Friday 16 August 2013

ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT...]---[48,49,50]

ARJUN AUR DHARMYUDHDH....[CONT..].[48,49,50]...
.....48,49,50---SRI BHAGVAN arjun ko karm ka gyan de rahey hain...aur ye karm wo hain jo har pal lamha har saans k sath kisi na kisi roop mei lagaataar ho rahey hain..karm aur karm ki gati ko jaan lena har jeev k vash mei nahi hota hai aur jo is bhaid ko jaan ko leta hai wo mukt ho jata hai...shastro mei jo brahm gyan se varnit karmo k anusar karm karta hai wo jeev sahi maayney mei sharer aur aatma se karm karta hai...jeev janam se hi jo karm kar raha hai sharer aur indriyo k dwara wok arm hi hain aur yahi sanvchit karm hotey jaatey hain jo is vartmaan janam mei judtey huey karm hotey jaatey hain...jo mann aur vicharo dwara ya prakriti dwara swayam hi sampaadit hotey rahtey hain unhey vikarm kahtey hain kyoki in karmo ko jeev apney bhaav dwara shudhdh karney ki cheshta bhi karta hai par sansaar se nahi chhoot pata..aur jo karm jeev apney aalasya k kaaran nahi karta ya zaroori aur naitik honey k baavjood nahi karta wo akarm ho jaatey hain...in sabhi karmo ko jo jeev tol mol kar naitikta aur dharm k sath shaastro k anusaar sampaadit karta hai wo jeev budhdhimaan...sanyami aur satyakarmi kahlaataa hai.. SRI BHAGVAAN kahtey hain k sabhi karm hotey jaatey hain aur pravrittiyo k anusaar honey hi hain par jo jeev poorantayaa sri bhagvaan ko samarpit ho jata hai aur kisey brahm ka gyan ho jata hai aur jo jeev pooran brahm ki pooran gati ko samajh leta hai wo karm se virakt hota jata hai aur usey karm se koi bhi trishna ki poorti nahi karni hoti aur uskey sabhi karm swatah shwaas k dwara hari sumiran ka sath sammilit hotey jatey hain..us jeev ko vaasna ichchhaao aur krodh aadi se swatah mukti hoti jaati hai kyoki usey kisi se koi spardha hoti nahi hai..wo pooran gyani aur tyaagi ho jata hai...aisa gyani tyagi jeev brahm ki ichchhaa jaankar har vastusthiti mei prasann rahta hai aur har paristhiti ko brahm ka prasaad maankar sheet,taap,harsh ,shok,nafaa ,nuksaan sab aanand roop mei graham karta jata hai aur santusht rahta hai..wo jeev mukt rahta hai...nirvikaar rahta hai...nirbandhan rahta hai.... ..karm yagya roop hai aur aur jab ye samast sansaar brahm roop hai tou hark arm yagya brahm roop hai…yagya karta…yagya ka bhaag leney wala…yagya ko praapt karney wala,arpan karney wala,leney wala,sab brahm roop hi hai..budhdhi k brahm roop se karm hota hai…apna abhisht praapt karney k liye devtaao k liye kiya jaaney wala yagya,brahmaagni se brahm vritti aur brahm agni se prajwalit indriyo mei shabd,,..bhaav ..trishnaa aur bhookh ki aahuti bhi brahm roop hai…is sansaar mei sharer..mann aatmaa aur chetan ki kshudhaa poorti k liye job hi karmo ka hom ho raha hai sab brahm roop hai bass itna fark hai k kab kahan kis jeev ney kis tarah se brahm k swaroop ko sweekaaraa hai aur cheshta ki hai…dhan…sharer…trishna…bhojan..priyajan aadi aneko prakaar ki aahutiyaan deta hai jeev…sharer ko kasht dekar yagya karta hai jeev…mann ko baandhney ki cheshta karta hai jeev par mukt hona itna saral nahi hai…jeev kahin na kahin apney hi vishayo mei ulajhta jata hai…pran,apaan,vyan,udaan k dwara karm yagya mei aahuti apney hi karmo kid eta hai jeev..pranayaam se swayam ko niyantrit rakhtey hain jeev…jeev asankhya prakaar se shareer,mann,indriyo aur aatma ko niyantrit kartey huey aatam bal ko barhaatey huey karm karta jata hai parantu jo jeev niyamaanusaar karm kartey hain aur jaisa karm yagya kartey hain aur usi k anuroop prasaad yaani aanand praapt kartey huey santusht rahtey hain wo dheerey dheerey sanaatam brahm ko praapt hotey hain..is ko jaantey huey apney karmo ko shreshth se adhik shreshth kartey jana chaahiye aur brahm ko jaantey huey shreshth karm karney chahiye…sri bhagvaan kahtey hain k koi bhi daan kitna bhi bahumoolya kyo na ho par yadi wo daan pooran brahm gyan se prerit hokar nahi kiya gaya hai…yaani us daan zara sa bhi aasakti ka bhaav hai ya swaarth ka ya anya koi bhi nimn bhaav nihit hai tou wo daan bhi kabhi bhi dharmpooran parinaam nahi dega…wo daan deney waaley ko aur leney waaley ko dono ko hi uchit parinaam ya fal nahi dega…jaisey kisi bhi ashudhdh ya adharmi ya nimn aacharan karney waaley se liya gaya ann ya dhan kabhi bhi dhyan .bhajan,sumiran mei sahayak nahi hoga… sri bhagvan kahtey hain k jo jeev ashradhdha,agyan aur shankit drishti k kaaran pooran samarpan nahi karta aur sahi karm nahi karta hai wo na tou is sansaar ka such ley pata hai aur na hi parlok mei aanand le pata hai…jis prakaar dahleez par khada vyakti aagey nahi barhta bhay aur shankit drishti k kaaran aur wo vyakti na tou agley darvaajey k baahar ka naya ujala dekh pata hai aur na hi peechhey laut pata hai peechhey k andhkaar k kaaran…usi prakaar jo jeev pooran gyan praapt nahi karta aur pooran samarpan ishwar k prati nahi karta wo kahin ka nahi rahta aur beech mei trishanku ki bhaanti latka rah jata hai…gyan ki agni mei sabhi bhram,trishna,kshudha,shankaaein,jal jaati hain aur jeev indriyo ko niyantrit kar antar mei aanand mei rahta hai….aisa jeev karm ko bhi brahm roop jaanta hai aur sampooran sansaar ko apney aur brahm k ek hi swaroop mei jaanta hai uski sabhi shankaaein mit jaati hain aur wok arm yog mei brahm ko brahm se hi jodta hai aur is sansaar k kurushetra mei yudhdh karta hai aur dharm ka sath deta hai…
----RADHASWAMIJI…JAI SRI KRISHNA JI…
---Chhavi mehrotra

No comments:

Post a Comment