Monday 12 August 2013

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[45,46,47]

 
ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---45,46,47
---45,46,47—SRI BHAGVAAN kahtey hain k sri charno mei prema bhakti bhi jeev ko uskey karmaanusaar hi milti hai...jaisa tulsidas ji ney RAMCHARIT MAANAS mei kaha hai k ...’
’JAAKI RAHI BHAAVNA JAISI...PRABHU MOORAT DEKHI TIN TAISI...’’
..matlab yahi k jiska jaisa hriday ka ...vichaar bhaav rahta hai wo jeev prabhu k charitro mei bhi waisa hi roop dekhta hai aur sochta hai aur varnit karta hai...bass waisey hi sri bhagvaan bhi swayam ko jeev ka aaiina kahtey hain aur kahtey hain k mai bhi jeev ki bhakti k anusaar hi ho jata hu aur us jeev ko uskey bhaav k anuroop hi praapt bhi ho jata hu...sri bhagvaan kahtey hain k merey bhakto ney na jaaney kitney janam jamaantar mei meri bhakti ki hai aur mera sumiran kartey huey aanand letey rahey hain aur unhi bhakto ney meri bhakti aur prema bhakti bhi praapt kiya hai..unka chitt shudhdh hai aur antahkaran bhi shudhdh hai par pratyek jeev ko meri prema bhakti nahi milti kyoki jis jeev ney mujhmey chitt lagaya hi nahi usey mera pratibimb bhi kaisey dikhega???sri bhagvaan har trishna...vaasna se parey hain isliye wo atal hain...achintya aur shaashwat hain par jeev unhi ki ansh hai aur unhi mei samataa hai...is baat ko hum is tarah se samajh saktey hain k jaisey ganga aviral bah rahi hai aur bangaal ki khaadi k saagar mei nishchit milti ja rahi hi par jab jeev nishchit mrityu k vichaar se bhara hua apni mrityu k baad usi ganga mei mil kar us saagar tak ja milta hai wo bhakti ka parinaam hai par jo jeev ganga k kinaarey apna ghar banaa kar rahtey hain aur kabhi bhi ganga k vaig mei achaanak bah jaaney ki bhi chinta nahi kartey aur apni trishnaao ki neend mei bass jeevit rahtey huey chaltey jaatey hain aur ek din achaanak ganga ki baarh mei bah jaatey hain wo prema bhakti mei sri bhagvaan ko shukriya nahi kah paatey balki iskey ulat rotey hain aur sri bhagvaan ko apney dukho ka kaaran jaantey hain aur dosh detey hain...sri bhagvaan jeev mei uski soch...bhaav k anuroop hi hain aur usi roop mei praapya hain...devtaao ki aaraadhna jeev trishnaao ki poorti k liye kartey hain aur devtaao dwara ichchhaa poorti bhi hoti hai par ye bhi nishchit hai k sri bhagvaan ki ansh unhi mei milegi isliye devtaa bhi vidhi ka vidhan nahi badal saktey aur isiliye apney apney karmo ka bhog apni soch aur vichaar bhaav k anusaar bhogtey huey jeev atript hi rahtey huey mar jaatey hain aur sri bhagvaan ki prema bhakti se bhi alag ho jaatey hain..inhi vichaar bhaav k anuroop hi sri bhagvaan se braahman , kshatriya , vaishya , aur shoodr uttpann huey aur ye dhyan deney waali baat hai k ye sab jaatiyaan bhaav se hain kyoki jiska jaisa bhaav aur soch hogi jeev waisa hi karm bhi karta hai tou fir waisa hi roop apney bheetar sri bhagvaan ka bhi praapt karega aur usi k anuroop prema bhakti ya sansaar ko praapt karega...
---RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...

---Chhavi Mehrotra

No comments:

Post a Comment