Wednesday 15 August 2012

YUG KA BAHAAV


v  nadi ki dhar k sath bahnaa saral hai aur vipreet dishaa mei tairna...naav chalaana behad sakht mehnat aur lagan ka kaam hai aur beech bhanvar mei hokar fir nikal jaanaa satguru ki kripa hi hai ji....SRI KRISHNA hum sabke andar hain ...SRI RADHA humaari aatmaa hi hai...SRI KRISHNA JAB PRAKAT HUEY TAB KALIYUG KA PRAARAMBH HONEY WALAA THA...AUR SRI KRISHNA K SAAREY CHARIT SIRF HUMAAREY LIYE SANDESH H
AIN JI...maakhan churaanaa swayam parmaaatmaa ne sikhayaa...kyuki kaliyug mei jeev itnaa shushk ho jaaney wala tha k us par har kali mali aasaani se jam saktaa tha aur makhkhan ki tarah swachch nirmal shwet aur chikni pravritti nahi rahni thi...jis prakaar makhkhan chikna hota hai aur balishthta deta hai oorjaa detaa hai aur apney oopar se gandey paani ko bhi fisal jaaney deta hai aur keetaanu jamney nahi deta usi prakaar jeev tou kaliyug mei rah nahi jaayega tou jeev ko srishti se aur aas paas k jeewan mei jahaan bhi ye gun dharm deekhey churaanaa hoga...striyo ki laaj usi k gaaon waaley bechengey ye dikhaya SRI KRISHNA ne...tou striyo ko kisi k bhi samaksh ughad kar nahi aanaa chaahiye kaliyug mei kyuki us kaal mei tou stri ki laaj fir bhi rah jaati thi par kaliyug mei stri ko openly snaan ya khulepan se yaani vastrheentaa se parhez karna hoga.....draupdai ki laaj lutney waali thi ye bhi SRI KRISHNA pahley se jaantey they kyuki unhoney jab shishupal ki gardan chakra se kaati tou ungli se rakt baha aur draupdi ne apney aanchal ka vastr faad kar SRI KRISHNA k patti baandhi aur param priya mitr honey k naatey hi SRI KRISHNA NE YE LEELA RACHI AUR DRAUPDI SE VADA KIYA K WAKT AANEY PAR IS PATTI K EK EK RESHAM KA HISAAB CHUKAA DENGEY AUR VASTR HARAN K SAMY US EK EK RESHAM K TAAR KA EK EK THAAN BANAA DIYA AUR LAAJ BACHAA LI EK STRI KI...PARAM MITR KI....WAHIN DOOSRI OAR GAANDHAARI NE APNEY VYABHICHAARI KAURAV PUTRO KI GALTIYO KO JAANTEY HUEY BHI SRI KRISHNA KO SHRAAP DIYA K HEY KRISHNA TUM CHAAHTEY TOU YDHDH NA HOTA AUR MEI PUTR VINEEN NA HOTI AUR MERE KUL KA NAASH NA HOTA par SRI KRISHNA ye jaantey thhey k unhoney kitni mehnat ki thi karn aur duryodhan ko samjhaaney k liye k yudhdh na ho par unka vinaash unhey swayam bulaa rahaa tha aur SRI KRISHNA ne ek behad dukhi niraash mataa gaandhaari ka diya huaa kul vinaash ka shraap chupchaap grahan kar liya aur apney antardhyaan honey se poorv apni leelaa samet gaye...pooraa kul samet diya...yadu vansh k yuva behad vyabhichaari ho chukey thhey aur kaliyug ka prabhaav ho chukaa tha....
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
 BY---Chhavi Mehrotra

No comments:

Post a Comment