Tuesday 12 March 2013

TRISHNA AUR DHAAIRYA


Ek brahman vaidarbh mantr ka gyata tha..is mantr ka jap karney se ratno ki baarish hoti thi...wo iss gupt vidhya ka upyog sawayam k swaaerh sidhdh k liye nahi karta tha apitu nirdhano ki sahaaytaa k liye karta tha...ek baar ek ladka uskey paas parhney aaya...ladkey k sadgun dekhkar brahman ney usey apney paas rakh liya...jab us ladkey ney brahman ka dil apni sewa aur kushaagr budhdhi se jeet liya tou brahman ney usey vaidarbh mantr sikhaya...kintu ye chetaavni bhi sath mei di k is mantr ka upyog kewal sahi upyukt sthan par hi karey..ek din brahman ko pados k gaanv mei jana tha...usney us shishy ko bhi sath mei liya..maarg mei kuchh daakuo ney dono ko pakad liya aur dhan ki maang ki....brahman k paas dhan tou tha nahi isliye un daakuo ney us ladkey ko apney paas bandhak banaa liya...aur brahman ko dhan le kar aaney k liye ghar bhej diya...sanyog se usi at dhan varsha nakshatr ka yog tha...braahman ney socha k yadi mera shishy aaj dhan deney k liye us mantr ka prayog karega tou dhan varsha hoti dekh daaku aur adhik ratno aur dhan k laalach mei merey us shishy ko aur adhik sataaeingey aur takleef dengey aur un daakuo ka agyaan k kaaran laalach barhtaa jaayega aur wo us shishy ko adhik dhan varsha k liye prataadit kartey rahengey aur wo ye nahi samajh sakengey k ye sirf nakshatr yog se hota hai...atah merey shishy ko ye mantr ka prayug nahi karna chaahiye...aur unhoney apney shishy ko samjhaya k mantr ka prayog kadaapi na karey varna uski musibat barh sakti hai...raat honey tak tou us ladkey ka dhaairya jawaab dey gaya...usney socha k ratno ki varsha se mai daakuo ko maalaamaal kar du tou wo mujhey avashya chhorh dengey aur ye soch kar usney ratniiio ki varsha kar di...daakuo ney laalach mei aur varshaa karney ko kaha par wo asambhav tha tou ladkey ney asamarthataa jataaii...kyuki mantr ka upyog ek hi baar ho sakta tha wo bhi nishchit nakshatr mei...asabhya agyaani ashikshit daakuo ney krodh mei us ladkey ko maar diya...
vastutah dhaairya khoney se aur gyan ka galat sthan par prayog karney se sankat ki sthiti ban jaati hai...isliye vipreet paristhit mei bhi dhaairya ka sath na chhodein...isi prakaar is sansaar mei bhi mann ka aur trishnaao ka daaku adhik se adhik ichchhaao ki poorti chaahta hai aur ek tripti k baad trishna fir jaagti hai aur ye antheen trishna agyaani ashikshit asabhya mann k daaku ko uksaati rahti hai aur adhik ki laasa k liye...aur ye mann ka daaku dhaairya khoney waaley ko...satguru ki aagyaa na samajhney waaley ko uski indriyo samet maar daalta hai aur patan k gart mei gira jeev fir ubar nahi paataa aur nasht ho jata hai....
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI..
---Chhavi Mehrotra

No comments:

Post a Comment