Friday 8 March 2013

KARM YAGYA DWARA AATMIK VRIDHDHI


VARDHMAAN hona hi vridhdhi ko praapt hona hai...aatmik vridhdhi....sansaar mei vridhdhi nirantar hoti rahti hai..baalyakaal mei vridhdhi bahot teevra hoti hai isiliye bachpan se shishu ko sahi uchit gyaan sanskaar vaani shabd ka prayog kaarmik gyaan ki shikshaa uchit roop mei deni hoti hai...yahi gyaan sarvpratham mata pita detey hain baalak ko tabhi wo pratham guru hotey hain...yahi yagya hai...karm yagya...shabdo se kiya jaaney wala yagya...vichaaro se kiya jaaney wala yagya...bhaav se honey wala yagya...shareer ki kriyaao dwara honey wala yagya...indriyo k yog se honey wala yagya..in sabhi saadhno k yog se honey wala yagya...inhi yagyo dwara honey waali aahuti dwara tript hotey dev...devta wo jo manushyata se shreshth ho aur manushya dwara kiye huey yagya ki aahuti se tript ho aur usi havishya par nirbhar ho...jaisa havishya manushya dega waisi taakat dev manushya k raksha k liye pradaan kar sakeingey...raakshas aur dev k beech ki mahatvapooran kadi hai manushya aur uska yagya....
yeshaam na vidhya, na tapo na daanam..
gyaanam na sheelam na guno na dharmah...

