Monday 18 March 2013

ISHWAR KI SUGANDH


ISHWAR KO SAAKSHAAT MAANKAR JAANKAR GEETA KI KASAM HI KYU KHAATEY HAIN???KYA ZAROORAT HAI????RAMAAYAN...RAM CHARIT MAANAS...GEETA...SRIMAD BHAAGVAT...ISHWAR SWAROOP HAIN...KYA SACH SAABIT KAR PAATAA HAI INSAAN  ISHWAR KI SAUGANDH KHAA KAR YA LE KAR......Diwali sabsey bada tyohaar hai....tou issey ye kahi sidhdh nahi hota k ramayan ya ram charit maanas humara sabsey bada grantha hai...sab granth apni apni jahah bahot hi mahatwapoorn sthan rakhtey hain...diwali ka ram charit manas ya ramayan se sirf itna sambandh hai k ye granth sri ram chandr ji k jewan par aadhaarit ullekh hai aur diwali par sri ramchandr ji ka raajyabhishek hua tha...bhaarat mei sabhi tyohaar krishi aur fasal k kataaii aur bowaaii par nirdhaarit hain...har ritu mausam k aagaman par us wakt ki fasal ki bovaaii kataaii par harshollaas manaaney k liye ye parv nirdhaarit huey...holi par chana gehu jau ki baaliyan bhooni jaati hai aag mei aur khaaii jaati hain kyuki baisaakh par inki kataaii hoti hai aur holi se poorv inhey harey aur kachchey roop mei ya bhaarh mei bhoon kar khaatey hain aur sardi k baad garmi ka aagman hota hai...aag mei teji ka dhyotak hai ye parv...diwaali parv hai shishir k baad tez thand k aagaman ki soochna deney ka parv...raat chhoti aur adhik andhkaarmay honey ki soochna deta parv hai ye...sarso k taail k deepak jala kar aadhik prakaas aur garmi ki aavashyakta par zor deta hai ye parv ..... holi aur diwali dono par sri vishnu ka poojan hota hai...ye sansaar garbh k niyam par chalta hai...udar ki pramukhta hai...garbhodak shaaii vishnu roop mei shishu naabhi kamal se bhaavnaao se mata k sath judta hai aur bhojan leta hai...mata shishu ki ahaar poorti karti hai..sri vishnu bhi srishti k paalak ka roop hain aur bhartaa hain srishti k...har fasal ki bovaaii aur kataaii udar poorti...sampanntaa k aagman ka dhyotak hai...har sampanntaa harsh ka prateek hai..diwali par sri ram ko rajya laxmi praapt huii aur sri vishnu ki ardhaangini sri laxmi poojya ho gaii is parv ki...ganpati shubhta ka prateek hain tou koi bhi sampoannta shubhta k bina nirjeev hai tou is prakaar ye diwali parv aur ramayan ka sambandh hua...ramayan dev bhasha mei rachit sri vaalmiki ji ka granth hai...wahi vaalmiki ji jo mara mara kah kar fir ram ko paa gaye...marna tou hoga pahley fir ram milengey...mann ko mara aur ram se pahley ram katha likh gaii...geeta jo srimad bhaagvat ka kewal ek ansh hai aur bada pramukh ansh hai...karm gati ko samjhaati hui geeta...ramayan mei sri ram k jeewan ki katha ka ullekh hai jabki geeta mei karm k janam se pporv praarambh honey se lekar aatmaa k roop mei bina shareer k bhi karm gati tak jaaney ka ullekh sri bhagvaan ne swayam apney sri mukh se kiya hai...geeta ki kasam khaaney ki vajah kya hai ye tou kasam khaaney wala hi apney apney tareekey se bata sakta hai...kya geeta ki kasam khaaney se ye sidhdh ho jata hai k vyakti satya hi bolega...geeta swayam sri krishna ki vaani hai..sri vyas roop bhagvaan k vachan hain...geeta vyakti ko mukt karti hai khud se aur sansaar se...kasam khaatey hi vyakti mukt ho jata hai us dor se jissey wo sansaar se juda hota hai...uska jhooth ya sach jo bhi hai wo uskey pichhley karmo ko agley janam se seedha jod deta hai usi pal...aur vyakti is janam se mukt ho jata hai...mukt honey se aisa nahi k uskey gunaah maaf ho jaatey hain..mukt hota hai wo is pal se...geeta ki kasam pratyaksh aur apratyaksh roop se vyakti ko mrityu k baad ki mukti shareer rahtey de deti hai...fir chaahey uska gunaah saabit ho ya na ho...vyakti antar se mar jata hai chaahey wo apney agyan mei isey samjhey ya na samjhey...uski aatmaa shareer mei nahi rahti...geeta sir geeta maatr nahi hai ye mukti khand hai...srimad bhagvat mei anekanek kathaao mei bhi anekaanek kathaaein hain aur un sabhi ka nichod geeta hai...karm k kurushetra k niyam bataati hai geeta...har karm k yagya honey ka saboot deti hai geeta...geeta ki kasam khaaney waaley geeta ko nahi jaantey ye sabsey bada satya hai kyuki jo geeta ko parh kar gun lega usey geeta ki kasam khaaney ki zaroorat hi nahi hogi..yahi sabsey badi baat parilakshit hoti hai k adaalat mei geeta ko saakshi maan kar satya ko saabit kiya jata hai...shaayad geeta ko saabit kiya jata hai k