Tuesday 12 March 2013

PRATIUPKAAR KA ADHIKAR


Sadiyo pahley magadh raajya ki rajdhani mei bheeshan aandhi toofaan aaya..usi dauraan kahin se ek gidhdh udta hua aayaa aur paani se bachney k liye ek deewaar k paas baney chabootrey par baith gaya...uskey sath uskey 4 saathi bhi wahin aa gaye...gidhdh sardi se kaanp rahey thhey..unki yah dasha dekh nagar seth ney unhey surakshit sthan par pahuchaya..gidhdho ney parvat par laut kar vichar kiya...'' nagar seth ney hum par upkaar kiya hai aur ab humey bhi unkey upkaar ka badla chukana chahiye...''lrkin wo soch mei parh gaye k pratiupkaar kaisey karein...unmey se ek gidhdh ney sujhaav diya..'' ab humey koi bhi keemti vastu miley usey hum utha kar seth ji k aangan mei gira dein..''
...ab gidhdh kahin se sookhey kapdey...aabhooshan aur keemti vastuein utha kar laatey aur seth ji k aangan mei gira detey..nagar seth ko jab is baat ka pataa chala tou wo un sabhi vastuo ko ek alag kamrey mei rakh detey thhey...raja ko jab maalum huaa k gidhdh chori kar rahey hain tou raja ney prayaas kar k sainiko dwara unmey se ek gidhdh ko pakadvaa liya..
raja ne us gidhdh se poochhaa...'' tum logo k vastra aabhooshan chura kar le jaatey ho???''
gidhdh ne uttar diya..'' nagar seth ney humaari praan raksha ki thi aur hum uski k upkaar ka badla chuka rahey hain...''
raja ney is baarey mei nagar seth se poochhtaachh ki..nagar seth ney chori k saamaan ka apney paas hona bataya aur kaha k wo sara saamaan alag kamrey mei rakhaa hai jissey jo jiska hai wo vyakti apna samaan le jaaye...fir nagar set ney kaha...k upkaar chukana tou achchhaa hai par upkaar chukaaney ka tareeka bhi sahi hona chaahiye..upkaar k badley mei pratiupkaar ki bhaavnaa prashansniya tou hai par ismey bhi janhit ka vichar karna zaroori hai,..isi prakaar jab koi bhi vyakti humey prashansa dey tou uspar apnaa adhikaar jaankar ahankaar mei nahi aanaa chaahiye kyuki ye prashansaa bhi kshan maatr ki ho sakti hai ..prashansaa aaj jis vyakti se mil rahi hai yadi uskaa swabhaav komal daya poorn nahi hai tou wo prashansaa kisi bhi din kisi aur k paksh ki ho sakti hai aur jis vyakti ney prashansaa aaj prasann hokar di hai kal wahi vyakti apney ahankaar k pusht na honey par apni prashansaa k shabd vaapas maang sakta hai...isliye kisi ka bhi diya huaa anudaan ek alag kaksh mei samhaaltey jaaein ye jaankar ya maankar k aapkaa adhikaar kewal satkarm tak hi seemit tha uskey aagey k uphaar aapkey nahi janhit k liye honey chaahiye...aur satkarm kabhi uchit ya anuchit paatr dekhkar nahi kiya jaaye balki jab prashansaa milye ya pratiupkaar miley tou paatr avashya parakh lein kyuki pratiupkaar bhi jeev ki sahaj swabhaav k anuroop hi visheshta rakhney wala hota hai...bichchu dank maarega hi maarega...satkarm hisprah bhaav se ho par pratiupkaar leney ki chaah kabhi na ho...wo tou janhit ka vishay hai...
.....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

No comments:

Post a Comment