Monday 17 September 2012

BHAY AUR ISHWAR MEI SHRADHDHA

Aksar jeev ye sochtey hain k param satta humey sajaa degi agar humney koi gunaah kiya tou...par gunaah kya hai????aur param satta kon hai jo sajaa degi??kyu jeev bhaybheet hota hai????kisi ka bhi dil dukhaana sabsey badaa gunaah hai...aur jo dukh kisi ko bhi humaarey kaaran ho tou wahi dukh humey bhi hoga jab waisi hi kriya koi doosra vyakti ya jeev humaarey sath karega ..yahi bhaav prem ka hai...bhaybheet hokar ishwar pooja ya bhakti ya prem nahi kiya ja sakta kyuki bhay tou ashradhdhaa se janam leta hai aur ashradhdha kewal usi jeev mei hogi jo bhaybheet hoga aur uskey prati ashrdhdha hogi jissey dand ya kasht milney ka andesha ho...aur jab ishwar ko bin dekhey samjhey jeev bhaybheet ho tou ye ashradhdha ishwar k prati nahi swayam apney prati hai kyuki kahin peechhey chhupi hui anubhooti hai k koi kaam tou galat kiya hai aur hum gunahgaar hain par sweekaar karney ki aadat nahi hai k hum gunahgaar hain kyuki ahankaar badaa hai humaaraa.....bhay ishwar se nahi...jeev ko bhay apney dukh aur pareshaani k aaney se lagtaa hai aur jab tak bhay k sath ishwar sumiran hota hai wo prem nahi hota kyoki usmey shradhdhaa nahi hoti keval swaarth hota hai aur wo bhakti kbhi bhi samaapt ho sakti hai...parantu prem se uttpann bhakti shradhdha prem aur samarpan se shuru hoti hai aur ye swaarth se heen hoti hai aur yahi atal hoti hai ...meera k prem ki tarah....RADHASWAMIJI..JAI SRI KRISHNA JI...Chhavi Mehrotra

No comments:

Post a Comment