kaliyug mei geeta ka kya sthan rah gaya hai kyuki kya vaastav mei geeta par hath rakh kar kasam khaaney waaley sachchey hotey hain???ya geeta kewal ek pustak maatr hai jo kewal kasam khaaney k liye ek iswariya shakti hai jisey kabhi kisi ne dekha hi nahi hai....GEETA KARM SE BANDHEY JEEV KO SHAREER AUR USKEY ANTAR MEI VIDHYAMAAN CHETAN...AVCHETAN..INDRIYO...MANN....BHAAV...AATMAA AUR PARMAATMAA K EK DOOSREY SE JUDEY HONEY AUR FIR BHI VILAG RAHNEY KI SHIKSHAA DEI HAI...SAB GEETA PAR HATH RAKH KAR KASAM KYU KHAATEY HAIN YE USI WAKT HAR US BANDEY SE ZAROOR POOCHHNAA CHAAHIYE K WO KYA SOCHKAR AUR KYU GEETA PAR HATH RAKHKAR SACH BOLNEY KI KASAM KHA RAHA HAI??????GEETA TOU SWAYAM HAR KASAM SE MUKT KARTI HAI.....geeta karm k fal se mukt karti hai aur iski kasam wahan khaaii jaati hai jahan karm k fal ki mithaas ya kadwaahat ka nateeja aanaa hota hai...aur geeta ki kasam khaaney se kya fal ka swaad gun badal jaatey hain????nahi...swaad gun apney anuroop banaaney k liye geeta ko hath mei lekar shabdo k jaal pirokar fir naveen kar apni suvidhaa k anusaar kiye jaatey hain...ramayan kahti hai swarn mrig mithyaa hai par geeta idhar geeta bhi yahi kahti hai k sab badal jaayega...sab chhoot jaayega...par kurushetr mei duryodhan tou bannaa hota hai tabhi koi bheem banega...koi karn banega tou arjun ko aanaa hoga aur inhi chakkaro mei kisi abhimanyu ko marna hoga...par kasam tou khaatey hain aur yahi log khaatey hain..jinhey maalum hai geeta ko sirf hath mei lena hai karm tou geeta nahi karegi...jabki jo geeta ko sri krishna roop mei dekhtey hain wo kasam nahi khaatey kyuki unhey kisi saboot ko deney ki koi zaroorat hi nahi hoti kyuki jo apney hain unhey kisi saboot ki zaroorat nahi aur jo sajjan hai hi nahi usey kisi saboot ki koi zaroorat hi nahi....jo log agar aaj krishna ki kasam sirf isliye khaatey hain kyuki krishna k karmo mei khud ko jodtey hain tou sach baat tou ye hai k wo log khud hi krishna ki aarh letey hain aur apney  karmo ko krishna ka naam bhi detey hain...jabki hakeekat ye hai k krishna ney aam aadmi ko arjun bataya aur khud apney hi parivaar k sath yudhdh karney k liye karm yog ki shikshaa di aur apney viraat swaroop mei poorn sansaar ko abhivyakt bhi kiya aur jansaadhaaran har viraat se darta hai...ishwariya viraat swaroop dand deta hai duryodhan ko karn ko duhshaasan ko yahan tak k apney priya bhakt bhishm pitaamah ko bhi...ye nishpakshtaa viraat ko aur viraat karti hai..ram ko chhal se baali ko maarna parha tou krishna ney bhi har neeti ka ullanghan karney waaley duryodhan ko bheem se marvaayaa par janghaa par aaghaat karney ka ishaara kiya aur tab gadaa yudhdh mei jangha par vaar karna nishedh tha...krishna ney khul kar nishpakshtaa saamney rakhi...samaaj mei tyaajya striyo ko naam deney k liye hazaaro striyo ko sweekara aur apney oopar laanchhan liya wo bhi sabhya samaaj se nahi liya kyuki jo bhi krishna ko samjhega wo jaanega k prem kya hai...sabhyata kya hai...tyaag kya hai...ek sath raat aur din ko sweekaar karna kya hai...geeta karmshetr ka wo bhaag hai jo doshi ko aur nirdosh ko..dono ko ye saabit kar deti hai k yahan ka yahin samaapt hona hai...ab khud hi dono paksh soch lein k neeti kya hai...karm shetr mei...dharm shetr mei...yudhdh shetr mei...jo aamney saamney khadey hain unki yahi niyati hai aur yahi ant hai...ye sirf geeta hi kahti hai...ramayan nahi...ramayan kahti hai k yadi apney aatm tatva ka haran ho tou us apney ahankaari tatva se larho aur kisi bhi nikrisht jeev ka sahra lo kyuki kuchh bhi samaj mei tyajya nahi hai aur geeta ka bhaav hai k aatm tatva ko bal do aur saamney koi bhi apna paraya khada ho dharm aur sahi satya k liye lado kyuki yadi satya k liye ladtey huey mar gaye tou swarg tumhara hai aur jeevit rahey tou dharti tumhaari hai...yahi yahan ka karmyudhdh hai aur saugandh tou geeta ki hi lekar jeena ya marna hai kyuki marney k baad bhi mukt karney k liye geeta ka hi path hota hai...tou jo doshi hai ya nahi hai usey jeetey ji mukt hona hai aur wo geeta hath mei lekar mukt hota hi hai...dosh se...apney pratidwandi se...apney karm se....wo seedha jud jata hai apney pichhley praaarabdh se sanchit se aur agley janam k praarabdh se....
....RADHASWAMIJI...JAI SRI KRISHNA JI....
....Chhavi Mehrotra

No comments:

Post a Comment