Thursday 22 August 2013

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[ 52 ]

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---[52 ]
---------------------------------------------------------
[ 52 ]---Kamal ka pushp budhdhi aur gyan ka prateek hai..jitna vishal kamal aur jitney dal ka kamal utna gyan ka vistaar…gyan prakat honey par jo apney hi sansaar yaani shareer aur indriyo ki vaasna se mukt ho kar sanyaas le ley wo hi yogi hota hai…jis prakaar kamal apni lambi..patli parantu nalika k samaan naal se paani aur keechad ka poshan letey huey bhi virakt bhaav se saundarya ki poornta rakhta hai usi prakaar jeev ko bhi apni budhdhi se paar brahm tak ki nalika ko khokhla yaani rikt rakhna hai jissey sansaar k keechad mei ramey huey ishwariya prakriti k tatva jo bhakti ras se bharey ho aur gyan ka jal se pooran ho….jeev roopi kamal ko vishaalta, aadhyaatm , sanyaas aur yog tak pahucha sakein aur sanyaas usi prakaar saakaar hoga jaisey kamal ko wahi jal aur keechad dooshit hi nahi kar paataa jismey wo poshit ho raha hai aur poshan bhi usi se le raha hai…jaisey ..JAL MEI KUMBH AUR KUMBH MEI JAL HAI…BAAHAR BHEETAR PAANI…kamal ki keechad us vyakti ko zaroor ganda kar deti hai jo kamal ko todney jata hai aur wahi kamal us paani aur keechad se alag hotey hi kumhala jata hai aur jeevit nahi rah pata…usi prakaar yogi bhakt ko jo bhi uskey mool se alag karney ka prayaas karta hai ya sanyaas aur yog se  todney ka prayaas karta hai wo avashya us keechad mei rangega aura lag se ganda bhi dikhega lekin us kamal k poshak tatvo se kuchh samay k liye sushobhit bhi hoga…jeev ko bhi kamal k samaan karm karna chaahiye aur virakt ,sanyaas bhaav mei pallavit hona chaahiye..tabhi gyan saakaar hoga aur brahm aur jeev ka adwait hoga aur har karm k kisi bhi prakaar k bhaav se mukt hona hi yog dwara paar brahm se jodega…
...RADHASWAMIJI..JAI SRI KRISHNA JI...
--- Chhavi Mehrotra

No comments:

Post a Comment