Friday 8 March 2013

KARMA YUKTI SE MUKTI


PAAR BRAHM SWAROOP parmaatman tatwa srijan karta hai aur na jaaney kitney brahmaand ka wo rachayitaa hai...koti koti soorya..chandr...vaayu mandal...aakaash ganga...na jaaney kitni srishtiyaan rachit hain aur chal rahi hain apni apni gati se aur apni dhuri par..sabka rachayita wo paar brahm parmaatman tata karta hotey huey bhi sabsey mukt hai aur kisi se nahi bandha parantu apni srajit srishti k kalyaan aur santulan k liye aneko roop dhar dhar k prakat hota hai aur apna nirdhaarit karm yaani santulan kar antardhyaan ho jata hai aur fir prakat hota hai...jaisey RAM ney maanav shareer dhara aur uskey peechhey kewal raavan nahi tha..SRI NAARAD ji ka SRI VISHNU ji ko diya hua shraap bhi tha aur sri naarad brahmaa k maanas putr huey aur mahaan sant bhi huey aur santo k vachan ka aashray lekar paarbrahm sri ran roop mei prakat huey kewal karm k liye aur vaanar ...reechh..aur anya us wakt k samaaj se tyakt jeevo ko apni sahaaytaa k liye itna balshaali dikhaya k jis samaaj ney unhey nikrasht maanaa usi samaaj ney unko poojna shuru kar doya aur dev swaroop banaa diya...sri ram ney apni hi patni seeta ka haran karwaa kar stri rakshaa k niymo ko samjhaa diya aur stri k steetwa ka mahatwa bhi sri seeta ji ney dikha diya..raavan jaisey maha vidwaani balwaan ko itnaa nimn star par gira kar dikha diya k budhdhi bhrasht kisi ki bhi ho sakti hai maha bhakt ki bhi aur maha vidwaan ki bhi...baali ko vriksho ki aarh se maar kar uska rini bhi khud ko banaa liya aur swayam SRI KRISHNA avtaar lekar baheliye k roop mei baali ko apni mrityu ka kaaran banaa kar us karm ko mukt bhi kiya...kyuki paarbrahm karm mei hai par karm se mukt hai aur unhey kisi ki na lipsa hai na moh...na kuchh bhi apraapya hai aur fir bhi kuchh nahi lena hai..ishwar yahi sidhhdh kartey hain k humey bhi shareer indriyo se karm karna hai par isi oopri tah k bheetar basi aatman tatwa ko is karm se mukt rakhna hai kyuki aatman tatwa kewal shabd sumiran dhun par chalta hai wo iswariya tatwa hai aur karm mei hotey huey bhi mukt hai...
...RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI...
---Chhavi Mehrotra

No comments:

Post a Comment