Friday 8 March 2013

ISHWAR KA AAGAMAN


kisi bhi yug mei ya wakt mei jab bhi parm brahm ney avtaar liya tou usi roop mei liya jiski wahaan adhiktaa thi ya kami thi aur ya fir usi durgun k bheetar pravesh karney k liye usi durgun se jurhaa huaa roop gun dhaaran kiya...tretaa yug mei jo bhi kaam kiye aur kaaran dikhaaye wo aaney waaley yug ki jhalak dikhaatey they...tretaa yug mei sri ram maryada purushottam baney aur kaikayi dwara van bheye gaye..dhobi dwara sidhdh karwaya k seets ko tyaag dein kyuki raavan haran k baad wo tyaajya hai...yahi karm dwaapar yug mei barh kar huey...kunti ney mantra shakti ko jaanney k liye karn ko avaidjh roop se janm diya aur tyaaag diya...apni hi sagi bahan ko kans ney kash diya..sri krishna ka yashoda k ghar paaalan hua...draupadi ka apney hi parivaarijano dwara vastr haran...apney hi pati dwara jua khel k patni ko daanv par lagan aur haarnaa...Ek baar sri krishna paandavo k vanvaas k wakt unse milney gaye aur baith gaye ...draupadi ney kaha k sakha aap zara si der so lijiye...sri krishna ji ney kaha...sakhi ...mai so hi tou nahi sakta...mujh par vishwaas kar k sab so rahey hain...tou mai kaisey so sakta hu???
...ek baar mahabhaarat k yudhdh mei paandavo k baar baar pratigyaa leney par sri krishna ne kaha...mai aap logo ki pratigyaa leney ki aadat se bahot pareshan hu,...aap pratigyaa tou ley letey hain par mujhey bahot kuchh badalna parhtaa hai...
...ye baatein bahot gahri hain..aksar sri krishna ka naam lekar bahot kuchh sansaar mei jeev apni ichchhaanusaar karm kartey hain par sri krishna ka karm karney ka arth koi samajhna hi nahi chaahta aur usey bhi apney anuroop apni suvidha k anuroop mod letey hain aur kah detey hain k krishna ney bhi tou kiya tha....apno ko maarnaa hai tou iska matlab hai k apney hi bheetar basney waaley sabsey priya buri yojna banaaney waaley mann k duryodhan ko maarkar suyodhan banana hai aur apney bheetar chhupey bura kapti shaasan karney waaley vichaaro k duhshaasan ko maarka sushaasan banana hai...har wakt gambheer pratigyaa kar k apney hi aatmaa k aur shareer k hastinaapur ko kamzor maan k satyavati jaisi maataa k hath saunp deney se achchhaa hai k aisi koi pratgyaa na ki jaaye jismey apna aatm chetna bal nasht ho jaaye....
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI..
---Chhavi Mehrotra

No comments:

Post a Comment