Monday 17 September 2012

WAKT KA SANGYAN

badi gahiri baat hai ye...pahli baat hai k daurhna bekaar hai aur doosri baat hai k sahi samay par nikalna hai....is sansaar mei hum khoob daurhtey hain...itna daurhtey hain k jaisey sab kuchh abhi pakad lengey aur ye daurh waisi hi hoti hai jaisi registaan mei door chamakti rait ko paani samajhkar hiran daurhtaa jaata hai us chamak ki oar aur pyasa hi mar jata hai bilkul waisey hi hum daurhtey hain ek doosrey se spardhaa kartey huey....ek doosrey ko apni daurh dikhaatey huey aur yu hi mar jaatey hain wahin k wahin usi gherey mei usi pyas se...pyaasey....asli baat hai wakt par nikalna....saanp choohey ko maar kar khaakar usi k bil mei rahta hai aur usey nikaalney k liye us baanbi mei hath nahi dala jata balki paani bharaa jata hai ...jaisey baarish ka paani bhar jaaye tou saanp baahar aa hi jata hai...usi tarah laakh koshish kar lo jab srishti ka tay samay hota hai tabhi srishti hoti hai aur jab sato k prakat honey ka sahi samay unhey dikhta hai wo khud ko prakat kartey hain...waise sant satguru sadaa apney bhakto k ang sang sugandh aur pushp ki tarah rahtey hain par prakat swayam ko shareer se tabhi kartey hain jab sahi wakt hota hai....hazaaro varsho tak sadhu santo ne daityo raakshso ka atyaachaar sahaa auritney sadhu marey k unki asthiyo ka ek parvat hi ban gayaa tha aur jab traita yug mei SRI RSM vanvaas gaye aur sita haran k baad sita ko talaashtey huey us sthan par pahuchey tou vyathit ho gaye aur drirh nishchay kiya k daityo ka sarvnash kar dengey....tou jab RAAVAN un atyaachaaro ka netratva karney k liye khada hua tou sadhu santo ki raksha k liye bhi prabhu netratva karney k liye prakat huey...tou sahi wakt par nikalney se yojnabadhdh tareekey se kaam hota hai...anyatha sara parishram vyarth hota hai...isi tarah varsho tak mahabharat yudhdh ki prishthbhoomo banti rahi par jab sabhi paatro ko ek jagah sankalit kar liya gaya tab SRI KRISHNA prakat huey aur nirnay hua...yahi kaal aur srishti ka niyam hai aur yahi niyam humey paalit karna hai.....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI.....Chhavi Mehrotra

No comments:

Post a Comment