v har tatwa jo srishti se judaa hai wo guru tatwa hai kyoki guru
bhi shishy ki srishti karta hai...jaise janam se poorv beeej ko bachchaa maa ne
banaya pita ne poshan kiya aur us komal paudhey ko guru ne seenchaa aur ek
vriksh banaa aur guru ka guru ko samarpit..yaani srishti ka srishti ko
samarpit...ye srishti hi guru roop hai.. .srishti stri roopa hai…stri ki
sundartaa mei nahi fasnaa chaahiye waali baat zaraa ajeeb lagti hai kyoki stri
ki sundartaa tou devi ka vardaan hai aur devi ka roop hai par uski taraf
aakrisht honey mei koi buraaii nahi hai par stri ki sundarta mei apni drishti
ko taamsik karna stri ki us sundartaa ka apmaan hai aur purush ki raakshsi
pravritti ka parichaayak hai kyoki jitney bhi asur devi dwaaraa maarey gaye wo
sirf isi avgun k dwaaraa hi maarey gaye...varnit hai k haathi ko jab pakadnaa
hota hai tou gaddey k oopar has par hathini ko baandhaa jaataa hai aur hathini
ki oar aakrisht haath gaddey mei gir jaataa hai…praacheen kaal mei ye reet
apnaaii jaati thi jiska udaahran sanyaasiyo stri se doori rakhney k liye diya
jata raha hai….haathi ka hathini k kaaran garhrhey mei girney ka matlab hai
apni hi vaasnaao ki taraf itna aakrisht hona aur gart mei gir jaanaa...makdi ka
apna jaalaa bun kar usi mei mar jaanaa niyati hai uski usi tarah hum bhi apney
hi vishay vaasnaa k jaal khud buntey hain aur khud unmei fans k mar jaatey
hain....hiran ki tarah stri ka geet sunkar vinisht hona nahi baliki devi
saptshati k anusaar jab paarvti k shareer se sri ambika ji prakat hui devtaao
ki praartha k baad tou wo apna mahal rach kar veena ki madhur lahriyaan
bajaaney lagi jis sey raakshas chand mund un par mohit ho gaye aur raakshraaj
shumbh nishumbh ko us sundri ko paaney k liye kahney savshresheth vastu aur
samridhdhi haasil kar li thi aur ye devi striyo mei shreshth thi tou har sarvshreshth
vastu raakshaso ko milni chaahiye thi aur fir devi ambika k hatho ye sabhi
raakshas maarey gaye...tou baat ye hai k jab maanav stri k saundarya ya saneet
ya gun mei bhi vyasan dekhta hai aur us devi k roop ko kewal vyasan ki drishti
se dekh aasakt hota hai tou fir uska vinaash nishchit hai...mera kahney ka
matlab hai k har stri ya srishti ya saundraya na tou bura hai na vinaash ka
kaaran hai balki humaari apni raakshasi pravrittiyaan hi humaaarey vinaash ka
pramukh kaaran hain.
…RADHASWAMIJI…JAI SRI KRISHNA JI…
…Chhavi Mehrotra
No comments:
Post a Comment