....ARJUN AUR DHARMYUDHDH---[CONT]---41,42,43,44
..41,42,43,44---SRI BHAGVAN arjun ko samjhaatey hain k jo gyan arjun
ko sri bhagvaan de rahey hain wo swayam pooran brahm roop sri bhagvaan ney
sooraj ko diya aur sooraj ney wahi gyan apney putr manu ko diya aur manu
kalpaant mei srishti k samaapt honey k baad srishti mei maanav ka punarjanam
chalaatey hain aur gyan bhi wahi detey hain tou manu ney wahi gyan ashtavakr ko
diya aur is gyan ko raja janak ney graham kiya aur aatmsaat kiya aur ashtaavakr
jaisey mahaan kaaljay baal vidwaan maharshi ko sammaan diya aur us brahm gyan k
sath rajya kiya aur deh k sath videh hokar indriyo ko vash mei kar k param pad
ko praapt bhi kiya aur raajarshi huey...kahney ka matlab yahi hai k indriyo aur
mann par itna niyantran ho k na tou kuchh bhi aisi abhilasha ho k us abhilasha
k liye trishna k bhanvar mei fans jaaye aur jab tak wo abhilasha poori na ho
baichaain rahey aur kuchh bhi praapt karney k baad khushi mei sab bhool jaaye ya
kuchh bhi khoney k baad itna dukhi ho jaaye j vikshipt ki bhaanti ho
jaaye...sri bhagvaan se arjun ney itna prem kiya j sri bhagvaan uskey prem k
vashibhoot hokar usey ye param brahm ka gyan de rahey hain..ye gyan srishti k
nirmaan se bhi bahot pahley se hai aur nitya hai sri bhagvaan k sath ...sri
bhagvaan kahtey hain k wo nitya hain par arjun k sath aneko baar sharer dhaaran
kar chukey hain aur yah bhi sahi hai k sri bhagvaan deh k dharm se alag hain
aur pooran brahm honey k kaaran trikaal darshi hain aur aneko baar srishti ka
srijan kar chukey hain aur uskey sath hi dharm ki sthaapna k liye sharer bhi
dhaaran kartey rahey hain par deh k niyamo mei nahi bandhey honey k baavajood
bhi prabhu deh k dharm ka paalan bhi kartey hain aur sabsey mukt hotey huey bhi
prem k maadhyam se har jeev se bandhey bhi hain....prabhu janam mrityu k niyam
se parey hain par srishti k niyam ka paalan bhi kartey huey dikhtey hain jaisey
sooraj rojana uday hota aur ast hota huaa dikhta tou hai par hakeekat mei wahin
vidhyamaan rahta hai kewal sansaari jeevo ki drishti se ojhal ho jata hai aur
punah dikh jata hai par koi anya us sooraj ka sthan nahi le pata...sooraj tou
sooraj hi rahta hai....jaisey sooraj apni rashmiyo ko apney antar mei hi samet
k rakhta hai aur unhi ko baahar faaila kar sansaar ko prakaashit karta hai
waisey hi sri bhagvaan apney hi antar mei apni maya ko samet kar rakhtey hain
aur apni maya se sab sansaar ki rachna kartey hain ...jeev nirmit kartey hain
aur sab apney hi antar mei samet letey hain.....sri bhagvaan sansaar mei adharm
ka naash kar k dharm ki sthaapna k liye janam letey hain...sri bhagvaan k
nishchit kar aur dharm k liye hi prakat hotey hain aur nishchit kaal mei dharm
ki sthaapna kar sab leela apney bheetar samet letey hain..sansaari jeev apney
karm k anusaar aur moh k anusar trishnaao k adheen hokar janam letey hain aur
dukhi sukhi hotey hain par prabhu issey mukt hain...sri prabhu swayam anant
aseemit jyoti swaroop hain aur jis prakaar har lok ka apna sooraj hai jo wahan
jeewan ka parichaayak hai usi prakaar sabhi loko k anant sooraj mila kar
sahastra sooraj k samaan ek anant aalokik prakaash aur oorja ka dadipymaan
mandal sri prabhu hain jo asankhya loko aur srishtiyo k srishti karta aur
paalankarta aur sanhaar karta hain aur apney hi prakaash punj se inhi aneko
loko ko prakat bhi kartey hain aur apney antar mei hi vileen kar letey
hain...aneko kaal mei aneko roop mei prakat hokar sri bhagvaan ney raakshaso ka
vadh kiya aur apney bhakto ki raksha kar k dharm ki sthapna ki...kabhi matsya avatar
lekar sansaar ki punar rachna mei saparshiyo ki sahaayta ki...koormaavtaar
lekar saagar manthan karvaayaa...varaah avatar lekar hiranyaaksh se dharti ko
chhudaya aur dharti k maan ki raksha ki...narsingh avatar lekar hiranyakashyap
ka vadh kar prahlaad ki raksha ki...dhruv ko alag lok pradaan kiya aur har avatar
mei sansaar mei dharm ki sthaapna ki...asambhav ko sambhav kiya....sri prabhu k
prati pooran shradhdha aur vishvaas rakh kar jo dharm k maarg par chalta hai
aur such dukh trishna aur lobh laalach ahankaar k bhaav se door rahta hai wo
sri bhagvaan ka bhakt aur avinaashi pad ko praapt hota hai....
---RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra
No comments:
Post a Comment