Friday 8 March 2013

PREM AUR DHYAN


,,,,prem aur dhyaan...ek hi sath chaltey haininkey sath yog hota hai......yog tou har wakt hota hai...jab tan man praan se koi gobar se aangan leepta hai ...bhojan bantaa hai..khilaataa hai ya khaataa hai...aankh band kar kisi k prem mei doobtaa hai...wahin us dhyaan mei aur uski ekaagrataa mei wo ishwar roop upasthit ho jata hai aur wahin samarpan bhaav ho jata hai...ishwar ka roop matsya...varaah...ashwa...vaaman ..narsinh ya ram...krishna...seeta...radha...ya anya kisi bhi premi roop mei ho sakta hai...jiskey prati bhi prem se praan chitt tanmayta se dhyaan ekaagr ho jaaye wahi ishwar hai us wakt aur wahi prem hai...wahan bhi tanmaytaa mei prem hai aur mukt honey ka ahsaas hai aur wahin sanyaas ho jata hai aur bina prem k dhyaan hoga hi nahi...kyuki dhyaan wahi jaayega jahan aanand hoga aur agar angulimaal ka aanand kisi ko maarney mei hai tou uska sanyaas bhi wahin hai kyuki wo wahin par mukt ho raha hai aur uski isi ekaagrtaa k kaaran usey hi budhdh bhi miltey hain...iska ye matlab nahi hai k katl khoon karna dhyan hai....baat hai k jahan anand hai wahi dhyan hai kyuki wahin prem upaj raha hai aur fir wahin yog hoga aur wahin samarpan hoga aur wahin mukti ka bhaav hokar wahin sanyaas hoga...prem jahan bhi hoga wahan srishti zaroor hogi..hriday mei prem ka prasfutan hotey hi usi taraf dhyaan jaayega aue srishti ho jaaeygi swatah...chaahey ishwar ki nooraani oorja se oorjaa nikley aur ram seeta ban jaaein...satguru prakat ho jaaein...bhakti aanand ki srishti ho jaaye..aur shareer ki srishti ho gaii...premi shareer k sath prem mei dhyaan karein tou beej ki srishti ho gaii aur prakriti mei phool khil gaye...ya kisi bhi jeev ki srishti ho gaii...prem dhyaan sab ek sath chalta hai aur aanand uskaa vaahan hai...hum bhi chal rahey hain aur in shabdo ki srishti ho jaati hai...
....RADHASWAMIJI....JAI SRI KRISHNA JI........
.....Chhavi Mehrotra

No comments:

Post a Comment