Wednesday 20 March 2013

RANGO KA SAMAAVESH


Har rang ka jeev k mann aur shareer se bahot gahraa sambandh hota hai...kisi bhi mazhab mei chaahey kisi bhi rang ki pradhaanta rahti ho par har mazhab mei har rang ka pooraa asar dikhaaii bhi deta hai....
...naarangi rang..laal aur peeley jaisey primary colors se milkar prakat hota hai tou is tarah se in dono rango ka asar bhi apney andar samaahit kar k chalta hai...laal rang oorja ka prateek hai aur rakt ka shareer mei upasthit hona jeewan aur jeewan ka hona shakti aur oorjaa ko sidhdh karta hai...shakti poojaa mei laal rang ka hona iskey gun ko sidhdh karta hai...rakt ka laal rang oxygen ki upasthti se hota hai aur oxygen jeewan ko darshaati hai..shakti pooja mei anaar...ka bhog...rakt k lauh tatva ko sidhdh karta hai...laal gudhal k pushp se shakti poojan fir lauh tatva ko pratipaadit karta hai aur ye garmi aur oaj ka prateek sidhdh hai...doosri oar peela rang prem aanand aur gyan ka prateek hai...sri vishnu aur unkey avtaaro ko peetaambar dhaaran karvaaney ka yah pramukh kaaran hai...aur ye sri vishnu k har avtaar mei dikhaaii bhi deta hai...ab laal aur peeley rang k dwara mila orange rang ya kahein bhagvaa rang gyaan oorjaa shakti prem aanand ka prateek hai aur gyaan ka uday bhaaratvarsh se hi mana gaya hai aur usha kaal mei udit hota soorya sadaiv gyan k uday ka prateek maanaa gaya hai jo naveen din k uday ko sath laataa hai aur fir se andhkaar k baad naveen gyan k uday ki sambhaavnaa jagaataa hai...
MAHATMA BUDHDH ne sadaiv ahinsa aur prem par zor diya aur peelaa rang unkey in sandesho ko sampaadit karta hai....
safed ran sab rango ka apney bheetar samaavesh dikhata hai...safed rang kahin hota hi nahi prakriti mei...isiliye safed rang sabhi rango ko khud mei samet kar adwait ka bhaav dikhaata hai jo paavanta...saadgi aur guno ki itni poornta k nirgun ho jaaye is bhaav ka pradarshan karta hai...isiliye kisi bhi mazhab mei jab bhi teerath kiya jata hai tou safed kapda pahna jata hai aur jab gun ko pee kar pachaa kar nirgun ho gaya tou wo shaanti saadgi aur paavanta ki charam sthiti mei hota hai...yahi safed rang yudhdh ki samaapti par...ya shanti karney k liye ya shanti doot k roop mei safed kabootar uda kar ya safed dhwaj lahraa kar ...prayukt kiya jata hai...
neela rang purity ka soochak hai....space se dekhney par dharti neeli dikhti hai...dharti se saaf aakaash neela dikhta hai...saagar ka paani neela dikhta hai...down to earth...puritu..clearity..ka bhaav neela rang dikhata hai aur ash blue colour sri vishnu...sri ram...sri krishna...sri mahadev k shareer ka isi guno ko dikhaatey huey pradarshit hota hai...ishwariya bhaav hai saaf suthra....nishpaapi...deep...paardarshi..daya...karunamay...vish ko pee kar usko shareer aur hriday se dimaag k beech mei galey mei rok leney ki kshamta rakhney waaley shivatva k gun ko ..bhavv ko pradarshit karta hai neela rang...ek baat aur hai...gahra neela rang iraan se bhaarat mei aayaa aur aaryan sanskriti bhi iraan se aaii ...aisa itihaas kahta hai...iraan..istambul aur us taraf k shilp mei...chitrkaari mei gahraa neela rang bahutaayat mei aur pramukhta se dekhney ko milta hai...sikh mat mei is gahrey neeley k sath kesariya rang dekhney ko milta hai jo paavanta..paardarshita...saaf suthra...down to earth...gahraaii..purity of spirit...k bhaav k sath gyan veerta prem oaj ka prateek bhi hai....
hara rang peeley aur neeley ko milaaney se prakat hota hai tou in dono rango k gun ismey rahtey hain...hara rang hriday ki haritima..khush haali..samridhdhi....ukarsh..prem...daya...paavanta...paardarshita ka prateek hai...haritima usi hriday mei ubhregi jis dil mei us khuda k liye prem hoga...paardarshita ka gun hoga...aur jitna paavan...gyani...dhyani...premi..jeev hoga wahi aanand ki samridhdhi hogi aur hara rang progressiveness...movement ko dikhata hai tou jahan ye hoga wahan aanand ki samridhdhi hogi...
...kala rang har rang ko sokh leta hai apney andar...jo apney bheetar har oorja ko sokh ley wo power  aur sophistication ko dikhata hai...ye durbhaagya aur agyaan ko bhi dikhata hai..jahan santo aur mahatmaao ko thukraya gaya ho aur sadiyo tak dilo mei un mahaatmaao k dukh jhelney ka dard samaya ho wahan kala rang un agyaaniyo k agyaan ko hi dikhata hai jin agyaaniyo ney santo mahatmaao ko dukh diya aur unsey dharti ko viheen kar diya...kala rang agyan k andhkaar ko dikhata hai..shok dukh dard ko dikhata hai...choohey ka andheri naali...andherey bilo mei rahney ya ghoomney se us jeev ka agyaan roop mei aur taamsik roop mei hona sidhdh karta hai aur choohaa bahot taamsik jeev hai...asankhya choohey ek choohey se uttpann ho jaatey hain...kheto ko...gharo k aanaj ko nuksaan pahuchaatey hain aur isi baat ko sidhdh karney k liye gyaan budhdhi aur vighna harney waaley vishaal deh waaley bhagvaan ganesh ji ko choohey par savaar ho kar choohey ko niyantrit kartey huey dikhaya gaya hai...jab koi sitara bahot umrdaraaz ho jata hai aur mrity ko praapt hota hai tou wo blackhole ban jata hai aur us black hole ka gurutvaakarshan itna zabarjast hota hai k wo apney se karodo meel door grah ko bhi nigal jata hai...jab soorya ki agni khatm hoti jaati hai tab wo black hole ban jata hai aur andhkaar mei doobaa grah ho jata hai...ek baat aur hai...is black hole mei samaaii hui koi bhi vastu roop badal deti hai...wo apney mool roop mei nahi rahti lekin uskey tatva nahi badaltey...ye sab vigyan kahta hai.....sidhdh hota hai k kaalaa rang sab kuchh sokh leta hai...isikiye garmi mei kala rang pahanney se doctors manaa kartey hain kyuki unkey anusaar kala rang sooraj se garmi sokh leta hai aur shareer k andar bhi usi garmi ko pahuchata hai....kaala apney vishesh guno se bahot ahmiyat rakhta hai...
...har rang jeevan mei....dharmik...saamajik aur vyaktitva mei ahmiyat rakhta hai apni apni jagah...kyuki har rang ka apna ek alag gun aur mahatva hai jo kahin bhi kisi se kam ya zyada nahi hai....
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

No comments:

Post a Comment