tey martyulokey bhuvih bhaarbhootaah..
manushya roopen mrigaashcharanti..
...yagya dwaara vridhdhi ko praapt ho,,..vridhdhi tabhi hogi jab karm hoga aur karm ichchhaa ya anichchhaa se jab bhi hoga usi bhaav k anuroop vridhdhi ...sookshmta ya sthoolta dega...aur usi k anuroop ichchhaaein bhi poori hongi...manushya ya raakshas ya asur sabhi yagya kartey rahey aur apney swabhaav k anuroop hi apney kshetro mei vridhdhi bhi kartey rahey...brahma ne ye kaha k yagya dwara vridhdhi karo aur ichchhaa poori karo...ab yahin oorja k shetr ka vistaar ...soch aur bhaav k anuroop karm ka vibhaajan swatah ho jata hai...kahin koi ishwar koi vibhaajan nahi kartey aur manushya asur dev daanav apney bhaav vichaar aur maanas k vikaas k hisaab se karm kartey hain aur apni sthoolta aur sookshmta ko vistaar detey jaatey hain...sant sabka ek samaan drishti se bhalaa aur uththaan sochtey aur kartey hain tou yahi unka yagya hota hai aur uska vistaar bhi saadhu bhaav mei hota jata hai...kahin koi vibhaajan ishwar ne nahi kiya..manushya se dev aur dev se sant ban jaana hai yagya kartey huey ya fir manushya se asur daanav hotey jana hai...jab srishti ki rachna hui tou manushya ko stuti praarthna karm din raat kisi ka bhi koi gyan nahi tha....fir gyan ki utpatti hui...yagya dev prakat huey aur ye sab vishnu roop se prakat huey aur manushya jo sansaar mei ghat roop mei poojan karta tha aur ghat ko sthaapit kar dev poojan karta tha usey yagya ka gyan huaa aur fir gyan hua k ye sansaar..ye shareer aur in sabsey judi har kriya bhaav aur gatividhiyaan ek yagya hi hai...kyuki praatah jab sooraj ki pahli kiran udit ho aur pakshiyo ka kalrav shuru ho aur manushya netra kholey aur usey aabhaas ho k fir naya ujala uskey jeewan mei oorja bhar raha hai aur ye jeewan ki ek naii subah hai aur ishwar ko is uphaar ko deney k liye pratham shwaas k sath kiya hua pratham namaskaar yagya ki pahli aahuti hoti hai...har shwaas aur prashwaas aur unsey judaa jeewan aur har vichaar aur vichaar se juda har kaarya soch gati vidhi ishwar ko samarpit aahuti roop hi hona chaahiye tabhi har shwaas prashwaas se mukti hoti jaati hai aur yahi yagya ka bhaav hai...jo ishwar ko aahuti de di wo punah waapas kaisey liya ja sakta hai...sirf ishwar kripa k roop mei wo waapas aataa hai manushya tak...yahi yagya hai..
YAGYA DWARA UPAARJIT ANN KO PAKANA HAI AUR FIR KHANA HAI AUR FIR PACHANA HAI...is sansaar ka ye niyam hai k karm karna hi hai...aur karm chaahey wo man vachan ya shareer kisi bhi tarah se ho hona tou hai hi aur wo hoga hi..bina vichar k man rahega hi nahi..tou yadi vichar se bhi jo upaarjan kiya wo bhi mann ko waisa hi poshan dega jaisa ya jis tarah se wo upaarjit hoga aur agar upaarjan kiye bina vichaar pakaa liya aur khaa liya aur fir pachaa liya tou wahaan paap yaani asuri daanvi raakshsi vichaaro ki srishti shuru ho jaaeigi aur mann mei apach hoga hi hoga...fir vachan dwara jo yagya hoga usmey bhi yahi niyam laagoo hai...yaani shabdo ko pahley upaarjit karna hai yagya se...shram se...aur ye shram vichaaro k shram k baad hi unkey anuroop hi hoga...aur swar k utaar charhaav vyanjano se milkar shabd k utaar charhaav ka srijan karengey aur wahi shabd srajit hongey aur wahi pakaana hai fir khana hai aur sabsey badi baad un shabdo ko humey hi pachana bhi hai..apach hoga tou wo bhi humaarey mann mastishk budhdhi soch shareer avastha paristhiti samaaj sabko sath hoga...yahi niyam fir shareer dwara kiye huey yagya liye hain...aur shareer ki kriyaaein poorey shareer ko paapi banaa dengi agar bina upaarjit kiye pakaaye bina khaaii jaaeingi...ye sab milkar aatmaa ko jo shareer mann mastishk se alag kewal bhajan sumiran mei baithi hai...us aatma ko bhi nimnta tak pahucha dengey aur aatm tatwa jo shudhdh paar brahm tatwa hai wo sookshmta se sthoolta ko praapt hota jaaeyga aur fir is sansaar ki aasuri sthoolta se mukt hona asambhav hai...isiliy prabhu samjhaatey hain k aasuri yagya nahi...brahm yagya dwara hi humey bhojan upaarjit bhi karna hai aur pakana bhi hai aur wahi dev ko samarpit kar k bhog swaroop swayam grahan karna hai...JAISA KHAAYE ANN...WAISA HOVEY MANN...JAISA PEEVEY PAANI..WAISEY BOLEY VAANI......manushya apney karm yagya dwaara jo bhi devo ko samarpit karega ussey dev santusht hongey aur vridhdhi ko praapt hongey...jaisey baalak ko ya baalika ko jo nirmal hain...prem swaroop hain ..unko hum maanav poshan dekar pusht kartey hain aur unkey prasanntaa aur santushti k bhaav se hum manushya prasanntaa aur aanand praapt kartey hain aur jab manushya un baalak baalikaa ko milney waaley poshan ka adhikaar chheen kar swaarth vash kewal apney vyasan..vaasnaa...laasaa aur aham bhaav ka poshan karta hai tou wo chori jaisey adham paap ka bhaagi hota hai...SRI VISHNU SAHASTRNAAM mei SRI BHAGWAAN kahtey hain k rey maanav tere saarey pitar mujhmey hi samaaatey hain aur mujhsey hi upajtey hain isliye tu sab kuchh jo bhi pitaro ko samarpit karta hai sab mujh tak hi aataa hai aur isiliye pitaro k rin se tu mukt hona chaahtaa hai par merey rin se kab aur kaisey mukt hoga???baat wahi hai k jo bhi baalak baalika sansaar mei janamtey hain sab humaarey apney hi pitar janamtey hain aur hum hi kahin humaarey poorvaj bhi ho jaatey hain kuchh janmo k baad...isi liye ek doosrey ko imaandaari se unkey adhikaaro ka poshan humey dena hai aur isi prakaar manushytaa se devatwa ki vridhdhi hoti hai aur jab dewatva ki vridhdhi hogi tou asur aur daanav tatva humaarey antar se samaapt hotey jaaeingey aur sant bhaav utpann honey lagega aur iskey liye sanvaatan zaroori hai shudhdhtaa ka..
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

No comments:

Post a Comment