Friday 7 June 2013

KAALAANTAR MEI DIKHAAVAA AUR BHAKTI

Jab satyug tha tab pooran satya tha aur kahin koi dikhava na tha par tab bhi raja harshchandr ko apni patni shaivyaa aur putr k sath maharshi vishvaamitr ko badi kadi apney satya ki pareeksha deni parhi ti k unkey bhaav shudhdh hhain ....par jab sab satya hai jahan wahan kaisi pareekshaa...par hakkekat ye hai k satyug mei bhi kuchh pratishat dikhava ttha...tab din lambey hotey thhey par andhkaar ka niyam bhi tha...fir tretaa yug aur dwaapar aur aaj kaliyug hai....dikhaavaa aur sansaariktaa barhti gaii...par aisa nahi k ussey dharm khatam ho gaya...SRI KRISHNA ne kaha tha k jab kali kaal hoga ishwar chauraahey par hoga aur bhakti naam ki stri poori jawaani par hogi par bhakti k do [ 2 ] putr gyan aur vairaagyaa bhari jawaani mei vridhdh hongey aur yahi drishtigat hai...hum khoob naachtey hain mandiro mei...khoob jhoom jhoom k gaatey hain...khoob boltey hain gyaaniyo ki bhaanti par hakeekat mei hum apney chor ko lobh moh ahankaar irshya krodh kaam k 7 darvaazo k beetar chhipaa detey hain...aur humaari jawaan bhakti khoob naachti gaati hai aur humaaarey gyaan aur vairaagyaa itney rogi ho chukey hain k mrityushaaiyyaa par parhey hain kyuki hum doosro ko chhota dikhaatey hain aur apney sath apney parivaarvaad aur mitrvaad ko itna swaarthi roop se bhunaatey hain k ishwar bhi ye sochney par majboor ho jaaye k mainey tou is jeev ko rachaa tha aur aaj ye jeev mujhey srishti k naye niyam sikhaa aha hai...hum sab apney ahankaar mei maharshi vishvaamitr ki tarah apney sato rajo tamo gun aur daihik daivik bhautik taap se trast trishanku k liye naya swarg rrachney mei lagey rahtey hain...humaarey roop badal jaatey hain humaari zaroorat k anusaar aur yahi humey samajhna hai k hum hakkekat meii satya se dartey hain aur ye sweekaar hi nnahi karnaa chaahtey k hum kisi se kuchh seekh saktey hain...aaj sab uru bannaa chaahtey hain...shishya koi hona hi nahi chaahtaa...sabko shreshth gaddi chaahiye koi neechey baithna h nahi chaahta...jabki satya yahi hai k oopar baithney wala hi girta hai jo satguru k charno mei baithtaa hai wo kabhi nahi girta ya yu kahein k usey girney ka bhay nahi rahta....aaj vriksh aabhi bhi nirvikaar bhaav se fal phool detey hain par hum vriksh hi kaat letey hain...humey rojana k fal phool se koi matlab nahi rahta hum tou pooraa chaahtey hain abhi aur bass abhi...khud poora nahi hotey aur adhoorey hi rah kar adhoorey hi mr jaatey hain...jab kisi sadhu ka putr marta hai tou sant bhaav k chaltey wo kahta hai k jiski ansh thi usmey mil gaii par maa ye baat nahi kahti...kyuki wo uskey liye uski ansh hai...jab niranjan aur aadhdhyaa ney ye srishti rachi dayal desh se neechey utar kar tou niranjan srishti se alag ho gaye par maa adhdhyaa ney brhma vishnu mahesh ji ko niyukt kiya aur srishti kmaya tatva ko chalaati rahin...santon ney bataya hai kai brahmaand hain...har brhmaand k apney brhma vishnu mahesh hain....yahi sansaar hai...kabhi ghat k roop mei kewal kalash rakh kar usey hi iswar roop mei poojaa jata tha par dheerey dheerey humaari wakt paristhti parivesh gyan samajh soch budhdhi aur dekhney samajhney ki kshamta ney anek ishwar rachey aur humaarey vichaar samjh budhdhi soch in roopo mei rang bharta gayaa aur hum dunia dekhney lagey apni soch aur samajh se...sab apney apney koney se dunia dekh rahey hain...bass wahi baat hai ji k sooraj kabhi na tou aadhaa hai na doobtaa hai wo tou poora hai par hum usey apney apney sthaan se kabhi poora kabhi aadhaa kabhi doobaa huaa dekhtey hain aur samajhtey hain aur maantey hain...aur usi k anuroop jaagtey sotey khaatey rahtey hain...bass yahi sab hum apney mandir ya dev sthaan par apni bhakti k sath kartey hain...yathaarth mei kisi ko bhi us ishwar ka roop ya bhakti ka tareekaa nahi maalum...kisi ney kaha krishna arjun sa hai tou waisa hai aur kisi ney nahi maanaa...baat hai sameekaran ki...bass ek mool baat hai k humey dikhaavey se bachnaa chaahiye...sadko chauraaho par bhakti ko na failaaein tou koi mukti ki raah mushkil nahi hogi...sthirta se ghar mei yaani apney antar mei jab tak dhyaan mei shaant chitt nahi baitheingey tarangey vidwailit karti rahengi aur yu hi asthirta mei umr kat jaayegi...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI..
--- Chhavi Mehrotra
 

No comments:

Post a Comment