar karna hi mushkil ho jata hai...jahan tak apno k sath chhorhney ki baat hai tou koi sath hai hi kahan???jab tak aap prem detey rahogey prem chalta rahega warna ya tou samjhauta hoga ya samarpan hoga ya fir algaav hoga...fir wahi jhatka lagega..isi prakaar jab dhyan bhajan sumiran karein tou shant ekaant mei karein kyoki jab surat oopar ko khichti hai aur shareer se oopar antar se uthti hai tou khichaav hota hai aur us samay dheerey dheerey surat shabd kii dhar k sath charhti hai...koi bhi saansaarik jhatka us khichti surat ko ek jhatkey mei neechey laati hai jo k dheerey dheerey jis gati se oopar ko jaaye usi gati se neechey aaye par jab aisa na ho aur koi bhi vyavadhan achaanak jhatka dey tou maansil santulan bhi bigad jata hai isliye jeev ko satguru ki kripa aur nirdesh mei ye karna chaahiye aur dheerey dheerey prayaas karna chaahiye usi prakaar ekdum se sansaar ko anisht,ashudhdh,vikaari ya bura maankar tyaag nahi karna hai apitu apney mann aur budhdhi ko itna soch vichaar mei niyantrit rakhtey jana hai k koi bhi jhtka patka na dey aur sri bhagvan mei anuraag prema bhakti rakhtey huey dheerey dheerey swayam ko sansaar se alag karein...sansaar mei rahtey huey hi alag karein...sabsey prem karein ye jaankar k ye bhi chhotega...jo kal nahi tha merey sath wo kal bhi nahi hoga merey sath....
..KABIR DAS JI NEY KAHA HAI...
SUKHIYA SAB SANSAAR HAI , KHAAVEY AUR SOVEY |
DUKHIYA DAS KABIR HAI , JAAGEY AUR ROVEY ||
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

1 comment:

  1. bahot saho baat kahi ji aapney...Manoj mehrotra ji...prabhu se bada budhdhimaan koi nahi...sampooran srishti rach di aur sabhi ko ek doosrey k oopar nirbhar kar k swayam alag hi rahey aur sabhi char achar rachnaaein ek doosrey k sath karm mei lipt ho gaii...sri bhagvan sabse judey hokar bhi alag rahey...sansaar ki bhautikta ki sthoolta itni adhik hoti hai k surat oopar ko khinch nahi paati...jaisey prithvi ka gurutvaakarshan oopar ko charhney mei takleef paida karta hai theek waisey hi saansaarikta ki sthoolta surat ko neechey ki oar kheenchti hai aur surat ka mool tatva aanand aur sumiran bhakti usey oopar apney mool sthaan ki oar kheenchti hai tou sansaari sthoolta oopar ki oar khinchaav mei baadhak hota hai par satguru ki kripa aur bhakti sumiran se dheerey dheerey ye bhi sambhav hota jata hai...thank u so much ji for suc a beautiful comment ji..GOD BLESS...TC....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...

    ReplyDelete