Monday 17 September 2012

NISHKAAM BHAAV

karm sundar bhaav se bharaa hona chaahiye par jab aaj sundar bhaav se bharaa hai tou fir uski koi prashansaa bhi karega aur fir aur adhik sundar bhaav se karm karney ki prerna milegi fir aur adhik prashansaa bhi milegi aur fir dheerey dheerey kab sundar bhaav se karm karney ka bhaav peechhey chhup jata hai aur prashansaa sun leney ki pyaas barh jaati hai maalum hi nahi chalta aur is prakaar vyakti karm gati mei kab gir jataa hai swaarth ahankaar mei khud nahi jaan paataa...tou sahi yahi hai k binaa kisi achchhey burey prem ghrina...binaa kisi bhaav k karm hona zyaadaa uchit hota hai...
---Chhavi Mehrotra
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...

No comments:

Post a Comment