Monday 17 September 2012

KYA ISHWAR DAND DETA HAI???


Ishwar humey sajaa nahi detey aur wo kyu dey...jo sab bhaav,..gun se itnaa poorn hai k nirgun ho gayaa wo kya rusht hoga aur kya sajaa dega....jo swaym aanand ka prem ka saundarya ka khajaanaa hai..anant khaan hai wo kya rusht hoga aur sajaa dega...hum janam letey hain aur kuchh bhi smriti nahi hoti...jo paal rahey hain unhey hi mata pita aur apney sagey sambandhi maan letey hain kyuki jab hosh aayaa tou unhoney yhi sijhaya...tab koi ishwar dimaag mei ya mann mei aakar nahi kahta k mai naaraaz ho jaaungaa agar tumney doodh nahi piya...mata pita kahtey hain k agar galat kiya tou galat hoga...aag ka bhi nahi maalum hota...maa kahti hai k jal jaaogey par jab khud garam press ya maachis ki tili jalti hui pakdi tou jal gaye aur dar gay k aag tou jalaati hai...tab ye nahi kahaa k ishwar ne jalaa diya kyuki maalum h nahi hai k ishwar kya hai...ye bhaav hai nirgun honey ka jo hum khotey jaatey hain samaaj mei ek doosrey k sath milney k baad aur fir ahankaar ko apney andar jamaaney k baad...jab taareefein milni shuru hoti hain ya kisi k tokney k baad k tum galat ho doosraa ahi hai ya tum asafal ho doosraa safal hai ur irshya ko jamaa liya antar mei..aur dwaish paalney lagey...kisi se kuchh bhi bola kaisey bhi aur fir kisi doosrey ne bola aur dheerey dheerey returns aaney lagey aur bass shuru ho gaya us anjaan shakti yaani prabhu k sang ladaaii ka daur k tumney sajaa di aur ye bhulaa diya k mera kiya hi laut kar aa rahaa hai....mann mei prem ho par dwaish na ho par ab jaisey duryodan ne bada dwaishpoorn vyavahaar kiya bachpan se hi paandavo k sath par sochney ki baat ye hai k kya duryodhan maa k garbh se ye seekh kar aayaa tha???nahi...uskey pita dhritraashtr k andhepan se upji mahtwaakaanshaa ne dhritraashtr k putr ko vinaash k maarg par chalaayaa...agar gaandhaari pati k andhepan se vichlit hokar aankh par patti na baandh leti aur putr ka sahi maargdarshan karti tou shaayad duryodhan is maarg par na chalta...kamzor pati ki kamzori nahi balki uskaa bal ban jaati aur apney bhaaii shakuni ko uski maryaadaa mei rakhti tou shaayad ye sthiti na hoti...humaari poorvajo ki shikshaa humaarey karmo aur maansiktaa ko janam deti hai tou humey aaney waali peerhi ko sahi disha deni hai...karm humaarey hi humaarey aagey aatey hain...jaisey kuein mei gaii humaari aawaaz hum tak waapas aati hai...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

No comments:

Post a Comment